2017
Hum Dhanyawaad Dete hain, Ay Parmeshwar, ek Bhavishyevakta ke liye
September 2017


Yuva

Hum Dhanyawaad Dete hain, Ay Parmeshwar, ek Bhavishyevakta ke liye

Kaise humare Bhavishyevakta, Pradhaan Thomas S. Monson, ne aap ko prabhavith kiya? Tum unke vishay me sabse zyada kya yaad karoge? Pradhaan Monson aur unke jeewan ke vishay me apne journal me likhna vichaaran karo—apne sandesh me jaise unhone varnith kiya har Bhavishyevakta ka prerna unhe yaad hai.

Tum shayad unke diye gaye ek pasandida quote chunna chahoge aur use aisi jagha likhna chahoge jaha tum use humesha dekhoge, jaise ki apne paatshala waale pustak me yah apne kamre me. Tum isse ek chitra waala quote bhi bana sakte ho aur use apne phone ka background bana sakte ho! Har samay jab tum is quote ko dekhoge, tum ek jeewith Bhavishyevakta ke mahatva par gaur karoge aur yaad karoge ki woh aaj yaha hume margdarshan dene aur pyaar karne ke liye hai.