Shaanti ke Tohfe
Mai abhaari hoon Badadin ke is samaroh ko aapke saath manane ke mauke ke liye. Hamara lakshye hai Prabhu, Ishu Maseeh ka sammaan karna. Hamara aasha hai khud ke liye aur hum jinse prem karte hai ke liye Badadin ke sachche aatma ko paana. Us aatma ka visheshta shaanti hai—raajnitik shaanti nahin, kyunki Uddhaarkarta dar aur uthal-puthal ke samay paeda hua tha ki Unke parivaar ko sharnagatiyon ki tarah Egypt bhaagna pada tha; aarthik shaanti nahin, kyunki Woh astable mein paeda hua aur charni mein litaya gaya; aur na hi woh shaanti jo milti hai jab sab tohfe rangeen kaagaz mein baandh diye jaate hai, pedon ko saja diya jaata, aur mez tayyaar hota hai, kyunki woh shaanti to sirf pal bhar ki hai. Badadin ka shaanti “Parmeshwar ki shaanti hai, jo samajh se bilkul alag hai.” 1 Yeh woh shaanti hai jo Devdut Paul ne vaada kiya ki “[hamare] hriday aur vichaaro ko Maseeh Ishu mein surakshit rakhega.”2 Aur Paul sahi tha. Woh shaanti jise hum dhoondhte hai sirf Ishu Maseeh ke zariye aur vajah se mumkin hai.
Hum mein se kuch log sundar aur shaantipurn vaatavaran mein rehte hai, phirbhi hum andar se sankat anubhav karte hai. Anye log shaanti aur sampurn shaanti mehsoos karte hai niji ghati, durbhaagye, aur lagataar aane waale mushkilon ke daoraan.
Jo log maransheelta mein aaye hai, unse Uddhaarkarta ne kaha, “Sansaar mein tumhe kasht milta hai.” 3 Phir bhi Usne Apne chelon ko yeh ashcharyejanak vaada diya Apne maransheelta ke prachaar ke daoraan: “Mai tumhe shaanti diye jaata hoon, apni shaanti tumhe deta hoon: jaise sansaar deta hai, mai tumhe nahin deta.”4 Yeh jaanna ek santushti hai ki yeh niji shaanti ka vaada Unke vaada kiye chelo ke liye aaj bhi laagu hota hai.
Yeh vaada Unke janam lene ki raat ko bhi diya gaya tha. Jab swarg dut Uddhaarkarta ke janam ki jayjaykaar kar rahe the, unhonne ghoshna kiya, “Akaash mein Parmeshwar ki mahima, aur prithvi par un manushyon mein jinse woh prasann hai shaanti ho.”5
Saal ke is ashish bhare avsar par, hum—kisi aur samay se zyaada—shaanti dhoondhte hai sabhi tohfon ko Denewaale se. Aaj raat mai un kai tariko mein se kuch tariko ko baatna chahata hoon jisse hum shaanti ka anubhav badha sakte hai is avsar par, aane waale saal mein, aur hamare jiwan bhar mein.
Pehla, un devduton ki tarah jo Unke janam ki raat ko gaa rahe the, hum shaanti mehsoos karte hai Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ko yaad karke. Hum “aaye[aur] unka bhakti karein.”6
Badadin ek janam ka utsav hai. Hum sab ne ek navjaat shishu ko dekhne ke ashcharye ko mehsoos kiya hai. Hum vinamra hote hai chote aakaar ke chamatkaar aur bhavishye ke vaade ko dekh kar. Hum komalta mehsoos karte hai. Hum abhaar mehsoos karte hai. Hum shaanti mehsoos karte hai. Aur hamare hridayon mein prem ka ehsaas aata hai jisse hum dena chahate hai aur susheel hona chahate hai unke janam ko yaad karne ke samay. Kyunki Badadin ek janam ka samaroh kisi aur janam se alag. Ishu ka janam Parmeshwar ke bhavishyevaktaaon ne sadiyon pehle dekha tha. Yeh janam ek vaada ki purti thi jo humse aatmik duniya mein ek pyaar karne waale Swarg ke Pita se mila tha. Yeh tha vaada kiye Maseeha ka janam.
Shabdein yaadaash se mere dil mein utarti hai har Badadin ke mauke par. Mai apne mann mein ek khushaal gaayakmandali ko gaate sunta hoon: “Kyunki hamare liye ek baalak utpann hua, hamein ek putra diya gaya hai: aur prabhutaa uske kaandhe par hogi: aur uska naam Adhbhud, Salaahkaar, parakrami Parmeshwar, anantkaal ka Pita, aur Shaanti ka Raajkumar rakha jaaega.”7
Pehli baar jab maine yeh shabd sune the mai Salt Lake Tabernacle ke balcani mein baetha tha. Ek gaayakmandal Handel ka sangeet gaa rahi thi. Mujhe yaad hai apne dil mein kuch mehsoos karna. Mai us samay chota tha. Ab mai bada hoon, aur mai jaanta hoon woh kya ehsaas tha. Woh Pavitra Aatma tha, jiska saath mujhe mila tha aath(8) saal ke umra mein. Aatma ne mere dil ko batlaya ki maine jo shabd un raat gaaye the woh sach hai.
