2010-2019
Yuva ko Mazboot Karne Waale Badlaao
October 2019 maha sammelan


Yuva ko Mazboot Karne Waale Badlaao

Zyaada jawaan purush aur jawaan mahilaaen is chunaoti ko apnaaenge aur vachan banate rehne waale kaam karenge hamare yuva par is gambheer aur mazboot focas ke kaaran.

Dhanyevaad, pyaare Pradhaan Nelson, us khushaal prakat huwe maargdarshan ke liye jo baptisma ke samay gawaahon pe tha aur aapne humse kaha yuva ke mazboot kare me madad karo aur u long ke pavitra sambhaona ke badhaao.

I sab badlaao ke samjhaawe se pehle, hum long mangta dhanyevaad dewe sadasye long ke jon rakam se u long susamachaar ke abhi bhi jaari Punahsthaapna me haath batawe hai. Jaise pichle saal Pradhaan Nelson sujhaao deis raha, aap long apan vitaamin khaya hai!1

Aap khushi se ghar pe Come, Follow Me stady karta hai.2 Aap girjaghar me howe la badlaao ke bhi apnaaya hai. Elders korum ke sadasye aur Sahayak Sanstha ki bahane ekta me uddhaar ka kaam kar rahe hai.3

Hum bahut abhaari hai.4 Hum khaas rup se abhaari hai hamare yuva ke liye jo ab bhi mazboot aur vishwaasi hai.

Hamare yuva ek uttejak par chunaotipurn samay me rehte hai. Jo chunaao uplabdh hai kabhi itna gambheer nahi raha. Ek aur uddhaaran: aaj ka jo smartphone hai woh bahut zaroori aur naye jaankaari ka zariya hai, jisme pariwaar itihaas aur pavitra skripchas hai. Dusri taraf, isme murakhta, paap, aur buraai hai jo pehle itni aasaani se uplabdh nahi thi.

Tasveer
Ghar-kendrit curriculum
Tasveer
Yuva gatividhi

Yuvaaon ke i sab me madad kare ke liye, Girjaghar ne teen gehre aur chaode kadam uthaae hai. Pehla, curriculum ko mazboot kiya gaya aur faelaaya gaya hai ghar tak. Dusra, ek bachcho aur yuva ka kaarikaram jisme shaamil hai exciting ektivities aur niji badhanti, ko pichle Raviwaar ko Pradhaan Russell M. Nelson, Pradhaan M. Russell Ballard, aur Jenral Afsaron dwara pesh kiya gaya tha. Ek teesra kadam hai vyavastha sambandhi badlaao jisse bishop aur anye leadar yuva ko zyaada dhyaan denge. Is focas ko dhaarmik rup se shaktishaali rehna hai aur yuva ko madad karega woh yuva sena banne me jo Pradhaan Nelson ne unhe kaha tha banne ke liye.

Aapas me Judne Waale Tarike

Yeh koshishein, pichle kuch saalon me kiye gaye ghoshnaaon ke saath, alag badlaao nahi hai. Har ek badlaao ek zaroori bhaag hai ek aapas me judne waale tarike ka jisse Santon ko ashish milega aur unhe Parmeshwar se milne ke liye taeyaar karega.

Is tarike ka ek bhaag ubhadti peedhi se taallukh rakhta hai. Hamare yuvaaon ko kam umra me zyaada zimmedaari di jaa rahi hai—yuva woh kar rahe hai jo woh khud kar sakte hai bina maata-pita aur leedaron ke.5

Ghoshna

Aaj hum ward aur stake level pe vyavastha sambandhi badlaao ki ghoshna karenge. Jaise Pradhaan Nelson ne samjhaaya, Bahan Bonnie H. Cordon aaj sanjha ke jawaan mahilaaon ke badlaao pe baat karengi. In badlaao ka ek lashye jo mai abhi bataunga hai Aaronic Pristhud rakhnewaalon, korum, aur korum adhyakshtaaon ko mazboot karna. I badlaao long hamare siddhaanto ke mutaabik hai Doctrine and Covenants 107:15, jisme likha hai, “Bishopric [Aaronic] pristhud ki adhyakshta hai, aur unke paas chaabiyaan ya adhikaar hai yeh karne ka.”

