2010-2019
Jawaan Baaligo ka Sabse Mahaan Peedi
April 2015


15:45

Jawaan Baaligo ka Sabse Mahaan Peedi

Hume ab jo zaroorat hai, wah hai is girja ke itihaas ke jawaan baaligo ka sabse mahaan peedi. Hume tumhari puri hirday aur Aatma ki zaroorat hai.

Duniya bhar ke safar mein hameri sabse mahaan abhilasha hai humare pracharakon se mel milaap karna. In mahaan elder aur sistar se Masih ki Jyoti prakaashit hoti hai, aur Prabhu Ishu Masih ke liye unka pyaar aur samarpith sewa se mai prerit hota hoon. Har samay jab mai unse haath milata hoon aur unke badhiya Aatma ko mehsoos karta hoon, mai khud se kahata hoon, “Yah hamare prashaniye bete aur beti sach me ek chamatkaar hai!”

Octobar 2002 maha purohiti sabha ke daoraan, maine bishop, maata-pita aur bhavi pracharakon ko pure samay ke pracharak sewa ke “darje ko uthaane” ki chunaoti di thi.

Maine tab kaha tha ki “humari jo zaroorat hai … girja ke ithihaas mein pracharon ki sabse mahaan peedi. Hume zaroorat hai layak, yogye, hirday aur Aatma se joshile pracharoko ki.  …

“… Hume tumhari puri hirday aur Aatma ki zaroorat hai. Hume furtile, sochne waale, joshile pracharakon ki zaroorat hai jo Pavitra Aatma ke dhire bol ko sun sake aur uska uttar de sake.” 1

Kai tarah se aaj ki duniya 13 varsh pahale se aur kathin hai. Humare jawaan purush aur jawaan mahilaaen zyaada vyakultaen paate hai apne mission aur bhavishya ke khusaal jeewan ki tayari mein. Teknoloji fayl chuki hai, aur lagbhag sabhi log ke paas telephon atyaadi uplabdh kar sakte hai jo Parmeshwar ke manushya parivaar ko dono mahaan acchai aur mahaan burai ki or unke dhyaan ko bandhi kar sakti hai.

Aaj raat, mai girja ke un logon se baat kar raha hoon jo prachaarak abhi sewa kar rahe hai, bhavishya ke pracharak, waapis aye pracharak, aur jo sabhi jawaan purush hai. Main prarthna kartha hoon ki jo main kahana chahata hoon use tum apne is uthejak aur kathin jiwan ki yatra mein puri soch aur vichaar se samjhoge

Girja ke shuru ke dino mein, pracharakon ko mission field par jaane se pahale Maha Adhikaari dwara intarview diya jaata tha. In dino tumhara interview bishop aur stake pradhaan dwaara kiya jata hai, aur aap me se kai log bina Maha Adhikaari ke intarview ke apni sari zindagi bita denge. Yah saralta se humare vishwabhar(worldwide) girja ke 15 million membar ka parinaam hai. Mai jaanta hoon ki mai apne Bhaiyon ki or se bhi kahata hoon ki yah humari asha hai ki yah mumkin hota ki hum aap ko vyaktigat taur se jaane aur aap se kah sake ki hum aap se pyaar karte hai aur aap ko samarthan karte hai.

Saobhagya se, Parmeshwar aap tak pahunchne ke liye kai raaste tayaar kiye hai. Udharan ke taur par, Barah ke Parishad ka ek sadasye har pracharak ko uske mission ki niyukti deta hai. Bhale hi yah paramparik amne-samne ki intarview dwara hota hai, teknoloji aur prakat hone ki kriya milkar aisa anubhav pradhaan karta hai jo ashcharyajanak taur se niji aur vyaktigat hai. Mujhe batane do ki yah kaise hota hai.

Aapki tasveer aur kuch khaas jaankari jo aapke bishop aur stake pradhaan dwara diya gaya hai wah computar ke screen par aata hai. Jab aapki tazveer aati hai tab hum aap ki aankho mein dekh kar aapke prachaarak yogyata sawaal ke jawaab ko doharate hai. Us pal bhar ke liye hume aisa mehsoos hota hai ki aap humare paas hai aur tatkaal humein jawaab de rahe hai.

Jab hum aapki tazveer ko dekhte hai, hume bharosa hai ki aapne “darje ko uthane” ka anupalan kiya hai jo vishwaaskari aur kaamyaab pracharak banne ka avashyak vasthu hai. Tab Prabhu ke Aatma aur takat dwara aur Pradhaan Thomas S. Monson ke nirdeshan dwara hum aapko Girja ke 406 vishwabhar ke ek mission mein nirdharith karte hai.

Nahi, yah vyaktigat, amne-samne ka intarview nahi hai. Par yah kareeb hai.

Videoconferencing ek aur tarika hai jo humein Girja ke leadar aur sadasye jo Girja kendrasthaan se door rahate hai tak pahuchne mei madad karti hai.

