Ashleel Chitra se Bachaao—ek Maseeh-Kendrit Ghar
Duniya ka sab se bada filtar … hai humare khud ke bhitar ka filtar jo prapt hota hai andar aur ant tak ke gawahi ke saath.
Pyaare bhaaiyon aur bahanon, aaj maine ashirwaad praapt kiya hai apne 13 bade naatiyon ko is sammelan mein hone se. Unko yaha hone se mujhe prerna mili hai ki main sawaal karun “Mai kya chahati hoon ki mere naatiyon ko pata chale?” Is subha mai apne aur tumhare parivaar se spasht rup se baatein karna chahati hoon.
Hum girja ke neta bahut hi chintit hai Girjaghar ke sadasyon aur unke parivaaron ke jiwan mein ashleel chitra ke prabhaao ko lekar. Shaetaan naye tarah se aakraman kar raha hai.
Humare dharti par hone ka ek karan yah hai ki hum apne maranshil sharir ke jonoon aur ahesaas ko kaabo mein rakhein Yeh Parmeshwar se praapt hue ahesaas hume madad kartein hai shaadi karne aur bachchein hone mein. Aadmi aur aurat ke beech ki nazdeeki shaadi ke rishtedaari mein jo bachchon ko nektikta se laati hai ko bhi sundar hona chahiye, pyare anubhaouein jo do dilon ko saath milati hai, dono aatma aur sharir ko milati hai, aur purn anant aur khusiyan praapt ho jabki hum ek dosre ki zarooraton ko pahale dekhein. Pradhaan Spencer W. Kimball ne sikhlaya ki shaadi mein, “pati/ patni …pati ya patni ke jiwan mein shresht ban jaata hai, aur …[koi ] aur kaam [ya] insaan [ya] cheez pati/patni ke sambandh ke beech mein nahi ah sakta hai.
“Shaadi mein shuruaat se puri tarah se wafadaari aur imaandaari rehni chahiye.”1
Kai saal pahale humare chaar bachchon mein se ek pareshaan laga. Main uske kamre mein gayi, jaha usne apne asehaas ko batlaya aur mujhe samjhaya ki wah ek mitra ke ghar par gayi thi aur anjaane mein ek aadmi aur aurat ko bina kapde ke TV par chauka dene waala aur bura chitra aur kaaryoun ko karte dekha. Wah rone lagi aur batlayi ki usne kitna bura mehsoos kiya aur uski asha thi ki wah apne mann se use nikaal sake. Main bahut abhari thi ki wah mujh se batla saki, mujhe uske masoom aur peeda se bhari hriday ko shaant karne mein mauka mila aur uski madad ki yah jaane mein ki wah kis tarah Uddhaarkarta ke Praeschit ke madad se sahara parpt kar sakti thi. Main us pavitra ahessas ko yaad karti hoon humein praapt hua tha saath ghotne par, maata aur putri ki tarah, aur Swarh ke Pita se vinti mein madad liye.
Kai bachchein, yuva, aur buzurg bhalepan se ashleel chitra ko dekh letein hai, magar use dekhne ke chunne waalon dono aadmi aur auraton ke nambar badh rahein hai aur baar baar dekhtein hai jab tak ki unhe iski lat padh jaati hai. Yeh vyakti apni puri koshish kare ki is se bahar nikale magar humesha weh khudh se bahar nikal nahi saktein hai. Hum kitne abhari hai jab yeh pyare log humein maata-pitaoun ki tarah ya Girjaghar ke netaoun ki tarah chuntein hai batlane ke liye. Hume chatur rahana hoga ki hum achambhe, gusse, ya inkaar mein na pade, jo unhein dobara shaant kar dega.
Hum maata-pitaoun aur netaoun ki tarah, humein apne bachchon aur yuva ke saath humesha salaha dena padega, sunntey hue pyaar aur samjh se. Unhein ashleel chitra ke khatre ke bare mein sikhna padega aur kis tarah ashleel chitra kisi ke jiwan par asar daalti hai, Aatma, dusht ahesaas, dhokha, tute rishtedaari, atamsaiyam ko khona, aur samay ki barbadi, soch, aur shakti ko kho detein hai.
