2010-2019
Ha, Hum Kar Saktein Hain aur Safal honge!
April 2015


11:59

Ha, Hum Kar Saktein Hain aur Safal honge!

Hume apne Ishu Maseeh ke susamachaar ki gawahi par aur zyaada sthir rehna hoga. Tab humari jeet hogi roz ki yuddh ko burai se.

Pyaare bhaaiyon, main vinamar hoon tumse baatein karne ke saobhaagye hai, jo aaj vishwabhar ka Girjaghar ka Parmeshwar ke purohiti ko rakhnewaalon se.

Pradhaan Thomas S. Monson ne ek baar kaha tha:

“Duniya kabhikabhi dar ka sthaan ho sakta hai jeene ke liye. Sanstha ke achche gun kam hote ja rahein hain bahut hi tezi se. Koi nahi- chahe jawaan ya buzurg ya adher- un cheezon se bach sakta hai jis ke paas chamta hai hume niche giraane aur barbaad karne ka. …

“… Parantu hume himmat nahi haarna chahiye. … Hum paap se ladh rahein hain. … Yah ek ladaai hai hum kar saktein aur safal honge. Humare Swarg ke Pita ne hume wah aozaar diya hai jo zaroori hai ladaai mein safal hone ke liye.”1

Hum sabhi, jawaan ya buzurg, Pradhaan Monson ke batlaaye hue ladaai ko har samay jheltein hain. Virodhi aur shaitaan ke devdut hume gumrah kar rahein hain. Unka kaarye hai ki hume badhanti dein Prabhu ke saath banaaye hue vaadon ko todhne mein, hume humare anant viraasat se dur kartey hue. Weh humare Swarg ke Pita ke yojna ko achchie tarah se jaantein hain, Unke bachchein, weh humare saath us mahaan Swarg ke Salahaa mein shaamil the jab wah taeyaar ho raha tha. Weh humare kamzoriyon aur galtiyon ka faeda utadhana chahatein hain, hume “andhere ka dhundh …, jo ankhon ko andha kar deta hai, aur manao vansh ke hriday ko katthor banata aur logon ko us chaudhe raaste par le jata hai jaha weh nasht ho jatein hain aur kho jaatein hain.”2

Bhale hi hum virodhi ko anubhao kartein hain, jaesa Pradhaan Monson ne sikhlaya hai, yah wah ladhaai hai jismein hum saktein aur safal honge. Prabhu humare chamta aur karne ki shakti mein vishwaas karta hai.

Dharamshaastra mein kai anginit uddhaaranen hain unke bare mein jinhone apne ladhaaiyon ko jeeta hai, bahut hi bure stithiyon mein bhi. Is ka ek uddhaaran Mormon ki Dharamshaastra mein Captain Moroni hai. Yah visheyest jawaan pursh hi ke paas sachchaai se gadhe rehne ki chamta thi us samay jab yaha par kai matbhed aur ladhaai ho raha tha jismein puri Nephite desh barbaadi ke khatre mein tha. Bhale hi wah apne zimmedaariyon ko bhale bhaati nibhaata tha, Moroni vinamar raha. Yah aur dusre gunon ne use Parmeshwar ke haathon ka mahaan aozaar banaya. Alma ke dharamshaastra mein samjhaya gaya hai ki agar sabhi insaan Moroni ki tarah rahein, “adholog ki shakti ki shakti hi sadeo ke liye nasht ho jaati; [aur] maanao ke hridayon par shaaitaan ka kabhi bhi koi adhikaar nahi ho pata.”3 Moroni ke sabhi gun Parmeshwar aur Prabhu Ishu Maseeh mein uske mahaan vishwaas se prapt hua tha4 aur usko Parmeshwar aur Uske bhavishyevaktaoun ke piche chalne ki sthir nishchaye.5

