2015
Uddhaarkarta ke Liye Samay Nikalo
December 2015


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, December 2015

Uddhaarkarta ke Liye Samay Nikalo

Bada Din phir aa gaya hai aur ek naya saal bhi shuru hone waala hai.Aysa lagta hai ki abhi haal hi mein hum Uddhaarkarta ka janam mana rahe the aur naya saal ka lakshye bana rahe the.

Hamare is saal ke lakshyon mein, kya humne apne jiwanon mein Uddhaarkarta ke liye samay nikala aur jagah banaye thi apne hridayon mein? Chaahe hum kitne bhi safal rahe honge ab tak apne samadhaan mein, mujhe vishwaas hai ki hum sab behtar karna chahate hai.Is Bada Din ka samay sahi samay hai apne koshishon ko jhaanchne aur modne ka.

Hamare vyast jiwanon mein, jab hamein kitne anye baaton par dhyaan dena padta hai, yeh zaroori hai ki hum har tarah se, atal koshish karein Maseeh ko hamare jiwanon aur hamare gharon mein laane ke liye. Aur yeh zaroori hai ki hum, Purabh ke Budhimaan Purshon ki tarah, Unke taare par hi dhyaan dhare rahein aur “unko pranaam karne aaye.”1

Itihaas ke samay se, Ishu ka sandesh ek hi raha hai.Peter aur Andrew se Usne, Galilee ke tat par kaha, “Mere piche chale aao.”2 Philip ko kaha gaya, “Mere piche ho le.”3 Levite jo customs ke chaok par baetha tha ko kaha gaya, “Mere piche ho le.”4 Aur tumhe aur mujhe kaha gaya hai, agar hum sirf sunenge, tab wohi nimantran aayega: “Mere piche ho le.”5

Jab hum Unke nakshe kadam par aaj chalenge aur Unke uddharan ko amal mein laaenge, hamein auron ke jiwanon ko ashirvaad dene ke mauke milenge. Ishu hamein amantrit karta hai khud daan karne ko: “Dekho, Prabhu dil aur ichcha purn mann chahata hai.”6

Kya koi aysa hai jiske liye tumhe is Bada Din par sewa pradaan karna hai? Kya koi hai jo tumhare bhent ka intazaar kar raha hai?

Saalon pehle Bada Din par main ek budhi vidhwa ke ghar bhent karne gaya.Main uske ghar mein tha, jab kisi ne darwaaze ki ghanti bajayi. Wahan darwaaze par ek bahut vyast aur prasidh daactar khada tha.Use bulaya nahin gaya tha; par, use laga ki use apne is mareez se milne aana hai jo akeli hai.

Is samay mein, jo log apne ghar se nahin nikal sakte, bahut ichcha karte hai ki koi unse Bada Din par milne aaye.Ek Bada Din ko jab hum ek dekhbhaal kendra ghumne gaye the, mai ne paanch buzurg mahilaaon se baeth kar beete karne ke liye, jis mein sabse buudha jo 101 saal ka tha. Woh andhi thi, phir bhi usne meri awaaz pehchaan li.

“Bishop, aap is saal kuch der se aayein hai!” usne kaha. “Maine socha ki aap ab nahin aaoge.”

Hum ne saath bahut achcha samay bitaya. Phir bhi, ek mareez, khidki se baahar ummeed se dekhkar kehta raha, “Mai jaanta hoon mera ladka aaj mujhe dekhne aayega.” Mai sochta raha ki kya aysa hoga, kyunki kuch ayse Bada Din ke avsar the jab woh nahin aaya tha.

Is saal ab bhi samay hai woh sehyoh ka haath, prem bhara hriday, aur anye shabdon mein ichchapurn aatma—badhane ke liye, taaki hum apne Uddhaarkarta ke uddharan par chal sakein aur Woh jaise chahata hai hum waisa hi sewa pradaan karein. Jab hum Unki sewa karte hai, hum apna mauka nahin gawaenge, puraane samay ke saraye (inn) maalik ki tarah,7 ki woh Unke liye apne jiwan mein samay nikaal sakein aur jagah bana sake aur Unke liye apne hriday mein ehsaas.

Kya hum us vishaal vaachan ke baare mein soch sakte hai jo us raat charwaahon ko kheton mein swargdut dwara sandesh mein mila tha: “Mai tumhe bade anand ka susamachaar sunata hoon. … Ki aaj tumhare janma hai … ek Uddhaarkarta, aur yahi Maseeh Prabhu hai”?8

Jab hum Bada Din par uphaar baatte hai, hum yaad karein, sammaan karein, aur paaye un sab uphaaron mein sabse mahaan uphaar—hamare Uddhaarkarta aur Muktidaata ka uphaar, ki hum anant jiwan paayein.

“Tab kya faaeda us aadmi ko agar use ek uphaar mile, aur woh us uphaar ko na haasil karein? Dekho, woh us mein nahin aanandit hota jo use mila hai, na to uphaar dene waale se prasann hota hai.”9

Aao hum Unke piche ho le, Unki sewa karein, Unka aadar karein, aur apne jiwanon mein Unse uphaar grahan karein, taaki hum Pita Lehi ke vaani mein kahe, “unke prem ke baahon mein anant ke liye lapet liya gaya.”10

Is Sandesh Mein se Shikshan

Pradhaan Monson humse kehta hai ki hum “atal koshish karein Maseeh ko hamare jiwanon aur hamare gharon mein laane ke liye.” Yeh tay kijiye apne sikhlaane waalon ke saath ki kaise woh khud aur ek parivaar ke rup mein yeh atal koshish ko kar sakte hai.Tum shaayad unse puch sakte ho ki woh ek khaas vyakti ya parivaar ke baare mein soche jinse woh is Bada din par bhent ya sewa kar sakte hai.“ Is saal ab bhi samay hai woh sehyoh ka haath, prem bhara hriday, aur ichchapurn aatma badhane ke liye,”

Chaapo