2016
Pyaar ke Baad, Phir Kya?
September 2016


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, September 2016

Pyaar ke Baad, Phir Kya?

Hamare priye bhavishyevakta, Pradhaan Thomas S. Monson, ne sikhlaya ki “pyaar hi susamachaar ka mukhye tatva hai.”1

Pyaar itna avashyak hai ki Ishu ne use “badi aur mukhye aagya” kaha aur kaha ki sabhi vyavastha aur bhavishyevaktaaon ke shabdon ka yahi aadhaar hai.2

Girjaghar mein hum jo kuch karte hai pyaar hi uska vajah hai. Har kaaryekram, har sabha, har kriya jismein hum bhaag lete hai Ishu Maseeh ke chelo ke rup mein isi gun se aana chahiye—ki bina dayaluta, “Maseeh ka sampurn pyaar” ke, hum kuch bhi nahin hai.3

Ek baar agar hum apne mann aur hriday se yeh samajh lein, ek baar agar hum Parmeshwar aur apne anye manushye ke prati apne pyaar ki ghoshna kar dein—uske baad kya hoga?

Kya auron ke liye daya aur pyaar mehsoos karna kaafi hai? Kya Parmeshwar aur apne padosi ke liye pyaar ko dikhane se Parmeshwar ke prati hamara kartavvye pura ho jaata hai?

Do Beton ka Nitikatha

Jerusalem ke mandir par, Jew ke mukhye purohit aur elderein Ishu ke paas gaye ki Unhe Unhi ke shabdon mein fasa sakein. Par, Uddhaarkarta ne mauke ka faeda uthaya unhe ek kahani batlaane se.

“Kisi manushye ke do putra the,” Usne shuru kiya.Pita pehle ke paas gaya aur usse kaha jaao bagiche mein kaam karo.Par beta ne mana kar diya.Baad mein us bete ne “pashchataap kiya, aur kaam karne gaya.”

Pita phir dusre bete ke paas gaya aur usse kaha jaao bagicha mein kaam kar. Dusre bete ne use ashwasan diya ki woh jaaega, par kabhi nahin gaya.

Tab Uddhaarkarta purohito aur elderon ki or muda aur pucha, “In donon mein se kis bete ne pita ki ichcha puri ki?”

Unhe yeh maanna pada ki woh pehla beta tha—woh jisne kaha tha woh nahin jaaega par baad mein pashchataap karke aur bagiche mein kaam karne gaya.4

Uddhaarkarta ne is kahani ka istemaal kiya ek zaroori siddhaant par zor dene ke liye—woh hai ki jo log aagya ka paalan karte hai sach mein Parmeshwar se prem karte hai.

Shaayad isi liye Ishu ne logon se kaha ki weh Pharisee aur shaastri ke shabdon ka paalan karein par unke uddharan par na chalein.5 Yeh dharm ke neta kehte to hai par karte nahin. Woh dharm ki baate karna pasand karte hai, par dukh hai ki woh uska tatva na samjhe.

Kriyaaen aur Hamara Uddhaar

Uddhaarkarta ne Apne chelon se kahi antim sikhshaaon mein, unhe antim Nyaye ki baate ki. Sachche aur bure log algaaye jaaenge. Sachche log anant jiwan paayenge; bure logon ko anant dand me bheja jaaega.

Donon dalon ke beech kya antar tha?

Jo log kuch karne se apna prem dikha rahe the ko bacha liya gaya tha. Jo nahin kar paaye the ko apradhit kiya gaya tha.6 Ishu Maseeh ke susamachaar ke prati sachchi dharm parivartan aur uske mulyon aur siddhaanton se hamare daenik jiwan ke kaaryon mein dikhega.

Ant mein, sirf Parmeshwar aur padosi ko prem ki goshna karne se unhe unnati nahin milegi. Kyunki, jaise Ishu ne sikhlaaya, “jo mujh se, he Prabhu, he Prabhu kehta hai, un mein se har ek swarg ke raajye mein pravesh nahin karega; parantu wohi jo mere swargiye Pita ki ichcha par chalta hai.”7

Pyaar ke Baad Kya Hota Hai?

Us sawaal ka jawaab “Pyaar ke baad, phir kya?” saral aur seedha-sada ho sakta hai. Agar hum Uddhaarkarta se sachcha pyaar karte hai, hum apne hriday ko Unke nasdeek karte hai aur phir chelapan ke maarg par chalte hai. Jab hum Parmeshwar se pyaar karte hai, hum koshish karte hai Unke aagyaaon ka paalan karne ko.8

Agar hum sach mein apne padosi se pyaar karte hai, hum khud ko “gareeb aur zarooratmandon, beemaar aur dukhit logon” ko madad karne le jaaenge.9 Kyunki jo log ayse niswaarth daya aur sewa ko karte hai,10 wohi Ishu Maseeh ke chelein hai.

Yeh hi pyaar ke baad hota hai.

Yeh Ishu Maseeh ke susamachaar ka tatva hai.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Pradhaan Uchtdorf kehte hai Ishu Maseeh ke sachche chelein woh hai jo Unke aur auron ke liye apna pyaar apne karmo se dikhaate hai.Woh hamein sikhlaata hai “Agar hum Uddhaarkarta se sachcha pyaar karte hai, hum apne hriday ko Unke nasdeek karte hai aur phir chelapan ke maarg par chalte hai.” Apne shikshakon se puchne ki soche ki kaise tariko se pyaar ne unhe prerit kiya hai chelapan ke maarg par chalne ke liye. Tum apne anubhavon ko unke saath bhi baat sakte ho. Tum unhe amantrit kar sakte ho ki woh aur zyaada dayaluta aur shakti ki prarthna kare pyaar ke karm karne ke liye.

Chaapo