Ise dhyaan mein rakh kar, main chahata hoon ki jo mission par jaane ki tayaari kar rahe hain aur jo mission se waapas aa chuke hain kuch pal mere saath bithaye jaise ki hum abhi video chat kar rahe ho. Kripya kuch pal meri or dekhiye jaise ki aaj raat aap jaha kai bhi ho aisa lage ki sirf aap aur mai is kamre mein hain.

Main khud sochunga ki main aap ki ankhon mein dekh raha hoon aur dhyaan se aapke un sawalo ka jawaab ko sun raha hoon jo mujhe app ke gawahi ki gehrai aur Parmeshwar ke prati prem ka ahesaas dilaegi. Agar main theek se dohraaun jo maine pracharako se 13 saal pahale kaha tha, Hume ab jo zaroorat hai, wah hai is girja ke itihaas ke jawaan baaligo ka sabse mahaan peedi. Hume tumhari puri hirday aur aatma ki zaroorat hai. Hume furthile, sochne waale, joshile jawaan baligo ki zaroorat hai jo Pavitra Aatma ke dhire bol ko sun sake aur uska uttar de sake ek adhunik Antim-dino ke Sant ke laalach aur pareshani ki is yatra mein.

Dusre shabdo mein, ab samay hua hai darje ko uthaane ka na ki sirf pracharakon ke liye par waapis aye pracharak aur aap ki puri peedi ke liye. Us anth tak, kripya apne hirday mein in sawalo ka jawaab sochiye:

  1. Kya aap humesha dharamshastra ko padhte hain?

  2. Kya aap har subha aur har shaam ko ghutne tekh kar apne Pita Parmeshwar se prarthna dwara baate karte hain?

  3. Kya aap upwaas rakhte hain aur har mahine upwaas ka bhent dete hai- bhale hi aap ek gareeb aur sangarshit chaatra hai jo bahut kuch daan nahi kar sakta hai?

  4. Kya tum gehre mann se Uddhaarkarta aur Unke praeschit ke balidaan ke baare mein sochte ho jab tumhe prabhubhoj tayaar karne, baatne yah prabhubhoj lene ko kaha jaata hai?

  5. Kya tum apne sabhaaon mein bhaag lete ho aur Sabbath ko pavitra rakhte ho?

  6. Kiya tum ghar, paathshaala, girja aur kaam par sachche ho?

  7. Kya tum maansik aur adhyaathnik rup se saaf ho? Kya tum ashleel tasveer, yah gande website, magazine, filam, yah apps jaise Tinder aur Snapchat tasveerein se bachne ki koshish karte ho, jisse tumhare maata-pita, Girja ke neta yah khud Uddhaarkarta tumhe inhe dekhte hue sharminda ho jaaye?

  8. Kya tum apne samay ke saath hoshiyaar ho—anuchit teknoloji aur social media, jisme shaamil hai, video games jo tumhare athisanvedhansheetha par badhaa daal sakti hai se bachte ho?

  9. Kya tumhare jeewan mein aisa kuch hai jise badalna yah theek karna jiski shuruwaat tum aaj raat se kar sakte hai?

Mai is chote se vyaktigat mulakaat ke liye aapko dhanyevaad deta hoon. Mujhe aasha hai ki aapne saare sawalo ka jawaab sachchai aur vichaarpurvak diya hai. Agar aapko aisa lagta hai ki aapmein in saadharan siddhant ki kami hai, tab mai aap ko uthejith karta hoon ki aap himmat se pashchataap karein aur apne jeewan ko waapas susamachaar ke star ke sachche chelepan mein laaye.

Ab, bhaaiyon, kya mai atirikt updesh de sakta hoon jo aapki madad karega apne susamachaar ki gawahi apne hirday aur apne mann mein geharai se utarne mein?

Mai yaad dilata hoon aap waapis aaye pracharakon ko, ki aap ke jiwan aur parivaar ki tayaari nirantar rahegi. “RM” ka arth “retired Mormon” nahi hai! Ek waapis aaye pracharak ki tarah “aapko is achche kaarye mein chintit ho kar shaamil hona chahiye, aur kai cheez apne ichcha anusaar karna chahiye jo zyaada achchai laaye.” 2

Kripya apne mission par seekhe hue nipunta ka istemaal ki jiye un sabhi logo ke jeewan mein aashish laane ki jo har din aap ke aas paas rehte hain. Apna dhyaan dusro ki sewa se hata kar keval apne paathshala, kaam, yah sansaarik sakriyatha par math daaliye. Iske bajaae, apne jeewan ko dhaarmik anubhav se barabar ki jiye jo aapko nirantar taur se dusro ki dekhrekh ki yaad dilaye.

Apne mission ke daoraan aap ne logon ko unke ghar par bhent karne ka mahatva samjha hai. Meri aasha hai ki aap jawaan baalig, bhale hi aap ne pure samay ke mission mein bhaag liya ya nahi, un logon ko bhent karne ka mahatva samjhenge jo akele hai, bimaar hai, yah jinka himmat toot gaya hai—nah ki sirf niyukti ke kaaran par aap ke sachche prem ki vajah se bhi jo aap Pitah Parmeshwar aur unke bachcho ki or mehsoos karte hain.

