2010-2019
Vishwaas ke Vishay mein Likhe hue Dharamsiddhaant aur Siddhaant
October 2013


14:30

Vishwaas ke Vishay mein Likhe hue Dharamsiddhaant aur Siddhaant

Har ek vishwaas ke vishay hume Ishu Masih ke susamachaar ko samajhne mein mahaan mul deta hai.

Jab mujhe maha sammelan ke purohiti sabha mein baatein karne ka aosar pradaan hua, mainne turant hi ek Praathmik shikshak be baare mein socha. Uski mahaan ichcha thi ki hum purohiti paane ke laayak bane. Usne hume Praathmik se graduate hone ke zarooratein puche—Barah Devduton ke Parishad ke sadasyon ke naamon aur Vishwaas ke Vishay ko yaad dilaya. Usne humse vaada bhi kiya—ki hum sab ko terah Vishwaas ke Vishay ko yaad karke kahana padega, taaki hum ek jagah chunn sake apne kaksha ke antim gatividhi ke liye.

Humne ek khaas sthaan Utah uttari mein, Logan Canyon ke parwesh dwaar ke pratham dem par pathrila jhukna par saer karne jaane ko chunna jo hume pasand tha. Pathrile chattaan par ek chota, sa seedha sthaan tha jahan ek chulaah tha jaha hum hot dogs aur marshmallows ko bana saktey the. Jab humne us sthaan ko chuna tha, lekin, humne apne shikshak ke baare mein nahi socha tha, jo budi aur shaaririk taur se achchie nahi hai. Agar humne aur saaodhaani ke saath us par socha hota, hume yah pata chalta ki use takleef hoga us sthaan par chadhne mein. Usne kisibhi tarah, apne vaade ko pura kiya, aur himmat se humare piche chalti rahi.

Pahala humne chote se pahaad par chadha. Us samay, waha par us sthaan par koi bijali ka taar nahi tha hume chadhne se rokne ke liye. Kuch madad ke saath humari shikshak waha tak pahunch gayi. Pahaad ki choti par paunchne ke baad, hum niche pathrile sthaan mein utre jise “Turtle Back” kahate the.

Humare pahunchne ke baad, humari shikshak ko samay laga waapis achchie tarah se saans lene mein. Jab hum bhojan baeth kar khaane ko taeyaar hue the, wah theek ho chuki thi hume waapis humare antim paath ko sikhlaane ke liye. Usne batlaya ki woh kitni khushi se hume pichle do saalon se Prathmik mein sikhla rahi thi. Usne hume Vishwaas ke vishay ko achchie tarah yaad karne ke liye dhanyewaad diya. Wah us mein se kisi bhi ek nambar ko batlati, aur hum usko jawaab de rahe the. Phir usne batlaya ki Vishwaas ke Vishay ko yaad karna sirf shabdon ko jaanne ke barabar hai jabtak ki hum uske andar ke dharamsiddhaanton aur siddhanton ko jaan nahi jaatey. Usne hume Vishwaas ke Vishay ke har ek susamachaar ke dharamsiddhaanton ko sikhne ko sikhlaya. Usne batlaya ki Vishwaas ke Vishay mein paaye gaye dharmsiddhaant bhaagon mein baate hue hai.

I.Ishwartav aur Masih ke Dharamsiddhaanton ke Mul

Hum pahala Vishwaas ke Vishay se sikhtein hai ki Ishwartav teen alag hai: Parmeshwar jo Pita hai, Ishu jo Masih hai, aur Pavitra Aatma.

Dosra vishay yeh sikhlata hai ki hum dharti par apne kaarye ke liye khud zimmedar hai.

Teesra Uddhaarkarta ke mission ko batlata hai Swarg ke Pita ke bachchon ke mukti ke liye.

Chautha siddhanton aur dharam vidhi ke zaroori mul ko sikhlata hai.

Humare shikshak ki vaani ki shakti mere liye prena ka ehsaas tha us khaasiyat ke kaaran jo usne susamachaar ke sikhshan ko diya tha. Dharamshaastra ne hume maargdarshan diya tha sachchaai ki star tak pahunchne mein jisse hum paaye jaane waale gyaan ko jaanh paaye, kya woh sach hai ya galat. Sacha dharam vidhi Parmeshwar se praapt hota hai, sabhi sachchaai ka mul aur neev. Sachche dharm vidhi ke shikshan aur tarike humare Prabhu aur Uddhaarkarta ke susamachaar mein hai. Jhute shikshan Shaetaan se milta hai, saare jhute baaton ka janamdata hai. Uski ichcha hai ki kharaab kare, badle, aur sabhi sachchaaiyon ko badle. Wah hume dhokha dena chahta hai taaki kuch apne swarg ke ghar ka maarg ko bhol jaaein.

Dharamshaastra sikhlatein hain ki kis tarah se jhute shikshan se bach saktein hai. Uddhaaran par, Paul ki patra Timothy mein hum padhte hai:

“Sampurn dharamshaastra Parmeshwar ki prerna se racha gaya hai, aur updesh, aur samjhne, aur sudhaarne, aur dharm ki shiksha ke liye laabhdayak hai:

“Taaki Parmeshwar ki tarah sampurn bane, aur har ek bhale kaam ke liye taeyaar ho jayein” (2 Timothy 3:16–17).

Siddhaant ussi tarah Girjaghar ko zaroori hai jaese batari phone ke liye. Jab tum apne phone se batari nikal dete ho, wah bekaam ka ho jaata hai. Ek Girjaghar jismein sache siddhaant ko nahi sikhlaye jaye ussi tarah bekaar hai. Yah hume Swarg ke Pita aur humare anant ghar tak maargdarshan nahi de sakta hai.

II. Purohiti ka Sangathan aur Darja

Jab hum Masih ke siddhaant ke mul ko samajhne lagtein hai, paanchwe aur chate vishwaas ke vishay hume purohiti ke sangathan aur darja ke bare mein sikhlatein hai. Prabhu ke nirdeshan mein, Joseph Smith ne purohiti adhikaar ka istemaal karke Uddhaarkarta ke Girjaghar ko sangatith kiya hai—Parmeshwar ki shakti. Ishu Masih ka Girjaghar Antim-din ka Santon wahi sangaton hai jise Masih ne sangatith aur maargdarshan diya tha jab Wah yaha dharti par tha.

Kitna mahaan din tha Joseph Smith aur Oliver Cowdery ke liye May 1829 mein jab weh jangal mein gaye the baptisma paapon se chama ke dharamsiddhaant ke baare mein prarthna karne ke liye jo unhonne padha tha Mormon ki Dharamshaastra ko anuwaad karte samay. Yaha par kai shikshan the haal ke 1800 mein dosre girjagharon se hue baptisma par, Joseph aur Oliver jaante the ki weh sab sachche nahi ho sakte the. Weh baptisma ke sahi tarike ko jaanna chahate the aur kiske paas adhikaar tha baptisma ke liye.

Prabhu se sawaal ke jawaab mein, swarg se devdut, John the Baptist, unke paas aaye. Usne unke upar apne haathon ko rakha aur unko adhikaar diya baptisma ke liye yah kahate hue: “Tumhare upar mere chele sewakon, Masih ke naam se main Aaron ki Purohiti ko deta hoon” (D&C 13:1).

Kitna mahaan din tha duniya ki itihaas mein! Purohiti ko dharti par dobara punaharsthapit kiya gaya tha.

Jab humne purohiti ko praapt kiya tha, humein Parmeshwar ke naam mein kaarye ko karne ka adhikaar praapt hua tha aur sachaai ke raaste aur sachchaai se aage badhne ka. Yah adhikaar sachchaai ki shakti ka mukhye mul hai aur dharti par Parmeshwar ke bachchon ke laabh ke prabhaao ke liye aur humare saath maut ke baad bhi rahega. Yah zaroori tha ki purohiti sachche Ishu Masih ke Girjaghar sangathit hone se pahale punaharsthapit ho. Yah mukhye paath hai jo hum vishwaas ke vishay ke paanchwe aur chate mein sikhtein hai.

III. Maranshil Safar mein Anant Saadhan

Agle teen vishwaas ke vishay—saath, aanth, aur nao—un saadhan ko batlatein hai jo humare maranshil safar ke liye hai. Hume dhaarmik uphaar miltein hai hume maargdarshan dene ke liye jab hum Prabhu ke shikshanon par chaltey hai aur hume buraai se bachaatein hai. Dharamshaastra dosri maarg hai; agar hum Parmeshwar ke shabdon ko saaodhaani se padhatein hai, Wah hume anant jiwan ke maarg ko waapis batlayega.

Naowa vishwaas ke vishaysikhlata hai ki Parmeshwar ne batlaya, batlayega, aura age bhi batlayega kai mahaan aur zaroori sachchaaion ko Apne bhavishyevaktaon, devduton, prakat karne waalon se. Hum sikhtein hai ki Aatma ki sthir, choti si awaaz ko sunne ke saath aur dhaaramshaastra ko padhne se, ek dosra maargdarshan ka shaadhan humare Girjaghar netaen hai, jo chune hue aur niyukti prapt, aur humare jiwan ko ashirwaaad dene ke liye adhikaar praapt hai un shikshan dwara jo weh sikhlatein hai.

IV. Sadasye Prachaarakein

Daswa, gyarwa, aur barwa vishwaas ke vishay hume yah batlata hai ki kis tarah parchaar kaarye ko kiya jaata hai aur susamachaar ko duniya mein baanta jata hai jaha kai deshon aur kai tarah ke niyam hai. Hum Israel ka ikatha hone ke baare mein sikhtein hai Uddharkarta ke Dosri Baar Aane ke tayaari mein. Hume yah batlaya gaya hai ki aadmi aur mahilaein khudh chunne waale hai, aur weh chaahe to Parmeshwar ke shabdon ko swikaarein yah nahi unke apne sahi vichaar ke saath. Ant main, hum sikhtein hai jab hum duniya ke chaaron disha mein Ishu Masih ke susamachaar ko pahunchaatein hai ki hume sabhi raajnitiyon ko izzat karna hoga har ek desh mein jab hum jaatein hai.

V. Aakaanshapurn Gun

Terwa vishwaas ke vishay khaas jaankari deta hai ki kis tarah apne jiwan ka sanchaalan karna aur dosron ke saath pesh aana chahiye. Yah batlata hai: “Hum vishwaas kartein hai sachche hone mein, vishwaaskaari, satti, pavitra, dosron ki liye achcha kaarye karna; jaise hum elaan kar saktein hai ki hum Paul ke updesh ka paalan karte hai—Hum sabhi cheezon mein vishwaas karte hai, hum bahot kuch paar kar chukein hai aur asha hai ki sabhi kuch paar kar sakenge. Agar vaha koi achchi, pyaari, achchi jaankaari deni vali yah prashansa layak ho hum in cheezo ko dhundte hai.”

Hum sab ko in gunon ki akaansha karni chahiye aur us tarah se jeena chahiye ki hum uske achche uddhaaran hai. Vishwaas ke Vishay ke sachchaai sikhlaatein hai ki ek dosre par nirbhar hai jaese phone ke andar ke alag alag bhaag saath kaam kartein hai. Usi tarah jaese jab phone ke sabhi bhaagon ko saath mila kar banatein hai, Vishwaas ke Vishay hume Punharsthaapna ke mukhye dharamsiddhaanton ko deta hai. Har ek vishwaas ke vishay hume Ishu Masih ke susamachaar ko samajhne mein mahaan mul deta hai.

Mere Praathmik shikshak ne mujhe Parmeshwar ke raajye ke dharamsiddhaanton mein sthir vishwaas ko banane mein madad kiya hai. Usne mujhe sadhaaran Vishwaas ke Vishay ka gehra matlab ko jaanna sikhlaya hai. Usne mujhe vaada kiya hai ki agar maine in pavitra achchaai ko sikhne mein samay lagaya, jo gyaan maine haasil kiya hai mere jiwan ko achcha banaega, aur main gawahi deta hoon ki aysa hua hai.

Logan Canyon pahaad par mere shikshak ke ashcharye shikshan ke baad, humne dekha tha ki hum waha tay kiye samay se zyaada der rahe the. Din khatam ho raha tha, aur humne jaana ki hum musibat mein the.

Mere shikshak ne humare khaas sthaan par jaane ke liye musibat ko uthaya tha, magar ghar lautte samay humare liye ek dosri musibat tha. Is se pata chala ki yah sthaan humare gatividhi ke liye achchie nahi thi. Waapis aana humare liye mushkil tha, magar uske umar ke vyakti ke liye zyaada mushkil tha.

Jab hum use musibat mei madad kar ke pahaad se waapis la rahe the, do police ke aadmi aaye. Praathmik pradhaan ne unhe hume dhoondhne ke liye bheja tha, kyunki usne socha ki hum kho chukein the. Yah mere jiwan ko nabhulne waala anubhao tha, us din ke naatakon aur seekh ke kaaran.

Tum jawaan purush—main tumhe protsaahit karta hoon ki apne gyaan se Vishwaas ke Vishay aur use jo dharamsiddhaant ko seekhte ho ko padho aur sikho. Weh Girjaghar ke dharmsiddhaant ke khaas waakye hai jo sab se zaroori aur khaas hai. Agar tum Ishu Masih ke susamachaar ka istemaal karoge apne padhaai mein maarg dene ke liye, tum apne aap ko taeyaaar dekhoge duniya ke punaharsthapit sachchaai ka gawahi dene mein. Tum shaadhaaran, sidhe, aur mahaan tarikon se batla sakoge Ishu Masih ke Girjaghar ke Antim-din ke Santon ke ek sadasye hone ke mukhye vishwaas jise tum mulya dete ho.

Main apne gawahi ko terahwa Vishwaas ke Vishay ke sachchaai ke saath jodta hoon Prabhu aur Uddhaarkarta, Ishu Masih ke naam se, amen.