Jo shishu Bethlehem mein bahut dinon pehle paeda hua tha aur Parmeshwar ka Putra, Pita ka Eklauta tha. Jo Unke aage jhuke woh Uddhaarkarta ki bhakti karne aaye the. Woh Parmeshwar ka Memna tha, Apna praeshchit ke balidaan se maut ke bandhan ko todne aaya tha. Woh hamare dukhon aur kashton ko sehne ki shakti ke saath aaya tha taaki Woh samjhe kaise hamein sahayta karna hai. Aur Woh hamare paapon ka praeshchit karne ke liye janma tha kyunki sirf Wohi kar sakta tha:
Woh paeda hua ki manushye kabhi na mare;
Paeda hua ki sansaar ke bachchon ko utha sake,
Paeda hua ki unhe dusra janam de sake.
Suno! Jayjaykaar karne waale devdut gaate hai
Naye janme Raaja ka jayjaykaar ho! 8
Jo ehsaas mujhe Tabernacle ki balkani mein hua tha us raat woh tha vishwaas aur aasha. Mujhe vishwaas mehsoos hua ki “hamare liye ek bachcha janma[tha]” ke kaaran, mere mann mein aasha ho sakti hai ki maut ant nahin hoga. Mujhe punarjiwan milega, aur maut ki chubhan Swarg ke Pita ke sabhi bachchon se dur kiya jaaega.
Aur phir bhi maine aur mehsoos kiya, kayi zyaada. Mujhe aasha mili ki Unke kaaran, mai Unka chela ban sakta tha ur sewa kar sakta tha aur is tarah dhaarmik jiwan mein badlaao laa sakta tha. Unke janam ke tohfe ke kaaran, mera hriday, tumhara hriday, aur sabhi manushye ke hriday badal sakte hai ek chote bachche sa banne mein—shudh, saaf, Parmeshwar ke paas ghar lautne ke liye tayyaar jisne hamein ek Uddhaarkarta diya tha aur waapas jaane ka maarg bhi Unke swargiye ghar mein. Maine abhaar aur shaanti mehsoos kiya, aur hum sab bhi kar sakte hai Pita aur Putra ke tohfe ke kaaran.
Dusra, un charwaaho ki tarah jinhonne Maseeh shishu ko dekha tha aur “sabhi or yeh baat batlaayi”9 Unke janam ki achchi khabar, hum apne parivaaron aur auron ko shaanti sikhla sakte hai jinse hum prem karte hai. Hum aisa sabse behtar karte hai jab hum unke mann aur hriday ko dharamshaastra se parichit karte hai.
Jab hamare bachche chote the, humne ek Badadin ka pageant(numaaish) kiya jiske sab shabd dharamshaastra se liye gaye the. Humne woh numaaish Badadin ke Eve par kiya. Aap mein se kayi logon ne kuch aysa to kiya hoga.
Hamare numaaish ke shuruaat ke mein kam logon ki zaroorat thi, dharamshaastra ke paath bolne ke liye. Mai Joseph tha, meri patni Mary thi, aur ek gudda Maseeh shishu tha. Samay beetne par zyaada log shaamil huwe. Ek actor aaya jo shishu Ishu tha, phir aaye charwaahe—bathrobe pehne huwe—charni mein bhakti karne ke liye, aur uske baad hum raajaaon ko laa sake jinke paas keemti tohfe the naye janme Raaja ka sammaan karne ke liye.
Kuch saalon baad, humne ek numaaish ek bachche se shuru ki jo Samuel Lamanite tha jo ki aane waale vaada kiye Maseeha ka janam ki bhavishyevaani kar raha tha. Samay aane par, humne ek asamarth bheed bhi laayi jinke paas aluminium ke gend(ball) the Samuel ki or fekne ke liye jab woh saamne khada hoga. Har saal, jaise jaise krodhit bheed mazboot aur nipunn hoti gayi, hamein unhe yaad dilana padta tha ki Samuel ko maara nahi jaa sakta tha kyunki woh Parmeshwar ki suraksha mein tha—aur isliye ki hum shaanti ko amantrit kar rahe aur mana rahe the!
Hamein chote bachchon ke liye shabd chahiye the, aur isliye humne bhede aur bachde laaye charwaahon ke piche ghumne ke liye manger mein.
Par phir samay beetta gaya—jaise har jagah hota hai. Khiladi bade ho gaye, aur ab hum shuruaat ki tarah hai. Maine un Joseph, Mary, charwaahon, bhedon, bachdon, aur raajaaon ko apne chote priyejanon ko sikhlate dekha hai Uddhaarkarta aur Unke janam se mile shaanti ke baare mein.
