2010-2019
Prabhu Mera Jyoti Hai
April 2015


16:30

Prabhu Mera Jyoti Hai

Hume sthir khade rehne aur vishwaasi rehne ki chamta aur jiwan ke kathinaayon par bhi Uddhaarkarta ke piche chalte rahane mein mahan vishwaasi parivaaron se shakti prapt hota hai aur Maseeh -ki tarah humare wards aur shaakaaoun mein ekta.

Is Easter samay par hum humare Uddhaarkarta, Ishu Maseeh dwara pradaan hue mukti ke bare mein sochtein aur khushi manaten hain.1

Duniya bhar mein musibatein aayi kyunki duniya ke buraai ke kaaran kamzori ke ahesaas hota hai. Naye zamane ke vaartalaabh ke saadhan se buraai, andekha, aur galati ke prabhaao ke dwara jiwan mein kai logon ko lagega ki khaas kar galat ho raha hai. Bhale hi yeh musibatein zaroori hai, weh hume humare Maseeh e diviye khushi ko manane se dur na kare. Uddhaarkarta ne “marth par se jeet haasil kiya hai.” Samajh aur daya ke saath Usne Apne upar humare galtion aur buraaion ko saha hai, hume bachaatey hue naye ki keemat ko bharte hue un sabhi ke liye jo Uske naam par paschaataap aur vishwaas karenge.2

Uska mahaan praeshchit ka balidaan mahaan mul hai jo maranshil log nahi samjh saktein hain. Yah daya ka kaarye shaanti deta hai jisse samjhna asaan hota hai.3

Kayse, phir, hum un sachchaaiyon ka saamna kartein hain jo humare ird-gird mein hai?

Some yellow flowers on a mound of dirt.

Meri patni, Mary, humesha sunflowers ko pasand karti hai. Wah khush hoti hai jab weh, anjaan sthaanon par, raastey ke kinaare paye jaatein hain. Wah garde waala raasta par wah ghar hai jaha mere aaja-aaji rahatein hain. Jab hum us raaste par jaate, Mary humesha chillati, “Kya tum sochte ho ki hum un aschariye sunflowers ko aaj dekh sakenge?” Hum aschariye mein padh gaye ki sunflowers us mitti mein khoob khile hue the jaha khet aur barf dur karne waale mashine ka istamaal hua tha aur wah cheezein padi thi jisse mitti achchie nahi thi phoolon ko ugne ke liye.

Yellow flowers by some water

Naye sunflowers ke ek vishyest gun hai, mitti mein padhane ke saath jo bahut achcha nahi hai, ki kis tarah naye phool ka bad suraj ki oar akaash mein badhata hai. Yah karte hue, use jiwan mein bane rahane ke liye sakti prapt hone se pehle ek sundar peela phool nikalta hai.

Naye sunflower ki tarah, jab hum duniya ke Uddhaarkarta ke piche chaltein hain, Parmeshwar ka Putra, hum aage badhatein hai aur bhale hi hum apne ird-gird bahot hi musibaton ka saamna kar rahein ho aage badhatein rahenge. Wah sach mein humare jyoti aur jiwan hai.

Gehoon aur jangali beejh ki kahani mein, Uddhaarkarta ne Apne chelon ko batlaya ki kathor aur kukaram karne waalon ko Apne raajye mein ikatha karega.4 Parantu vishwaasi ke liye, Usne kaha, “Dharmi apne Pita ke raajye mein surye ke smaan chamkege.”5 Akele, Maseeh ki chelon ke kaarye mein, shatru bhare duniya mein jeene se jo shurgul mein ho, hum koshish kar saktein han aur aage badh sakte hai agar hum Uddhaarkarta mein apne sthir neev ko rakhenge aur Uske sikhshanon par chalenge.

Hume sthir khade rehne aur vishwaasi rehne ki chamta aur jiwan ke kathinaayon par bhi Uddhaarkarta ke piche chalte rahane mein mahan vishwaasi parivaaron se shakti prapt hota hai aur Maseeh -ki tarah humare wards aur shaakaaoun mein ekta.6

Ghar par Sahi Samay

Parmeshwar ke yojna mein parivaar ka kaarye hai ki “hume khushiyaali de, ek achche vaatwaran mein sahi siddhaanton ko sikhne mein madad kare, aur anant jiwan ke liye tayyaar kare.”7 Dhaarmik gatividhi ka sundar parampara ghar par humare bachchon ke jiwan ka bhaag mein hona zaroori hain.

