2010-2019
Vachanbadh Putriyaan
April 2014


17:8

Vachanbadh Putriyaan

Jis maarg … ko hamein lena hai Swarg ke Pita ke paas lautne ke liye … Parmeshwar ke saath kiye pavitra vaadon se dikhta hai.

Hamein dhaarmik Shakti ke saath aaj raat sikhlaya gaya hai. Mai aasha karta hoon ki in mahaan bahan netaaon ne jo baat kahi hai tumhare soch aur ehsaas ko prabhawit karein jis tarah mujhe kiya hai.

Yeh ek ithihaasik sabha hai. Girjaghar ki sabhi aath saal ke umra se upar ki mahilaaen aaj raat hamare saath hai. Hum mein se kayi logon ne prarthna ki hogi ki Pavitra Aatma hamare saath rahein. Yeh ashirvaad haasil hua jab in bahanon ne bhaashan diya aur jab humne prerit karne waale sangeet ko suna. Mai aasha karta hoon ki Aatma lagataar hamare saath rahega jab mai protsaahan aur gawahi ke kuch aur shabd kahunga—aur khaaskar yeh gawahi dein ki jo hamein batlaaya gaya hai wahi Prabhu chahate hai ki hum sune.

Aaj raat ka mera bhaashan us maarg par hoga —jinhe itne sundar tarike se aaj batlaya gaya hai—jispar hamein Swarg ke Pita ke paas lautna hai. Woh maarg Parmeshwar ke saath kiye pavitra vaadon se dikhta hai. Mai tumse unhi vachanon ko banane aur nibhaane ke anand par aur kaise auron ki madad kareinge inhe nibhaane mein par baate karunga.

Aap mein se kayi log haal hi mein baptisma liye hai aur Pavitra Aatma ka uphaar paaye hai sir par haath rakhne dwara. Aap ko yeh achchi tarah yaad hoga. Anye mahilaae bahut saal pehle baptisma liye the, is kaaran us vachan ke anubhav ke ehsaas ki yaad dhundli ho gayi hogi, magar un mein se kuch ehsaas waapas aate hai jab bhi tum prabhubojh ke prarthnaaon ko sunte ho.

Kisi ko koi aur ke jaise yaadein nahin honge us din ki jab humne pavitra baptisma ke vachan ko kiya tha aur Pavitra Aatma ke uphaar ko paaya tha. Par hum sab ne Parmeshwar ki swikriti paayi thi. Aur humne maaf karne aur maafi paane ki aur ichcha ki thi saath saath sahi karne ka.

Kitni gehraai se woh ehsaas tumhare hriday mein utre the zyaadatar us par nirbhar hai ki tumhe prem karne waale logon dwara kaise tayyaar kiya gaya tha. Mai aasha karta hoon ki aap mein se jo log haal hi mein Girjaghar mein baptisma liye hai khush kismet hai apne maata ke saath baethne ke liye. Agar aap us tarah baethe hai, to aap use dhanyevaad ka muskaan abhi dein. Mujhe yaad hai anand aur abhaar mehsoos karna jab mai Philadelphia, Pennsylvania mein apni maata ke piche baetha tha gaadi mein apne baptisma se ghar lautte samay.

Meri maata ne hi mujhe saodhaani se tayyaar kiya tha us vaade ko banane mein aur anye vachanon ko jo baad mein banaaye jaaenge ke liye bhi. Woh Prabhu dwara diye gaye is aagya ka paalan kar rahi thi:

“Aur agar maata/pita ke paas bachche hai Zion mein, ya uske kisi bhi aayojit stake mein, paap maata/pitaaon ke sir par hoga agar woh apne bachchon ko pashchataap, Ishu Maseeh, Jiwit Parmeshwar ke Putra mein vishwaas, baptisma, aur Pavitra Aatma ke uphaar jo sir par haath rakhne se milta hai jab aath saal ke ho ko dharamsiddhant samajhna na sikhlaaye.

“Kyunki yeh Zion ya uske anye stakes mein rehnewaalon ke liye ek kaanoon hoga jo aayojit hue hai.

