Girjaghar Auditing Vibhaag Suchna, 2017
Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke Pratham Adhyakshta ke liye
Priye Bhaaiyon: Jaise praktikaran dwara nirdeshit kiya gaya hai Doctrine aur Covenants ke bhaag 120 me, Daswa Hissa ka Batware ka Parishad—jismein Pratham Adhyakshta shaamil hai, Barah Devduton ke Parishad, aur Bishopric ki Adhyakshta—Girjaghar ka dhan ke kharch ka adhikaar deta hai. Girjaghar vibhaag dhan ka kharch swikriti di hui bajatein, nitiyon aur kaaryevidhiyon ke anusaar karta hai.
Girjaghar Auditing, jisme pramaanit peshewar aur woh jo Girjaghar ke anye vibhaagon se swatantra hai shaamil hai, ke paas zimmedaari hai audit karne ka taaki woh paryaapt jaankaari de sake praapt yogdaan par, kiye gaye kharch, aur Girjaghar sampatiyon ke suraksha par.
Jo audit hua, uspar adhaarit Girjaghar Auditing ka yeh vichaar hai ki, sabhi saamaanon ko lekar, praapt hue yogdaan, kiye gaye kharch, aur Girjaghar sampattiyaan 2017 varsh ke darj aur istemaal kiye gaye hai niyamit Girjaghar bajaton, nitiyon, aur kaaryevidhiyon ke anusaar. Girjaghar apne sadasyon ko sikhlaaye gaye riwaaj par chalta hai bajat mein ji kar, karza se dur reh kar, aur zaroorat ke samay ke liye bachat karke.
Shriddha purwak pesh kiya gaya,
Girjaghar Auditing Vibhaag
Kevin R.Jergensen
Prabandh Nirdeshak