Girjaghar Auditing Vibhaag Suchna, 2018
Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke Pratham Adhyakshta ke liye
Priye Bhaaiyon: Praktikaran dwara nirdeshit kiya gaya hai, Doctrine aur Covenants ke bhaag 120 me, Daswa Hissa ka Batware ka Parishad—jisme Pratham Adhyakshta , Barah Devduton ke Parishad, aur Bishoprik ki Adhyakshta shaamil hai—Girjaghar dhan ke kharch ka adhikaar deta hai. Girjaghar vibhaag dhan ka kharch swikriti di hui bajatein, nitiyon aur kaaryevidhiyon ke anusaar karta hai.
Girjaghar Auditing, jisme pramaanit peshewar log aur woh jo Girjaghar ke anye vibhaagon se swatantra hai shaamil hai, ke paas zimmedaari hai audit karne ka taaki woh paryaapt jaankaari de sake praapt yogdaan par, kiye gaye kharch, aur Girjaghar sampatiyon ke suraksha par.
Kiye gaye audit pe adhaarit, Girjaghar Auditing ka yeh vichaar hai ki, sabhi zaroori cheezon ko dhyaan mei rakh kar, praapt hue yogdaan, kiye gaye kharch, aur Girjaghar sampattiyaan 2018 varsh ke darj aur istemaal kiye gaye hai niyamit Girjaghar bajaton, nitiyon, aur kaaryevidhiyon ke anusaar. Girjaghar apne sadasyon ko sikhlaaye gaye riwaaj par chalta hai bajat mein ji kar, karza se dur rehai kar, aur zaroorat ke samay ke liye bachat karke.
Shriddha purwak pesh kiya gaya,
Girjaghar Auditing Vibhaag
Kevin R.Jergensen
Prabandh Nirdeshak