Hamare numaaish mein kirdaar ko pura karne se unhe ashish mili Uddhaarkarta ke baare mein seekhne aur yeh janne mein ki hum kyun Unse prem karte hai. Mai abhaari hoon ki hamare bachche aur unke bachchon ne hamein dekha shishu Ishu ka sammaan karte, jo anant balidaan, anmol tohfa hone ko tha Swarg ke Pita ke shaanti ka jo Unke bachcho ke liye tha.
Teesra, Wise Men ki tarah, hum prem aur shaanti ke tohfe de sakte hai punarjiwit Prabhu ke chele hone ke naate.
Bishop Sellers jo Rexburg, Idaho ke hai, ne aysa kiya bishop ki niyukti paane ke baad ke saalon mein. Unka ward ka chapel highway ke paas tha us chote shahar mein. Berogaari ke un dinon mein, kayi log yahan se wahan jaate the, is aasha ke saath ki woh kisi tarah se khud ko paal sake. Woh aksar kisi Antim-din Sant bishop se sahayta lete the. Aksar, woh jin bishop ke paas jaate woh unhe Bishop Sellers ke paas bhejte the.
Iski ek vajah thi. Sellers parivaar zarooratmand ajnabiyon ko amantrit karte the. Unke dinner ke mez par sirf unka parivaar nahin, par ajnabi bhi hua karte the. Jab mehmaan Bahan Sellers ke dwara tayyaar kiye swadisht bhojan ka maza le chuke hote, bishop unhe ek coat deta kharide huwe saenik coat mein se.
Ek baar coat unhe at jaata aur ek parcel diya jaata agle bhojan ke liye jo Bahan Sellers ne banaya tha woh barfile din mein nikalte the garm hriday ke saath. Us din unhonne jo dekha aur suna aur ehsaas kiya unke saath reh gaye baaki ke raaste tak. Kyunki Rexburg ke thandi ka mausam Badadin ke samay hota tha aur kyunki yeh parivaar saal-bhar dayaluta karta rehta tha, Sellers parivaar ke bachche us yaad ko liye jeete hai Uddhaarkarta jaisa karne ka—aur Unke liye karne ka.
Tum aur tumhara parivaar ne bhi apne khud ke Badadin ke parampara sthaapit kiye honge apne parishthiti anusaar, magar unmein kuch baat saamaanye honge. Unse Uddhaarkarta ke or hriday badhenge. Aur usmein shaamil hoga daya ke kaarye jo Uddhaarkarta ki swikriti ke yogye honge. Unhonne kaha:
“Kyunki mai bhuka tha, aur tumne mujhe khaane ko diya: mai pyaasa tha, aur tum ne mujhe paani pilaya: mai pardesi tha, aur tumne mujhe apne ghar mein tehraaya:
“Mai nanga tha, aur tumne mujhe kapde pehnaaye: mai beemaar tha, aur tum mujhse milne aaye: mai jel mein tha, aur tum mujh se milne aaye.” 10
Aur Woh kahega, “Mai tumse sach kehta hoon, ki tum ne jo mere chote se chote bhaaiyon me se kisi ek ke saath kiya, woh mere hi saath kiya.”11
Devdut, charwaahe, aur Wise Men ne Ishu Maseeh mein apne vishwaas se shaanti dhoondha aur paaya. Tumhe bhi milega. Uddhaarkarta ka janam woh tohfa hai jiske zariye Pita hamein “is jiwan mein, aur anant jiwan mein shaanti dega.” 12 Hum khushi se chillaye the aatmik duniya mein jab humne us vaada ko suna tha. Shaanti aur anand hamein phir se mile jab in shabdon ko gaate huwe sunein ki Parmeshwar ke prem bhara vaada pura hua hai:
Sab shaant hai, sab ujwal hai. …
Mahima aaye dur swarg se;
Swarg ke waasi gaaye Alleluia!
Maseeh, Uddhaarkarta, janma hai! 13
Mai prarthna karta hoon ki shaanti aaye aur hum sab ke saath rahe jaise hum apne Swarg ke Pita ko yaad, prem, aur bhakti karein Unke saath banaye vaado ko nibha kar. Hum hamesha Ishu Maseeh ke sewa aur daya ko yaad rakhe jo Usne Apne maransheel prachaar ke samay kiya hai—aur waisa karne ka nirnay kare.
Mai gawahi deta hoon ki Ishu hi Maseeh hai, Pita ka priye Putra. Mai gawahi deta hoon ki Pradhaan Thomas S. Monson Parmeshwar ka jiwit bhavishyevakta hai. Unka, aur Pratham Adhyakshta ka tamanna hai, ki tumhe is avsar par aur hamesha anand, prem, aur shaanti ke ehsaas mile jo Uddhaarkarta ne Apne vishwaasi aur aagyakaari chelon se vaada kiya tha. Ishu Maseeh ke naam se, amen.