2017
Bhavishyevakta Hamare Maargdarshan ke liye
September 2017


Pratham Adhyakshata ka Sandesh, September 2017

Bhavishyevakta Hamare Maargdarshan ke liye

Kuch saal pahale, mai Salt Lake Mandir ke us kamre me baytha tha jaha Barah Chelo ke koram aur unke adhyakstha saptha me ek baar milthe the. Maine diwaar ki or dekha jo Pratham Adhyakstha ki or dekhne me hai, aur waha maine Girja ke har ek Pradhaan ka chitra dekha.

Jab mai unki or dekh raha tha, mere purvavartiyon—Bhavishyevakta Joseph Smith (1805–44) se lekar Pradhaan Gordon B. Hinckley (1910–2008)tak—maine socha, “Mai har ek ke margdarshan ka kithna abhari hoon.”

Yeh woh mahaan aadmi hai jo kabhi ladkhadaaye nahi, kabhi kamzor nahi hue, aur kabhi haare nahi. Yeh Ishwarya aadmi hain. Jab mai modern Bhavishyevaktaon ke baare me sochta hoon jinhe mai jaantha hoon aur jinse maine prem kiya hai, mai unke jeewan ko yaad karta hoon, unke vishestaon, aur unke prerna bhare siddhanton ko yaad karta hoon.

Pradhaan Heber J. Grant (1856–1945) Girja ke Pradhaan the jab mai payda hua. Jab mai unke jeewan aur siddhant ke baare me sochta hoon, mera vishwaas hai ki ek gunn jo Pradhaan Grant humesha uddharith karte the woh hai attaltha—un cheezo me attaltha jo accha aur prabhaavshali hai.

Pradhaan George Albert Smith (1870–1951) Girja ke Pradhaan the jis samay mai Slat Lake City me apne Ward me Bishop ke rup me sewa kar raha tha. Unhone yah dekha ki Prabhu aur virodhi ke beech rassi kheechne (tug-of-war) ka jung chal raha hai. “Agar tum Prabhu ki lakeer ki or rahoge,” unhone sikhlaya, “tum unke prabhaav me rahoge aur tumhe kuch galat karne ki iccha nahi hogi.”1

Meri Bharah ke Parishad ke sadsye ki niyukti 1963 mei Pradhaan David O. McKay (1873–1970) dwara hua tha. Jis tarah se unhone apna jeewan jiya, usse unhone dusro ke prathi aadar sikhlaya. “Saccha Isai dharam,” unhone kaha, “pyaar prakriya me hain.”2

Pradhaan Joseph Fielding Smith (1876–1972), Girja ke ek anukul lekhak, ne apne jeewan me susmachaar sikshan ko ek margdarshan ka siddhant rakha tha. Weh dharamshastra ko humesha padthe the aur unke sikshan aur siddhant se wakif the jaise maine kabhi nahi dekha.

Pradhaan Harold B. Lee (1899–1973) jab mai jawaan ladka tha, tab mere stake pradhaan the. Unka manpasand quote tha “Hamein pavitra sthaanon mein … khade rehna, aur bahekna nahin hai.”3 Unhone Santo ko prothsahith kiya ki weh Pavitra Atma ke fusfusahat se wakif rahe aur uspar gaur kare.

Mere khayal se Pradhaan Spencer W. Kimball (1895–1985) ke jeewan me maargdarshan dene waali siddhant samarpan hogi. Weh puri tarah se, spasht rup se Prabhu ke par samarpit the. Weh susmachaar ko jine ke liye bhi samarpit the.

Jab Pradhaan Ezra Taft Benson (1899–1994) Girja ke Adhyaksh bane, unhone mujhe Pratham Adhyakstha me Dusre Salhakaar ke rup me chuna. Pyaar unke margdarshan ka siddhant tha, jo unke manpasand Udhaarkarta dwara kahe koteshan me prasthuth hai: “Isliye tumhe kis tarah ka vyakti hona chahiye? Mai tum se sacch kahtha hoon, ki meri tarah.”4

Pradhaan Howard W. Hunter (1907–95) ek ayse vyakti the jo humesha dusro me khubiya dekthe the. Humesha weh sishtapurvak the, humesha weh vinamra the. Unke Dusre Salhakaar ke rup me sewa karna mera saobhagya tha.

Pradhaan Gordon B. Hinckley ne hume humesha athyadhik prabhaavshali rahna sikhlaya. Unhone Uddhaarkarta aur unke mission ka taqatwar gawahi diya. Unhone hume pyaar se sikhlaya. Unke Pratham Salhakaar ke rup me sewa karna mere liye garv ki baath aur mere liye ashish tha.

Udhaarkarta bhavisyavakta ko bhejthe hain kyonki weh humse pyaar karte hain. Is Octobar ke maha sammelan me, Girja ke Maha Adhikaarioyon ko Unke shabdo ko baatne ka mauka milega. Hum is zimedaari ko bahut gambhirtha aur vinamratha se nibhate hain.

Hum kithna dhanya hain ki Ishu Masih ka punahshaait Girja is dharti par hai aur yeh Girja prakhat hone ke kriya ke pakke neev par sthapith kiya gaya hai. Chalti hui prakat hone ka kriya Ishu Masih ke susmachaar ka avashyak bhaag hai.

Ki hum khud ko tayaar kare vyaktigat prakat hone ki kriya ko paane ke liye jo maha sammelan ke samay adhik rup me aatha hai. Ki humara dil pakke iraade se bhara ho jab hum bhavishvaktaon aur devduton ko samarthan karne ke liye apna haath uthaye. Ki hum prabuddh, gunwaan, dilasa aur taqat paaye unke sandesh ko sunn kar. Aur hum apne aap ko Prabhu Ishu Masih ke prathi samarpit hone ke liye tayaar rahe—Unka susamachaar aur Unka karye—aur Unke aagyaaon ka paalan karne aur Unke iccha ko pura karne ki lashya se jiye.