Jadein aur Daaliyaan
Parivaar itihaas aur mandir kaarye ko hamare dinon mein furti se aage badhana zaroori hai parivaaron ke uddhaar aur unnati ke liye.
1981 mein kensa se unki mrityu hone se pehle, William Saroyan ek viwaadi lekhak ne press ko batlaya, “Sab ko marna hai, magar maine hamesha socha hai ki mai nahin marunga. Ab kya?”1
“Ab kya” maut ke saamne is jiwan aur “ab kya” jab maut ke baad ke jiwan ke baare mein socha jaaye hamare hriday ke sawaal hai jo Ishu Maseeh ka susamachaar suljhaata hai itne sundar se Pita ke khushiyaali ki yojna mein.
Is jiwan mein hum haste hai, kaam karte, khelte, jeete, aur phir mar jaate. Job yeh sidha sawaal puchta hai, “Agar ek manushye mare, kya woh phir jiyega?”2 Jawaab jo sunaai dega hai haan Uddhaarkarta ke balidaan ke kaaran. Job ka jawaab dilchasp hai: “Jo aadmi ek mahila se janam leta hai kuch din ka hai.…Woh ek phool ki tarah aata hai, aur use kaat diya jaata hai. Ek ped ki aane ki aasha hai, agar woh kat jaaye, ki woh phir se phanke ga, aur jo naazuk daali hogi thamegi nahin… aur ped ki tarah daali utpann karegi.”3
Hamare Pita ki yojna parivaaron ke baare mein hai. Hamare kayi jasbaati dharamshaastra samaanta ke rup mein ped aur uske jadon aur daaliyon ki dhaarna istemaal karte hai.
Puraane Niyam ke antim adhyaaye mein, Malachi, Uddhaarkarta ke Dusre Aagman ko batlaane ke liye, yahi samaanta istemaal karta hai. Ghamandi aur bure logon ke baare mein bolte hue, woh dekhta hai ki unhe kuda ki tarah jalaya jaaega aur “ki unke na jad na daali bachenge.”4 Malachi is adhyaaye ko samaapt karta hai Prabhu ke protsaahit karne waale vaada se:
“Dekho, mai tumhe bhavishyevakta Elijah bhejunga Prabhu ke aane ke daraaona aur bhayankar din se pehle:
“Aur woh pitaaon ke dil ko bachchon ki or modega, aur bachchon ke dil ko pitaaon ki or, taaki mai na aakar dharti par shaap doon.”5
Punahsthaapna ke shuruaat mein, Moroni ne is sandesh par zor daala tha Joseph Smith ko pehla shikshan dete samay 1823 mein.6
Duniya bhar ke Maseehi aur Yahudi Elijah ke Puraane Niyam ki kahani ko apnaate hai. 7Woh Ishu Maseeh ka samay aane se pehle aakhri bhavishyevakta tha jiske paas Melchizedek Purohiti ka baandhne ki shakti thi.8
Elijah Chaabiyon ko Punahsthaapit Karta Hai
Elijah ka waapsi hua tha Kirtland Mandir mein April 3, 1836 mein. Usne kaha woh Malachi ka vachan pura kar raha tha. Usne is yug mein parivaaron ko baadhne ki purohiti ki chaabiyaan Joseph Smith ko diya.9 Elijah ka mission ko kabhikabhi kahe jaane waale Elijah ka aatma, sahara deta hai, jaise Elder Russell M. Nelson ne sikhlaaya, hai “ek vishwarup hai Pavitra Aatma ka jo parivaar ke divye aakaar ki gawahi deta hai.”10
Uddhaarkarta baptisma ke zaroorat par samaanubhti dikhaata tha. Usne sikhlaaya, “Agar koi vyakti paani aur Aatma se na janme, woh Parmeshwar ke raajye mein daakhil nahin kiya jaata.”11 Uddhaarkarta ne khud baptisma li thi uddhaaran dene ke liye. Tum kya jaano un mrityun logon ke baare mein jinhonne baptisma nahin liya hai?
Mandir aur Parivaarik Itihaas ka Dharamsiddhaant
October 11, 1840 mein, Nauvoo mein, Vilate Kimball ne apne pati, Elder Heber C. Kimball, ke paas khat likha, jo anye Barah Devduton ke saath Great Britain mein mission par tha. October maha sammelan kuch hi dinon pehle tha.
