Mormon ki Pustak: Tumhara Jiwan Uske Bina Kaesa Hota?
Main apne pure aatma se gawahi deta hoon ki sabse aschariye aur anokhe tarike se, Mormon ki Pustak hume Ishu Masih aur Uske susamachaar ko batlata hai.
1986 me, Mujhe Ghana, Accra ke ek univesiti me ek khaas bhashan ko dene ka amantran aya. Wah maine kai unche rajniti ke padhivi waalon se bhent kiya, jisme African dal ka raaja bhi tha. Jab hum ek dusre se bhaashan ki shuruaat se pahale baate kar rahe the, raaja mujhe se sirf apne anuwaadkarta ke dwara baate kiya, jisne fir mujhe anuwaad kiya. Maine anuwaadkarta ko jawaab diya, aur fir anuwadkarta ne raaja ko mera jawab anuwaad karke bataya.
Mere bhaashan ke baad, raaja sidhe mere paas aya, parantu is samay apne anuwaadkarta ke bina. Main aschariye me hua, woh bilkul sahi Angrezi me baate kar raha tha-Engaland mei bola hua Aangrezi. Sachmuch me!
Raaja uljhan me dikh raha tha. “Tum kaun ho?” usne pucha.
Maine jawaab diya, “Main Ishu Masih ka ek niyukti Apostal hoon.”
Raaja ne pucha, “Tum mujhe Ishu Masih ke bare me kya sikhla sakte ho?”
Maine swaal ka jawaab diya: “Kya main jaan sakta hoon ki tum Uske bare me pahale se kya jaante ho?
Raaja ka jawaab tha ki usne Baibal ko saaodhani se sikha aur wah Prabhu se prem karta hai.
Maine fir pucha ki kya use Ishu Masih ke purane America ke logon ki dekhrekh ke bare me pata hai?
Jaesa maine socha, use pata nahi tha.
Maine samjhaya ki Uddhaarkarta ke Balidaan aur Punaharsthaapna ke baad, Wah purane America ke logon ke paas gaya tha, jaha Usne Apna susamachaar sikhaya. Usne Apna Girjaghar banaya aur Apne Chelon ko unke saath hone ke Apne dekhrekh ka jaankari ko rakhne ko kaha.
“Wah jaankari,” main age batlata hoon, “hai jise hum jante hai Mormon ki Pustak Yah Ishu Masih ka ek aur gawahi hai. Yah Pavitra Baibal ki tarah ek aur dharamshaastra hai.”
Is samay, raajabahut hi dilchaspi dikhaya. Main apne saath ke mission pradhaan ki oar mudha aur use pucha ki kya uske paas ek Mormon ki Pustak hai. Usne apne beg se ek nikaala.
Maine 3 Nephi bhaag 11, ko khola, aur raaja aur maine saath mein Nephites ko Uddhaarkarta ke bhashan ko padha. Maine fir Mormon ki Pustak ko use diya. Main uske jawaab ko kabhi nahi bulunga: “Tum mujhe hire aur moti ko de sakte the, parantu mere liye Prabhu Ishu Masih ki aur jyaada gyaan ke bare me use bhi jyaada anmol hai.
Uddhaarkarta ke vaani ki shakti ko 3 Nephi me anubhao karne ke baad, raaja ne batlaya; Agar main badla aur Girjaghar me juda, main apne saath pure gaaoun ko ko launga.
“Are, Raaja,” Maine jawaab diya, “ayesa nahi hota. Badlaao khud se hona chahiye. Uddharkarta ne Nephites ki ek ke baad ek ka dekhrekh kiya. Har ek ke paas Ishu Masih ki susamachar ki apni khud ki vichaar aur gawahi hona chahiye.”1
Mere bhaiyon aur bahanon, tumhare liyeMormon ki Pustak kitni anmol hai Agar tumhe hire ya moti ya Mormon ki Pustak di jaye, tum kya chunoge? Sach me, tumhe kya jyaada mayene rakhta hai?
April 2017 maha sammelan ke Raviwaar sabere ke sabha me, Pradhaan Thomas S. Monson ne “hum sab se Mormon ki Pustak ko har din prarthna ke saath sikhne aur samjhne ke liye guzaarish kiya tha.”2 Kai logo ne hamare profat ki aagya ko mana tha.
Main yah batlata hoon ki aant-saal-umar ke Riley ko pata bhi nahi tha ki koi hamare tasveer utaar raha tha. Dekho ki Riley Mormon ki Pustak padh raha tha “Main ek Parmeshwar ka Beta hoon” ke bookmarkar ki madad se.
