2010-2019
Girjaghar Afsaron ka Samarthan
April 2014


9:25

Girjaghar Afsaron ka Samarthan

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum Thomas Spencer Monson ko Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke bhavishyevakta, paegambar, aur praktikarta aur Pradhaan ke rup mein samarthan karein; Henry Bennion Eyring ko Pratham Adhyakshta ke Pratham Salaahkaar; aur Dieter Friedrich Uchtdorf ko Pratham Adhyakshta ke Dusre Salaahkaar ke rup mein.

Jo sehmat hai woh prakat karein.

Jo asehmat hai, agar koi, to prakat karein.

Prastaavit kiya jaata hai ki hum Boyd Kenneth Packer ko Barah Devduton ke Parishad ke Pradhaan ke rup mein samarthan karein, aur inhein parishad ke sadasyon ke rup mein: Boyd K. Packer, L. Tom Perry, Russell M. Nelson, Dallin H. Oaks, M. Russell Ballard, Richard G. Scott, Robert D. Hales, Jeffrey R. Holland, David A. Bednar, Quentin L. Cook, D. Todd Christofferson, aur Neil L. Andersen samarthan karein.

Jo sehmat hai, kripya prakat karein.

Jo asehmat usi tarah dikhlaaye.

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum Pratham Adhyakshta ke Salaahkaaron aur Barah Devduton ko bhavishyevaktaaon, paegambaron, aur praktikartaaon ke rup mein samarthan karein.

Jo sab sehmat hai, kripya prakat karein.

Jo asehmat hai, agar koi, usi tarah se prakat karein.

Is samay hum dhanyewaad ke saath mukt kartein hai Elder Tad R. Callister ko jo Maha Adhikaari aur Sattar ke Parishad ke Adhyakshta ke sadasye hai.

Jo hamare saath abhaar ka math dena chahate hai, kripya prakat karein.

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum Sattar ke Parishad ke Adhyakshta ki sadasyata mein Elder Lynn G. Robbins ka samarthan karein.

Jo sab sehmat hai, kripya prakat karein.

Jo asehmat, agar koi prakat karein.

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum in Chetriye Sattaron ko mukt karein, jo May 1, 2014 se laagu hoga: Pedro E. Abularach, Julio A. Angulo, Victor A. Asconavieta, Duck Soo Bae, Juan C. Barros, Colin H. Bricknell, Dennis C. Brimhall, Thomas M. Cherrington, Kim B. Clark, Wynn R. Dewsnup, Rodolfo C. Franco, G. Guillermo Garcia, Julio C. González, Mauro Junot De Maria, Larry S. Kacher, David E. LeSueur, Paulo C. Loureiro, Steven J. Lund, Abraham Martinez, Hugo E. Martinez, Sergey N. Mikulin, Christopher B. Munday, Hirofumi Nakatsuka, Chikao Oishi, Alejandro S. Patanía, Renato M. Petla, Anatoly K. Reshetnikov, Jonathan C. Roberts, J. Craig Rowe, Robert B. Smith, Warren G. Tate, Hesbon O. Usi, Taniela B. Wakolo, Randy W. Wilkinson, aur Chi Hong (Sam) Wong.

Jo in ki badhiya sewa ke liye hamare saath abhaar ko abhivyakt karne ki ichcha rakhte hai, kripya prakat karein.

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum Bhaai Russell T. Osguttorpe, David M. McConkie, aur Mathew O. Richardson jo Raviwaar Kaksha maha adhyakshta ke hai ko uske sewa ke liye abhaar ka math dekar mukt karein.

Usi tarah hum Raviwaar Kaksha ki maha mandal ke sabhi sadasyon ko bhi mukt karte hai.

Sabhi jo hamare saath in bhaaiyon aur bahanon ko unke vishesh sewa aur bhakti ke liye dhanyewaad ka math dena chahate hai, kripya prakat karein.

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum Pratham Sattar ke Parishad ke naye sadasyon Chi Hong (Sam) Wong aur Jörg Klebingat ka samarthan karein aur Sattar ke Dusre Parishad ke naye sadasyon ke rup mein Larry S. Kacher aur Hugo E. Martinez.

Jo sehmat hai, kripya prakat karein.

Koi asehmat hai, usi tarah se dikhlaae.

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum in naye Chetriye Sattaron ko samarthan karein: Julio Cesar Acosta, Blake R. Alder, Alain C. Allard, Taiichi Aoba, Carlos F. Arredondo, Vladimir N. Astashov, Jorge T. Becerra, Michael H. Bourne, Romulo V. Cabrera, Jose Claudio F. Campos, Nicolas Castañeda, Walter Chatora, Fook Chuen Zeno Chow, J. Kevin Ence, K. Mark Frost, Mauricio G. Gonzaga, Leonard D. Greer, Jose Isaguirre, Michael R. Jensen, Adolf Johan Johansson, Tae Gul Jung, Wisit Khanakham, Serhii A. Kovalov, Sergio Krasnoselsky, Milan F. Kunz, Bryan R. Larsen, Geraldo Lima, W. Jean-Pierre Lono, Tasara Makasi, Khumbulani Mdletshe, Dale H. Munk, Eduardo A. Norambuena, Yutaka Onda, Raimundo Pacheco De Pinho, Marco Antonio Rais, Steven K. Randall, R. Scott Runia, Alexey V. Samaykin, Edwin A. Sexton, Raul H. Spitale, Carlos Walter Treviño, aur Juan A. Urra.

Jo sehmat hai, kripya prakat karein.

Jo asehmat, agar koi prakat karein.

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum Tad R. Callister ko Raviwaar Kaksha ki maha adhyakshata mein, saath mein John S. Tanner ko pehle salahkaar aur Devin G. Durrant ko dusre salahkaar ki tarah samarthan karein.

Jo sehmat hai, kripya prakat karein.

Koi asehmat hai usi tarah dikhlaae.

Hum yah yaad rakhtein hai ki Bhaai Tanner aur Durrant dono abhi mission adhyakshta ki tarah sewa pradaan kar rahein hai aur abhi, isliye, Sammelan Kendra mein yaha shaamil nahi hain.

Weh apne adhikaari ki sewa Raviwaar Kaksha maha adhyakshta mein July 2014 mein shuruwaat karenge mission adhyakshtaon se mukt hone ke baad.

Yeh prastaavit kiya gaya hai ki hum anye Maha Adhikaariyon, Chetriye Sattaron, aur maha sahayak adhyakshtaon ka samarthan karein jaise vartamaan samay woh niyukt hai.

Jo sehmat hai, kripya prakat karein.

Koi asehmat hai to prakat karein.

Dhanyewaad, bhaaiyon aur bahanon, tumhare samarthan math, aur tumhare lagataar vishwaas aur hamare nimitt prarthna ke liye.

Hum naye niyukt hue Maha Adhyakshtaon ko aage akar, upar apna sthaan lene ke liye amantrit karte hai.