Ashleel chitra kamina, bura, aur pahale se ziyada suchichitra hai. Jab hum apne bachchon ke saath salaah kartein hain, saath mein hum parivaar ke yojna bana saktein hai kaaeda aur kaanon ke saath, humein aur bhi apne gharon ko bachana chahiye electronik cheezon par prabandh laga kar. Maata-pitaon ko samajhna chahiye ki mobile jis mein internet ho, naaki kamputar, sab se badi pareshaani hai?2
Jawaan log aur buzurgon, agar tum shaaitaan ke chungal ke ashleel chitra mein fas chuke ho, yaad karo ki kitne dayalu humare priye Uddhaarkarta hein. Kya tum jaate ho ki Prabhu tumse kitna pyaar karte hai aur tumhe chahate hai, abhi bhi? Humare Uddhaarkarta ke paas shakti hai tumhe saaf aur achcha karne ka. Wah tumhe tumhare peeda aur dard ko dur kar sakta hai aur tumhe dobara saaf bana sakta hai Apne Praeshchit ki shakti ke dwara.
Hum girja ke neta bhi pati-patniyon ke baare mein chintit hai jo ashleel chitra ke lat ko jhel rahein hai. Elder Richard G. Scott ne guzaarish kiya hai ki: “Agar tum apne aap kose gambheer paap se bachana chahate hai, dusron ke paapon ki saza ko avashyak rup se mat jhelo. … Tum us ke liye daya mehsoos kar sakte ho. … Phirbhi tumhe us kaarye ke liye apne upar un logon ke kaarye ke zimmedaari ko nahi lena hai.”3 Jaano ki tum akele nahi ho. Yaha madad hai. Pati/ patni ko lat se bachne ke liye sabhaen uplabdh hain, jismein shaamil hai phone-sabhaen, jo pati/patni ko sabha mein phone kartein hai aur apne khud ke gharon se bhaag letein hai.
Bhaayion aur bahanon, hum kis tarah apne bachchon aur yuva ko bacha saktein hai? Yeh laabhdaayak aosaarein hai, magar duniya ka sab se bada filtar, jo humesha kaam karega, hai humare khud ke bhitar ka filtar jo Swarg ke Pita ke prem aur humare Uddhaarkarta ke balidaan ke praeschit se hum sab ko praapt hota hai andar aur ant tak ke gawahi ke saath.
Hum apne bachchon ko kis tarah Uddhaarkarta ke paas le jaayein haein? Main bhavishyevakta Nephi ke baaton ko prem karta hoon jo uske logon ne aaj ke din ke yuva ko mazboot karne ke liye kiya tha: “Hum Masih ki charcha kartein hai, hum Masih ke anandith hotein hai, hum Logon nko Masih ke vishye mein updesh detein hai, hum Masih ke vishye mein bhavishyevaani kartein hai … ki humare santaan yah jaan sakein ki weh apne paapon ki chama ke liye kaha dekein.”4
Hum yah kis tarah se apne gharon mein kar saktein hai? Kuch ne mujhe batlaate sunna hoga ki chaar baccho ke maata-pita hone se mere pati aur mai kitna jalpalavith the. Jab humne maata-pita hone ke chunaotiyon ko jiwan ke zarooraton ko pura karne ka anubhao kiya, tab hume madad ki bahut avashyakta thi. Hum ne prarthna aur guzaarish kiya yah jaanne ke liye ki hum kaise kareinge. Jawaab jo praapt hua tha saaf taur se tha: “Yah theek hai agar ghar maela hai aur bachchein abhi bhi apne sone waale kapdon mein hai aur kuch zimmedaariyon ko karna baaki hai. Jo sirf zaroori kaarye hai ghar mein karne ke liye wah hai humesha dharamshaastra ko padna aur prarthna aur parivaar gharelu shaam sabha ko karna.”
Hum yah karne ki koshish kar rahein hein, parantu yeh humesha praathmikta nahi thi aur, saath mein bawaal, kabhikabhi bhula dete the. Humne apna nazariya badal diya aur kam zaroori cheezon par bahot dhyaan nahi diya. Hum Maseeh ki baate, usmein khushi hone, uska prachaar karne, aur gawahi dene lage har din prarthna aur dharamshaastra adhyan aur saaptahik parivaar gharelu shaam sabha karke.