“Aur unke bachche apne paapon ki chama ke liye baptisma lenge jab woh aath saal ke honge, aur [Pavitra Aatma] haasil karenge.”1

Meri maata ne apna zimmedaari pura kiya tha. Usne apne bachchon ko Mormon Dharamshaastra mein paaye gaye zyaada Alma ke kahe jaise shabdon, se tayyaar kiya tha:

“Aur aysa hua ki usne unse kaha: dekho, yahan, Mormon ka jal hai (us jal ko aysa hi kaha jaata tha) aur jabki, tum Parmeshwar ke dal mein aana chahate ho, aur uske log kehlaana chahate ho, aur tum ek dusre ke bojh ko dhone mein sahayta dena chahate ho, ki jisse woh halka ho jaaye;

“Aur jo dukh se rote hai unke dukh se dukhi hone ko tayyaar ho, aur jinko santaaona ki avashyakta hai unhe aashwaasan dena chahate ho, aur sadeo sabhi baaton mein chaahe jahan bhi tum ho, mrityu tak Parmeshwar ki saakshi ke rup mein khade hona chahate ho, jisse ki Parmeshwar dwara tumhara uddhaar ho sake, aur tumhari ginti pratham punrujiwan paane waalon mein ho, jisse ki tumhe anant jiwan praapt ho sake—

“Aur ab mai tumse kehta hoon, ki agar tumhare hridayon ki yahi ichcha hai, tab ek gawaah ke rup mein tumne uske saath anubandh kiya hai, ki tum uski sewa karoge aur uski aagyaaon ka paalan karoge, jisse ki woh tumhare upar apni Aatma ko aur adhik undel sake tab Prabhu ke naam par baptisma lene ke virudh tumhare paas kya kaaran hai?

“Aur jab logon ne in shabdon ko suna, tab taaliya peette hue apni prasannta prakat ki, aur kaha: Hamare hridayon ki yahi ichcha hai.”2

Tumne shaayad taali nahin bajaya hoga jab tumne pehli baar baptisma dwara vachan lene ka nimantran suna, magar tumne Uddhaarkarta ke prem aur Unke liye auron ki sewa karne ki zimmedaari ko mehsoos kiya hoga. Mai yeh “nisandeh” se keh sakta hoon kyunki yeh ehsaas Swarg ke Pita ke sabhi putriyon ke hriday mein bithaai gayi hai. Woh Unka diya tumhare liye divye viraasat hai.

Tumne Unhi se seekh paayi thi is jiwan mein aane se pehle. Unhonne tumhe madad kiya tha yeh samajhne aur apnaane mein ki tumhe musibatein, parikshaaen, aur mauke milenge jo sirf tumhare liye honge. Tumne seekha tha ki hamare Pita ke paas ek khushiyaali ki yojna thi tumhe un musibaton se surakshit nikaalne ke liye aur tum auron ko musibaton se nikalne mein madad karoge. Yeh yojna ko hum Parmeshwar se banaye vachanon se pehchaante hai.

Hum chunn sakte hai ki hum vachanon ko banaenge aur nibhaaenge. Unke kuch hi putriyon ko maranshilta mein in vachan ko jaanne ka mauka milta hai. Tum unke chahite ho. Tum priye bahanon, tum sab vachanbadh putriyaan ho.

Swarg ke Pita ne tumhe tumhare janam se pehle sikhlaaya ki Unhe chodkar jab tum dharti par aaoge tab kaise anubhav honge. Tumne seekha ki Unke paas waapas jaane ka raasta aasaan nahin hoga. Woh jaanta tha ki bina madad ke tumhare liye unke paas pahunchna bahut kathin hoga.

Tumhe ashirvaad mila hai na sirf is jiwan mein un vachanon ko banane ka raasta dhoondhne ke liye par anye madad karne waale logon se ghire rehne ke liye bhi— jo, tumhari tarah, Swarg ke Pita ka vachanbadh putriyaan hai.

Tum sab ne aaj raat us ashirvaad ko mehsoos kiya hai Parmeshwar ke vachanbadh putriyon ke saath hone se jo vachan anusaar tumhe madad aur nirdeshan degi. Mai ne wohi dekha jo tumne dekha hai jab vachanbadh bahanein santushti aur madad deti hai—aur muskuraate hue karo.

Mujhe Bahan Ruby Haight ka muskaan yaad hai. Woh Elder David B. Haight, jo Barah Devduton ke Parishad ka sadasye tha, ki patni thi. Apni jawaani ke dinon mein woh California ke Palo Alto stake ka pradhaan tha. Woh apne hi ward ke Mia Maid kaksha ke ladkiyon ke baare mein chinta karta, aur unke liye prarthna karta tha.

