2017
Ek hi Dil ka
September 2017


Shikshan Sandesh Bhent, September 2017

Ek hi Dil ka

Prarthnapurv is samaan ko padho aur prerna haasil karo jaanne ke liye ki kya baatna hai. Kaise Sahayak Sanstha ke lakshye ko samajhne se Parmeshwar ki betiyaan apne aap ko anant jeevan ke liye tayaar karengi?

Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas Parivaar Sahayak

“Aur Prabhu ne apne logon ko Zion pukara, kyonki weh ek hi dil aur mann ke the, aur sacchai me jeeete the aur unke beech koi gareeb nahi tha” (Moses 7:18). Hum kaise ek ho sakte hain?

Elder M. Russell Ballard Barah Devdut ke Parishad se ne kaha: “Angrezi shabd atonement ke beech ka shabd hai one (jiska arth hai ek). Agar sabhi manushya jaati yeh samajthe, koi kabhi chintith nahi hota, bina kisi ke umra, jaath, ling, dharam, sansaarik ruthba yah amiri ki chintha kiye. Hume Uddhaarkarta ki tarah banne ki koshis karni chahiye aur kisi ke prathi kathor, kisi se alag pesh aana, izzat se na pesh aana, yah kisi ko na samajhna kabhi nahi karenge.”1

Pradhaan Henry B. Eyring, Pratham Adhyakshta mein Pratham Salahkaar, ne sikhlaaya: “Jahan logon ke saath [eoh] Aatma haiSpirit with them, [weh] ekta ki aasha kar sakte haimay expect harmony. … Parmeshwar ki Aatma kabhi jhagda nahi payda karti hai (dekhiye 3 Nephi 11:29). … Wah vyaktigat shanti aur dusro ke saath ektha ki bhavna laane me madad karti hai.”2

Parivaarik kathinayon ke vishay me baath karte hue, Carole M. Stephens jo Sahayak Sanstha Maha Adhyakstha me Paheli Salhakaar hai, ne kaha: “Mujhe kabhi talaakh anubhav nahin karna pada, jo peeda aur asuraksha algaao se aata hai, ya jo zimmedaari ek aviwaahit maata se judi hoti hai. Maine kabhi apne bachche ki mrityu, baanjhpan, ya ek-ling aakarshan nahin anubhav kiya. Mujhe bura bartaao, jaan lewa beemaari, ya lat ko nahin jhelna pada hai. Yeh sab mere hisse ke madodne waale mauke nahin the.

“… Par mere vyaktigat pariksha aur imtihaan dwara … mai Un sab se acchi tarah se wakif hoon jo ise samajthe hain. … Aur iske saath, maine abhi batlaae sabhi maransheel parikshaaon ko anubhav kiya hai ek putri, maata, naani, bahan, mausi aur dost hone ke naate.

“Parmeshwar ki vachan-badh putriyaan hone ke naate hamara kaam nahin sirf apne chunaotiyon se seekhna; hamein ek hona hai Parmeshwar ke parivaar ke sadasyon ko hamdardi aur daya dikhaane mein, unke mushkilon mein madad karne ke liye jaisa humne vachan liya hai.”3

Athirikth Dharamshaastra aur Jaankari

John 17:20–23; Ephesians 4:15; Mosiah 18:21–22; 4 Nephi 1:15;

reliefsociety.lds.org

Vivran

  1. M. Russell Ballard, “The Atonement and the Value of One Soul,” Liahona, May 2004, 86.

  2. Henry B. Eyring, “That We May Be One,” Ensign, May 1998, 67.

  3. Carole M. Stephens, “Parivaar Parmeshwar se Hai,” Liahona, May 2015, 11.