Isliye, hum sab ko zaroori hai ki aaj ka naya Captain Moroni jaesa bane humare jiwan ke ladaai mein virodhi ke khilaaf safal hone ke liye. Main ek jawaan deacon ko jaanta hoon jisne apne aap ko naya Captain Moroni ki tarah banaya tha. Yah jawaan purush bahot hi vishwaassi tha aur apne maat-pitaaoun aur Girjaghar ke netaaoun ke salaaha par chalne ko chuna tha. Uska vishwaas aur nishchaye ko har din jaancha gaya tha, uske jawaan umar par bhi. Ek din usne mujhe batlaya ki, wah ek bahut bade musibat aur bechaaeni ke stithi ko dekh kar aschariye mein padh gaya- uske mitra apne fone par ashlilchitra dekh rahe the. Usi samay, is jawaan ko faesla karna tha ki kya zaroori tha- uska naamchin hona ya sachchaai. Kuch hi pal baad, use himmat prapt hui aur usne apne mitron se batlaya ki jo weh kar rahe the wah galat tha. Aage, usne batlaya ki jo weh kar rahe the ko bandh karein ya weh uske alat mein pad saktein hain. Uske kaksha ke kai ne uski salaaha ko nahi mana, kehte hue ki wah jiwan ka ek bhaag hai aur usmein kuch galti nahi tha. Phirbhi, unmein ek tha jisne us jawaan purush ki salaah ko maana tha aur jo wah kar raha tha ko chodh diya.

Is deacon ke sahi uddhaaran ne kaksha ke ek hi bachche par achcha prabhaao dala tha. Beshak hi, usko aur uske mitra ko bhala bura kaha gaya us stithi ko lekar. Dusri or, unhone Alma ke chetaaoni ko suna tha jo usne logon ko diya tha kaha kar, “Tum paapion mein se nikal aao aur alag raho, aur unki ashudh vastuon ko mat chuo.”6

For the Strength of Youth ka vivran mein salaha hai, jo Pratham Adhyakshta ne Girjaghar ke yuvaoun ke liye swikrit kiya hai: “tum zimmedaar ho apne chunaao ke liye . Parmeshwar tumhe jaanta hai aur tumhe madad karega achche chunaao ko banane mein, bhale hi tumare parivaar aur mitra un chunaao ko bananye jo sahi nahi hai. Apne vishwaas par atal khade raho Parmeshwar ki aagyaoun ka paalan karne mein, bhale hi tum akele khade raho. Jab tum yah karoge, tum dusron ke liye uddhaaran banaaoge us par chalne ke liye.”7

Humare jiwan bhar achchaai ki buraai se ladaai jaari rahege jabki shaaitaan ka kaarye hai ki sabhi insaan ko dukhi karna jaese wah khudh hi hai. Shaaitaan aur uske dut humare soch ko aschariye mein karna chahenge aur hum par kabza karenge hume paap ko karne mein daal kar. Agar weh safal hue, weh sabhi kuch jo achcha hai ko bura kar denge. Isliye, zaroori hai samjhna ki unka hum par zor hoga agar hum aagya denge to.

Dharamshaastra mein kai uddhaaran hai jihone virodhi ko aagya diya tha aur ant mein aschambe mein padh gaye the aur barbaad ho gaye the, Nehor, Korihor, aur Sherem ki tarah. Hume zaroori hai ki hum is khatre se dur rahe. Hum apne aap ko is jaanemaan sadasyon ke saath pareshaan nahi kar saktein hain jo asaani se duniya ne swikaar kiya hai aur jo siddhaanton aur Ishu Maseeh ke sachche susamachaar ko viprith kar rahen hain. Duniya ke kai sandasyon mein sirf humare sanstha paap ki oar le ja rahein hain. Hume yah yaad rakhne ki zaroorat hai ki, ant mein, sabhi ko Maseeh ke saamne apne bhale-bure karmon ke nayaye ke liye kada hona hoga.8 Jabki hum is duniyadaari ke sadasyon ko jhel rahein hain, mahaan chamta aur humare Swarg ke Pita ki yojna ki puri gyaan ki zaroorat hogi sahi ko chunne mein.

Hum sab sahi ko chunne ki shakti ko prapt kar saktein hain agar hum Prabhu ko dhoondhe aur usmein apne bharosa aur vishwaas ko rakhein. Parantu, jaesa dharamshaastra sikhlata hai, hume “sachche hriday” aur “achchie abhilaasha, ki zaroorat hai.” Phir Prabhu, Uske anant daya mein, “sachchaai ko [hume] batlayega” Pavitra Aatma ke dwara. Aur Pavitra Atma ke shakti se [hum] sabhi cheezon ke sachchaai ko jaanege.”9

Yah gyaan jo Pavitra Atma ke dwara hoga wah humare gawahi se zyaada nahi hai, jo humare vishwaas ko badhaata hai aur in antim-dinon mein punaharsthapit susamachaar ke shikshanon par chalata hai, duniya ke jaane-maane sadasyon jo hum suntein hai ke bavaajood. Humare gawahi hume shatru ke chalaaye hue teer se bachaaenge usko hume nuksaan pahuchaane ke samay par.10 Yah hume bure samay aur sandeh mein maargdarshan dega jo aaj duniya mein ho raha hai ke dauraan.11