Mere chacha Vaughn Roberts Kimball ek achche shikshak the, ek lekhah banna chahate the, aur BYU football quarterback ki tarah khelte the. 1941, December 8 ko, Pearl Harbor par hamla ke ek din baad, wah U.S. Navy mein shaamil hua. Jabki wah New York, Albany mein logon ko navy mein shaamil hone ke liye guzaarish kar raha tha, usne ek chota sa lekh likha tha Reader’s Digest. ko. Lekh se use $200 prapt hue aur uske lekh ko, “Ghar par Sahi Samay,” ke shirshak ke saath May 1944 ke nirgam mein chapa tha.

Usne Reader’s Digest, ki sahiyog mein, jaha usne khudh ko naaosaenik batlaya, bhaag mein likha tha:

“Ghar par Sahi Samay:

“Ek shaam ko New York, Albany mein, maine ek naaosaenik se pucha ki kya samay tha. Usne ek badi ghadi nikali aur jawaab diya, ‘7:20 hua hai.’ Mujhe pata tha ki zyaada samay tha. ‘Tumhara ghadi bandh ho gaya hai, na?’ maine pucha.

“‘Nahi,’ usne kaha, ‘Main Utah ke samay ko batla raha hoon. Main dhakhshin Utah se hoon. Jab main Navy mein shaamil hua, pitaji ne mujhe yah ghadi diya tha. Usne kaha tha ki mujhe yah ghar ki yaad dilane mein madad karega.

“‘Jab mere ghadi mein 5baje subha hoti hai. Main jaanta hoon ki pitaji gaaye duhane ke liye chale gaye honge. Aur raat ko jab 7.30 hota hai main jaanta hoon ki pura parivaar bhojan se bhare mez ke ird-gird baetey honge, aur Pitaji Parmeshwar us par jo kuch hai ke liye dhanyewaad’ de rahe hoge aur Use meri rakhsha karne ko kah rahe honge,’ … usne kaha. Main yah jaan sakta hoon ki kya samay hua hai jaha mere liye saral hai. Jo main jaanna chahata hoon hai ki kya samay hua hai Utah mein.’”8

Lekh ko dene ke hi baad, Vaughn ko Pacific Ocean mein ek jahaaz par kaarye ke liye jana tha. 1945, May 11ko, jab wah Okinawa ke nazdeek, USS Bunker Hill jahaaz par swa kar raha tha, jahaaz do hawaaijahaaz se halma kiya gaya.9 Lagh bhag 400 karamchaari mar gaye the mere chacha Vaughn ke saath.

Elder Spencer W. Kimball ne Vaughn ke pita se apne hriday se shahanbhuti prakat kiya, Vaughn ke laayak hone par aur Prabhu ke vaada ki “jo mere liye mar jaatein hain weh mrito ko kabhi nahi jhelenge, yah unke liye mitaas hoga. ”10 Vaughn ke pita ne ahista se kaha bhale hi Vaughn ki sharir samundar mein hi doob gaya tha, Parmeshwar Vaughn ko uske swargy ghar par le gaya hoga.11

Athaais saalon baad, Pradhaan Spencer W. Kimball ne Vaughn ke bare mein maha sammelan mein baatein kiya. Usne bhaag, mein batlaya: “Main is parivaar ko achchie tarah se jaanta tha. … maine [unke] saath ghotnon par shaktishally prarthna ko kiya tha. … Ghar par shikshan se is bade parivaar ko anant ashirwaad parinaam ke rup mein mila tha. Pradhaan Kimball ne sabhi parivaaron ko chunaoti diya “apne khotnon par hokar … apne putra aur putriyon ke liye humesha do baar prarthna karo.”12

Bhaaiyon aur bahanon, agar hum vishwaasi se parivaar ke saath prarthna, dharamshaastra shikshan, parivaar gharelu sabha, purohiti ashirwaad, aur Raviwaar din ko sahi karike se paalan kartey hain, humare bachchein jaanege ki kya samay hua hai ghar par. Weh sawarg mein anat ghar ke liye taeyaar rahenge bhale hi unke saath musibat bhare duniya mein kuch bhi hoga. Yah bahut zaroori hai ki humare bachchein jaane ki unhe prem kiya jata hai aur ghar par surakhchit hain.

Pati aur patniyon barabar ke saathi hai.13 Unke paas alag alag zimmedariyon hai parantu saath karye kartein hai. Patni bachchon ko janam deti hai, jisse pure parivaar ko ashirwaad milta hai. Pati ko purohiti prapt hota hai, jisse pure parivaar ko ashirwaad milta hai. Parantu parivaarik salaaha ke dauraan patniyon aur pati, barabar saathi hai, sabse zaroori faesla karne mein. Weh faesla kartein hain ki kis tarah se bachchon ko sikhlaya aur sambhala jayega, kis tarah payese ko kharch kiya jayega, kaha weh rahenge, aur kai dusre parivaarik faeslon ko.

Maseeh ki Jyoti Parmeshwar ke har ek bachchon ke andar parivaar ke anant jiwan ke bare mein sikhlata hai. Mera ek pasandida lekhak, humare dharm ka nahi, ne is tarah se batlaya hai: “Jiwan mein kuch bhi itna zaroori nahi hai [parantu] … parivaar sab se hai, sabse bada, anant cheez; chez jiski nigraani aur dekhbhaal karna chahiye aur jise wafadaar rehna chahiye.”14

Girjaghar Humari Madad Karta hai ek Ekadith Parivaar ki tarah Uddhaarkarta par Dhyaan dene mein

Parivaar ke saath, Girjaghar ka kaarye bhi mahaan hai. “Girjaghar sangatonon ko sabhi kuch deta hai Parmeshwar ke bachchon ko Ishu Maseeh ke susamachaar ko sikhlane ke liye. Yah purohiti rakhne waalon ko adhikaar deta hai ki mukti aur khushiyon ke siddhaant ko unhein de jo unke liye laayak hai aur chahatein hain.”15

Duniya mein yaha sabhi sthaan par jagda aur buraai aur vibhin paramparaoun par mahaan prabhaao aur bhedbhaao. Girjaghar mein, bhaasha units ko chod kar, humare wards aur shaakhaoun mein bhogolik [geographical] hai. Hum kaksha yah padvi mein nahi baatein hai.16 Hum us sachchaai mein khush hai ki sabhi jaati aur parampara saath miltein hain ek sachche samgaton ki tarah. Humare ward parivaar zaroori hai humare badhanti, khushihaaly, aur veyaktigat chamta ki aur ziyada Maeesh ki tarah banne mein.

Paramparaein humesha logon mein bhedbhaao lata hai aur kabhikabhi jhagde aur bhedbhaao ka ek mul.17 Mormon ki Dharamshaastra mein kuch katin bhaasha ka istamaal kiya gaya hai galat pitaaoun ke parampara ko batlaane ke liye jayse jhagda, ladaai, bure karam, paap, aur logon aur deshon ke barbaadi bhi.18

4 Nephi se achcha koi bhi shuruaat ka dharamshaastra nahi hai Girjahar ke mukhye parampara ko humare liye batlane mein. Verse 2 mein usmein likha gaya hai, “Sabhi log Parmeshwar mein parwartith the, desh bhar ke, dono Nephites aur Lamanites, aur unmein koi bhi jhgde aur ladaai nahi the, aur sabhi insaan ek dusre ke saath kaarye kar rahe the.” Verse 16 mein hum padhatein hai ki, “Aur nishchay hi Parmeshwar ke haathon dwara rache gaye sare logon mein in logon ki tarah anandmein aur koi bhi nahi hai.” Aur logon ke hriday mein Parmeshwar ka jo prem niwaas kar raha tha, uske kaaran desh mein koi vivaad nahi tha.”19 Yah wah parampara hai jise hum chahatein hain.

Parampara ke sabhi mul aur vishwaas yah batlata hai jo hum hai. Balidaan, abhaar, vishwaas aur sachchaiyon ki parampara mein khushi manana chahiye aur bachana chahiye. Parivaaron ko khush hona chahiye aur us parampara ko bachana chahiye jise vishwaas badhata hai.20

Ek parampara ka mahaan mulye uski bhasha hai. California, sthan, San Francisco mein, jaha main rahata tha, jaha saath bhaashaoun ke units the. Girjaghar ke handbook mein is ko desh ke bhaasha ka unit nahi haka gaya hai. Bhaasha ke liye humare siddhaant mein izzat ko Doctrine aur Covenants bhaag  90,  11 mein batlaya gaya hai: “Ki wah us din mein ayega, ki sabhi insan apne khudh ke mukh se susamachaar ke sachchaai ko sunega, aur khudh ki bhaasha mein.”

Jab Parmeshwar ke bachchein apne khudh ne bhaasha mein use baatein kartein hain, wah hi unke khudh ki bhaasha hai. Yah saaf hai ki khudh ki bhaasha sahi ke liye anmol hai.

Mera bada bhaai, Joseph, ek medikal daaktar hai aur San Francisco Bay sthaan par kai saalon se kaam karta hai. Ek buzurg Samoan Girjaghar ka sadasye, jo ek naya mariz tha, uske daftar par gaya. Wah bahut hi, durbal peede mein tha. Yah pata chala tha ki use kidney mein pattar tha aur sahi ilaajh ko liya gaya. Is vishwaasi sadasye ne kaha ki lakhshye tha ki samjhe ki kya hua tha taaki wah Samoan mein Swarg ke Pita se apne swaast ke vishye par prarthna karta.

Yah sadasyon ke liye zaroori ki apne khudh hi ke bhaasha mein susamachaar ko samjhein taaki weh prarthna kar sakein aur susamachaar ke siddhaanton ke saath kaarye ko karein.21

Kai bhashaaoun aur sundar, upar utaane waale parampara riwaaz ke saath, sahi ke hridayon ko ekta ke bandhan se aur prem se baandhana chahiye.22 Prabhu ne saaf taur se batlaya hai: “Sabhi logon ko apne bhaai ko khudh ki tarah jaanna chahiye. …Ek samaan raho; aur agar tum ek samaan nahi ho tum mere nahi ho.”23 Jabki hum alag bhaasha ke parampara ko bhi maina detein hai, humara lakhshye hai ki hum Ishu Maseeh ke susamachaar mein sabhi tarah se parampara, sangaton, aur riwaaz se ekta rahein.

Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka kabhi bhi Shaktishaali Nahi Hua hai

Hum dekhtein hain ki kuch sadasyon ke paas swaal aur jintaaein hai jab weh apne vishwaas aur gawahiyon ko mazboot karne ko dhoondh rahe hai. Hume saaodhaan rahana chahiye ki un chintaaoun ka buraai aur nayaye nahi karein- badi ya choti. Ussi samay, jinhe paas chintaaein hai unhe sabhi kuch karna chahiye khudh ke vishwaas aur gawahi ko badhaane mein. Shaanti aur vinamrata se sikhne, sochne, prarthna, susamachaar siddhaanton mein jeene, aur sahi neetaoun se salaaha lena sab se achcha tarika hai sawaalon aur chintaaoun ko dur karne ka.

Kuch ne batlaya hai ki aaj kai sadasye Girjaghar ko jodh rahein hain, aur abhi yaha aur zyaada sandeh aur avishwaassi hai pehle se zyaada. Yah sahi nahi hai. Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka kabhi bhi shaktishaali nahi hua hai. Girjaghar ke lekh mein se nikaale hue sadasyon ke naamon ke nambar bahut hi kam hai aur abhi haal hi ke saalon mein kam hue hain pehle ke dauraan mein.24 Kuch sthaanon par nambaron mein badi badhanti hui hai, jaese ki endowed sadasyon mein mandir ke zakriye sifaarish rakhne waalon ke saath, buzur- pure -daswe-hisse ko barne waalon, aur jo mission mein sewa kar rahein hain, bahut zyaada hai. Main yah dobara doharata hoon, Girjaghar kabhi bhi shaktishaali nahi hua hai. Parantu, “yaad rakhna ki Parmeshwar ke liye ek bhi aatma bahut maayena rakhta hai.”25 Hum sabhi tak pahunchte hain.

Agar jo sachchaai tum abhi jhel rahe ho bahut hi bhari aur asahaniye lage, yaad rakho ki Gethsemane mein jo dhaarmik peeda saha gaya tha aur Calvary mein samajh se bahar dard aur peeda, Uddhaarkarta ne Praeshchit ko pura kiya, jo is jiwan ke peede se bahut hi zyaada takleef ka tha ko jhela hai. Usne tumhare liye kiya hai, aur mere liye kiya hai. Usne yah kiya kyunki Wah humse prem karta hai aur kyunki Wah Anpe Pita ko sunnta aur prem karta hai. Hum math se bach saktein hai- bhale hi humare sharir ocean mein na kho jaaye.

Is jiwan aur anant tak ke liye ke humara bachaao veyaktigat aur parivaar ki sachchaai, Girjaghar ke siddhaanton, aur Uddhaarkarta ke piche chalne se hume prapt hoga. Yah humara bachaao ka ghar hai musibaton ke samay par. Unke liye jo akela mehsoos kartein hain, tum sachchaai mein sthir khade raha sakte ho jaantey hue ki Praeshchit tumhe bachaayega aur ashirwaad dega tumhare use samjhne mein chamta se zyaada.

Hume Uddhaarkarta, humare vaadon ko nibhaane ka, aur Parmeshwar ke Putra ke piche chalne ko yaad rakhna chahiye jaese ki naya sunflower suraj ki jyoti ki oar badhata hai. Uske jyoti aur uddhaaran par chalne se hume anand, khushi, aur shaanti prapt hoga. Jaesa Psalm 27 aur mera ek pasanditha ishbhajan dono mein batlaya gaya hai, “Prabhu mera jyoti aur mukhti hai.”26

Is Easter saaptahaant, Uddhaarkarta ki ek Devdut ki tarah, main Ishu Maseeh ke Punaharjiwan ke sachche gawahi ko deta hoon. Main jaanta hoon ki Wah jiwit hai. Main Uski awaaz ko jaanta hoon. Main Uski diviyeta aur Praeshchit ki sachchaai ka gawahi deta hoon Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Dekhiye 2 Nephi 9:20–22.

  2. Dekhiye Mosiah 15:8–9.

  3. Dekhiye Philippians 4:7.

  4. Dekhiye Matthew 13:41.

  5. Matthew 13:43.

  6. Dekhiye Doctrine and Covenants 115:5–6.

  7. Handbook 2: Administering the Church (2010), 1.1.4.

  8. Vaughn R. Kimball, “The Right Time at Home,” Reader’s Digest, May 1944, 43.

  9. G. A. Seitz, U.S. Navy, USS Bunker Hill, se patra May 25, 1945 ko likha gaya, Vaughn Kimball ke pita ko, Mr. Crozier Kimball, Draper, Utah.

  10. Spencer W. Kimball se likhe, Crozier Kimball ko, June 2,1945 ke patra ko dekhiye; Doctrine and Covenants 42:46.

  11. Marva Jeanne Kimball Pederen mein, Crozier Kimball, Vaughn Roberts Kimball: A Memorial (1995), 53 ko dekhiye.

  12. Spencer W. Kimball, “The Family Influence,” Ensign, July 1973, 17. Spencer W. Kimball Barah Devduton ke Parishad ke Pradhaan the.

  13. Dekhiye The Family: A Proclamation to the World,” Ensignya Liahona, Nov. 2010, 129.

  14. Carla Carlisle, “Pray, Love, Remember,” Country Life, Sept. 29, 2010, 120.

  15. Handbook 2, 1.1.5.

  16. Dekhiye 4 Nephi 1:26.

  17. Parampara par aaj ke duniya mein zyaada vaartalabh kiya jata hai. 2014 ke saal ke liye parampara shabdh ko Merriam-Webster.com. ke dwara saal ka mukhye shabdh kaha gaya tha.

  18. Dekhiye Alma 9; Helaman 5.

  19. 4 Nephi 1:15.

  20. German bhavishyevakta Goethe ne khaaskar likha. “Sahi mein yah diklata hai ki kya tumhe tumhare pita se prapt hua hai, tumhe khudh ke liye kamna hai!” !” (Johann Wolfgang von Goethe, Faust, trans. Bayard Taylor [1912], 1:28).

  21. Yah ek kaaran hai ki Girjaghar 50 bhaashaaoun mein susamachaar ko sikhla raha hai aur Mormon ki Dharamshaastra 110 bhaashaaoun mein anuwaad kiya ja raha hai. Phirbhi, duniya bhar min ek chunaoti hai ki jaha tum rahatey ho waha ka bhaasha sikho.Maata-pitaaoun ki tarah hume zaroori hai balidaan dena badhatey hue peedi ko jaha weh hain ke bhaasha ko sikhne mein madad karne ke liye.Unki madad kareinus bhaasha ko apne hriday ki bhasha ko banane mein.

  22. Dekhiye Mosiah 18:21.

  23. Doctrine and Covenants 38:25, 27.

  24. 25 saalon se, Girjaghar ke sadasyon ke sahi nambaron ke ginti mein kami aya hai aur Girjaghar dugni badh chuki hai. Bacha hua nambar bahut hi kam ho raha hai.

  25. Doctrine and Covenants 18:10.

  26. Psalm 27:1; “The Lord Is My Light,” Hymns, no. 89 bhi dekhiye.