Woh Sab Anant Roz
Hum kis tarah ke vinamarta ke hai aur Parmeshwar ke mahatva hamaar liye khaas hai.
Jab mera sewa British Mission me hamar sewa ke dauraan tha, tab mai ek jawaan ladka tha, mujhe British mazak pasand hai.ka izzat se khushi mila. Isliye kabhikabhi jindagi mein kisi ko na pasand, alag, vinamar tarah se dekha jaata hai.Is ke ek uddhaaran hai ki kaese samma ko batata.British ke samma bahut chota aur ajeeb rahe.Jaese ek lekhak ne ek dhire - dhun me bolis, “Hume British samma pasand hai, pure saal me woh mera pasandeeda din hai.”1 Ek hamaar fevarat katoon ki kalakaar ko subha der se uske khaat se jaate hue dikhaya gaya aur apan kutte ko batati hai, “Are baap re!Lagta hai ki aaj bhi hum log ke der le soye gaya aur samma ke mis kar diya.”2
Is sundar dharti pe hum log ke jiwan isi tarah ki majaak hai.Dharamshaastra saaf se batata hai ki hamari anmol maranshil jiwit ek chota taaim me hai. I bola jaae sake hai ki ek anant tarah se,hamari taaim dharti pe British summer ki tarah kam hai.3
Kabhikabhi insaan ke vajah aur jiwan bahut hi vinamarta se bhi bataya jaata hai.Profat Moses ke jon rakam ke pala gaya aaj kal kuch log bahut dhani ghar kehte. Jaese Pearl of Great Price me likha gaya hai ki, Prabhu, Moses ke apan profat ke kaam ke liye taeyaar karat raha, ne duniya aur insaan ke sab ladkan ke baare me bataais raha jon hai aur rahin.4 Moses ke achambha ke kuch kaaran raha: “Ab … Hum jannta hai ki insaan kuch nai hai, joki hum socha nai raha.”5
Fir, Parmeshwar, ne Moses ke jhele hue ahesaas ko kamti zaroori ahesaas ki tarah inkaar kia:raha, Uske sachche kaam ki tarah batais: “Isiliye dekho, i hamar kaam aur hamar mahima hai—insaan ke mare aur anant jiwan ko laye ke liye.”6
Hum sab log Parmeshwar ke yojna me barabar hai. Uska siddhant saaf hai. Mormon Dharamshaastra me hum padhate hai, “Sabhi Parmeshwar ke liye ek tarah hai,” “jisme kala aur gora, bandhi aur azaad, aadmi aur aurat.”7 Ek hi tarah, Prabhu ke paas jaane ka sabhi ko amantaran hai.8
Koi bhi jo Pita ke yojna mein hak jatata hai kyunki jaati, ling, deshwaasi, bhaasha,ya paese ke stithi ko lekar to galat hai aur Prabhu ke sachche mahatav hamar Pita ke sabhi bachchon ke liye konahi samajhta hai.9
Durbhaagye se, hamar dino me sangaton ke sabhi bhaag me, hum khudh ko jaroori samajhte hai aur ghamand karte jabki Parmeshwar ke vinamrata aur jimmedaariyon ko bhula dete hai.Sangaton ke kai to asaan sachchaai ko bhi nahi jaante aur yah bhi nahi ki hum kyo dharti par hai.Sachcha vinamrata, jo hamare liye Prabhu ke kaam ko karne me khaas hai, kam ho gaya hai.10
Yah jaroori hai ki Masih ke vinamarta, sachchaaion, charitra aur shakti ke mahaanya ko samjhe jaesa ki dharamshaastra me batlaya gaya hai.Yah pagalpan hai ki Masih ki gunon aur shaktion ko har-din hamesha paane ki jaroorat par koshish nahi karna, khaaskar vinamrata se.11
Dharamshaastra me saaf taur se hai ki i jiwan chota hai, yah bahut zaroori hai. Amulek jo Mormon Dharamshaastra me Alma ka ek saathi tha ne kaha, “Dekho, yeh samay Parmeshwar se milne ke prati logon ki tayyaari ka samay hai; haan, is jiwan ka samay logon ke parishram karne ka samay hai.” Hum kisi bhi kaarton charitra, ki tarah, is jiwan bhar sona nahi chahate hai.12 Hum kisi bhi kaatun charitra, ki tarah, i jiwan bhar sona nahi chahate hai.