Skripchas me likha hai bishop ka kartavye hai priests pe adhyaksh karna aur unke saath council me baethna, unhe unke office ke kartavye sikhaate huwe.6 Is alawa, bishopric ka pehla salaahkaar ka khaas zimmedaari hai teachers ke santh aur dusre salaahkaar ka deacons ke santh.

Is kaaran, i praktikaran ke Doctrine aur Covenants ke saath mel karane ke liye, ward ki Jawaan Purshon ki adhyakshtaaen ab nahi rahengi. In vishwaasi bhaaiyon ne bahut achchaai ki hai, aur hum unhe dhanyevaad dete hai.

Hum aasha karte hain ki bishopric ab zyaada mahatwa aur dhyaan denge jawaan purshon ke pristhud zimmedaariyon pe aur unki madad karenge unke korum ke kartavyon me. Kaabil buzurgon ko Jawaan Purshon ke salaahkaar niyukt kiya jaaega Aaronic Pristhud korum adhyakshtaaon aur bishopric ko unke kartavvye me madad karne ke liye.7 Hamein pura vishwaas hai ki zyaada jawaan purush aur jawaan mahilaaen is chunaoti ko apnaaenge aur vachan banate rehne waale kaam karenge hamare yuva par is gambheer aur mazboot focas ke kaaran.

Prabhu ke prerna bhare tarike me, bishop zimmedaar hai ward me har ek ke liye. Woh yuva ke saath saath unke maata-pitaaon ko bhi ashirvaad deta hai. Ek bishop ne paaya ki jab woh ek jawaan ladke ko salaah de raha tha jo pornography(ashleel chitra) me fasa tha, woh tab hi is jawaan purush ko madad kar sakta tha uske pashchataap me jab woh uske maata-pita ko madad karta pyaar aur samajhdaari se pesh aane me. Us jawaan purush ki changaai uske pariwaar ke liye bhi ek changaai thi aur yeh mumkin hua jab bishop ne pure pariwaar ke saath kaam kiya. Woh jawaan purush ab ek kaabil Melchizedek Pristhud rakhnewaala ho gaya hai aur pure-samay ka prachaarak.

Jaise is kahani se pata laga, yeh badlaao zaroor:

  • Bishops aur unke salaahkaaron ko yuva aur Praathmik bachcho ko apne mukhye zimmedaariyon pe dhyaan dene me madad karenge.

  • Aaronic Pristhud ki shakti aur kartavye ke dhyaan ko har ek jawaan purush ke niji jiwan aur lakshyon me rakhenge.

In badlaao se:

  • Aaronic Pristhud korum adhyakshtaaon aur jinko woh report karte hai bishopric tak ke zimmedaariyon par zor dega.

  • Buzurg leedaron ke prerna mili Aaronic Pristhud korum adhyakshtaaon ke sahayta aur updesh dewe ke taaki woh apne office ki shakti aur adhikaar ke mahatwa badhawe.

Jaise kaha gaya hai, in badlaao se jawaan mahilaaonke liye bishopric ke zimmedaari kamti nahi hoi. Jaise Pradhaan Nelson abhi sikhaais, “[Bishop ke] pehla aur awwal zimmedaari hai apan ward ke jawaan purush aur jawaan mahilaaon ke dekhbhaal karna.”8

Kon rakam se hum long ke priye aur mehnati bishop long apan i zimmedaari pura kari? Jaise aapko yaad hoi, 2018 me Melchizedek Pristhud ke korums ko badla gaya tha Sahayak Sansthaaon ke saath zyaada kaam kare isliye ki elders korums aur Sahayak Sansthaaen sake, bishop ke nirdeshan me, avashyak zimmedaariyon me madad kare jon pehle uske zyaada samay leta raha. I zimmedaari long me hai ward me prachaarak kaarye aur mandir aur pariwaar itihaas kaarye9—tatha ward ke sadasyon ki dekhrekh karna.

