Yuva
Lekh ko Rakhna
Pradhaan Uchtdorf aguwaaoun ke samay se humare din ka tulna kar raha hai. Tumne musibaton ko nahi jhela hai, tum aguwaaoun ki tarah ho jo tum shaayad jaan nahi paaye ho! Tum bhi daya, achche karam, aur aashawaad ho saktey ho. Aur jaesa hum jaantein hain ki aguwaaoun ne in gunon ko dikhlaya kyuki unhone lekh ko rakha tha, tumhare bachchein tumhe tumhare jornal se bhi jaan saktein hain.
Kuch samay nikaal kar apne bare mein kuch apne jornal mein likho. Tum dhaarmik cheezon ko likh saktey ho, jaese kis tarah tumne apne gawahi ko badhaya hai ya Swarg ke Pita ki madad se kis tarah se musibaton ko jhela hai. Tum apne par-naati-poton ki bhi madad kar saktey ho (jo kisi din tumhare jornal ko padhenge!) yah jaanne ke liye tumhara jiwan kaesa tha. Tum skool mein kya kaarye kar rahe ho? Tumhari kaksha kaesi dikhti hai? Tumhare pasand ki tumhare parivaar ki sabse achchie yaad kya hai?
Jab tum shuruaat mein sabhi din thoda sa likhoge, tum saaf taur se sirf yah nahi dekh sakoge ki kis tarah Swarg ke Pita ne tumhare jiwan mein tumhari madad kiya hai, ussi tarah jaese Usne aguwaaoun ko maarg dikhlaya hai, parantu tum bhi apne khudh ke aanewaale logon ke liye ek parampara chodoge.