Isi liye Pradhaan Haight prerit hua bishop se kehne ke liye ki woh Ruby Haight ko in ladkiyon ki shikshak banaae. Woh jaanta tha ki woh Parmeshwar ki ek gawaah hogi jo us kaksha ke ladkiyon ko prerna, sahanubhuti, aur prem degi.

Bahan Haight apne kaksha ke ladkiyon se 30 saal badi thi. Phir bhi uske shikhlaane ke 40 saal baad, har samay woh meri patni, jo ki uske kaksha ka sadasye thi, se milti, woh apna haath badhati, muskuraati, aur kehti Kathy se, “Oh! Mera Mia Maid.” Mujhe yeh ek abhinandan se zyaada ehsaas hua. Maine mehsoos kiya ki woh is ek bahan se bahut prem karti thi aur ab bhi use uski apni putri jaisi parwaah thi. Uski muskaan yeh dekh kar aati thi ki ek bahan aur Parmeshwar ki putri ab bhi ghar lautne ke vachanbadh waale maarg par thi.

Swarg ka Pita tumse bhi khush hota hai jab bhi Woh tumhe Apne ek putri ki sahayta karte dekhta hai aur anant jiwan ki or vachanbadh maarg par dekhta hai. Aur Woh prasann hota hai har baar jab tum sahi chunte ho. Woh sirf tum kaun ho nahin dekhta par yeh bhi dekhta hai ki tum kya ban sakte ho.

Tumhara koi dharti par maata/pita hoga jo sochta tha ki tum khud ki soch se behtar ho sakte ho. Mere paas aysi maata thi.

Jab mai chota tha mai nahin jaanta tha ki mera Swarg ka Pita, tumhara Swarg ka Pita, Apne bachchon mein humse ya hamare dharti ki maataaon se bhi badi sambhavna dekhta hai. Aur jab bhi tum apne sambhavna ke maarg mein aage badhoge, Use khushi hoti hai. Aur tum Unki swikriti mehsoos karoge.

Woh Unki sabhi putriyon mein us badhiya sambhaona ko dekhta hai, jahan bhi woh hai. Ab, yeh tum sab par ek mahaan zimmedaari daalta hai. Woh chahata hai tum jinse bhi milo use Unke Parmeshwar ke ek bachche ki tarah pesh aao. Yahi vajah hai Woh hamein aagya deta hai, tu apne padosiyon se apne samaan prem rakhna aur unhe maaf karna. Tumhare auron ke liye daya aur maafi ka ehsaas Unki or se Unki putri hone ki vajah se divye viraasat ke rup mein aayenge. Jis kisi se bhi tum miloge woh Unka priye aatmik bachcha hai.

Jab tum bahan hone ke ehsaas ko mehsoos karoge, jo humne socha tha ki hamein alag karta hai gaayab ho jaaega. Jaise ki, chote aur bade bahanein apne ehsaas baatti hai kyunki woh jaanti hai unhe samjha aur apnaaya jaaega. Tum ek jaise ho Parmeshwar ki putriyon ke rup mein.

Is nazariye se, jawaan mahilaaen utsukta se Sahayak Sanstha mein prawesh karne ki sochegi kyunki isse unke pehchaan badhegi un bahanon ke saath jinhe woh jaanti, prashansa, aur prem karti hai.

Wohi chamta ki hum dekh sake hum kya ban sakte hai ab parivaaron aur Praathmik mein badh raha hai. Woh parivaarik gharelu shaam sabhaaon aur Praathmik kaaryekaram mein hota hai. Chote bachche prerit ho rahein hai mahaan aur ashcharyejanak baatein kehne ke liye, jaisa tab hua tha jab Uddhaarkarta ne unke muh khol diye the jab Unhonne unhe sikhlaaya tha Punarjiwit hone ke baad.3

Jabki Shaetaan bahanon par chote umra mein aakraman karta hai, Prabhu bahanon ko aur unche dhaarmik star tak prerit kar raha hai. Uddhaaran hai, jawaan mahilaaen apne maataaon ko sikhla rahi hai kaise Family Search ka istemaal karke purwajon ko dhoondhe aur bachaae. Kuch jawaan bahanein jinhe mai jaanta hoon bina batlaae jald subha ko mandiron mein baptisma lene jaati hai mrit logon ke liye, sirf Elijah ki aatma ko sun kar.

Duniya bhar ke missions mein, bahanon ko netaaon ke rup mein sewa ki niyukti milti hai. Prabhu ne unke sewa ki zaroorat badhaai zyaada bahanon ko mission sewa dene ke liye prerit karke. Kayi mission adhyakshon ne dekha hai ki mahila prachaarak zyaada shaktishaali prachaarak aur khaaskar dayalu neta banti hai.

