2010-2019
Andar ke Divyata ko Samajhna
October 2015


11:19

Andar ke Divyata ko Samajhna

Hum is duniya mein aate hai divye prakriti ke beej ka poshan karne aur hamare andar ke beej ko jaanne ke liye.

Bahanon, mujhe aapse prem hai! Mai gawaahi deti hoon ki jiwan ek uphaar hai. Parmeshwar ne hum sab ke liye ek yojna banayi hai, aur hamara niji lakshye is duniya mein aane se bahut pehle tay ho gaya tha.

Haal hi mein maine samjha ki ek shishu ke janam ka chamatkaar bhi Prabhu ki yojna hai. Hum sab sharirik rup se apne maa ke andar bade huwe the aur mahino tak unke shareer dwara hamara poshan hua. Baad mein, haalaanki, paeda hone ka kriya—donon maa aur shishu ke liye adhunik—ne unhe alag kiya.

Navjaat Shishu

Jab shishu baahari duniya mein aata hai, taapmaan aur raushni mein badlaao aur chaati par zor padne se shishu apna pehla saans leta hai. Phephde pehli baar achanak hawa se bharte hai, sabhi ang kaam karne lagte hai, aur shishu saans lene lagta hai. Jab naada ko kaata jaata hai, maa aur shishu ke beech ka bachaao-rassi hamesha ke liye alag ho jaata hai, aur dharti par us shishu ka jiwan shuru hota hai.

Job ne kaha, “Mujhe Parmeshwar ki Aatma ne banaya hai, aur Sarvashaktimaan ke saans se mujhe jiwan milta hai.”1

Is duniya mein aate samay hum “swarg ki kuch mahima laate hai.”2 “Parivaar: Duniya mein Susamachaar ki ek Aupchaarik ghoshna”sikhlata hai ki hum sab “swarg ke maata-pita ke priye aatmik putra ya putri hai” aur “hum sab ki ek divye prakriti aur naseeb hai.”3 Swarg ke Pita Apne divyata ka bhaari bhaag hamare andar baatte hai. Woh divye prakriti Unke or se uphaar hai ek prem ke saath jo sirf ek maata ya pita mehsoos karta hai.

Hum is duniya mein aate hai divye prakriti ke beej ka poshan karne aur hamare andar ke beej ko jaanne ke liye.

Hum Jaante Hai Kyun (Janam)

Elaine Cannon, ek purva ki Jawaan Mahilaaon ki maha adhyaksh, ne kaha, “Ek mahila ke jiwan mein do zaroori din hote hai: Uska janam din aur jab woh jaan jaati uska janam kyun hua.”4

Hum jaante hai janam kyun hua. Hum yahan is dharti par Unka raajye banane aaye hai aur Unke Putra, Ishu Maseeh ke Dusre Aagman ki tayyaari karne aaye hai. Har saans mein, hum Unke raah par chalne ki koshish karte hai. Hamare Pita aur Unke Putra ke kareeb jaane ki koshish karne se hamari divye prakriti behtar aur badhiya hogi.

Hamara divye prakriti aur hamari niji safaltaaon ka koi sambandh nahin, jo darja hum paate hai, humne kitne marathon mein bhaag liye hai, ya hamari prasidhta aur atma-sammaan. Hamara divye prakriti Parmeshewar se milta hai. Yeh hamare paeda hone se pehle ke duniya mein tay kiya gaya tha aur anantta tak chalta rahega.

Hum Prem Paate Hai

Swarg ke Pita ke prem ko mehsoos karne aur dene se hum apne divye prakriti ko pehchaante hai. Hum khud use poshan karte, badhne dete, aur madad karte hai badhne mein. Peter ne kaha hamein “anmol vaade” diye gaye hai taaki hum “divye prakriti ko haasil kar sakein.”5 Jab hum khud ko samajh lete hai hum kaun hai—Parmeshwar ki putriyaan—hum un anmol vaadon ko mehsoos karne lagte hai.