Mai Vilate ke niji khat ke kuch bhaag dohraaunga: “Jabse Girjaghar aayojit hua hai yeh sabse bada aur sabse dilchasp sammelan tha. … Pradhaan [Joseph] Smith ne ek naya aur shaandaar vishay par baate ki hai. … Jo baat hai, mrit logon ke liye baptisma lena. Paul iske baare, mein Pehle Corinthians ke adhyaaye 15 verse 29 mein kaha hai. Joseph ko praktikaran dwara ispar aur samjhaya gaya hai. Woh kehta hai Girjaghar ke [sadasyon] ke liye yeh ek saobhaagye hai apne sabhi rishtedaaro ke liye baptisma lena jo is susamachaar ke aane se pehle guzar gaye the. … Aysa karne se hum unke liye pratinidhi hote hai, aur unhe mauka dete hai Pehle Punrujiwan mein aane ka. Woh kehte hai ki mrit rishtedaaron ko susamachaar prachaar hoga aatmaaon ke kaed mein.”
Vilate ne aur kaha: “Mujhe apni maata ke liye baptisma lena hai. … Kya yeh ek shaandaar dhramsiddhaant nahin hai?”12
Parivaaron ko milaane ka avashyak dharamvidhi thoda thoda karke mila. Pratinidhik dharmasiddhaant anant parivaaron ko milaane ka mukhye vishay hai, jisse jadein daaliyon se judti hai.
Parivaar dhramsiddhaant parivaar itihaas aur mandir kaarye ko lekar spasht hai. Prabhu apne shuruaat ke praktikaranon mein “apne mrit ke liye baptisma”13 par kaha hai. Hamara dharamsiddhaant ke prati farz hai hamare khud ke purwaj. Aysa hai kyunki swarg ka celestial (swargiye) sangathan parivaar par adhaarit hai.14 Pratham Adhyakshta ne sadasyon ko protsaahit kiya hai, khaaskar yuva aur jawaan aviwaahit baaligon ko, ki woh parivaar itihaas kaarye aur dharamvidhiyon par gaur karein khud ke parivaar ke naamon ya ward aur stake sadasyon ke purwajon ke naamon ke liye.15 Hamein apne purwaj aur vanshaj donon se judna chahiye. Anant stithi mein judne ka khayaal vaastav mein shaandaar hai.
Mandirein
Wilford Woodruff ne kaha ki Bhavishyevakta Joseph Smith paryaapt samay tak jiye ki usne mandir kaarye ka buniyaad shuru kar diya tha: “Akhri baar tak jab woh, Joseph Smith, Barah Devduton ke Parishad ke saath mile the usne unhein unke endowments de diye the.”16
Bhavishyevakta ke shaheed hone ke baad, Santon ne Nauvoo Mandir ko banana khatam kiya, aur baandhne ki shakti ka istemaal kiya gaya hazaron vishwaasi sadasyon ko ashirvaad dene ke liye Pakshim ke Pahaad(Rocky Mountains) ki yaatra karne se pehle. Tees saal baad, St. George Mandir ke banne par, Pradhaan Brigham Young ne uddhaar ke dharamvidhiyon ke donon jiwit aur mrit ke liye uplabdh hone ke anant avashyakta ke baare mein kaha.17
Pradhaan Wilford Woodruff ne is par saralta se kaha: “Prabhu dwara diye gaye sabhi siddhaanton mein se mrit ke liye mukti paane waale siddhaant mein mainne sabse zyaada anand manaya hai; ki Celestial Raajye aur pehle punrujiwan ki subha ko, hamare pitaaen, maataaen, patniyaan aur hamare bachche hamare saath parivaar ki tarah rahenge. Yeh shaandaar siddhaant hai. Yeh har balidaan ke yogye hai.”18
Jiwit rehne ke liye yeh sabse badhiya samay hai. Yeh antim yug hai, aur hum uddhaar ke kaarye mein furti dekh rahe hai har ek vishay mein jahan ek uddhaar ka dharamsiddhaant maujood hai. 19 Hamare paas ab mandirein hai duniya bhar mein in uddhaar ke dharamvidhiyon ko pura karne ke liye. Mandir jaana aatmik jaagruti, shaanti, suraksha, aur nirdeshan ke liye hamare jiwan mein bhi ek badhiya ashirvaad hai.20