Tasveer
Ek bishop ke zimmedaariyaan

Bishop kuch zimmedaari long ke koi ke saunpe nahi sake, jaise yuva ke mazboot karna, ek aam jaj hona, zarooratmando ki dekhbhaal karna, aur paeso ke kharch aur sansaarik chintaaon ke sambhaalna. Hum jitna pehle samajhte the, yeh sab, usse bhi kam hai. Jaise Elder Jeffrey R. Holland pichle saal samjhaais raha jab Melchizedek Pristhud ke korum ke ghoshna hois raha: “Bishop, hi, ward ka adhyaksh karne waala high priest hota hai. [Elders korum aur Sahayak Sansthaaon] ke i nawa rakam se aayojit karke ab u sake Melchizedek Pristhud aur Sahayak Sanstha ke kaam ke adhyaksh kare uske isme se koi bhi ek dal ke kaam kare ke nahi padi.10

Uddharan ke liye, ek Sahayak Sanstha pradhaan aur ek elders korum pradhaan sake, niyukti anusaar, buzurg long ke salaah dewe me aur bada bhumika nibhaawe—jaise sake ek Jawaan Mahilaaon ke pradhaan jawaan mahilaaon ke salaah dewe me kare. Jabki khali bishop sake ek aam jaj la kaam kare, jon aur sab leedar long hai u long ke bhi sake swarg se praktikaran mile u chunaoti long me madad kare ke kostin jiske liye ek aam jaj zaroori nahi hai ya jab koi rakam ke bura bartaao shaamil rahe.11

Iske matlab nahi hai ki ek jawaan mahilaa nahi sake ya uske nahi chaahi bishop ya apan maata-pita se baatao. Bishopric yuva pe gaor kare hai! Lekin iske matlab hai ki ek Jawaan Mahilaaon ke leedar sake achcha se ek akele jawaan mahila ke zaroorato me madad kare. Bishopric utna hi chintit hai jawaan mahilaaon ke liye jetna jawaan purshon ke liye hai, lekin hum long janta u taaqat jon mile hai mazboot, chust rup se shaamil, aur parwaah kare la Jawaan Mahilaaon ke leedaro ka hona jo pyaar aur sahara dete hai, na ki kaksha adhyakshtaaon ke bhumika ko apna lete hai par yuvaaon un bhumikaaon me safal hone me madad karte hai.

Bahan Cordon aur exciting badlaao sheya kari aaj raat jawaan mahilaaon ke liye. Hum, ghoshna karega ki ward Jawaan Mahilaaon ke pradhaan ab seedha ward ke bishop ko report karegi aur salaah legi. Isse pehle, i kaam koi salahkaar ke dewa jaae sakta raha, lekin aage chal ke, jawaan mahilaaen uski zimmedaari hogi jon ward ke adhyaksh karne ki chaabi rakhta hai. Sahayak Sanstha pradhaan jaari rakkhi seedha bishop ke report kare ke.12

Jenral aur stake level pe, hum long Jawaan Purshon ke adhyakshta rakkhe ke jaari rakhega. Stake level pe, ek high councilor Jawaan Purshon ka pradhaan hoga13 aur woh, Jawaan Mahilaaon aur Praathmik ke high councilors ke saath, stake ke Aaronic Pristhud–Jawaan Mahilaaon ke committee ka hissa hoga. I bhaai long stake Jawaan Mahilaaon ke adhyakshta ke saath kaam kari i committee me. Stake pradhaan ka ek salaahkaar is committee ka aguwaa hoga, aur is committee ka mahatwa badhega kyunki naye Children aur Yuva me jo kayi program aur ektivities honge woh stake level pe honge.

Yeh high councilors, stake adhyakshta ke nirdeshan me, bishop aur Aaronic Pristhud korums ke liye ek saadhan banenge jis tarah se high councilors ward elders korum ke liye sewa pradaan karenge.

Isse taalukh rakhta hua, ek aur high councilor stake Sunday School pradhaan banega aur, agar zaroori pade, woh stake Aaronic Pristhud-Jawaan Mahilaaon ke committee me sewa kar sakta hai.14

Aur vyavastha sambandhi badlaao baad me samjhaaya jaaega leedaron ko bheje jaae jaankaari me. In badlaao me shaamil hai:

  • Bishopric youth committee meeting ke jagah par ab ek ward youth council hoga.

  • Ab “Mutual” nahi kaha jaaega par yeh ban jaaega “Jawaan Mahilaaon ke ektivities,” “Aaronic Pristhud korum ke ektivities,” ya “yuva ektivities,” jo jahan mumkin ho har hafte kiya jaaega.