Maine is mul ko sikha tha jab main ek jawaan prachaarak tha. Mera saathi aur main Girjaghar ke ek bahut hi chote aur dur shaakha mein sewa pradaan kar rahe the. Humne shahar ke sabhi logon se vaartalaabh karne ki koshish kiya tha. Weh humse bahut achchie tarah se mile the, parantu weh susamachaar par sawaal karna pasand karte the aur humse sachchaai jo hum sikhla rahe the ke liye saboot ke baare mein pucha.

Mujhe yaad hai ki jab mera saathi aur main kuch logon ko bharosa dilane ki koshish kar rahe they, Parmeshwar ki Aatma humare saath nahi tha aur hum kho jaatey aur pareshaan ho jaate. Humne mehsoos kiya ki hume apne gawahi ko susamachaar ke sachchaai jo hum sikhla rahe the ko zyaada shakti ke saath karein. Us samay ke baad, mujhe yaad hai ki jab humne apne pure hriday se gawahi ko diya tha, ek shaant pramaanith karnewaali shakti Pavitra Aatma se ah kar pure kamre ko bhar liya aur waha sthaan nahi tha pareshaani aur bahas ke liye. Maine sikha ki koi bhi buri shakti jo ho wah pareshaan, dhokha, ya Ishu Maseeh ke sachche chele ki sachchie gawahi ki shakti ko kam nahi kar sakta hai.

Jaesa ki Uddhaarkarta ne Khudh sikhlaya hai, shaaitaan hume ghehun ki tarah fatakna chahata hai, taaki hum apne chamta ko kho dein duniya ko sachchaai se prabhaawit karne mein.12

Mere priye bhaaiyon, kyunki aaj duniya bhar mein bahut zyaada pareshaani aur sandeh fael gaya hai, hume apne Ishu Maseeh ke susamachaar ki gawahi par aur zyaada sthir rehna hoga. Tab humari chamta badhegi sachchaai aur nyaye se khade rehne mein. Hum buraai se har roz ke ladaai ko jeet saktein hain, aur jiwan ke chunaotiyon se ladne ke liye, hum dusron ko Swami ke sthir jeene mein samjha saktein hain.

Main sabhi ko amantrith karta hoon ki dharamshaastra mein paaye hue shikshan mein surakhcha ko prapt kare. Captain Moroni ne Parmeshwar mein vishwaas aur usko dharamshaastra mein paye hue sachche gyaan aur vidhya ki gawahi prapt hua tha. Is tarike mein, usne vishwaas kiya tha ki wah Prabhu ke ashirwaad ko prapt karega aur kai jeet haasil karega, jo hua tha, sahi, mein.

Hum amantrith karta hoon ki sabhi humare abhi ke bhavishyevakta ke shabdon mein surakhchit rahein. Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Hum jo Parmeshwar ke purohiti se niyukt hue hai alag kar saktein hain. Jab hum khudh ko vyaktigat taur se saaf rakh saktein hain aur humare purohiti ki izzat kar saktein hain, hum dusron ko us par chalne ke liye sachche uddhaaran ban saktein hain … [aur hum] aur zyaada bure hote duniya mein sachchaai prakat kar saktein hain.”13

Main amantrit karta hoon ki sabhi Ishu Maseeh ke Praeshchit ke gunon mein aur shakti mein vishwaas kare. Uske praeshchit ke balidaan dwara, hum himmat pa saktein hain apne jiwan ke sabhi musibaton par, humare sankat, chunaotiyon, aur bahakaawe ke dauraan bhi. Hume Uske prem aur bachaane ki shakti mein vishwaas karna chahiye. Maseeh ne Khudh hi kaha hai:

“Maarg aur satye aur jiwan main hi hoon: bina mere dwara koi Pita ke paas nahi pahunch sakta.”14

“Jagat ki jyoti main hoon: jo mere piche holega wah andhkaar mein nahi chalega, parantu jiwan ki jyoti payega.”15

“Main ne yeh baatein tum se isliye kahi hai ki tumhe mujh mein shaati mile. Sansaar mein tumhe kalesh hota hai, parantu dhirish bhaadho, main ne sansaar ko jeet liya hai.”16

Main in sachchaaiyon ka gawahi Ishu Maseeh ke pavitra naam se deta hoon, amen.