2010-2019
Kya Hume Pata Hai Jo Hamare Paas hai?
October 2013


11:34

Kya Hume Pata Hai Jo Hamare Paas hai?

Yeh purohiti ke dharam vidhiyaan aur vaadein hume puri aashish ko pradaan kartein hai jo Parmeshwar ne vaada kiya tha, jo Uddhaarkarta ke Praeshchit se mumkin hua hai.

“Parivaar: Duniya ke liye ek Ghoshna,” Pratham Adhyakshta aur Barah Devduton ke Parishad batlatein hai: “Sabhi manushye—aadmi aur aurat—Parmeshwar ke parchaai hai. Har ek swarg ke maata-pita ke pyayre aatma putra ya putri hai, aur, us tarah, har ek ke paas diviye prakritik aur bhavishye hai.”1 Divye bhavishye praapt karne ke liye, Parmeshwar ke har ek putra aur putri ko purohiti dharamsiddhaant ki zaroorat hai.

Hume baptisma ki zaroorat hai. Jab hum baptisma ke paani mein jaatein hai, hum Masih ka naam apne upar lete hai, usko sada samran rakhte hai, uski aagyaon ka paalan karte rahei, taaki Unki Aatma hamesha hamare saath ho.2

Hume Pavitra Aatma ke uphaar ki zaroorat hai. Us dharam vidhi se, hume Aatma ka saath hamesha sangathi milta hai. Pradhaan Wilford Woodruff ne sikhlaya: “Sabhi aadmi aur aurat jo kabhi Parmeshwar ke Girjaghar mein aaye the aur apne paapion ke chama ke liye baptisma ko liya tha ke paas pratikaran ke liye hak hai, Parmeshwar ke Aatma ka hak, unke kaarye mein madad ke liye, apne bachchon ke sarvaajanik kaarye ke liye, apne bachchon aur unhe jinhe unko niyukti mila hai sansaalan ka ko salaaha dene mein.Pavitra Aatma aadmioyn, naaki devduton ya bhavishyevaktaon ke liye simit nahi hai; yah sabhi aagyakaari aadmi aur aurat ko, aur sabhi bachcha ko jo Parmeshwar ke susamachaar ko praapt karne ki umar ka hai.”3

Hume mandir ki endowment praapt karna zaroori hai. Elder M. Russell Ballard ne kaha: “Jab aadmi aur aurat mandir jaatein hai, un dono ko ek hi shakti ka daan milta hai, jiska matlab purohiti ki shakti. … Endowment sahi mein shakti ka uphaar hai.”4

Hume dharam vidhi mein bandhne ki zaroorat hai, jo anant jiwan tak le jaata hai, “Parmeshwar ka sabse bada uphaar.”5 Purohiti dharam vidhi ek aadmi aur ek aurat ko saath mein praapt hota hai. Elder Russell M. Nelson ne sikhlaya, “Purohiti adhikaar punaharsthapit hua hai taaki parivaaron ko anant tak baandha ja sake.”6

Hume apne vaadon ko har hafte dohrane ke aosar ki zaroorat hai jab hum prabhubhoj ko letein hai. Antim-din bhavishyevaktaon aur devduton ne yah sikhlaya hai ki jab hum laayak hokar prabhubhoj ko letein hai, hum sirf baptisma ke vaadon ko dohra nahi sakte balki “sabhi vaadein Prabhu ke saath jo[banaye] the.”7

Yeh purohiti ke dharam vidhiyaan aur vaadein hume puri aashish ko pradaan kartein hai jo Parmeshwar ne vaada kiya tha, jo Uddhaarkarta ke Praeshchit se mumkin hua hai. Weh Parmeshwar ke putron aur putriyon ko shakti dete hai, Parmeshwar ki shakti,8 aur hume aosar pradaan kartein hai anant jiwan ko praapt karne ke liye —Parmeshwar ke paas waapis jaane ke liye aur Unke saath jine ke liye Unke anant parivaar mein.