Ek mitra ne bhi hal hi mujhe chetaaouni diya, “Jab tum bahanon ko dharamshaastra ko padhne aur zyaada prarthna karne ko kahate ho, wah unpar dabaao daalta hai. Weh mehsoos kartein hai ki pahale hi unke paas bahut hai karne ko.”
Bhaaiyon aur bahanon, kyuki main apne khudh ke anubhao se jaanti hoon, aur apne pati ke bhi, main yah gawahi zaroor deti hoon ki hamesha dharamshaatsra ko padhne aur prarthna aur safta ke parivaar gharelu shaam ke ashirwaadon ka.Yeh sab kaarye hai jo madad karta hai dabaao ko dur karne mein, humare jiwan ko maarg dene, aur hamare gharon ko surakhchit rakhne mein. Phir, agar ashleel chitra ya duosre chunaotion hamare parivaaron mein aaye, hum Prabhu se madad ke liye vinti kar saktein hai Aatma se mahaan maargdarshan ko praapt kar saktein hai, yah jaante hue ki hum ne wah kiya hai jo humare Pita chahata hai ki hum karein.
Bhaaiyon aur bahanon, agar yeh sab kuch tumhare gharon mein nahi ho raha hai, hum sab abhi shuruaat kar sakte hai. Agar hamare bachchein bade hai aur humare saath shaamil nahi hona chahatein hai, hum khudh shuruwaat kar saktein hai. Jab hum yah karenge, Aatma ka prabhaao hamare gharon aur humare jiwan mein badega aur, baad mein, bachchein bhi shaamil ho saktein hai.
Yaad rakho ki jiwit Devduton, ne bhi vaada kiya hai ki jab hum apne purvajon ko dhoondhenge aur mandir ke liye apne khud ke parivaar ke naamon ko tayeyaar karenge, hamein abhi aur hamare pure jiwan bhar mein suraksha pradaan kiya jaega jab hum apne aap ko mandir ke sifaarish ke laayak rakkhenge.5 Kya vaada hai!
Yuva, apne khudh ke dhaarmikta ki zimmedaari lo. Apne phone ko bandh karo agar zaroori pade, Praathmik geet gaao, madad ke liye prarthna karo, dharamshaastra ke baare mein socho, agar aadhi film se uthna pade tho wah karo, Uddhaarkarta ko apne mann mein dekho, prabhubhoj ko laayak se lo, For the Strength of Youth ka adhyan karo, apne doston ke liye uddharan bano, maata/pita se apna haal batlaao, bishop se baatein karo, madad mango, aur khaas salaah ko lo, agar zaroori ho.
Main kya chahati hoon ki mere naati/potein jaane?Main chahati hoon ki weh aur tum jaano ki main jaaanta hoon ki Uddhaarkarta jiwit hai aur hamein prem karte hai. Usne hamare paapon ke liye keemat chukaya hai, magar haumein apne Swarg ke Pita ke saame jhukne chahiye, bahot vinamrata se, hamare paapion par ishaar karna chahiye, aur Use chama maangna chahiye. Hamein apne hridayon aur apne ichchaaon ko badalna chahiye aur vinamar hona chaiye madad ko dhoodhne ke liye aur chama unke liye jinhein humne nuksaan pahuchaya ya tukraya hai.
Mai jaanti hoon ki Joseph Smith ne Parmeshwar, hamare Swarg ke Pita, aur hamare Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ko dekha tha. Mai gawahi deti hoon ki hamare paas ek jiwit bhavishyevakta hai dharti par, Pradhaan Thomas S. Monson. Mai yeh bhi gawahi deti hoon ki hum kabhi bhatkenge nahin agar hum Parmeshwar ke bhavishyevakta ki salaah maanenge. Mai apne vaadon aur mandir ke ashirwaadon ke shakti ki gawahi deti hoon.
Mai jaanti hoon ki Mormon Dharamshaastra sahi hai. Main is dharamshaastra ki shakti ko shabdon mein batla nahi sakti hoon. Main sirf yah jaanti hoon ki, prarthna ke saath, Mormon Dharamshaastra ke paas shakti hai parivaaron, ko bachaane, rishton ko mazboot karne, aur Prabhu ke aage vyaktigat saahas baratne ke liye. Mai in cheezon ki gawahi Ishu Maseeh ke pavitra naam se deti hoon, amen.