Kuch shaktishaali hua jabki ek Parmeshwar ka beta Uske aur Uske Priye Putra ke bare me jyaada jaanne ki kosish kar raha tha. Kahi aur bhi Mormon ki Pustak ko chodh kar saaf aur shaktishaalyi tarike se jyaada sachchaai nahi hai.
Pradhaan Monson ke chunauoti ko che mahine ho gaye hai, main uske salaha par chal raha hoon. Dusre chezon ko chodh kar, maine Mormon ki Pustak ke bare me suchi likhi hai, yah kya batlata wah kya galat batlata wah kya kya saaf taur se batlata, wah kya samjhata, aur wah kya dikhata. Mormon ki Pustak ko us tarike se dekh kar eksajh aur prerna prapt hui hai! Main tum sab se padhane ko kahata hoon.
In che mahinon me, maine kai alag dalon ko bhi amantirith kiya—jisme mere Barah Devduton ke Parishad ke Bhaaiyon, Chile ke prachaarakhe, aur Argentina me ikatha huye mission pradhaan aur unki patnion bhi shamil hai—ten sawaalon ko socho jo main tumse aaj sochne ki guzaarish karta hoon:
Pahala, tumhare jiwan kaesa hota bina Mormon ki Pustak ka? Dusra, tum kya nahi nahi jante Aur teesra, tumhare paas kya nahi hota?
Inhi logon se yah khushi ka jawaab unke hriday se mila. Yah unke kuch jawaab hai: Yah unki jawaab hai;
Mormon ki Kitaab ke bagaear, main alag alag shikshaon par aschariye me rahata aur kai chezon ke sujhaao me. Main ussi tarah ka hota jaese Girjaghar me judne se pahale tha, jab main gyaan, vishwaas, aur asha ko dhoondh raha tha.”
Ek aur jawaab: “Main yah nahi jaanta ki Pavitra Aatma hamare jiwan me kya kaarye karta hai.”
Ek aur: “Main saaf taur se dharti par ka apne mahatav nahi jaanta!”
Dusre sunnewaale ne kaha: “Mujhe pata hi nahi hota ki is jiwan ke baad aage bhi jiwan hai. Kyunki Mormon ki Pustak ke karan, maine jana ki mritio ke baad bhi jiwan hai. Wah hi sabse badi maksad hai jiske liye hum kaam kar rahe hai.”
Yah aakhri vaakye ne mujhe apne pahale ke samay ki soch me dala jab main jawaan tha aur ek sajikal ki tarah sikh raha tha. Ek ghambheer zimmedari ek sugan uthata hai, ek aosar par, hai ki parivaar ko batlana ki unka koi priye mar chuka hai. Ek aspataal me jaha main kaam karta tha, ek khaas kamra diwaaron ko bhar kar banaya gaya tha jaha parivaar ke sadesyon ko yah baat bataai jaati. Yaha, kuch log apne sir ko udaasi se ussi diwaar me maar kar bhaas kaarte. Main un logon ko bahut shiklana chahata ki maut, ek ghambheer zimmedari ek sugan uthata hai, ek aosar par, hai ki parivaar ko batlana ki unka koi priye mar chuka hai. Maut hume dusre duniya tak aage badhati hai.3
Ek aur sunnewaale ne mere swaal ka jawaab diya: “Mujhe jiwan ke bare me pata hi nahi tha jabtak ki maine Mormon ki Pustak nahi padi. Bhale hi main apni puri jiwan bharprarthna karta aur apne girjaghar jata, Mormon ki Pustak ne mujhe Swarg ke Pita se pahali baar vaartalaabh karne me sach me madad kiya.”
Dusre ne kaha: “Mormon ki Pustak ke bina, main samaj nahi saka ki Uddhaarkarta ne sirf mere peede ko nahi jhela, parantu Wah mere peeda aur kasht bhi dur karta.”4
Aur ek dusre ne: “Mujhe pata hi nahi chalta ki hamare paas profats hai hume salahaa dene ke liye.”
Mormon ki Pustak ki sachchaai ko ghambhirta se aur hamesha sikhne se jiwan mebadlaao ho sakta hai. Hamari ek naatin, Bahan Olivia Nelson prachaarakh hai, ne ek sikhne waale ko yah vaada kiya ki agar wah hamesha Mormon ki Pustak padega, uske universiti ke pariksha ka parinaam achcha hota. Usne kiya, aur unhone kiya. Usne kiya, aur unhone kiya.
