2015
Ishu Maseeh ke Divye Gun: Dayalu aur Kripalu
December 2015


Shikshan Sandesh Bhent, December 2015

Ishu Maseeh ke Divye Gun: Dayalu aur Kripalu

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

“Dharamshaastron mein, daya ka matlab aksar hota hai ‘kisi ke saath sangharsh karna.’ Iska matlab sahanubhuti, taras, aur chama karna kisi ko.”1

“Ishu ne hamein kayi uddhaaran diye dayalu chinta ke,” kaha Pradhaan Thomas S. Monson se. “Bethesda ke taalaab par woh apang aadmi; pargaman mein pakdi gayi mahila; Jacob ke kunwe par woh mahila; Jairus ki beti; Lazarus, Mary aur Martha ka bhaai—har ek mein Jericho ke raaste ke us dusghatnagrahst vyakti hai. Har ek ko sahayta ki zaroorat thi.

“Bethesda ke apang vyakti se, Jesus ne kaha, ‘Uth, apna khaat utha, aur chal.’ Paapan mahila ko yeh salaah diya gaya, ‘Jaao, aur ab paap nahin karna.’ Us mahila ki madad karne ke liye jo paani bharne aayi thi, Usne kuwa bhar kar paani diya ‘jisse anant jiwan praapt ho sake.’ Jairus ke mrit beti ko yeh aagya diya gaya, ‘Ladki, mai tumse kehta hoon, uth jaao.’ Kabra mein daale gaye Lazarua ko, ‘Baahar aao.’

“Uddhaarkarta ne hamesha dayaluta ke prati bahut kuch kiya hai. … Aao hum apne dilon ke darwaazon ko kholein, taaki Woh—jo dayaluta ka jiwit uddharan hai—andar aa sake.”2

Anye Dharamshaastra

Psalm 145:8; Zechariah 7:9; 1 Peter 3:8; Mosiah 15:1, 9; 3 Nephi 17:5–7

Dharamshaastra mein se

“Linda S. Reeves, jo Sahayak Sanstha ki maha adhyakshta mein dusri salaahkaar hai ne kaha,” Mera pati aur mai apne 17-saal-ki beti ke paas ghutnon par huwe aur uski zindagi ke liye prarthna kiya. “Jawaab nahin hi tha, lekin . … hum yeh jaan gaye hai … ki … [Uddhaarkarta] hamare liye dayawaan hota hai hamare dukhon mein bhi.”3

“Uddhaarkarta ke jiwan mein se mera mann pasand kahani hai Lazarus ka.Dharamshaastra hamein yeh batlaata hai ‘Ishu Martha, … uske bahan [Mary], aur [unke bhaai] Lazarus se prem karta tha.’”4 Jab Lazarus beemaar huwa, Ishu ko sandesha diya gaya, magar jab Woh pahuncha Lazarus ka dehant ho gaya tha. Mary Ishu ke paas daudhti gayi, Unke paeron par giri, aur rone lagi.Jab Ishu ne Mary ko rote dekha, “unka aatma tadap utha, aur … roya” (John 11:33, 35).

“Yeh hai hamari zimmedaari.Hamein bhi mehsoos karna aur dekhna chahiye aur phir Swarg ke Pita ke sabhi bachchon ko yeh mehsoos karne aur dekhne dena hai ki hamare Uddhaarkarta ne Apne upar sirf hamare paap hi nahin magar hamare peedaaon aur hamare dukhon aur taklifon ko liya taaki Woh jaan sake hum kya mehsoos karte aur hamein sahanubhuti de sake.”5

Vivran

  1. Guide to the Scriptures, “Compassion.”

  2. Thomas S. Monson, “The Gift of Compassion,” Liahona, Mar. 2007, 4–5, 8.

  3. Linda S. Reeves, “The Lord Has Not Forgotten You,” Liahona, Nov. 2012, 120.

  4. Linda S. Reeves, “The Lord Has Not Forgotten You,” 118.

  5. Linda S. Reeves, “The Lord Has Not Forgotten You,” 120.

Yeh Sochiye

Tumhare daya se kise ashirvaad mil sakta hai?

Chaapo