Uddhaarkarta ka sabhi insaan ke liye vinamrata aur balidaan ke uddhaaran itihaas ka sab se bada kaam hai. Uddhaarkarta, Ishwartav ka ek sadesye bhi, ne dharti par ek chota bachche ki tarah aane ke liye swikaar kiya aur jiwan ki shuruaat kiya jisme Apne bhaaiyon aur bahanon ko sikhaya aur changa kiya aur Gethsemane me bahut hi peede ko jhela aur kurus par Apne Balidaan ko dekar pura kiya. I Masih ke pyaar aur vinamrata ka kaarye ka bhaag ko Uske Mahaanta se jana jata hai.13 Usne yah sabhi aadmi aur mahila ke liye jise Parmeshwar ne banaye ya jise banaega ke liye kiya.
Hamar Swarg ke Pita nahi chahata hai ki Uske bachche celestial mahima ke liye udaas nahi hue ya use paane ki aasra chode.Jab hum sahi me Pita Parmeshwar aur Uske Putra Masih ko jaan jaate hai, Weh kya hai, aur Unhone hamare liye kya kiya hai, hume shaanti, izzat, mahaanta, aur vinamrata milti hai.
Vinamrata Jaroori hai Prabhu ke Madad Karne me Uska Girjaghar ko Banane ke Liye
Alma ne apne samay par ek sawaal pucha tha jo aaj ke dinon par laago hota hai: “Agar tumne hriday ke badlaao ko mehsoos kiya hai, aur agar tumne sachche pyaar ke gaane ko gaaya hai, main puchta hoon, kya tum abhi mehsoos karte ho?”14 Alma aage bola, “Kya agar isi samay par marna pada to, … ki kya tum utne vinamarta ho?”15
Sabhi samay jab main Jawaan Alma ke balidaan ke kaaarye ke bare me padha ek shahar ki mukhiya Parmeshwar ke vaani ko bayaan karte hue ka,16 Main khush hu. Alma ke paas Pita Parmeshwar aur Ishu Masih ka sachcha gawahi tha aur Us jimmedari ko bina risev kiye hi pura kiya.Uske paas sahi tarika aur vinamrata tha rutba aur sthaan ko chodne ka kyunki usne jaan liya tha ki Prabhu ki sewa karna jaada jaroori tha.
Hamare jiwan me utna vinamarata hona khaas jaroori hai ki Girjaghar ko banane me madad kar sake.Girjaghar ke itihaas me ek uddharan khul ke dikhta hai. 1837 Jun meen, Profat Joseph ko Kirtland Mandir me ek prerna mili ki Apostal Heber C. Kimball ko Ishu Masih ke susamachaar ko “Engaland me prachaar kare … aur us desh ke liye mukti ka dwaar khole.”17 Apostal Orson Hyde aur kuch auron ko uske saath jaane ki swikriti mili. Eldar Kimball ka jawaab badhiya tha.“Ek jaroori mishan ke us sujhaao ka swikriti lajawaab tha jo main soch nahi sakta. …[Main] us bhoj ke niche dab kar marne wala tha jo mujhe mila tha.”18 Firbhi, usne mishan ko bahut vishwaas, aagya, aur vinamrata se swikaar kiya.
Kabhikabhi vinamrata niyukti ko swikaar karna hai jab hum achcha nahi mehsoos karte ho.Kabhikabhi vinamrata se vishwaasi hokar sewa karna hota hai jab hum jyaada zaroori kaam ko karna mehsoos karte hai. Vinamarta lidaro ne kaha aur uddhaaran me dikhlaya ki wah jaroori nahi ki kaha hum sewa karte hai balki hum kitna vishwaasi hokar karte hai.19 Kabhikabhi vinamrata dard ke ahessa ko deta hai jab hum yah mehsoos karte hai ki netaaoun ya anye sadesyon ne hamare saath galat kiya hai.