Main abhi jald hi purohiti netaon ke saath Honduras mein chaar mahilaon ke gharon par bhent karne gaya. Yeh bahanein aur unke parivaaron ko purohiti chaabiyon aur adhikaar ki zaroorat thi, purohiti dharam vidhiyon aur vaadon, aur purohiti shakti aur ashirwaadein ki.

Humne ek mahila ko bhent kiya jo shaadi-shuda hai aur uske paas do bachchein hai. Wah Girjaghar mein vishwaasi aur sakriye hai, aur wah apne bachchon ko sahi chunne ko sikhla rahi hai. Uske pati Girjaghar gativithi mein madad karta hai, magar wah sadasye nahi tha. Unke parivaar mazboot hai, magar zyaada shakti ko mehsoos karne ke liye, unhe saath mein purohiti ashirwaadon ki zaroori hai. Unhe zaroori hai ki pita baptisma ke dharam vidhi aur Pavitra Aatma ke Uphaar ko praapt kare aur purohiti use praapt ho. Unhe purohiti shakti ki zaroorat hai jo endowment aur bandhane se praapt hota hai.

Hamari dusri bhent do avivahit bahanon ke ghar par tha, mahaan vishwaas ki mahilaen. Ek bahan jo apne ek putra ko mission ke liye taeyaar kar rahi hai. Dusri bahan cancer se bachne ki koshih kar rahi hai. Chunaotiyon aur akelapan ke samay mein, weh Uddhaarkarta ke Praeshchit ko yaad karti hai aur vishwaas aur asha se bhar jaati hai. Un dono ko mandir dharam vidhi mein praapt hue zyaada ashirwaad aur shakti ki zaroorat hai. Humne unhe protsaahit kiya ki apne ghar par bhaavishye prachaarakon ke saath jude un dharam vidhiyon ko praapt karne ki tayyaari karne ke liye.

Hamare aakhri bhent ek bahan ke ghar par thi jiska pati abhi haal hi ek khatarnaak durghatna mein guzar gaya tha. Girjaghar mein haal hi pariwartit hui thi, wah yah nahi samajthi thi ki wah apne endowment ko praapt kar sakti thi aur apne pati ke saath bandh sakti thi. Jab usne use sikhlaya ki yeh ashirwaad uske aur uske mare hue pati ke liye uplabdh tha, wah asha se bhar gayi. Jaante hue ki mandir dharam vidhiyon aur vaadon ke dwara uske parivaar saath bandh sakte the, uske paas vishwaas aur kaarye tha aage musibaton ko jhelne ke liye.

Is vidhwa ka putra Aaronic Purohiti ko praapt karne ki tayyari kar raha tha. Uski niyukti uske aur uske parivaar ke liye mahaan ashirwaad tha. Unke paas unke ghar mein ek purohiti ko rakhne waala hoga. 

Jab maine is vishwaasi mahila se Honduras mein mila, main dekh sakta tha ki unke parivaar susamachaar mein sakriye rahane ke liye koshish kar rahein the. Unhone vaadon ko rakhne waale ward-sadasyon se abhaar prakat kiya tha jinhone unki humesha dekhbhaal kiya aur madad kiya tha unko shaaririk aur dhaarmik zarooraton mein. Phirbhi, in sabhi bahanon ke paas zarooratein the jo puri nahi hui thi.

Teenon gharon mein jaha humne bhent kiya tha, ek sachche purohiti neta ne har ek bahan se pucha ki kya usne purohiti ashirwaad ko praapt kiya tha. Har samay jawaab nahi tha. Har bahan ne us din purohiti ashirwaad ko maanga aur praapt kiya tha. Har ek royi jab wah daya, maargdarshan, protsaahan, aur prerna ke abhaar ko prakat kar rahi thi jo Swarg ke Pita se ek laayak purohiti ko rakhne waale se praapt hua.

