2015
Ishu Maseeh ke Diviye Gun: Chama karna aur Dayabhara
July 2015


Shikshan Sandesh Bhent, July 2015

Ishu Maseeh ke Diviye Gun: Chama karna aur Dayabhara

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Samajhna ki Ishu Maseeh chama karta aur dayalu raha hai se hamein madad milti hai dusro ko chama karne aur daya dikhlaane mein. “Ishu Maseeh humare Uddhaaran hai,” Pradhaan Thomas S. Monson ne batlaya. Uska jiwan prem ka viraasat tha. Bimaaron ko Usne theek kiya; niche gire huon ko Usne uthaaya; paapiyon ko Usne bachaya. Ant mein gusse bhare bheedh ne Uski hatya kar diya. Aur abhi bhi sunna ja sakta hai Golgotha ke pahad se: “Pita, mujhe maaf kar do; ki weh nahi jaantey weh kya kar rahein hain’ shabdon ko— daya aur prem mein maranshilta ke unchi prakaashan ko.”1

Agar hum dusron ke galtiyon ko maaf karenge, humare Swarg ke Pita humari bhi maaf karega. Ishu ne hum se pucha hai ki “jaesa tumhara Pita dayawant hai waisa hi tum bhi dayawant banno” (Luke 6:36). “Humare paapoin ke liye chama stithiyon se milta hai,” Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakshta ke Dusre Salahakaar ne batlaya. “Hume paschaaataap karna chahiye. …Hum sab ne nahi kiya hai, ek samay ya dosre par, daya ki seet tak pahunche aur daya ki bheek maangi hai? Kya humne apne puri chamta se humare aatamoun ke liye daya ko nahi chaha hai— taaki humare kiye hue galtiyon par chama mile aur paapon ko jinhe humne kiya hai? … Maseeh ke Balidaan ko tumhare hriday ko badalne do. Ek dusre se prem karo. Ek dusre ko chama karo.”2

Anye Dharamshaastra

Matthew 6:14–15; Luke 6:36–37; Alma 34:14–16

Dharamshaastra mein se

“Hume ussi tarah chama karna chahiye jaese hume chama kiya jata hai,” Elder Jeffrey R. Holland jo Barah Devduton ke Parishad hai ne kaha.3 Udhaau putra ki kahani mein hume chama karne ke dono pahalu dikhtein hain: ek putra ko chama kiya jata hai aur dusra chama ke liye musibaton ko jhelta hai.

Chote putra ne parampara se liya, turant hi kharch kar diya, aur jab akaal pada, usse suwaron ko bhojan dena pada. Dharamshaastra mein batlaya gaya hai “jab wah apne aape mein aaya,” wah ghar waapis chala gaya aur apne pita se kaha ki wah uske putra kahalane laayak nahi hai. Parantu uske pita ne use chama kiya aur anand manane ke liye pala hua bachda ko mara. Bada putra khet se kaam karke aaya aur naraaz hua. Usne apne pita ko yaad dilaya ki usne kai warsh se uski sewa kar raha tha, aur kabhi bhi teri aagya nahi kati “tobhi tune mujhe kabhi ek bakri ka bachcha nahi diya ki main apne mitron ke saath anand manaun.” Pita ne jawaab diya, “Putra, tu sadeo mere saath hai, aur jo kuch mera hai wah sab tera hi hai. Parantu ab anand karna aur magan huna chahiye kyuki yah tera bhaai mar gaya tha, phir jee gaya hai, kho gaya tha, ab mil gaya hai” (dekhiye Luke 15:11–32).

Vivran

  1. Thomas S. Monson, “Love, the Essence of the Gospel,” Liahona, May 2014, 91.

  2. Dieter F. Uchtdorf, “The Merciful Obtain Mercy,” Liahona, May 2012, 70, 75, 77; emphasis in original.

  3. Jeffrey R. Holland, “The Peaceable Things of the Kingdom,” Ensign, Nov. 1996, 83.

Yeh Sochiye

Kis tarah chama dene waale ko chama se laabh ho sakta hai?

Chaapo