Isliye Unhone Apne Bhaey ko Shaant Kiya
Duniyadaari ka bhaey ki tarah nahi jo bhaey aur chinnta deta hai, parmeshwar ka bhaey shaanti, aaswaasan, aur himmat deta hai.
Mujhe abhi bhi achchie tarah se wah ghatna yaad hai jo mere bachpan mein hua tha. Ek din mere mithron ke saath khelte samay, maine galti se apne ghar ke kareebi ek dukaan ke khidki ke shishe ko todh diya tha. Jaise hi shisha tuta aur zor se alaam bajh utah, mere hriday aur mann mein bahut hi dar hua. Mujhe turant hi yaad aya ki mujhe apni puri jiwan ko jhel mein bitaana padega. Mere mata-pita ne mujhe ghaat ke niche se fusla kar nikaala aur mujhe madad kiya ki main dukaan ke maalik se apne galti ka harjana bharun. Saubhaagye, se mujhe apne galti ke liye jhel nahi jana pada.
Us din jo dar maine mehsoos kiya tha wah jabardast aur asal mein tha. Tumne bahut hi dar ke ahesaas ko mehsoos kiya hai apne vyaktigat swaast ko lekar, ek parivaar ke sadasye ko musibat ya khatre ko jhelte dekh kar, ya duniyadaari ke kaarye ko dekhte hue. In stithiyon mein, ghabraahat ke mare dar payeda ho jata hai kyunki asaani se khatra, shak, ya peeda aur us anjaan anubhaoun, kabhi kabhi achaanak, aur galat vichaar bhi ah jata hai.
Humare har din ke jiwan mein, hinsa, akaal, ladaaiyon, bharstachaar, aatank, gunon mein gir jaatein hai, bimaariyon, aur prakritik vipatti ke kaaran ke kai apraadhi suchna se dar aur bhaye ka parinaam payeda ho jata hai.Hum us stithi mein hain jo Prabhu ne pehle hi batla diya tha: “Aur us din mein … aur dharti par vidroh hoga, aur insaan ke hriday mein dar hoga” (D&C 45:26).
Mera karye hai ki batlaao ki kis tarah se Prabhu Ishu Maseeh mein sahi gyaan aur vishwaas se dar ko nikaala ja sakta hai. Main namratapurwak pararthna karta hoon nki Pavitra Aatmaa hum sab ko ashirwaad dega jabki hum is zaroori shirshak par saath batein kar rahein hain.
Marnewaala Dar
Parmeshwar ki awaaz sun kar fal khaane ke baad, Adam aur Eve ne Edan ke Bagiche mein apne aap ko chupa liya tha.Parmeshwar ne Aadam ko bulaya aur pucha, “Tu kaha hai? Aur [Adam ne jawaab diya], main tera awaaz sunkar… , aur main dar gaya tha” (Genesis 3:9–10). Dekha jaye ki, Adam aur Eve ka sab se pahala nirasha tha dar ko anubhao karna. Yah shaktishaaly abnubhao humare maranshil jiwan ka sabse zaroori bhaag hai.
Mormon ki Dharmshaastra ke uddhaaran mein se Prabhu ka ek shaktibahra gyaan ko batlaya gaya hai (dekhiye 2 Peter 1:2–8; Alma 23:5–6) dar ko bhagane ke liye aur shaanti laane ke liye jab hum mahatavpurn virodhi ko jheltein hain.
Helaman ke nagar mein, Alma ke logon mein Lamanite senik se dar tha.
“Lekin Alma unmein ja kar khada hua, aur unhein aagya diya ki weh bhayebheet na hoye, parantu … apne Prabhu Parmeshwar ki samran karein, jo unki rakhsha karega.
“Isliye unhone apne bhaey ko shaant kiya” (Mosiah 23:27–28).
Dekho ki Alma ne logon ke bhaey ko shaant nahi kiya tha. Parantu, Alma ne vishwaasiyon ko Prabhu ko yaad karne ko yaad dilaya tha aur wahi tha jo Wah sirf batla sakta tha (dekhiye 2 Nephi 2:8). Aur Uddhaarkarta ke bachaane waale gyaan ke dekhbhaal ke kaaran logon ne apne bhaey ko shaant kiya.
Prabhu ke sahi gyaan aur vishwaas ke shakti dwara hum apne bhaey ko shaant kartein hain kyuki Ishu Maseeh hi wah ant tak ka shaanti ka zariya hai. Usne batlaya, “Hume uske bare mein sikhna aur uske vaani ko sunna chahiye. Hume Uske ke vinamar Aatma ke saath chalna chahiye, aur hume Usmein hi shaant prapt hoga” (D&C 19:23).
Swaami ne yah bhi batlaya ki, “jo sachchaai ke kaarye ko karenge weh ashirwaad parpt karenge, is duniya mein shaanti, aur anewaale jiwan mein anant jiwan ” (D&C 59:23).
Maseeh mein vishwaas aur saahas aur us gunon, daya, aur mahima ko karne ki ichchaaoun, se Maseeh ke Praeshchit, aur Punaharjiwit kiye jaane ki dwara anant jiwan prapt hoaga (dekhiye Moroni 7:41). Is tarah ke vishwaas aur asha humare jiwan mein anant shaant ko deta hai jiski hume ikcha hoti hai. Praeshchit ki shakti ke dwara paschaataap sambho hua hai aur paap jo payeda hua hai ko khatam karta hai: yah hume dekhnw, karne, aur achcha bannne ke tarikon meinmadad karta hai taaki hum apne maranshil chamta ko kabhi kam na jaane ya samjhein. Sachch mein, bhakti bare chelatav ka ek mahaan ashirwaad hai, “Parmeshwar ki shaanti, jo humare samjh se pare hai” (Philippians 4:7).
Maseeh jo shaanti deta hai hume madad karta hai maranshil jiwan ko samajhne mein anant mahaanta ko jaanne ke liye aur dharmik shaanti ko dene mein (dekhiye Colossians 1:23) jo hume madad karta hai hume humesha swarg safar mein. Phirbhi, hum apne bhaey ko shaant kar saktein hain kyunki humare pure jiwan mein Uska siddhaant hume mahatav aur maargdarshan deta hai. Uske siddhaant aur vaadein dono achche aur bure samay mein madad karta hai. Aur Uska purohiti adhikaar madad karta hai taaki jo cheezein dono samay aur anant tak saath rahega.
Parantu hum bhaey ko shaant kar saktein hain jo asaani aur humesha hume humare abhi ke duniya mein musibaton mein daalta hai? Is swaal ja jawaab humesha ha rehta hai. Humare jiwan mein ashirwaad ko parpt karne ke liye teen mukhye mul hai: (1) Maseeh ko dekho, (2) Maseeh par apne neev ko bannao, aur (3) Maseeh ke vishwaas mein aage badhte raho.
Maseeh ko dekho
Alma ne jo salaaha apne putra Helman ko diya tha wahi hum sab par bhi aaj laago hota hi: “Parmeshwar ki oar dekhkar jiwit raho” (Alma 37:47). Hume har samay aur sabhi sthaan par humusha Uddhaarkarta ko dekhna aur us par dhyaan dena chahiye.
Yaad karo ki Prabhu ke Devdut kis tarah jahaaz mein the, samundra ke beech dawadol ho raha tha. Ishu unke paas gaya, paani par chaltey hue; parantu Usko jaane bina, weh bhaey se chilla utedh.
“Tah Ishu ne turant unse baatein kiya aur kaha, “Daras bhaadho! Main hoon daro mat.
“Aur Peter ne usko uttar diya, he Prabhu, yadi tu hi hai, to mujhe apne paas paani parchalkar aane ki aagya de.
“Aur Usne kaha, Ah” (Matthew 14:27–29).
Tab Peter Ishu ke paas paani par chalkar jaane laga.
“Par wah hawa ko dekh kar dar gaya, aur jab dubne laga tab chilla kar kaha: “He Prabhu, mujhe bacha.
Ishu ne turant haath badha kar thaam liya aur use kaha, “he kam vishwaasi, tune koi sandeh kiya? (Matthew 14:30–31).
Maine Peter ko Uddhaarkarta ke nimantaran par utsah aur turant jawab dete dekha. Uska nazar Ishu par tha, wah naao se bahar aya aur paani par chamatkaarpurn dhang se chalne laga. Srif jab usne hawa aur lahar ke kaaran Prabhu par se dhyaan ko hataya tha aur dar gaya aur dubne laga tha.
Hum apne bhaey par shaanti aur vishwaas ko mazboot karne ke liye ashirwaad prapt kar saktein hain jab hum Prabhu ke aagyaoun ka paalan karenge: “Sabhi cheezon mein mujhe yaad karo; sandeh mat kar, bhaey mat kar” (D&C 6:36).
Maseeh Par Neev ko Banaao
Helaman ne apne putron, Nephi aur Lehi ko batlaya: “Samran rakho, samran rakho ki tumhe apne Uddhaarkarta jo ki Parmeshwar ka putra Maseeh hai, uski chattaan par apni neev ko bananan hai; jisse ki jab shaitaan apni prabal hawa ke jhaokon ko, haan bhawandal ke dhure ko, apne sabhi oale aur bhishan aadhiyon ke thapedon ko tumhare upar bheja, tab uske paas wah shakti na hogi jo tumhe, kheench kar tumhe santaapon aur anat dukhi ki khaai mein fhenk sake kyuki jis chattaan par tumne apni neev dhaali thi wah nisandeh aysi neev hai jispar agar logon ne apne makaan banaaye tab weh kadaapi gir nahi saktein” (Helaman 5:12).
Siddhaanton aur vaadon hai wah banane waale cheez jise hum apne jiwan ke neev ko Maseeh aur Uske Preashchit par banna saktein hain. Hum Uddhaarkarta se aur uske saath zaroor hai jab hum laayak raha kar siddhaanton ko prapt kartein hain aur vaadon ko pura kartein hain, vishwaas se pavitra aagyaoun ko yaad kartein aur nibhaatein hain, aur pure jiwan bhar koshish kartein hain un vaadon ko nibhaane ki jo hume banaye hain.Aur yah netadaari dhaarmik shakti se prapt hota hai aur humare jiwan ke sabhi stithiyon mein saath rahata hai.
Hum apne bhaey ko shaant kar saktein hin jab Uddhaarkarta par apne ichchaaoun aur kaarye se neev ko siddhaanton aur vaadon ke saath banaye.
Maeesh ke Vishwaas mein Aage badhatey Raho
Nehi ne batlaya: “Is kaaran tum Maseeh mein dirdh vishwaas rakhtey hue, aasha ki akhandh joti mein aur Parmeshwar aur sabhi manushyon se prem rakhtey hue, sadeo aage badhatey chaloIsliye agar tum aage badhatey rahe, Maseeh ki vaani ka pyaala pitey rahe, aur anant tak maranshil bane rahe, tab sunno, Pita is prakaar kaha raha hai: Tumhe anant jiwan milega” (2 Nephi 31:20).
Is salaaha mein jo anant tak ke vinayeshil ko batlaya gaya hai wah dhaarmik samjh aur dirishye, rat, shaanti, aur Parmeshwar ki mahima ka parinaam hai. Ishu Maseeh ke pavitra naam mein vishwaas ko rakhtey hue karna, apne jiwan mein Uske kaarye ko vimanrata aur samay par karne se, aur sabhi kaarye mein Uske prabhaao ko vinamrata se yaad karne se parinaam mein Parmeshwar ke liye Parmeshwar ki raajye ki saachchaai jo shaanti deta hai jisse khushi aur anant jiwan prapt hota hai (dekhiye D&C 42:61). Bhale jab hum aanewaale jiwan mein musibaton aur lakleefon ko jheltein hai, hum khushi se rakh saktein aur jee saktein hain ek “shaanti bhara jiwan sabhi dhaarmikta aur sachchi se” (1 Timothy 2:2).
Hume apne bhaey ko shaant karne ke liye ashirwaad prapt hoga tab hum shakti prapt karenge jo susamachaar ko sikhne aur jeene se prapt hota hai aur dirdh vishwaas ke saath Prabhu ke vaadon ko banane aur nibhaane se.
Prabhu se Bhaey
Dusri parantu usi tarah ka bhaey jo hum anubho kartein hain use dharamshaastra “parmeshwar ka bhaey” ki tarah batlata hai (Hebrews 12:28) ya “Prabhu se bhaey” (Job 28:28; Proverbs 16:6; Isaiah 11:2–3). Duniyadari ka bhaey ki tarah nahi jo bhaey aur chinnta deta hai, parmeshwar ka bhaey shaanti, aaswaasan, aur himmat deta hai.
Parantu bhaey ke saath kisi cheez aage badh sakta hai ya dhaarmik madad mil sakta hai?
Sachcha bhaey jo main batla raha hoon usmein bahot hi shaanti, iszat, aur Prabhu Ishu Maseeh ka bhaey ka ahesaas hoga (dekhiye Psalm 33:8; 96:4), Uske aagyaoun ka paalan hoga (see Deuteronomy 5:29; 8:6; 10:12; 13:4; Psalm 112:1),aur asha rahega Uske hathon ke Antim din ka Nayaye aur sachchaai ke liye. Isliye, parmeshwar ka bhaey Prabhu Ishu Maseeh ke divye prakritik aur mission ke sachche samjh mein aage badhega, humare ikchaaoun ko Uske ikchaaoun sa banayenge, aur yah gyaan ki sabhi aadmi aur mahila apne khudh ke paapion ki dand Nayayekaari ke Din bhogenge (dekhiye D&C 101:78; Articles of Faith 1:2).
Jaesa dharamshaastra sikhlata hai ki, parmeshwar ka bhaey “gyaan ka shuruaat hai” (Proverbs 1:7), “gyaan ka shikshan” (Proverbs 15:33), ek “shaktishaally vishwaas” (Proverbs 14:26), aur “ jiwan ka ek mul” (Proverbs 14:27).