Ek khidki se baahar dekhte huwe, na ki ek aaine mein, hum dekhte hai ki hum Unke hai. Hum aap hi Unhi prarthna mein pukaarte hai, aur hum Unke vachan padhne aur Unki ichcha puri karne ke liye utsuk rehte hai. Hum kitne yogye hai ke ehsaas Unse lete hai, na ki aas paas ke logon se ya Facebook ya Instagram ke doston se.

Agar tum kabhi sandeh karoge apne andar ke divyata par, ghutnon par hokar aur Swarg ke Pita se pucho, “Kya mai sach mein Aapki putri hoon, aur kya Aap mujhe prem karte ho?” Elder M. Russell Ballard ne kaha, “Aatma ka diya hua sabse sundar sandesh hamare liye hai ki Prabhu hamare baare mein kya mehsoos karta hai.”6

Hum Unke hai. Paul ne kaha, “Aatma aap hi hamari aatma ke saath gawahi deta hai, ki hum Parmeshwar ki santaan hai.”7 Aksar hamara pehla praathmik geet hota hai “I Am a Child of God.”8 Ab samay aaya jab hum, “I am a child of God” bol ko nikaale aur “Therefore, what should I Do” bol daalein? Hum is tarah ke sawaal bhi kar sakte hai: “Parmeshwar ka putra hone ke naate mai kya kar sakta hoon?” “Kaise mai apne andar ke divye prakriti ko viksit kar sakta hoon?”

Pradhaan Dieter F. Uchtdorf ne kaha, “Parmeshwar ne tumhe yahan ek badhiya bhavishye tayyaar karne ke liye bheja hai jiski tum kalpana nahin kar sakte.”9 Woh bhavishye, ek ek din karke, jiwit hota hai jab sirf jeena band karte ho; woh jiwit hota hai jab tum apne divye laskhye ko jeene lagte ho. Isse Prabhu tumhare jiwan mein amantrit hota hai, aur tum Unki ichcha ko apna lete ho.

Hum Apne Divye Prakriti ke Kaaran Seekhte hai

Divye prakriti hamare andar shaok utpann karta hai anant sachchaaiyon ko khud jaanne ke liye.

Amy naamak ek jawaan mahila ne hamein haal hi ek seekh diya jab usne likha: “In dinon mein ek naojawaan hona kathin baat hai. Maarg patla hone laga hai. Shaetaan bharpur koshish kar raha hai. Sab kuch chaahe sahi hai ya galat; kuch bhi nispaksh nahin.”

Usne aur kaha: “Achche dost kabhi kabhi mushkil se milte hai. Tab bhi jab tumhare paas gehre dost ho jo kabhi nahin jaayenge, woh kisi karan badal jaaenge. Isiliye mai khush hoon ki mere paas parivaar, Swarg ka Pita, Ishu Maseeh, aur Pavitra Aatma hai, jo mere doston ke bichadne par mere saathi rahenge.”

Amy ne kaha: “Ek raat mai chintit thi. Maine apni bahan se kaha ki mai nahin jaanti mujhe kya karna hai.”

Us raat baad mein uski bahan ne use ek text bheja jismein Elder Jeffrey R. Holland ka kaha tha: “Haar mat maano. … Himmat mat haaro. Tum aage badhte rehna. Tum koshish karte rehna. Madad aur khushiyaali aage milega. … Ant mein sab theek hoga. Parmeshwar par bharosa rakho aur aane waale achchi cheezon mein vishwaas karo.”10

Amy ne samjhaya: “Mujhe yaad hai padhna aur prarthna karna ki mai Parmeshwar ke prem ko mehsoos karun agar Woh sach mein mera hai.”

Usne kaha: “Jitni jaldi maine maanga aur vishwaas kiya ki Woh wahan hai, mujhe sabse adbhud, khushi, prem ka ehsaas hua. Shabd se nahin bayaan hoga. Mai jaanti thi Woh wahan tha aur ki Woh mujhse prem karta hai.”