July 23, 1837 me, Profat Joseph ne Barah ke Parishad ke Pradhaan, Eldar Thomas B. Marsh se mulakaat kiya.Eldar Marsh gusse me hua ki Profat ne uske Parishad ke do sadesyon ko England jaane ki niyukti diya bina use puche hi.Jab Joseph Eldar Marsh se mila, naraazgi dur hui, aur Profat ko ek anmol pratikaran prapt hua. I ab 112th section Doctrine aur Covenants ka.209 Usme swarg se mahaan maarg prapt hua tha vinamrata aur prachaar kaarye ki izzat me. Verse 10 me padhte hai, “Tum vinamra raho; aur Prabhu Parmeshwar tumhe raasta dikhayga, aur tumhare prarthnao ka jawaab dega.”21
Yah pratikaran ussi din hua tha jab Eldar Kimball, Hyde, aur John Goodson, vinamrata se, Ishu Masih ke susamachaar ki Punaharsthaapna kar rahe the England ke Preston Vauxhall Chapel me.22 Yah pahali baar tha jabki mishanaris punaharsthaapit susamachaar ko North America ke bahar ke is peedi e bayaan kar rahe the.Unke mishanari kaarye ke parinaam sekai turant hi badlaao karke baptisma liye aur anginit vishwaasi sadesye bane.23
Pratikaran ke safal bhaagon ke kaaran humare din ke mishanri ko maarg milta hai.Weh bhaag me padhate hai, “Jokoi mere naam se … ke paas kisi bhi desh me mere raajye ka darwaaze ko kholne ki shakti hoga jitna bhi weh apneaap ko mere saamne vinamrata karenge, aur mere aagya par chalenge, aur mere Aatma ki awaaz ko sunnege. ”24
Vinamrata jo is mishnari kaarye ka mukhye bhaag hai ne Prabhu ko Apne Girjaghar ko banane mein ek anmol raasta dikhlaya.
Saobhaagye se, hum yah aaj bhi yah Girjaghar me dekh sakte hai.Yaha par Girjaghar me kai Amulek hain. Sadesyon, ubharte hue peedi ke saath, apne samay aur padhaaiaur naukari ko mishan ki sewa ke liye chodo. Kai buzurg sadesye naukari ko chodh dete hai aur dusre balidaan dete hai Parmeshwar ki sewa karne ke liye chahe kuch bhi stithi ho.Hum vyaktigat stithiyon ke kaaran bhatakne nahi dete ya Uske kaam ko pura karne se.25 Girjaghar ki sewa mevinamrata ki zaroorat hai.Hum vinamrata se sewa karte hai apne pure mann, dhan aur shakti se. Girjaghar me sabhi level pe, yah jaroori hai ki Masih ki tarah vinamrata ko samjhe.
Sabhi din Vinamrata ki Vyaktigaton ko Khaas Zaroorat hai Parmeshwar se Milne ki Madad ki taeyaari me
Prabhu ki izzat karne ki neev aur Uske aagya26 ke liye khudh ko nichaawar karna aaj ke dinon me nahi hota hai jaesa ki pahale hota tha. Kuch dusre vishwaassi Isaai netaae vishwaas karte hai ki us duniya me hai jaha Isaai ab sache nahi hai.27
Peediyon ke liye, Isaai vinamrta ke gun aur shahari sharam ke gune aur chaahat sabse bada sthar hai.
Aaj ki duniya me, ghamand par bahut hi badhanti hua hai, khudh ko jyaada zaroori samjhna, aur sachaai me “dusron ke prati sachcha na hona” jo kabhikabhi sachhe vinamrata ki kami tak lejata hai.Kuch sujhaao dete hai ki khushaali ke sachche gun me “sachcha hona, shaktimaan hona, laayak hona shaamil hai—sabse zaroori, kisi aur par nirbhar na ho … kyunki tumhare vishwaas … tumhare haaton me hai.”28
Dharamshaastra me kuch aur likha hai. Usme likha hai ki hume Ishu Masih ke sachcha chela hona hoga.Is me shaamil hai Parmeshwar ke zimmedaariyon ko ek shaktishaali ahesaas se karna aur jiwan me ek vinamarta ka.Raja Benjamin ne sikhlaya tha ki ek prakritik aadmi Parmeshwar ka virodhi hai aur batlaya ki hume apneaap ko “Pavitra Aatma ke cheezon” me lagana zaroori hai Usne samjhaya, dusre cheezon me, jaroori hai ki “dayalu, vinamar, shaant, [aur] prem se bhara hua banna.29
Kuch log sachche cheez ka galat istemaal karte hai yeh keh ke ki prakritik aadmi aur uske gun ka utsav hai jo vinamrata, dayalu, daya, chama, aur shanti ke opposit gun hai. Hum apne Parmeshwar ke bachche hone ka alag rup ko mana sakte hai bina ek Masih ki vyavhaar ki vishwaas ke istmaal se.