Kripa yaad karo ki parmeshwar ka bhaey saath juda hua hai aur alag nahi ho sakta hai Antim din Nayaye ke samjh se aur humare veyaktigat ikchaaoun, soch, shabd, aur kaarye ke hisaab ke saath (dekhiye Mosiah 4:30).Prabhu ka bhaey unchhit bhaey nahi hai Uske saamne nayaye ke liye jaane mein. Main vishwaas nahi karta hoon ki hum Use hch bhi darenge. Balki yah sahi sujhaao hai ki hum Uske saamne jaengeun cheezon ko jheltey hue jo jaesa hai humare bare mein aur “sahi gyaan ko prapt” karenge (2 Nephi 9:14; Alma 11:43 bhi dekhiye) humare sare hakikatoun, galtiyon, aur khudh ko dhokha diye gaye tarikon mein. Ant mein, hum bina bahane ke honge.
Sabhi insaan jo dharti par jiwit tha ya jiwit hoga “Parmeshwar ke nayaye singhaasan ke saamne, apne bhale bure karmon ka nayaye karne ke liyele jaya jayega” (Mosiah 16:10). Agar humne sachchaai se ichcha ki hai aur humare kaarye sachche hai, Aur usi prakaar jab anandhkaar ayega tab “usko puruskaar bhi milega” (dekhiye Jacob 6:13; Enos 1:27; Moroni 10:34).Aur anant samay tak uase “dhaarmikta ka imaan milega” (Alma 41:6).
Kyunki humaari baatei bhi hume apraadhi tahrayegi, ha, humare sabi karam hume dhandniye sidh karenge; Aur ayese bhayankar stithi mein hum apne Parmeshwar ki oar dekhne ka saahas nahi kar saktein aur hum prasantapurwak uski upastithi se chupne ke liye apne upar chattaanon aur parwaton ke girne ki ikcha karenge” (Alma 12:14). Aur usi prakaar jab anandhkaar ayega tab “usko puruskaar bhi milega” (Alma 41:5).
Ecclrsiastes mein batlaya gaya hai:
“Parmeshwar ka bhaey maan aur uski aagyaoun ka paalan kar: kyunki manushyon ka sampurn kartavye yahi hai.
“Kyunki Parmeshwar sabhi kaamom aur sab gupt baaton ka, chahe wah bhali ho ya buri, nayaye karega” (Ecclesiastes 12:13–14).
Mere pyaare bhaaiyon aur bahanon, parmeshwar ka bhaey maranshil jiwan ke bhaey ko due karta hai. Yah chintaaoun ko kam karta hai ki hum dhaarmikta mein achche nahi hai aur kabhi bhi Prabhu ke zarooraton aur ichchaaoun par khare nahi utrenge. Sahi mein, hum apne khudh ke chamta aur kaaryon ko pure nahi kartein ya khare nahi utarte. Humare kaarye aur ikchaaein hume srif nahi bachaatein aur bacha saktein hain. “Sab kuch karne ke baad” (2 Nephi 25:23), hum puri tarah se daya aur mahima kar sakten hain Uddhaarkarta ke nakhatam hone waale aur anant tak preshchit ke balidaan ke dwara (dekhiye Alma 34:10, 14). Is tarah, “hum vishwaas kartein hain ki Maseeh ke balidaan ke dwara sabhi manushye bach sakenge, jab weh susamachaar ke kanoon ka aaagyari banege aur dharamvidhi ko payenge” (Articles of Faith 1:3).
Parmeshwar ka bhaey Usmein prem aur vishwaas deta hai. Jabki hum Parmeshwar mein puri tarah se bhaey kartein hain, hum Use aur zyaada prem kartein hain. Aur “sahi prem bhaey ko dur kartahai” (Moroni 8:16). Main vaada karta hoon ki parmeshwar ki mahaan jyoti maranshilta ke bure parchaai ke bhaey ko dur kar dega (dekhiye D&C 50:25) jab hum Uddhaarkarta ko dekhenge, Us par apne neev ko banaenge, aur Uske aagyaoun ka paalan kartey hue aage badhenge.
Gawahi aur Vaada
Main Prabhu ko prem aur aadar karta hoon. Uska shakti aur shaanti sachcha hai. Wah humare Muktidata hain, aur main gawahi deta hoon ki Wah jiwit hai. Aur Uske karan, humara mann na ghabraye ya dare (dekhiye John 14:27), aur hume apne bhaey ko dur karne ke liye shakti prapt hoga. Main yah gawahi Ishu Maseeh ke pavitra naam se deta hoon, amen.