Kyunki aap Unke aulaad hai, Woh jaanta hai aap kya ban sakte hai. Woh aapke dar aur sapnon ko jaanta hai. Woh aapke sambhaona se prasann hota hai. Woh intazaar karta hai tumhare prarthna ka. Kyunki aap Unke aulaad ho, na sirf tumhe Unki zaroorat hai, par Unhe bhi tumhari zaroorat hai. Jo aapke saath is sabha mein hai unhe aapki zaroorat hai. Duniya ko aapki zaroorat hai, aur tumhara divye prakriti tumhe mauka deta hai Unke bharosemand chela hone mein Unke bachchon ke liye. Ek baar hum apne divyata ko dekh lenge, hum auron mein bhi dekh sakenge.

Hum Apne Divye Prakriti ki Vajah se Sewa Karte hai

Divye prakriti hamare andar auron ki sewa ka shaok utpann karta hai.

Ethiopia ke Akaal ke Samay ka Maa aur Bachcha

Haal hi mein, Sharon Eubank, jo Humanitarian Services aur LDS Charities ki sanchaalak hai, ne Elder Glenn L. Pace ke saath huwe anubhav ko bataya. Madh-1980s mein Ethiopia mein bhaari sukha aur aakaal pada. Sahayta ke liye, paani aur khaana baatne waale steshan banaye gaye taaki log wahan se le sakein. Ek budha aadmi jo bhukmara tha steshan pahunchne ke liye bahut dur se chalta aa raha tha. Woh ek gaao paar kar raha tha jab ek shishu ke rone ki aawaaz suni. Usne dhoondha aur paaya ki shishu apne mare huwe maa ke paas baetha hai. Shishu ko utha kar, aadmi agle 25 meel(40 km) khana ke steshan tak chalta gaya. Jab woh waha pahuncha, uska pehla shabd yeh nahin tha ki “Mai bhukha hoon ya “Mujhe madad karo.” Usne kaha “Is shishu ke liye kya kiya jaa sakta hai?”11

Hamare andar ka divye prakriti hamare shaok ko jagata hai auron tak pahunchne aur kuch karne ke liye. Swarg ke Pita aur Ishu Maseeh hamein woh karne ki shakti de sakta hai. Kya Prabhu humse puch raha hoga, “Is beti, is bete, is pita, ya is dost ke liye kya kiya jaa sakta hai?”

Aatma ke fusfusaahat ke zariye shak karne waale ki divye prakriti, vishwaas paane ki koshish karne ke baad, woh shaanti paa sakta hai vishwaas karne ke liye.

Jab bhavishyevakta bolta hai, unke shabd hamare divye prakriti tak pahunchta hai aur hamein waisa karne ki shakti deta hai.

Har hafte prabhubhoj ko lene se hamare andar ke divyata ko aasha pradaan hota hai, aur hum hamare Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ko yaad karte hai.

Mai tumse vaada karti hoon ki jab tum apne andar ke divye prakriti ke gehraai ko pehchaanoge, tum apne anmol uphaar ke lakshye ko pura karoge. Yeh tumhe Unki putri banne ke liye protsaahit kare, taaki Untak tum pahuncho—jahan hum “us Parmeshwar ke saath punharsthaapit honge jo [hamein] saans deta hai.”12 Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Job 33:4.

  2. “Ode: Intimations of Immortality from Recollections of Early Childhood,” The Complete Poetical Works of William Wordsworth (1924), 359.

  3. “Parivaar: Duniya ke Liye Susamachaar ka ek Aupchaarik Ghoshna,” Ensign ya Liahona, Nov. 2010, 129.

  4. Elaine Cannon, “‘Let Me Soar,’ Women Counseled,” Church News, Oct. 17, 1981, 3 mein.

  5. 2 Peter 1:4.

  6. M. Russell Ballard, “Women of Righteousness,” Ensign, Apr.2002, 72; