2010-2019
Maha Sammelan: Vishwaas aur Gawahi ko Mazboot Karta
October 2013


15:50

Maha Sammelan: Vishwaas aur Gawahi ko Mazboot Karta

Are, hamein maha sammelan ki kitni zaroorat hai! Sammelan ke dwara hamare vishwaas badhte aur gawahiyaan mazboot hoti hai.

Dhanyewaad, Pradhaan Monson, Masih Jaisa sewa ke shikshan aur uddhaaran ke liye aur tumhe humein parchaarakon ki tarah aagya dene ke liye. Hum tumhare liye humesha prarthna kartein hai.

Humare yug mein, Uddhaarkarta Ishu Masih ne Santon ke saath ikattha hone ko “uska maha sammelan” batlaya hai.”1

Jahakahi bhi hum is duniya mein ho, kisi bhi tarah hum is mein shaamil ho rahein ho, main gawahi deta hoon ki hum Uske sammelan mein bhaag le rahein hai. Main yah bhi gawahi deta hoon ki hum Uska vaani sunenge, kyunki Usne kaha hai, “Chahe yah meri zubaani ho yah mere sewakon dwara, yah ek hi hai.”2

Sammelan hamesha Ishu Masih ke sachche Girjaghar ka bhaag hai. Adam ne apne logon ko saath ikattha kiya aur aanewaale cheezon ko batlaya. Moses ne Israel ke bachchon ko saath ikattha kiya aur unko wah aagyoun ko batlaya jo usae prapt hua tha. Uddhaarkarta ne dono Israel aur America mein zyaada nambaron ke logon ko sikhlaya. Peter ne Jerusalem mein vishwaasiyon ko ikattha kiya. In antim-dinon mein pahala maha sammelan Girjaghar ko banne ke do mahine baad hua tha, aur sammelan abhi tak humesha ho raha hai.

Yeh sammelan humesha Prabhu ke nirdeshan mein hotein hai, Uski Aatma ke maargdarshan se.3 Hum bhaashan dene waalon ko khaas vishay nahi milta hai. Kai hafton aur mahinon se, raaton ki ude needh se, Prabhu ka intazaar karunga. Upwaas, prarthna, shikshan, aur sochne se, hum wah sandesh ko sikhtein hai jo Wah hamein dena chahate hai.

Kuch log shaayad puchein, “Kyun prerna zyaada asaani aur turant nahi mil jaata hai?” Prabhu ne Oliver Cowdery ko sikhlaya, “Tumhe apne mann mein sikhna hoga; phir puchna ki wah sahi hai ki nahin.”4 Sammelan ke sandesh hamein prarthnashilta se tayyaari karne ke baad, Pavitra Aatma dwara milta hai.

Girjaghar ke sabhi sadasyon ke liye siddhant sachche hai jab hum ward, stake, aur maha sammelan mein bhaag letein hai. Hum apne mann mein sikhtein hai jiski hume Swarg ke Pita se zaroorat aur ikcha hai, aur hum prarthna kartein hai samjhne aur karne ki jo hum sikhtein hai. Jab sammelan ka samay hota hai, hum apne gatividhiyon ka balidaan karte hai, “duniya ke cheezon ko [alag] rakh kar,[taaki] un cheezon ko dhoondhe jo zyaada achcha hai.”5 Phir hum parivaar ke sadasyon ko ikattha kartein hain Prabhu ki vaani ko sunne ke liye, jaesa Raaja Benjamin ke logon ne kiye tha.6

Bachchein aur yuva shaamil hone se khush hotein hai. Hum bahot galti kartein hai jab hum yah kahtein ki sammelan humare gyaan aur dhaarmikta se baahar hai. Girjaghar ke jawaan sadasyon ko, main vaada karta hoon ki agar tum sunoge, tum Aatma ko apne aap mein badhte hue mahesoos karoge. Prabhu tumhe batlaenge ki Wah kya chahata hai ki tum apne jiwan mein karo.

Sammelan mein hum Prabhu ke vaani ko praapt karenge jo sirf humare liye hai. Ek sadasye ne gawahi diya: “Jab maine tumhare bhaashan ko suna, main achambe mein par gaya. … Tumhara bhaashan vyaktigat maargdarshan tha Prabhu ka mere parivaar ke liye. Maine apni jiwan mein itna ziyada Aatma ka prakaashan us samay par kabhi nahi anubhao kiya tha jayse Pavitra Aatma mujhse baatein kar raha tha.”

Dusre ne kaha, “Maine kabhi pehle yeh nahin mehsoos kiya ki ek bhaashan sirf mere liye hai.”

Yah ho sakta hai kyunki Pavitra Aatma Prabhu ki vaani humare hridayon mein us tarah se pahunchata hai jaese hum samajh saktein hai.7 Jab main sammelan ke daoraan lekh likhta hoon, main wahi nahi likhta jo bhaashankarta batla rahein hai; main wah likhta hoon jo Aatma batati hai.