Pradhaan Thomas S. Monson ke Devdut bane ek saal nahin hua tha ki, usne Los Angeles Mandir ka Vansh Kitaabghar(Genealogical Library) ka samarpan kiya tha. Usne mrit purvajon ki baatein ki “jo intazaar [kar] rahein hai kab tum aur mai khoj karenge jo zaroori hai ise anjaam dene ke liye, … [aur] isi tarah Mandir mein jaaenge aur kaarye ko pura karenge … jo woh … khud nahin kar sakte.”21
Jab us samay ke Elder Monson ne is bhaashan ko diya June 20, 1964 mein, us samay sirf 12 chalu mandirein thi. Pradhaan Monson ke bade salaahkaaron ki sewa karte samay Girjaghar mein ke daoraan, 142 chaalu mandiron mein se 130 ke pehla samarpan kaarye ho chuka hai. Yeh ek chamatkaar hai hamare samay mein uddhaar ke kaarye ko furti se aage badhte dekhna. 28 anye mandiron ki ghoshna ki gayi hai aur yeh banne ke alag alag avastha mein hai. Ab Girjaghar ke 85% sadasye ek mandir ke 200 meel (320 km) ki duri par rehte hai.
Parivaar Itihaas Teknoloji
Parivaar itihaas teknoloji mein bahut badhanti aayi hai. Pradhaan Howard W. Hunter ne November 1994 mein ghoshna kiya tha: “Humne suchna ki teknoloji ka istemaal shuru kiya hai hamare mrit janon ke uddhaar ke pavitra vidhi ko furti se aage badhaane ke liye. Teknoloji ka bhumika … ko Prabhu ne khud aage badhaya hai. … Haalaanki, hum in aozaaron ke istemaal mein abhi shuruaat kar rahe hai.”22
Is bhavishyevaani ke 19 saal baad, teknoloji ki bahut badhanti hui. Ek 36-saal ki umra ki chote bachchon ki maata ne haal hi mein mujhse kaha, “Sirf sochiye—hum pehle parivaar itihaas kendra mein microfilm padhte the aur ab rasoi mein mez par baeth kar apne kamputar se parivaar itihaas kar rahe hai jab mere bachche so jaate hai.” Bhaaiyon aur bahanon, parivaar itihaas kendra ab hamare gharon mein hai.
Mandir aur parivaar itihaas kaarye sirf hamare baare mein nahin hai. Unke baare mein socho jo parde ke us paar hai uddhaar ke dharamvidhiyon ka intazaar karte hue jisse woh aatmik kaed se rihaa ho sakte hai. Kaed ka matlab hai “rukaao ya bandi stithi.”23 Jo log bandi stithi mein hai William Saroyan ka sawaal puch rahe honge: “Ab kya?”
Ek vishwaasi bahan ne Salt Lake Mandir mein ek khaas dhaarmik anubhav batlaya. Jab woh swikriti waale kamre mein thi, purwajon ke swikriti ka kaam karne ke baad, usne suna, “Aur kaedi rihaa ho jaaega!” Use ek tarah ka zaroorat mehsoos hua unke prati jo apne baptisma aur swikriti ke kaarye ka intazaar kar rahe the. Ghar lautne par, usne dharamshaastra mein dhoondha ki suni hui verse kaha par hai. Use Joseph Smith ka ghoshna mila Doctrine aur Covenants ke 128th bhaag mein: “Tumhare dil ko anand manane do, aur bahut santusht raho. Dharti ko gaane do. Mrit log Raaja Immanuel ke anant prashansa karenge, jo niyukt hua tha, duniya ke rachne se pehle, taaki hum unhe kaed se baahar nikaale; taaki kaedi rihaa ho jaaye.”24
Yah swaal hai, hamein kya karne ki zaroorat hai? Bhavishyevakta Joseph ka salaah tha “mrit logon ke suchi, jo apnaane yogye ho” 25ko mandir mein dein.
