2015
Sab Kuch Theek Hai
July 2015


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, July 2015

Sab Kuch Theek Hai

Pradhaan Dieter F. Uchtdorf

Jab main apne aguwaaon ke parampara ke bare mein sochta hoon, mere man mein jo sabse pahala khayaal aata hai ishbhajan “Come, Come, Ye Saints” (Hymns, no. 30).Jinhone Salt Lake Valley tak ka lamba safar taye kiya tha ne is ishbhajan ko unke safar ke dauraan kai baar gaya tha.

Mujhe achchie tarah se pata hai ki sabhi kuch achcha nahi hua tha in Santon ke saath. Unhone bimaariyon, garmi, kamzori, thand, bhook, peeda, sandeh, aur mauth ko jhela tha.

Parantu chillane ke sabhi kaaran hone ke baawajood, “Sab kuch theek nahi hai,” unhone ek tarika banaya aaj hum uske madad nahi kar saktey parantu iszzat kar saktey hai. Unhone anant ashirwaadon ke liye apne musibaton se zyaada dekha. Weh apne stithiyon mein khush the. Bhale hi waha bahot kuch tha jo uske dusre bhaag ko sahi dikhla raha tha, weh apne pure man se ga rahe the, “Sab kuch theek hai!”

Humare aguwaaoun ki izzat sachchie nahi hai agar usse humare andar badlaao na aaye.Maine unke kuch gunon ko batlaya hai jo mujhe prerna deta hai unke balidaan aur aagyakaari hone se.

Daya

Aguwaaoun ne samaajik, payese, ya raajnitik jiwan ko na dekhtey hue ek dusre ka khayaal rakha tha. Bhale hi jab weh dhani nahi the, musibatein aayi, ya veyaktigat balidaan aur kaarye mein, unhone ek dusre ki madad kiya.

Humare banaye hue lakhshye aur duniya ke sadesyon mein, veyaktigat ya samaajik cheezein dusron ki dekhbhaal kar skatein hain ya Parmeshwar ke raajye ko mazboot kar sktein hain. Aaj ke sanstha mein, raajnik lakshye tak pahuchne mein hume laayak rahana chahiye.

Lakshye ko banana aur prapt karna ek aschariye ka kaarye ho sakta hai.Parantu jab lakshye mein safalta prapt hone ke liye dusron ko nazarandaaz, andekha, ya musibat mein dalna pade, us safalta ka keemat bahot hi mahenga padh sakta hai.

Aguwaaoun ne apne saath rahane waalon ki dekhbhaal kiya, parantu unhone unka bhi dhyaan dhara jo unke piche ah rahe the, aane waale gaadiyon ke liye fasal botey hue.

Weh parivaar aur mitron ke shakti ko jaantey the. Aur kyunki weh ek dusre par nirbhar the, weh mazboot hue. Mitra parivaar ki tarah ban gaye.

Aguwaaoun ke achche soch se sewa hume yaad dilata hai ki kyo hume bahakawe se apne aap ko dur rakhna chahiye aur, balki, ek dusre tak madad pahuchana chahiye aur ek dusre ke liye daya aur prem hona chahiye.

Kaam

Aao, aao, re Santon, koi kaarye mein majdoor daro mat.”

Yah bol thake musafiron ke liye gaana ban gaya tha. Yah bahot mushkil hai jaanna ki kitna mushkil ko in mahaan aatmaoun ne jhela hoga. Chalna unke liye sabse saral kaarye tha. Unko saath rahana padhta tha bhojan pradaan karne, gaadi ko banane, jaaanwar ki dekhbhaal mein, bimaaron aur dukhiyon ki dekhbhaal mein, paani ko dhoondhane aur batorne mein, aur apne aap ko mausam ke aur jungal ke kai khatron se bachane mein.

Weh har subeh naye kaarye aur lakshye ke saath jaagtey the jo sabhi jaantey the: Parmeshwar aur apne logon ki sewa mein aur Salt Lake Valley tak pahuchne mein. Sabhi din unke liye saaf taur se kaarye aur lakshye tha; weh jaantey the ki unhe kya karna tha aur ki har ek din ka kaarye maaine rakhta tha.

