2017
Vishwaas se Dusron ki Sewa Karna
April 2017


Yuva

Vishwaas se Dusron ki Sewa Karna

Pradhaan Uchtdorf hume batlaatein hain ki Parmeshwar mein humara vishwaas humesha “kaarye ke saath” hona chahiye. Jab hum vishwaas “ke saath humesha kaarye karenge,” usne samjhaya, ki wah “ aatma mein shaanti aur prem bhar dega. Is ashirwaad ke vaade ke saath, hum badalao la saktein hain, aur hum yah apne jiwan mein dekh saktein hain agar hum vishwaas se bhare sewa ko karne mein samay letein hain tab. Tum har subeh dusron ki madad ke liye Prabhu se prarthna kar saktey ho. Uddhaaran mein, Unse pucho ki tumhe dikhlaaye jab kisi ko kaarye karne mein madad ki zaroorat ho ya jab ek mitra ko sabaashi chahiye. Phir, jab tumhe prerna mile, us par kaarye karo! Agar tum yah prarthna karo aur yah sewa ko humesha karo, tab tum vishwaasi ho, humesha kaarye karne se tumhare aur dusron ke jiwan mein ashirwaad milega. Pradhaan Uchtdorf vaada kartein hain ki tum “akelon, parivaaron, deshon aur duniya ko badal saktey ho.”

Chaapo