2017
Purohiti ke Kasme aur Vaadein
April 2017


Shikshan Sandesh Bhent, April 2016

Purohiti ki Kasme aur Vaadein

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Sahayak Sanstha ke mahatva ko samajhna kis tarah se Parmeshwar ki putriyon ko anant jiwan ke ashirwaadon ke liye taeyaar karta hai?

Relief Society seal

Vishwaas, Parivaar, Sahayak

Jitna ziyada hum bahanon ki tarah jaanege ki purohititav ke kasmon aur vaadon ko apne khudh par laagu karna hai, utna hi ziyada hum purohititav ke ashirwaad aur vaadon ko praapt karenge.

Barah Devduton ke Parishad Elder M. Russell Ballard na kaha, “Sabhi jinhone Prabhu ke saath pavitra vaadon ko banaya aur jinhone un vaadon ko pura kiya ko veyaktigat pratikaran praapt hota hai, devduton ki dekhrekh ka ashirwaad praapt hota hai, Parmeshwar se waartalaabh mein, susamachaar ko puri tarah se praapt karne mein, aur, ant mein, humare Pita ke paas Ishu Maseeh ke saath sab kuch paane mein.”1

Purohiti ki kasmon aur vaadon ki ashirwaadein aur vaadein dono purush aur mahilaoun ke liye hai. Sahayak Sanstha Maha Adhyakshta ki pichali salahaakaar, Bahan Sheri L. Dew, ne kaha, “Prabhu ke ghar mein pura purohititav sab se unche siddhaanton mein hai jo sirf purush aur mahila ko saath mein praapt hota hai.”2

Sahayak Sanstha Maha Pradhaan, Bahan Linda K. Burton, ne is chunaoti ko diya, “Main tumhe purohititav ke kasam aur vaada ko jaanne ko amantirith karti hoon, jo Doctrine and Covenants 84:33–44 mein paaya jaata hai. Yah jaanne se, main tumhe vaada karti hoon ki Pavitra Aatma tumhe purohititav ko aur bhi achchie tarah se samjhaega aur prerit karega aur tumhe ashchariye cheezon mein madad karega.”3

Sahayak Sanstha ko Joseph Smith ne maagdarshan diya ki mahiloun ko aage ke liye taeyaar rahana hoga taki “purohittav ke adhikaaron, ashirwaadon, aur uphaaron ko praapt karein.” Yah mandir ke siddhaanton dwara pura ho sakta hai.

“Mandir ke siddhaantein purohititav ke siddhaantien [hai], parantu weh purush ya mahilaaon par dhaarmik chunaao ka dabaao[ko] nahi deta hai. [In siddhaanton se pura hota hai] Prabhu ka vaada ki uske log — mahilaaoun aur purush— ko ‘upar se shakti praapt hoga’ [D&C 38:32].”4

Anye Dharamshaastra aur Jaankaari

Doctrine and Covenants 84:19–40; 121:45–46; reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. M. Russell Ballard, “Men and Women and Priesthood Power,” Liahona, Sept. 2014, 36.

  2. Sheri L. Dew, in Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 128.

  3. Linda K. Burton, “Priesthood Power—Available to All,” Ensign, June 2014, 39–40.

  4. Gospel Topics, “Joseph Smith’s Teachings about Priesthood, Temple, and Women,” topics.lds.org.