Aap jo high school mein hai aur apne mission ki tayaari kar rahe hain, mai aap ko uttejit karta hoon ki aap paadriyon ka vidhyalay (seminary) se graduate ho. Aap jawaan baaligo ko institute mein dakhilana lena chahiye. 3Agar aap girja ke paathshala ja rahe hain tho har semestar ek dharmik kakcha mein bhaag li jiye. Is mahatvapurn mission yah anant vivah ki tayaari ke samay aur apne baalig jeewan ke daoraan aapko nirantar rup se Pavitra Aatma dwara prerna aur maargdarshan ki siksha milni chahiye. Ek saavdhanik, prarthna se bhari susamachaar ki padhai, paadriyon ka vidhyalay(seminary), institute yah dhaarmik kaksha aap ko is lakshye mein madad pahuchaegi.

Chahe aap Girja ka paathshaala jaaye yah nahi, chahe aap college jaye yah nahi, yeh mat sochiye ki aap susamachaar ki siksha ke liye vyast hai. Paadriyon ka vidhyalay (seminary), institute yah dhaarmik kaksha aap ke jeewan mein barabarta layega aur aapke sansaarik padhaai mein madad karega aur aapko mauka dega dharamshaastra aur devduton aur bhavishyevakta ke siddhant ki padhaai karne mein. Chaar naye bahmulye kakshaye hai jise main prothaasan dunga ki har jawaan baalig isme bhaag le. 4

Yeh mat bhuliye ki kakshaye aur gatividhiya jo aap ke sthaaniye institute yah ward aur stake jawaan avivahit baaligo dwara pradhaan kiya jaata hai ek aisi jagah hai jaha aap jawaan purush aur mahilaye ek dusre ko prerit kar sakte hain aur ek saath dhaarmik taur se badh sakte hain aur ek dusre se mel-milaap kar sakte hain. Bhaaiyon agar aap apne mobile phon ko bagal rakh kar agar aas paas thoda dekhe tho, aap ko shaayad bhavishye ka saathi institute mein mil sakta hai.

Jo mujhe dusre salaah tak pahunchata hai, jo mujhe yakeen hai tum jaante the ki aane waali hai. Jawaan avivahit baaligo ko date aur shaadi karni chahiye. Kripya vilambh karna bandh ki jiye! Main jaanta hoon ki aap mein se kuch parivaar rachna se darthe hain. Lekin agar aap sahi vyakti se sahi waqt aur jagah shaadi karenge tho aap ko darna nahi chahiye. Asal mein kai samasya jinka aap saamna karte hain tal sakta hai agar aap “chintit ho kar” sachche dating, premlaap aur shaadi ki or dhyaan de. Unhe text mat ki jiye! Apne khud ki awaaz se Parmeshwar ke sachche betiyaan jo aap ke aas-paas hain se apna parichay karaiye. Ek manushye ki awaaz sunn kar dangh se shayad wah haan kah degi.

Ab, Bhaiyon, main apni gawahi deta hoon aapko, ki Ishu Maseeh wah sab theek kar sakta humare jeewan mein jise hume theek karna hai Apne praeshchit ke balidaan se.

Aaj shaam jab hum Kal ke Eastar Raviwaar ke utsav ki tayaari kar rahe hain, kripya kuch mere saath ho kar yaad karein Maseeh ke Praeshchit ka uphaar ko. Yaad rakhiye ki hamare Swarg ke Pita aur hamare Uddharkarta, Ishu Maseeh, tumhe sabse behtar jaante aur prem karte hai.

Praeschit dwara Udhaarkarta ne Apne upar humari takleef, peeda aur paap ko apne upar liya. Is duniya ke Masiha aaye the, hum sab ko vyaktigat rup se samajhne, humari bikhri hui asha, mushkile aur takleefo ka anubhav Apne Gethsemane ke krus ki yaatra se pa kar. 5 Veh mare jo humare liye apne prem ka aakhri anukaran tha aur us vinaashak raat unhe kabra mein dafna diya gaya.

Raviwaar ki subha, Ishu mrityu se ji uthe the—hum sab ke liye naye jeewan ka vaada le kar. Ji uthe Prabhu ne Apne chelo ko adesh diya ki veh sabhi ko Masih mein vishwaas, paap se praeshchit, baptisma lena, Pavitra Aatma ke uphaar ko paana, aur anth tak jhelna padhaye. Bhaiyon hum jaante hai ki Pita Parmeshwar aur unke Priye Putra ne Bhavishyavakta Joseph Smith se arpan kar ke unke dwara Ishu Maseeh ke anant kaal susamachaar ki purnata ka punahsthapith kiya tha.

Shaktimaan raho bhaiyon. Parmeshwar ke aadesh ka paalan karo. Prabhu Ishu Maseeh ne vaada kiya hai ki jo kuch bhi sachchai se hum ichcha karenge wah humara hoga. Girja ke neta aap par granha kar rahe hain. Yeh avashyak hai aap mei se har jawaan baalig shaadi ki tayaari karein, sewa karein aur aane waale dino mein aguaai karein, yeh main Ishu Maseeh ke naam se namrata se prarthna karta hoon, amen.