Chaahe tum pure-samay ki prachaarak bano ya nahin, tum wahi gun paa sakti ho mahaan mahilaaon ke uddharan se apne vivaah mein badlaao laane ke liye aur achche bachche badhe karne mein.

Eve ki sochiye, sabhi jiwiton ki wohi maata hai. Elder Russell M. Nelson ne Eve ke baare mein kaha: “Hum aur sabhi maanav jaati hamesha ke liye dhanye hai Eve ke mahaan himmat aur budhi ke liye. Fal khaane mein pehli hone ka kaaran, usne wohi kiya jo karna zaroori tha. Adam bhi utna budhimaan tha ki usne bhi wahi kiya.”4

Eve ki har ek putri ke paas sambhavna hai Eve ki tarah apne parivaar mein ashish laane ka. Woh parivaar ko banane mein itni zaroori thi ki hamare paas uske rachna ki suchi hai: “Aur Parmeshwaron ne kaha: Aao hum purush ke liye ek jiwan saathi banaye, kyunki yeh sahi nahin ki purush akela rahe, isliye hum uske liye ek jiwan saathi banaenge.” 5

Hum nahin jaante Eve ne kitni madad ki Adam aur unke parivaar ko. Magar hum jaante hai ki usne ek mahaan uphaar diya, jo tum sab de sakte ho: usne apne parivaar ko Pita ke ghar ka raasta dikhlaaya jab aage ka raasta kathin tha. “Aur Eve, uski patni, ne sab kuch suna aur prasann hui, yeh kehte hue: Agar humne paap na kiya hota hamare bachche nahin hote, aur hum kabhi achcaai aur buraai ka antar nahin jaante, aur apne mukti ka anand na lete, aur Parmeshwar ka anant jiwan na paate aagyakaariyon ke liye.”6

Tumhare paas uska uddharan hai apnaane ke liye.

Praktikaran dwara, Eve ne Parmeshwar ke paas ghar jaane ka raasta pehchaana. Woh jaanti thi ki Ishu Maseeh ka Praeshchit parivaaron mein anant jiwan ko mumkin karega. Woh nishchint thi, jaise tum ho sakte ho, ki jis tarah usne apne Swarg ke Pita ke saath vachan nibhaai thi, Muktidaata aur Pavitra Aatma use aur uske parivaar ki parwaah dukhon aur niraashaaon mein kar sake. Woh jaanti thi woh Unpar bharosa kar sakegi.

“Sampurn mann se Prabhu par bharosa rakhna; aur tu apni samajh ka sahara na lena.

“Usi ko samran karke sabhi kaam karna, tab woh tumhare liye seedha maarg nikaalega.”7

Mai jaanti hoon ki Eve ne dukh aur niraashaen anubhav ki, magar mai yeh bhi jaanti hoon ki use anand mila is gyaan mein ki woh aur uska parivaar Parmeshwar ke paas laut sakega. Mai jaanta hoon ki aap mein se kayi log dukh aur niraasha anubhav karte hai. Mai aapko ashirvaad deta hoon ki, Eve ki tarah, tumhe bhi woh anand mile jo usne mehsoos kiya tha jab tum waapas ghar lautte ho.

Mai gawahi deta hoon ki Pita Parmeshwar tumhari parwaah karte hai prem ke saath. Woh har ek se prem karta hai. Tum Unki vachanbadh putriyaan ho. Kyunki Woh tumse prem karta hai, Woh tumhe avashyak sahayta dega apne aap ko aur auron ko Unki upasthiti ki or pragati karne ke liye.

Mai jaanta hoon ki Uddhaarkarta ne hamare sabhi paapon ka dukh jhela aur ki Pavitra Aatma sachchaai ki gawahi deta hai. Tumne is santushti ko is sabha mein mehsoos kiya. Mai apni gawahi deta hoon ki sabhi chaabiyaan jisse pavitra vachan bandhe the ko punahsthaapit kar diya gaya hai. Woh hamare jiwit bhavishyevakta, Pradhaan Thomas S. Monson ke paas hai aur use wohi istemaal karta hai. Main in santushti aur aasha ke shabd tumhare saath chodta hoon, jo Unke priye vachanbandh putriyaan hai, Ishu Maseeh ke pavitra naam se, amen.