2016
Maata Pita banna Ek Pavitra Kartavvye Hai
September 2016


Shikshan Sandesh Bhent, September 2016

Maata Pita banna Ek Pavitra Kartavvye Hai

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Kaise “Parivaar: Duniya ke Liye Ek Aupchaarik Ghoshna” ko samajhne se Parmeshwar mein tumhara prem badhega aur unhe ashish dega jinki tum shikshan bhenton dwara dekhrekh karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Hamare Swarg ke Pita ne parivaarein banayi sahi sidhaanton ko ek pyaar bhare vaatavaran mein sikhane ke liye.Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Apne bachche ki badaai karo aur use gale lagaao; aksar kaho, ‘mai tumse pyaar karta hoon’; hamesha apne abhaar ko zaahir karo.Kabhi aesa na ho ki samasya ko suljhana zyaada zaroori ho ek vyakti ko pyaar karne se.”1

Susan W. Tanner, purva ki Jawaan Mahilaaon ki maha adhyaksh, ne sikhlaaya: “Hamare Swarg ke Pita us tarika ka uddharan dete hai jo hamein aazmaana chahiye.Woh humse pyaar karta, sikhlaata, hamare saath sabar dikhata hai, aur hamein chunne ki shakti dekar hum par bharosa karta hai. … Kabhi kabhi sudhaar, jiska matlab hai ‘sikhana,’ ki dosh dikhana se galat fehmi ho jaati hai.Bachche—tatha sabhi umra ke log—chaal chalan mein sudhaar laate pyaar aur protsaahan ke zariye na ki dosh-dhoondhne se.”2

“Agar hum vishwaas se parivaar ke saath prarthna, dharamshaastra adhyan, parivaar gharelu sabha, purohiti ashirvaadon, aur Raviwaar din ko sahi tarike se paalan karte hain,” kaha Elder Quentin L. Cook jo Barah Devduton ke Parishad ke hai, “hamare bachchein … swarg mein anant ghar ke liye tayyaar rahenge, bhale hi unke saath musibat bhare duniya mein kuch bhi hoga.”3

Anye Dharamshaastra

1 Nephi 8:37; 3 Nephi 22:13; Doctrine and Covenants 93:40; 121:41

Jiwit Kahaniyaan

“Mai akhbaar padh raha tha jab mera ek pota mere bagal mein aa baetha,” kaha Elder Robert D. Hales ne jo Barah Devduton ke Parishad ke hai. “Mai padhta raha, mujhe acha lag raha tha uske bolne ke awaaz ko piche sunte rehna. Mera ashcharye ki kalpana karo jab, kuch hi chano baad, usne khudko mere aur akhbaar ke beech mein laaya. Mera chehra apne haathon mein liya aur apna naak mere naak se mila kar, usne pucha, ‘Aaja! Kya tum wahan ho?’

“… Wahan hone ka matlab hai hamare yuvaaon ke dilon ko samajhna aur unke saath judna. Aur unse judne ka matlab sirf unse baate karna nahin hai par unke saath kuch kaaryon ko karna bhi. …

“Hamein is shikshan dene ke chano ki yojna banani chahiye aur uska faeda uthana chahiye. …

“… mai jitna jeeta jaata hoon, utna hi mai jaan paata hoon ke mere yuva samay ke shikshan paane ke chanon se, khaaskar jo mere maata/pita ne diye the, se mera jiwan sawara gaya aur aaj mai yeh ban saka.”4

Vivaran

  1. Thomas S. Monson, “Love at Home—Counsel from Our Prophet,” Liahona, Aug. 2011, 4.

  2. Susan W. Tanner, “Did I Tell You … ?” Liahona, May 2003, 74.

  3. Quentin L. Cook, “Prabhu Mera Jyoti Hai,” Liahona, May 2015, 64.

  4. Robert D. Hales, “Our Duty to God: The Mission of Parents and Leaders to the Rising Generation,” Liahona, May 2010, 96, 95.

Yeh Sochiye

Kyun susamachaar sikhane ka behtar tarika hai pyaar ki bhaasha aur udhaaran?

Chaapo