Jo kaha gaya wah zaroori nahi hai balki jo hum sunte aur jo hum mehsoos karte hai. 8 Isiliye hum koshish karte ki sammelan ko aysi jagah sune jahan Aatma ki shaant, dhimi awaaz achchi tarah suni, mehsoos ki, aur samjhi jaaye.

Are, hamein maha sammelan ki kitni zaroorat hai! Sammelan ke dwara humare vishwaas badhte aur gawahiyaan mazboot hoti hai. Aur jab hum badlaao laatein hai, hum ek dosre ko mazboot kartein hai antim dinon ke vidroh aur behkaawon vijay praapt karne ke liye.9

Kuch varsh pehle Girjaghar ke kai bhaag ko bahri nasamjhiyon aur haal ke Santon ko atyachaar ko anubhao nahi karna pada tha. Yah aesa har samay nahi hoga. Insaan Prabhu se tezi aur pahale se dur ja rahein hai. Shaetaan dharti par apne shakti aur prabhaao aazma raha hai. Hum dekhte, sunte, padhate, sikhte, aur bhavishyevakta ke vaani ko suntein hai taaki hamein itla kar sakein aur bacha sakein. Uddhaaran mein, “Parivaar: Duniya ke liye ek Aupchaarik Ghoshna” bahot pahale mil chuka tha humare anubhavon ke chunaotiyon ko abhi ke parivaaron ko jhelne se pahale. “Jiwit Masih: Devduton ke Gawahiyon” pahale se taeyaar ho gaya tha humari zaroorat se pahale.

Hum shaayad sabhi kaaran ko nahi jaan paenge ki kyo bhavishyevaktaein aur sammelan mein bhaashan kartein in khaas vishye par humare saath sammelan mein batein kar rahein hai, magar Prabhu jaanta hai. Pradhaan Harold  B. Lee ne sikhlaya: “Is Girjaghar ke sadasye hone se sirf yah suraksha milta hai … Uske bhavishyevakta ko Prabhu se praapt hue shabdon aur aagyaon ka paalan karo. Yaha par kuch cheez honge jismein shaanti aur vishwaas hona chahiye. Shaayad tum Girjaghar ke adhikaari se sabhi cheezon mein sehmat na ho. Yah tumhare [vyaktigat] sujhaao se alag ho. Shaayad yah tumhare samuhik ke sujhaao se alag ho. Shaayad yah tumhare samuhik ke jiwan mein dakhalandaas kar raha ho. Magar agar tum in cheezon ko sunoge, ayesa lagega ki wah Khud Prabhu ke mukh se kaha ja raha hai, dhaerye aur vishwaas ke saath, vaada hai ki ‘adholokh ke faatak tum par prabal na honge; …aur Prabhu Parmeshwar tumhare aage se buraai ke shakti dur karega, aur swarg ko agya dega tumhare achche kaarye ke liye, aur uski mahima ke’ (D&C 21:6).”10

Kis tarah Pradhaan Lee jaantey the ki hum humare din par kya jhelenge? Wah jaanta tha kyunki wah ek bhavishyevakta, devdut, aur prakat karne waala tha. Aur agar hum abhi bhavishyevaktaon ko sunenge aur kehna maanege, is sammelan mein bhaashan dene waalon ke, hume shakti aur suraksha milegi.

Maha sammelan ki mahaan ashirwaad hume khatam hone ke baad milegi. Yaad rakho jo uddhaaran humesha dharamshaastra mein likha hua hai: hum Prabhu ke shabdon ko sunne ke liye ikattha hotey hai, aur hum ghar par unhein karne ke liye waapis jaatein hai.

Raaja Benjamin ne apne logon ko sikhlane ke baad, “usne logon ko jaane ki aagya di aur weh apne parivaaron ke saath apne gharon ko waapis laute.”11 Us ke dinon mein, Raaja Limhi ne wahi kiya.12 Bountiful ke mandir mein logon ko sikhlane aur dekhrekh ke baad, Uddhaarkarta ne logon se vinti kiya ki, “Isliye tum apne apne gharon ko jaao aur jin baaton ko maine kaha hai, un par vichaar karo, aur mere naam par Pita se usko samajhne ki yaachna karo, aur apni apni budhiyon ko kal ke liye taeyaar karo aur Mai tumhare paas phir aaunga.”13

Hum Uddhaarkarta ke nimantaran ko swikaar kartein hai jab hum sikhlaye hue par sochtey aur samajhtey hai aur phir aage ja kar Uske ikcha anusaar kartein hai. Pradhaan Spencer W. Kimball ke shabdon ko yaad rakho: “Maine apne man ko bana liya hai ki jab main is [maha] sammelan se ghar par jaaun … yaha par kai, kai mere jiwan ke sthaan hai jo main sahi kar sakta hoon. Maine uski suchi bana liya hai, aur main jald hi jitna ho sake karna chahata hoon.”14 Pradhaan Monson ne abhi jald hi kaha tha ki: “Main tumhe bashanon ko padhane ke liye utejith karna chahata hoon … aur sandeshon par socho jo likha hai. Maine apne khud ke jiwan mein paaya hai ki prerit updesh se main aur zyaada sikhta hoon jab main use aur zyaada saaodhani se sikhta hoon.”15

Hamein vyaktigat aur parivaarik susamachaar ko sikhne ke amantran ke saath saath, Swarg ke Pita chahate hai ki hum hamesha sikhein aur karein jo humne sammelan mein sikha hai. Main gawahi deta hoon ki jo Prabhu mein vishwaas kartein hai aur vishwaas se uski salah ko maantein hai ko mahaan shakti milega khud ko aur unke parivaaron ke aanewaale peedi ko ashirvaad denge.

