2016
Aagyaaon ka Paalan Karna aur Dusron se Pyaar Karna
September 2016


Yuva

Aagyaaon ka Paalan Karna aur Dusron se Pyaar Karna

Jab hum pyaar ke baare mein sochte hai, aksar hamare mann mein romanchak filmon, choklet, aur phulon ke khayal aate hai. Parantu pyaar—sachcha pyaar—aur zyaada gehra aur adhik niswaarthi hota hai.Ishu Maseeh hamare liye jeeta tha aur woh hamare liye mara kyunki Woh humse pyaar karta tha. Vaastav mein, woh do mahaan aagyaaen hai Parmeshwar se pyaar karo aur sab logon se (dekhiye Matthew 22:36–40). Parantu kaise hum dusron ko dikhaenge ki hum unse pyaar karte hai?

Pradhaan Uchtdorf Maseeh ka nitikatha batlata hai un do beton ke baare mein, ek jo apne pita ke liye kaam karta hai aur ek jo nahin karta. Uddhaarkarta yeh batlaata hai ki jo pita ki aagya maanta hai sachmuch usse pyaar karta tha. Usi tarah, jab hum Parmeshwar ki aagya maante hai, hum yeh dikhlaate hai ki hum Unse pyaar karte aur Unke paas lautna chahate hai.

Parantu hum kaise dikha sakte hai ki hum dusro se pyaar karte hai? Pradhaan Uchtdorf bhi yeh batlata hai: “Agar hum sach mein apne padosi se pyaar karte hai, hum khud ko ‘gareeb aur zarooratmandon, beemaar aur dukhit logon’ ko madad karne le jaaenge. Kyunki jo log ayse niswaarth daya aur sewa ko karte hai, wohi Ishu Maseeh ke chelein hai.”

Isliye jab tum agli baar apne maata-pita, bhaai-nahan, ya ek dost ko dekhoge, sochiye ki kaise unki sewa kar sakte ho apna pyaar unke liye dikhaane ko.Isse na sirf woh aur tum khush hoge, magar usse tumhara Swarg ka Pita bhi khush hoga.

Chaapo