Mere priye bhaaiyon aur bahanon, main gawahi deta hoon ki Mormon ki Pustak Parmeshwar ki sachchi vaani hai. Usme jiwan ke sabhi zaroori swaalon ke jawaab hai. Usse Masih ki Siddhanto ko sikha jata hai.5 Wah “saral aur anmol” sachchaaiyon ko batlata aur samjhata hai jo peedi pahale kho gaya tha aur Baibal ke kai anuwaade.6
Wah “saral aur anmol” sachchaaiyon ko batlata aur samjhata hai jo peedi pahale kho gaya tha aur Baibal ke kai anuwaade. Usme0 sikhlaya jata hai ki sahi mein fhir se janam lenae ka kya matlab hai Mormon ki Pustak se hum bikhre hue Israel ke bare me sikhte hai. Hum yah jaante hai ki kyo hum yaha dharti par hai. Yeh aur dusre sachchaaion jyaada shaktishaali aur achchie tarah se Mormon ki Pustak me sikhlaya gaya hai naaki kisi aur kitaab me. Ishu Masih ki susamachaar ki puri shakti Mormon ki Pustak me hai. Sach me.
Mormon ki Pustak me dono Swami ke shikshan aur virodhi ke tarike ko batlaya gaya hai7 Mormon ki Pustak me sachche siddhaant likhe hai jhute dhaarmik paramparaoun ke khilaaf—jaese ki naojaat shishu ki baptisma ko karne ki jhuti kaarye.8 Mormon ki Pustak jiwan ko ek maksad deta hai anant jiwan ke shakti ko dhoondhane ki kosish me aur “kabhi na khatam hone waali khushiyon.”9 Mormon ki Pustak se buraaion mein prapt kiye jhute khushiyon tutti hai aur ki vyaktigat achchaaiyon hi sabhi kuch hai jo zaroori hai waapis Parmeshwar ke10 paane ke liye.11 Yah hamesha ke liye judte cheezon ko nasht karta hai ki Baibal pratikaran ke baad khatam ho gaya tha aur swarg aaj bhi bandh hai.
Jab hum Marman ki Putak ke bare me sochta hai, hume shakti shabd yaad aawe. Mormon ke Putak ke sacchai me changa, shanti, waapas lautaane, taqatwar banane, santosh pahuchaane, aur mann ko khush karne ki shakti hai.
Mere priye bhaaiyon aur bahanon, main vaada karta hoon ki jab tumhamesha prarthna ke saath Mormon ki Pustak ko sikhoge, tum aur bhi achchie salaha banaaoge—hamesha. Main vaada karta hoon ki jab tum wah sochoge jo sikhte ho, swarg ke darwaaze khul jaenge, aur tum apne swaalon ke jawaab khudh hi paaoge aur apne khudh ke jiwan ka maarg. Main vaada karta hoon ki jab tum hamesha Mormon ki Pustak padhoge, tum din bhar ke virodhi se bachoge, jisme ashleelchitra ke bimari se dur rahoge aur dusre man-ko bhurst karne wale lat se.
Jabkabhi main kisi ko sunta hoon, apne khudh ke saath, kehte hue, “Main jaanta hoon ki Mormon ki Pustak sachcha hai,” main chilane chahata hoon, Yah achcha hai, parantu yah kam hai!” Hume zaroori hai ahesaas karna, hamare hriday ke andar ke “vyaktigat bhaag se,” ki Mormon ki Pustak saaf taur se Parmeshwar ki vaani hai.12Hume hai bahut hi andar se ahesaas karna hai taaki hum uske bina ek bhi din jene ko na soche. Main Pradhaan Brigham Young ko (1801-77) “Main asha karta hoon ki mere paas saat jarajne ki awaaz hota logon ko jagane ke liye” Mormon ki Pustak ki sachchaai aur shakti ke liye.13
Hum is Europe me sewa pradaan karte jwaan prachaarakh ki tarah hone ki zaroorat hai jisne Mormon ki Pustakki sachchaai ko itna jyada ahesaas kiya ki wah is pavitra lekh ki ek kopy ko paate hi lekar sidhe us aadmi ke paas park mein wah aur uska saathi pahunche.