Swarg ke Pita ne raasta dikhlaya hai. Is sammelan mein, is Girjaghar ke 97 pratishat apne khudh ke bhaasha mein sandeshon ko sunn saktein hai. Miliyan se zyaada parivaar 197 deshon mein is sammelan ko 95 bhaashaaon mein dekhenge. Do ya teen hi dinon mein sandasye LDS.org par Angrezi mein, dikhlaai dena shuru ho jaaenge, aur ek haftey mein yeh 52 bhaashaaon mein dikhaai dene lagega. Ab hum Girjaghar ke chape patrika ko sammelan ke teen hafton mein praapt kar saktein hai. Ab hume kai mahinon tak mail mein bhaashanon ko aane ka intazaar nahi karna padta hai. Ek computar, phone, ya dosre electronic cheezon par, hum padh saktein hai, sunn saktein, dekh, aur bhavishyevaktaon ke shikshanon ko sikh saktein hai. Kabhi kabhi, hum apne gyaan ko badha saktein hai, apne vishwaas aur gawahi ko mazboot kar saktein, apne parivaaron ko suraksha pradaan, aur unko surakshit ghar le ja saktein hai.

Is sammelan ke sandesh online yuva adhyan suchi par bhi hoga. Maata-pitaein, tum yuva ke paath ko LDS.org se apne liye nikaal saktey ho. Pata lagaao ki tumhare bachchein kya sikh rahein hai, aur apne khudh ke, parivaar waartalaabh ke, parivaar gharelu shaam ke, parivaar salah ke, aur apne har ek bachchon ke saath ke vyaktigat vaartalaabh ke sikhshan ka wastu banao uspar jo unhein vyaktigat taur se zaroori hai sikhna.

Main sabhi sadasyon ko uttejit karta hoon ki Girjaghar ke websites aur mobilon par saadhanon ko istemaal karein. Weh humesha behtar kiye jaatein hai taaki weh saral ho istemaal mein aur humare jiwan mein ziyada aasaan. LDS.org par saadhan hai tumhare madad ke liye susamachaar ko sikhne mein, tumhare ghar aur parivaar ko mazboot karne ke liye, aur tumhare niyukti mein sewa ke liye. Tum apne purwajon ko jo mandir ke siddhanton aur saadhanon ko dhoodh rahein hai mein madad kar saktey ho mukti ke kaarye mein, susamachaar ko baatne mein bhi. Maata-pitaein agwaai kar saktein hai bachchon ki tayyaari mein baptisma, purohiti, aur pure-samay ke prachaar kaarye aur mandir ke liye. Weh hume madad kar saktein hai mandir siddhaanton ke sidha sakriya raastey aur vaadon par chalne mein aur anant jiwan ke ashirwaad ke liye.

Pichle April sammelan mein, maha purohiti sabha mein, maine apne pita ke baare mein batlaya jo ek shurveer ke kawach ka chitra bana raha tha mujhe Parmeshwar ke pure kawach ke baare mein sikhlane ke liye aur us dhaarmik suraksha jo usse milta hai ko paane ke liye.

Us sabha ke baad, ek pita ne apne parivaar ko batlaya ki kya usne sikha tha. Prerit hokar, uska jawaan putra Jason ne LDS.org par sandesh ko sunne ke liye dhoodha. Kuch din baad wah parivaar gharelu shaam sabha mein aaya apne bhaaiyon aur bahanon ke saath paath ko baata. Yeh uske shabd hai.

Jason

Ek sadhaaran sammelan sandesh, Prabhu se prerit hua, ek bachche ko praapt hua, parivaar ko ek vyaktigat, shaktishaali tarike se sikhlaya gaya. Main uske vishwaas ke sheeld ko prem karta hoon. Main uske satye ke kawach ko prem karta hoon virodhi ke anjaan khatre se bachane ke liye. Yeh sammelan ke ashirwaad hai.

Mere bhaaiyon aur bahanon, main apne khaas gawahi ko bayaan karta hoon ki Prabhu Ishu Masih jiwit hai aur is Girjaghar ka mukhya hai. Yah Uska maha sammelan hai. Main tumhe Uske naam ka vaada karta hoon ki agar tum apne Swarg ke Pita ki awaaz sunna chahate ho is sammelan ke sandesho mein, tum yah jaanoge ki Usne tumse baatein kiya hai tumhe madad karne, tumhe mazboot karne, aur tumhe Uske paas ghar le jaane ke liye. Ishu Masih ke naam se, amen.