Girjaghar ki aguwaai ne spasht niyukti di hai ubhadti peedhi ko teknoloji ke istemaal mein aage badhe taaki hum Elijah ke aatma ko mehsoos karein, purwajon ko dhoondhne, aur unke liye mandir dharamvidhiyon ko karne ke liye.26Tum jawaan logon ke dwara sabse kathin kaam hoga jiwit aur mrit logon ke uddhaar ke kaarye ko aage badhaane ke liye.27
Agar har ek ward ka yuva sirf mandir jaakar mrit ke baptisma hi nahin par apne parivaaron aur anye ward sadasyon ke liye kaam karein dharamvidhi ko karne ke liye, donon woh aur Girjaghar ko bahut ashish milega. Aysa na socho ki mrit logon ka prabhaao tumhari koshishon mein madad karne ke liye aur ant mein unse milne ke liye jiski tum sewa karte ho. Parivaaron ko milaane ka anant mahatva kisi ke samajh se baahar hai.28
Girjaghar ke duniya bhar ki sadasyata mein, 51 pratishat ke baalig sadasyon ke donon maata-pita ke naam abhi Family Tree bhaag mein nahin hai Girjaghar ke Parivaar Khoj Intarnet mein. 65 pratishat baaligon ke chaaro nana-nani, aja- aji nahin likhe hai.29 Yaad rakkho, hum apne purvajon aur vanshaj ke bina uddhaar nahin paaenge. Girjaghar sadasyon ko is zaroori suchna ko haasil karna aur darj karna hai.
Ab hamare paas dharamsidhaant, mandirein, aur teknoloji hai parivaaron ko is uddhaar ke shaandaar kaam ko pura karwane ke liye. Mai ek tarika dunga jisse aysa kiya ja sakta hai. “Family Tree Gathering” naamak software se. Yeh gatividhi dohraaya jaa sakta hai. Sabhi log abhi ke parivaar itihaas, kahaniyaan, aur tasveerein laaenge tatha nani-naniyon aur maata-pita ke chahite sampati bhi. Hamare jawaan log uttejit hai apne parivaar sadasyon ke jiwan ke baare mein sikhne ke liye—woh kahan se aaye aur woh kaise jiwan bitaate the. Kayi yuvaaon ke dil unke pitaaon ki or mud gaye hai. Woh kahaniyon aur tasveeron ko pasand karte hai, aur unke paas tekniki gyaan hai in kahaniyon aur tasveeron ko Family Tree mein scan aur daalne ke liye aur dastawez ko purwajon se mel karna unhe lambe samay tak surakshit rakhne ke liye. Vaastav mein, kaaran hai ki hum jaane ki kaun se dharamvidhi abhi bhi karni baaki hai aur niyukti dena zaroori haimandir kaarye ke liye. My Family pustika istemaal ki jaa sakti hai parivaar jaankaari, kahaniyaan, aur tasveerein darj karne ke liye jo Family Tree mein daala ja sakta hai.
Parivaar zimmedaariyaan aur ummeed hamare divye kismat ko surakshit rakhne ke liye sabse mukhye vajah honi chahiye. Jo log Raviwaar ko sahi tarah se istemaal karna chahate hai parivaar ke liye, is kaarye ko furti se aage badhaana sahi chunaao hai. Ek maata khushi se batllaati hai kaise uska 17 saal ka ladka kamputar mein jaata hai har Raviwaar ko girjaghar ke baad parivaar itihaas kaarye karne ke liye aur uska 10 saal ka ladka apne purvajon ke kahaniyaan sunne aur tasveer dekhne pasand kaera hai. Isse pura parivaar Elijah ke aatma ko anubhao karke ashish paaya hai. Hamare bahumulye purwaj aur vanshaj ka poshan karna hai.
Ishu Maseeh ne Apna jiwan ek pratinidhik praeshchit ki tarah de diya. Usne Job ke antim sawaal ka jawaab diya. Usne sabhi maanav jaati ke liye mrityu se vijay paaya, jo hum khud nahin kar paate. Haalaanki, hum pratinidhik dharamvidhiyon ko karke aur vaastav mein Zion ke Pahaad30par uddhaarkarta ban jaaenge apne khud ke parivaaron ke liye taaki hum, unke saath, unnati aur uddhaar paaye.
Mai Uddhaarkarta ke praeshchit ke balidaan aur hamare aur hamare parivaaron ke liye Pita ki yojna ki nishchitta ka gawahi deta hoon. Ishu Maseeh ke naam se, amen.