In bahanon ne mujhe prerna diya tha. Unhonne Parmeshwar aur Uske shakti aur adhikaar ke liye izzaat dikhlaya. Main purohiti netaaon ka bhi abhaari hoon jinhone hamare saath in gharon mein bhent kiya. Jab hum har ek ghar se ja rahe the, humne saath mein salaah kiya ki kis tarah in parivaaron ko madad kiya jaaye dharam vidhiyon ko praapt karne ke liye taaki woh vaade ke maarg aur unke gharon ko aage badhaaye.

Yaha par aaj mahaan purush aur mahilaon ki zaroorat hai ek dusre ke liye izzat badhaane ki Parmeshwar ke putra aur putriyon ke rup mein aur Swarg ke Pita aur Unke purohiti ke liye sammaan—Unka shakti aur adhikaar.

Uske paas humare liye yojna hai, aur jab hum apne vishwaas aazmaate hai aur Uske yojna mein vishwaas karte hai, Uske liye aur Uske purohiti ki shakti aur adhikaar ke liye humara sammaan badhega.

Duniyabhar mein Parivaar aur Girjaghar ko Purohiti dwara Mazboot karna aur netadari ko sikhna, hume sikhlaya gaya tha bahanein jinke gharon mein purohiti ko rakhne waale nahi hai kabhi bhi akela nahi mehsoos karna chahiye. Weh ashirwaad aur shakti ko dharamvidhi jo unhonne praapt kiya hai aur jo vaadon ko unhonne nibhaaya hai. Unhe pahunchne mein der nahi kara chahiye jab madad ke liye pukara jaye. Elder M. Russell Ballard ne siklaya ki Girjaghar ki sabhi mahilaon ko jaanna hai ki uske paas bishop, ek elders parishad adhyakshta, ek gharelu shikshak, aur dosre laayak purohiti rakhne waala hai jin par wah nirbhar ho sakti hai jo uske ghar par aa kar madad kar sakta hai aur aage Bahan Rosemary  M .Wixom ne kaha “ashirwaad ko dene” ke liye.”9

Elder Ballard ne bhi sikhlaya: “Hamare Swarg ke Pita Apni shakti ko dene mein dayalu hai. Sabhi aadmi aur sabhi auraton ko unke jiwan mein uski shakti se madad milti hai. Sabhi jinhone Prabhu ke saath pavitra vaadon ko banaya hai aur jo un vaadon ko pura kartein hai vyaktigat praktikaran ko praapt kartein hai, devduton ke dekhrekh [aur] Parmeshwar ke biradri se ashirwaad ko praapt kartein hai.”10

Hum sab ko ek dosre ki zaroorat hai. Parmeshwar ke putron ko Parmeshwar ke putriyon ki zaroorat hai, aur Parmeshwar ki putriyon ko Parmeshwar ke putron ka.

Humare paas alag alag tarah ke uphaar aur alag alag tarah ke shakti hai. Pahala Corinthians 12 bhaag mein Parmeshwar ke putron aur putriyon ke zarooraton ko batlaya gaya hai, hum mein se har ek ko, Prabhu ke yojna ke anusaar apne vyaktigat kaarye aur zimmedariyon ko puri tarah karna hai taaki sabhi laabh Utha sakein.11

Parmeshwar ke Putron, kya tumhe pata hai ki tum kaun ho? Kya tumhe pata hai kya tumhare paas hai? Kya tum purohiti ko aazmaane ke laayak ho aur purohiti ke shakti aur aashirwaad ko praapt kar sakte ho? Kya tum kaarye aur zimmedari ko karte ho ghar ko mazboot karne ke liye pitaon, nanaon, putron, bhaaiyon, aur dadon ki tarah? Kya tum mahila, mahilatav, aur maatav ke liye izzat dikhlaate ho?

Parmeshwar ki putriyon, kya hume pata hai hum kaun hai? Kya hume pata hai hamare paas kya hai? Kya hum purohiti ke shakti aur ashirwaadon ke laayak hai? Kya hum abhaar, kripadrishti, aur aatam-nirbharta se un uphaaron ko praapt karte hai jo hume diya gaya hai? Kya hum hamare kaarye aur zimmedaariyon se maataein, nanaiyon, putriyon, bahanon, aur dadiyon ke gharon ko mazboot karte hai? Kya hum aadmi, aadmitav, aur pitatav ke liye izzat dikhlaate hai?

Vaada kiye putron aur putriyon, kya humare paas Swarg ke Pita aur Uske anant yojna ke liye vishwaas hai? Kya humare paas Ishu Masih aur Uske Praeshchit mein vishwaas hai? Kya hum vishwaas kartein hai ki hamara prakriti aur bhavishye divye hai? Aur humare is bhavishye ko paane ke liye saahas hai aur sabhi kuch jo Pita ke paas hai,12 kya hum purohiti dharamvidhiyon ko praapt karne ke zaroorat ko samjhtein hai aur Prabhu ke saath vaadon ko banaten, nibhaaten, aur doharaten hai?

Hum swarg ke maata-pita ke priye aatma putra aur putriyaan hai, diviye prakriti aur naseeb ke saath. Hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih, itna pyaar kartein hai ki hamare liye apne jiwan ko kurbaan kar diya hai.Uske Praeshchit hamare aage badhne ke liye maarg banata hai swarg ke ghar ko purohiti dharam vidhiyon aur vaadon ke dwara jaane mein.

Yeh purohiti ke dharam vidhiyaan aur vaaden Bhavishyevakta Joseph Smith ke dwara is dhaarti par punahasthapit hua tha, aur aaj Pradhaan Thomas  S. Monson ke paas dhaarti ka sabhi chaabiyon hai.

Elder D. Todd Christofferson ne sikhlaya: “Ishu Masih ka Girjaghar Antim-din Santon ka ne purohiti adhikaar ko praapt kiya hai dharm vidhi ki dekhrekh ke liye jiske dwara hum apne Swarg ke Pita ke saath vaadon ko rakh saktein hai Uske Pavitra Putra ke naam se. … Parmeshwar Apne vaadon ko tum se nibhayega jab tum Uske saath kiye gaye vaadon par rahoge.”13

In cheezon ki main gawahi deta hoon Ishu Masih ke naam se, amen.

Vivran

  1. “The Family: A Proclamation to the World,” Ensign ya Liahona, Nov. 2010, 129.

  2. Dekhiye Moroni 4:3; 6:3.

  3. Teachings of Presidents of the Church: Wilford Woodruff (2004), 49.

  4. M. Russell Ballard, “Let Us Think Straight” (Brigham Young University Education Week devotional, Aug. 20, 2013); speeches.byu.edu.

  5. Doctrine and Covenants 14:7; dekhiye bhi Doctrine and Covenants 131:1–4.

  6. Russell M. Nelson, “Nurturing Marriage,” Ensign ya Liahona, May 2006, 37;ya in Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 134.

  7. Delbert L. Stapley, in Conference Report, Oct. 1965, 14; quoted in L. Tom Perry, “As Now We Take the Sacrament,” Ensign ya Liahona, May 2006, 41; Teachings of Gordon B. Hinckley (1997), 561 bhi dekhiye; The Teachings of Spencer W. Kimball, ed. Edward L. Kimball (1982), 220.

  8. Dekhiye Doctrine and Covenants 109:22.

  9. Dekhiye M. Russell Ballard and Rosemary M. Wixom, “Blessings of the Priesthood in Every Home,” Strengthening the Family and the Church through the Priesthood (worldwide leadership training, 2013) mein; lds.org/broadcasts.

  10. M. Russell Ballard, “Let Us Think Straight”; speeches.byu.edu.

  11. Doctrine and Covenants 46:9, 12 bhi dekhiye.

  12. Dekhiye Doctrine and Covenants 84:38.

  13. D. Todd Christofferson, “The Power of Covenants,” Ensign ya Liahona, May 2009, 22.