Hamare vinamrata ki daud me, naye internet ghamand ko rukhne me chetaaounion ko laati hai.Do uddhaaran hai khudh ko kuch bekaar karne dena “mujhe dekho” dusron ko sosal madhaym ke tarike se apni oar khichna ya darane se Ek aur uddhaaran hai “humblebrag.”Is ka matlab hai ki “alag dikhna ya khudh ko vinamar pesh karna [ya dikhna30jiska sahi karan hai ki usko dikhlana jo koi ghamand me ho.”Profats ne humesha ghamand par chetaaouni diya hai aur duniyadaari ke bekaar cheezon par.31
Badhti hui civil waartlaabh ki giraawat bhi chintia ka vishayhai.Anant mul chunne ki zaroorat me hum un chunaao ka izzat karte hai jise hum pasand nahi karte. Maar aur peet me ab humesha duriyan hai “daya me antar aya.”32 Hume aur jyaada sharmindagi aur vinamrata ki zaroorat hai hame vishwaas ki mahilaaen chahiye.
Alma ne chetaouni diya “ aone hriday ke ghamand se bacho,” ki “ek dusre se behatar ho,” aur un vinamar ko tang karo jo “Parmeshwar ke pavitra aagyaoun ka paalan karte hai.33
Maine sabhi vishwaassion ke logon me sachche achchaai ko dekha hai jo vinamarta hai aur Parmeshwar ke jimmedari ko mehsoos karte hai. Unme se kai Purane Gawahi profat Micah ke shikshan par chalte hai, jisne batlaya, “Prabhu ko tumse kya chahiye, parantu sirf sachchaai se, aur daya se prem, aur Parmeshwar ke saath vinamrata se chalna”34
Jab hum sahi me vinamarta hote hai, hum chama ke liye prarthna karte hai aur dusron ko chama ke liye.Jab hum Mosiah me padhte hai, Alma ne sikhlaya tha ki jitna jyaada hum paschataap karte hai, Prabhu humare galtion ko maaf karega35 Dusri oar jaesa ki Prabhu ke Prarthna,36 me batlaya gaya hai, jab hum dusron ko maaf nahi karte hai, hum apneaap ko gunehgaar taharate hai.37 Ishu Masih ke Balidaan ke karan, paschaataap ke karan hamare paapion ko maaf kiya jaata hai.Jab hum unko maaf nahi karte jinhone humare saath bura kiya hai ko, sahi me hum Uddhaarkarta ke Balidaan ko inkaarkarte Ishu Masih ke Balidaan ke karan, paschaataap ke karan humare paapion ko maaf kiya jaata hai.Nafrat karna aur maaf se inkaar karna aur Masih ki tarah apne rishto ko vinamrata se inkaar karne se sach me hum par apraadh lagta hai. Nafrat ke karan hamare aatma kamzor hota hai.38
Main tumko kisi aur bhi tarah ke ghamand ka chetaaouni deta hoon. Prabhu, profat Moroni ke dwara, ghamandi aur vinamrata ke beech ek dor khichta hai:“Murakh banawati hai, parantu weh ruwege; aur mera mahima dayalu ke liye mahaan hai.” Prabhu ne aage kaha, “Main insaan ko kamzori deta hoon ki weh vinamar bane; aur mera mahima sabhi insaan ke liye ek samaan hai ki mere saamne vinamar bano; ki agar weh apneaap ko mere saamne vinamar karte hai, aur mujh me vishwaas karte hai, fir main unke kamzor cheejon ko mazboot karunga.”39
Vinamarta ke liye hume apne kai aashirwaad aur diviye aaswaasan ko bhi mahaan karna hoga.Vinamrata mahaan dikhlane waale kaaye nahi hai ya kuch mahaan chunaoution ko jhelne se. Yah dhaarmik shakti ka chin hai Yah himmat rakhna hai ki din prati din aur ghante prati ghante hum Prabhu par nirbhar ho sakte hai, Uski sewa , aur Uske kaarye ko kar sakte hai.I hamaar parthana hai ki is inrantar duniya mein hum roz sachche vinamrata se rahane ki koshish karenge. Ek pasandita shayar ne is tarah kaha:
Mahaanta ka parishram tarika hai.
Woh sab anant Roz.40
Main Uddhaarkarta aur Uske Balidaan ki sacchie gawahi deta hoon aur Uski sewa khushi se hamesha aur roz karne ki zaroorat ka.Ishu Masih ke naam se, amen.