  • Yuva ektivitiyon ke liye ward ka budget ek samaan baata jaaega jawaan purshon aur jawaan mahilaaon ke beech har ek sanstha ke yuvaaon ke sankhya ko dhyaan me rakh ke. Ek uchit rakam diya jaaega Praathmik ektivities ke liye.

  • Sabhi levels pe—ward, stake, aur jenral—hum “sanstha” shabd istemaal karenge “auxiliary” ke jagah par. Jo Jenral Sahayak Sanstha, Jawaan Mahilaaon, Praathmik, aur Sunday School sansthaaon ki aguwaai karenge “Jenral Afsarein” kaha jaaega. Jo sansthaaon ki aguwaai ward aur stake level pe karenge ko “ward afsaron” aur “stake afsaron” ke naam se jaana jaaega.15

Jo badlaao ki ghoshna aaj ki gayi hai ko shuru kiya jaaega jitni jaldi shaakhaaen, wards, jilaaen, aur stakes taeyaar honge lekin yeh January 1, 2020 tak shuru ho jaana chahiye. Yeh badlaao, jab pehle kiye gaye badlaao ke saath jode aur milaae jaaenge, ek dhaarmik aur vyavastha sambandhi koshish rahega jo vidhi ke saath mel khata hai har ek aadmi, aurat, yuva, aur bachche ko ashish dene aur mazboot karne ke liye, har ek ko hamare Uddhaarkarta, Ishu Masih ka uddharan apnaane me madad karega, jab hum vachanbadh maarg pe pragati karenge.

Priye bhaaiyon aur bahano, hum vaada karta aur gawaahi deta hai ki i bhaari badlaao, ek prerit pradhaan aur profat, Russell M. Nelson, ki aguwaai me Girjaghar ke har ek sadasye ko himmat aur taaqat dega. Hamare yuva Uddhaarkarta me aur vishwaas dikhaaenge, virodhi ke behkaawon se surakshit rahenge, aur jiwan ke chunaotiyon ka saamna karne ke liye taeyaar rahenge. Ishu Masih ke pavitra naam se, amen.

Naut

  1. Dekhiye Russell M. Nelson, “Latter-day Saint Prophet, Wife and Apostle Share Insights of Global Ministryme,” Newsroom, Oct. 30, 2018, newsroom.ChurchofJesusChrist.org.

  2. Iske saath, aapne khaas koshish ki hai Girjaghar ka sahi naam istemaal karne me jaise Pradhaan Russell M. Nelson ne sikhaya tha aur hamare Uddhaarkarta ko pyaar aur sammaan se yaad karna.

  3. “Ishu Masih ke Girjaghar ke sadasye long ke bheja jaawe hai ‘uske bagicha me kaam kare ke insaan ke aatmaaon ke uddhaar ke liye’ (Doctrine and Covenants 138:56). Uddhaar ke is kaam me shaamil hai sadasye prachaar kaam, convert huwe logon ko thaame rakhna, aur kam-active sadasyon ko phir se active karna, mandir aur parivaar itihaas kaarye, aur susamachaar ko sikhana. Bishopric ward me is kaam ka nirdesh karta hai, ward council ke sadasyon ke madad se” (Handbook 2: Administering the Church, 5.0, ChurchofJesusChrist.org).

  4. Leedar hone ke naate, hum Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke sadasyon se pyaar karte hai aapke achchaai aur aapke chelapan ko dekh kar. Hum un logon, maataaon, pitaaon, yuvaaon, aur bachcho ki prashansa karte hai jo vachano ka paalan karke jeete hai—aur aysa shraddha aur khushi se karte hai.

  5. 2019 me, 11-saal ke deacons ne prabhubhoj baatna shuru kiya, aur 11-saal ke jawaan mahilaaon aur jawaan purshon ne limited-yuz mandir sifaarish praapt kiya. Pichle saal, Pradhaan Nelson ne hamare jawaan purshon aur jawaan mahilaaon ko chunaoti diya yuva sena ka hissa banne me bikhre Israel ko ikattha karne ke liye parde ke dono or (dekhiye “Hope of Israel” [worldwide devotional for youth, June 3, 2018], HopeofIsrael.ChurchofJesusChrist.org). Iske parinaam prabhaaoshaali raha.