Main gawahi deta hoon ki Joseph Smith is aakhri peedi ka profat tha aur hai. Wah hi tha jo, Parmeshwar ki shakti ke uphaar se, pavitra kitaab ka anuwaad kiya tha. Yah hi woh kitaab hai jo duniya ko madad karega Prabhu ke Dusri Baar Aane mein.
Main gawahi deta hoon ki Ishu Masih hi hamare jiwit Parmeshwar ke jiwit Putra. Wah hamare Uddhaarkarta, hamare Mukhtidata, hamare mahaan Uddhaaran, aur hamare Pita ka Vishwaasi hai. Wah vaada kiya hua Masiha, maranshil Masiha, aur milenial Masiha rahenge. Main apne pure aatma se gawahi deta hoon ki sabse aschariye aur anokhe tarike se, Mormon ki Pustak hume Ishu Masih aur Uske susamachaar ko batlata hai.
Main jaanta hoon ki Pradhaan Thomas S. Monson aaj is dharti par Parmeshwar ka profat hai. Main use apne pure hriday se prem karta aur saat deta hoon. Main yah gawahi Ishu Masih ke pavitra naam se deta hoon, amen.
Pradhaan Nelson ke Marman ke Pustak ke list
Marman ke Pustak ek:
-
Yah Ishu Masihka ek aur gawahi hai. Uske khaas lekhakNephi, Jacob, Mormon, Moroni—aur uske anuwaad kartaJoseph Smith,sabhi ne Prabhu ke dekha tha.
-
Uski dekhrekh jo logo Purane America me rehte tha.
-
Sachche, Prabhu khud ne dwara parishram kiya.
Mormon ki Pustaksahara deta hai
-
Swarg ke Pita aur Uske Priye Putra, Ishu Masih ka vyaktigat pahachaan.
-
Adam ka Patan hona aur Eve ka gyaan zaroori tha, taaki insaan ko anand prapt ho.
Mormon ki Pustak nikaarne kasujhaao deta hai ki:
-
Baibal Reveleshan ke saath khatam hua.
-
Naujaad shishu ko baptisma lena chahiye.
-
Buraai mein khushi prapt hogi.
-
Mukti ke liye vyaktigat achchai ki zaroorat hai (ordinances aur vyada ke zaroorat hai).
-
Adam ka Patan (Fall of Adam) hone se insaan ko “naye paap” se mukhti mili.
Mormon ki Pustak bible ke profesi pura ki:
-
“Kai logo” Uski awaas ko sunnege.
-
Parmeshwar “ek mahaan aur aschariye karye karega,” “Dhul se baate karte samay.”
-
“Judah ke log” aur “Joseph ke log” ek hone.
-
Bikhra hua Israel ikatta hoga “antin dinon me” aur yah kaese hoga.
-
Wah zameen jo log prapt karenge hai American desh.
Mormon ki Pustak batlata hai samjhne ke bare me:
-
Hamare pahale ka jiwan.
-
Mrityu. Parmeshwar ke mahaan khushiyon ke yojna ka ek jaroori hissa hai.
-
Aage ka jiwan jannat me hoga.
-
Sharir ka punaharjiwan, aatma ke saath jodhne se, ek mahaan aatma banta hai.
-
Prabhu ke dwara hamare nayaye hamare karmon se hoga aur hamare hriday ke ikchon se.
-
Kis tarah siddhaante sahi tarah se hote hai: uddhaaran me, baptisma, prabhubhoj, Pavitra Aatma ki bhasahan.
-
Ishu Masih ka Praeschit.
-
Punarujiwan
-
Devduton ke zaroori kaarye.
-
Prohititav ka anant poshan.
-
Kis tarah insaan ki chaalchalan vaani ki shakti se jyaada prabhaawit hota hai naaki talwaar ki shakti se.
Mormon ki Pustak pahale ki jaankaari ko batlata hai.
-
Ishu Masih ke payeda hone se pahale baptisma hote the.
-
Mandirie bani thi aur purane American ne istamaal kiya tha.
-
Joseph, Israel ka 11th putra ne, Joseph Smith ke profatik kaarye ko dekha tha.
-
Nephi (600–592 B.C.) ne America ko paane aur basne ko pahale hi dekha tha.
-
Baibal ke saral aur manmol bhaag kho gaye hai.
-
Masih ki Roshni har ek ko prapt hui hai.
-
Vyaktigat taur se chunne ki jaroorat aur sabhi cheezon me virodhi ki jaroorat hai.
-
“Gupt dale” ki chetaaouni.