2014
Ishu Masih ka Divye Mission: Duniya ki Raushni
March 2014


Shikshan Sandesh Bhent, March 2014

Ishu Masih ka Divye Mission: Duniya ki Raushni

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondne se jaano jo batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Jab hum samajh lenge ki Ishu Masih Duniya ka Raushni hai, hum Unmein apne vishwaas ko badhaaenge aur auron ke liye raushni banenge. Masih ne Apne bhumika ki gawahi di us “sachchi raushni ki tarah jo har purush [aur mahila] ko jaagrut karta jo is duniya mein aata hai” (D&C 93:2) aur kaha ki hum “[Unki] raushni ko upar uthaae taaki woh duniya ko ujwal karein” (3 Nephi 18:24).

Hamare bhavishyevaktaaon ne bhi gawahi di hai Masih ki Raushni ki. Pradhaan Henry B. Eyring, Pratham Adhyakshta ke Pratham Salaahkaar, ne kaha: “Har baar tum Masih ki tarah jeene ki koshish karoge, tumhari gawahi mazboot hogi. Samay aane par tum jaanoge khud se ki Woh Duniya ka Raushni hai. … Tum apne jeewan se Masih ka Raushni sab ko dikhaoge.”1

Elder Quentin L. Cook Barah Devduton ke Parishad ke ne kaha hamare duniya ke liye raushni banne par: “Hamein apne parivaaron ki raksha karni chahiye aur sabhi achche logon ke saath sabse aage rehna hai raushni, aasha, aur naetikta ko surakshit rakhne ke liye apne samaajon mein.”2

Dharamshaastra mein se

John 8:12; Doctrine and Covenants 50:24; 115:5

Hamare Itihaas Se

Antim-din Sant mahilaaen aaj bhi apne raushni ko dikhlaae chalti hai.

Hong Kong, China ke ek unche imaarat ke 80th maale par, ek akeli bahan shaaririk durbaltaon ke saath—apne parivaar mein akeli Antim-din Sant sadasye—ne ek ghar ka vaatavaran aysa banaya ki wahan woh aur unke bhentkarta Aatma ke prabhaao ko mehsoos kar sakte the. Woh apne dharamshaastra, apna Sahayak Sanstha kitaab, aur apna sangeet kitaab paas hi rakhti thi. Woh mandir tak yaatra karti apne purwajon ke liye dharamvidhiyon ko pura karne ke liye.3

Brazil mein ek dhaarmik maata ne apne bachchon ko susamachaar ki raushni mein paala. Praathmik ke geet uske laal int ke ghar ko bhar deti thi, aur Liahona mein se nikaale gaye tasveer mandiron, Parmeshwar ke bhavishyevaktaaon ke, aur Uddhaarkarta ke uske deewaaron par the. Woh aur uske pati ne balidaan diye mandir mein bandhne ke liye taaki unke bachche vaade(covenant) ke andar paeda ho. Prabhu se uska hamesha ka prarthna yeh rehta ki Woh use sahayta karein apne bachchon ko raushni, sachchaai, aur susamachaar ke mazbooti mein paale.4

Vivaran

  1. Henry B. Eyring, “A Living Testimony,” Ensign or Liahona, May 2011, 128.

  2. Quentin L. Cook, “Let There Be Light!” Ensign or Liahona, Nov. 2010, 30.

  3. Dekhiye Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 163–64.

  4. Dekhiye Daughters in My Kingdom, 164