Humare samay par—jo hum bahot ikcha kartein hain asaani se praapt kar saktein hain— bahakawe mein padh kar maarg se bhatak saktein hain ya haar maan letein hain jab kabhi musibatein aye ya pareshaani ho. Un samay par, hume un aadmi, mahilaein, aur bachchon se prerna lena chahiye jinhone bimaariyon, musibaton, peeda, aur mauth ko bhi ijaazat diya tha unke chune hue maarg se hatane mein.

Aguwaaoun ne sikha tha ki kathin kaarye karne se sharir, mann, aur aatma mazboot aur shaktishaaly hota hai; unke diviye prakritik ko samajhne mein badhanti deta hai; aur unko dusron ke liye ziyada daya deta hai. Is adath ne unke aatmaoun ko mazboot kiya aur unko unke lambie safar ko taye karne ke baad ant mein ashirwaad prapt hua.

Aashaawaad

Jab aguwaaoun ne gaana gaya, unhone teesra paat zor se gaya: “Parantu khushi ke saath apna raasta tae karo.”

Yah humare umar ka ek bada tana hai jiska hume bahot ashirwaad prapt hai aur phir bhi hum bahot dukhi nahi hotey. Safalta aur teconoloy hume parajikt karta hai aur hume surakhcha, aadar, turant sukh, aur araam ke saath deta hai. Aur khushiyon ko phir bhi apne ird-gird dekhtein hain.

Aguwaaoun, jinhone bahot balidaan diya hai, jeene ke sabse zaroori mul ke bina bhuke rahe. Weh jaan gaye the ki khushihaali saobhaaye ya as sanyog se parinaam mein nahi milta hai. Yah humare sabhi ikchaaoun ko pura hone se nahi prapt hota hai. Khushihaali bahari cheezon se nahi prapt hota hai. Yah andar hi se aata hai—bhale hi humare ird-gird kuch bhi ho raha ho.

Aguwaaoun ko pata tha, aur us aatma ke saath weh sabhi stithiyon aur sabhi musibaton mein khushi milta tha—un musibaton mein bhi jo unke veyaktigat ahesaas tak pahunchta tha.

Musibatein

Hum kabhikabhi unke guzare hue ko dekhtein hain jo aguwaaoun ne ant tak jhela tha aur sahayak ke saath kaha, “Dhanye hai ki main us samay nahi tha.” Parantu main jaanna chahata hoon ki kya weh himmati aguwaaoun ne, aaj hume dekha hai, ne ussi tarah mahesoos kiya hoga.

Bhale hi samay aur stithion alag hai, musibaton ko jhelnae ke mul aur safalta se Parmeshwar ke sangaton mein dekhbhaal karne aur aage badhane mein saath rahana badla nahi hai.

Aguwaaoun se hum Parmeshwar mein vishwaas aur bharosa karna sikhtein hain. Hum dusron ke liye daya karna sikh saktein hain. Hum us kaarye ko sikh saktein hain aur kaarye se sirf sharirik nahi parantu dhaarmik ashirwaad milta hai. Hum yah sikhtein hain ki wah khushiyon humare liye hai chahe kuch bhi stithi ho.

Sabse achcha tarika aguwaaoun ko iszzat aur abhaar dilhlaane ka hai humare khudh ke jiwan mein Parmeshwar ke aagyauon par vishwaas rakhne se, humare saathion ke saath daya aur prem karke, aur mahenat, aashawaad, aur aguwaaoun ke khudh ke jiwan mein itini achchie khushi ko dekh kar.

Jab hum wah kartein hain, hum dashak ke samay mein pahunch jaatein hain, un mahaan aguwaaoun ke uddhaaran par hum chaltein hain, aur hum apne khudh ke awaaz unke saath jodhatein hain jab hum unke saath gaatein hain: “Sab kuch theek hai1

Is Sandesh Mein se Shikshan

Tum shaayad shuruaat mein “Aao, aao, re Santon” ko gaana chaho (Hymns, no. 30) jinhe tum bhent kartey ho. Tum ek uddhaaran batla saktey ho jab tum ya jisse tum jaantey ho ne daya, kaarye, ya aashawaad ke mul ko stamaal kiya hoga. Agar prerit ho, tum ashirwaadon ki gawahi de saktey ho jo in mul ko karne se prapt hota hai aur jinhe tum bhent karo vaada karo ki yahi ashirwaad weh bhi prapt kar saktey hai.