Pratham Adhyakshta ka Sandesh, April 2017
Ki Vishwaas se Dharmi Jann Jiwit Rahenge
Rabbi aur Saabun Bananewala
Ek puraani Jewish kahani hai saabun bananewaale ki jo Parmeshwar mein vishwaas nahi karta tha. Ek din jab wah rabbi ke saath chal raha tha, usne kaha, “Yaha par kuch hai jo main samajh nahi pa raha hoon? Humare paas kai hazaaron saalon se dharm hain. Parantu kahi bhi tum dekho waha buraai, chal, kapat, anyaae, peeda, bhookh, aur ladhaai hai. Ayesa lagta hai ki dharam ke karan kuch bhi badlaao nahi hua hai. To mai tumse puchta hoon, iska fayda kya hai?”
Rabbi ne us samay jawaab nahi diya parantu sabunn banane waale ke saath chalta raha. Anth mein weh ek khelnewaale mayedaan ke paas pahuche jaha bachche, dhool se bhare, maile mein khel rahe the.
“Yaha kuch hai jo main samajh nahi pa raha hoon,” rabbi ne kaha. “Un bachchon ko dekho. Humare paas kai saalon se sabunn hain, aur fir bhi yeh bachche mailein hain. Sabunn ki kya achchaai hai?”
Saabunn banane waale ne jawaab diya, “Parantu rabbi, yah insaaf nahi hai ki in maile bachchon ke kaaran sabunn ko dosh dena. Saabunn ka istamaal hona chaahiye uske kaarye ko pura hone ke liye.”
Rabbi ne muskuraya aur jawaab diya, “Bilkul sahi.”
Hum Kis Tarah Jiwan Bita Saktein Hain?
Devdut Paul ne, ek Puraane Niyam ke bhavishyevakta ke baaton ko dohraaya, ek vishwaasi hone ka matlab samjhaya jab usne likha, “Ki Vishwaas se Dharmi Jann Jiwit Rahenge” (Romans 1:17).
Shaayad is saral baat se hum us dharam jo kamzor aur bebuniyaad hai aur wah jiske paas jiwan badalne ki shakti hai ke antar ko samjhenge.
Parantu vishwaas se jiwit rahane ka matlab jaanne ke liye, hume yah jaanna hai ki vishwaas kya hai.
Vishwaas bharose se zyaada hota hai. Yah Parmeshwar mein puri tarah se kaarye ke saath vishwaas karna hai.
Yah asha karne se zyada hai.
Yah sirf baethe rahane, sir hilaane, aur haa kahane se bhi zyada hai. Jab hum kahatein hain “ki vishwaas se dharmi jann jiwit rahenge” hum maantein hai ki hume apne vishwaas se maarg aur disha milta hai. Hum us tarike se kaaye kartein hain jo humesha humare vishwaas— se hai naaki bina kisi bhi matlab ka parantu humare Parmeshwar mein sachche aur pure prem se aur Usne Apne bachchon ko anmol gayaan diya hai.
Vishwaas se kaarye ko karna chahiye; warna uska koi matlab nahi hai (dekhiye James 2:17). Yah sach mein vishwaas nahi hai. Use ek akele vyakti ko badalne ki shakti nahi hoti, duniya ko to bhool hi jaao.
Vishwaasi purush aur mahila apne dayawaan Swarg ke Pita mein bharosa kartein hain —nisandeh ke samay par bhi, sandeh aur virodh ke samay par bhi jab weh saaf taur se dekh yah samajh nahi paatein hain.
Vishwaasi purush aur mahila chelatav ke maarg par sachche tarah se chaltein hain aur apne priye Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ke uddhaaran par chalne ki koshish kartein hain. Vishwaas aage badhata aur, sahi mein, humare hirday ko swarg se jodne mein prerit karta hai aur humare logon tak sakriye taur se pahunchata, upar uthata, aur ashirwaad deta hai.
Dharam bina kaarye ke us saabun ki tarah hai jo bakse mein hai. Us mein ascharyechakit chamta ho sakta hai, parantu sahi mein us mein kam hi shakti hai badalne ke liye jabtak ki apne kaarye ko pura nahi kartey. Ishu Maseeh ka punharsthaapit susamachaar ek kaarye karne ka susamachaar hai. Ishu Maseeh ka Girjaghar sachche dharm ki asha, vishwaas, aur dayaluta ka sandesh hai, saath mein dusron ki madad dhaarmik aur sharirik tarikon se.
Kuch mahinon pahale, meri patni, Harriet, aur main ek parivaarik safar par hum apne kuch bachchon ke saath Mediterranean sthaan ko gaye. Humne kuch sharnagat camp ka bhent kiya aur ladhaai ke kaaran chati pahunche deshon ke parivaaron se mile. Yeh log humare dharm ke nahi the, parantu weh humare bhaai aur bahanen hain aur unhein turant madad ki zaroorat thi. Humare hirdayon ne mehsoos kiya tha jab humne khudh hi mehsoos kiya ki kis tarah humare Girjaghar ke sakriye vishwaasi sadasyon ne humare zarooratmandon ke liye madad, sahara, aur asha pradaan kiya tha, bina unke dharm, jaati, ya shikshan ko dekhe.
Vishwaas ke saath humesha kaarye karne se Hirday mein daya bhar jaata hai, mann mein gyaan aur samajh, aur aatma mein shaanti aur prem.
Humare vishwaas dono humare ird-gird ke logon aur hume bhi ashirwaad aur sachchi prerna de sakta hai.
Humare vishwaas se duniya mein achchaai aur shaanti bhar sakta hai.
Humara vishwaas nafrat ko prem aur virodhiyon ko mitron mein badal sakta hai.
Dharmi log, tab, vishwaas se kaarye karte hue jeetein hain; weh Parmeshwar mein bharosa kartey hue jeetein hain aur Uske raastey par chaltey hue.
Aur yah wah vishwaas ka tarika hai jo logon, parivaaron, deshon, aur duniya ko badal sakta hai.
© 2017 dwara Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakchit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/16. Anuwaad swikriti: 6/16. First Presidency Message, April 2017. Hindi, Fijian. 97924 298 ka anuwaad.