    Pure-samay ke prachaarakein ab kam umra me ek anokhe tarike se sewa karte hai. October 6, 2012 se, jawaan purush 18 saal ke umra pe sake sewa pradaan kare aur jawaan mahilaaen 19 saal ke umra pe.

  6. “Iske saath pradhaan ka kartavye hai Pristhud of Aaron ke [un] priests pe adhyaksh karna, aur unke saath council me baethna, unhe unke office ke kartavye sikhaate huwe. … I pradhaan ek bishop maango raho; kyunki i pristhud ke i ek kartavye hai kayi aur me se” (Doctrine and Covenants 107:87–88).

  7. Buzurg leedaron ko bhi Aaronic Pristhud korum ke visheshag niyukt kara jaai kaarikram aur ektivitiyon me sahayta dewe ke liye aur korum meeting me shaamil rehwe ke liye taaki bishopric Jawaan Mahilaaon ke kakshaaon aur ektivities me jaa sake aur kabhi kabhi Praathmik ka daora kare. Kuch visheshag niyukt kiye jaa sakte hai kisi khaas aosar me madad karne ke liye, jaise ek kemp; anye kuch niyukt ho sakte hai lambe-samay ke liye korum salaahkaar ke taur pe. Kisi bhi korum meeting, kaarikram, ya ektivity me hamesha kam se kam do buzurg aadmi maojood rahenge. Jabki bhumikaaen aur padhwi badlenge, hum i ummeed nahi karta ki buzurg aadmi jo Aaronic Pristhud korum me sewa aur sahayta dete hai kam honge.

  8. Russell M. Nelson, “Gawaah, Aaronic Pristhud Korum, aur Jawaan Mahilaaon ke Kakshaaen,” Liahona, Nov. 2019, 39, par zor dia gaya; Ezra Taft Benson, “To the Young Women of the Church,” Ensign, Nov. 1986, 85 bhi dekhiye.

  9. Hum bishops ko bhi salaah denge jawaan aviwaahit baalig sadasyon aur apne khud ke pariwaaron ke saath zyaada samay bitaae.

  10. Jeffrey R. Holland, general conference leadership meeting, Apr. 2018; “Effective Ministeringbhi dekhiye,” ministering.ChurchofJesusChrist.org. Elder Holland sikhaawe hai ki jon zimmedaari long ke bishop saunpe nahi sake hai Aaronic Pristhud korums aur jawaan mahilaaon pe adhyaksh karna, ek aam jaj hona, Girjaghar ke paeso ke kharch aur sansaarik chintaaon ke sambhaalna, aur gareeb aur zarooratmando ki dekhbhaal karna. Elders korum aur Sahayak Sanstha ki adhyakshtaaen aur anye log mukhye zimmedaari lenge prachaar kaarye, mandir aur pariwaar itihaas kaarye, ward me shikshan dene ke star par, aur Girjaghar ke sadasyon ki dekhbhaal aur dekhrekh karne me.

  11. U paristhitiyon ko lekar jisme ek aam jaj ki chaabiyon ki zaroorat hoti hai, kisi tarah ke bura bartaao ke maamlo ko bishops sambhaalenge Girjaghar policy ke mutaabik.

  12. Stake ke Sahayak Sanstha pradhaan jaari rakkhi seedha stake pradhaan ke report kare ke.

  13. Stake ke Jawaan Purshon ke pradhaan ke salaahkaaron ko niyukt kiya jaaega stake ke sadasyata me se ya, jaise zaroori ho, woh Jawaan Mahilaaon ke liye high councilor ho sakte hai aur Praathmik ke liye high councilor ho sakte hai.

  14. Jo bhaai Raviwaar Kaksha ka pradhaan hai ke paas kaafi zimmedaari hai yuva curriculum ke liye har mahine ke do Raviwaar ko.

  15. Sahayak Sanstha, Jawaan Mahilaaen, Jawaan Purush, Raviwaar Kaksha, Praathmik ki adhyakshtaaen jo jenral aur stake me hai woh Genral Afsar ya stake afsarein hai. Ward level pe, bishopric jawaan purshon ka aguwaa hota hai, isliye Jawaan Purshon ke korum salaahkaar ward afsar nahi hai.