2015
Bada din par Sewa Pradaan Karne ke Tarike
December 2015


Yuva

Bada din par Sewa Pradaan Karne ke Tarike

Pradhaan Monson samay nikaalta hai buzurgon se bhent karne ke liye aur unse jo dekhbhaal kendron mein hai, khaaskar Bada din ke samay. Usne kaha ki kuch log khush hai kyunki unse bhent karne koi aata hai, anye log sirf un logon ke bhent ki aasha karte rehte hai jo kabhi nahin aate. Wahan ayse log hai jo kisi ka intazaar kar rahe hai—shaayad is Bada din par, tum woh shaksh ho sakte ho.

Yeh sirf kuch tarike hai jo tumhe madad kar sakta hai is Bada din par akela na mehsoos kar sako. Aaram se anye tarikon ke baare mein sochein jinse tum apne samaaj mein is avsar par sehyog de sakte ho. “Kya koi hai jo tumhare bhent ka intazaar kar raha hai?”

  • Apne ward ya shaakha ke prachaarakon aur avivaahit aur buzurg sadasyon tak bhejne ke liye Bada din ke card banaiye.

  • Ek sthaaniye samaajik sanstha ke saath swanyeichcha sewa pradaan karein.

  • Mormon Dharamshaastra ke pustak ki kaapiyaan apne doston aur padosiyon ko Bada din ke uphaar ki tarah dein.

  • Apne ward ya parivaar ke buzurg logon se bhent karein.

  • Apne padosiyon ko dene ke liye pakwaan banaye.

Chaapo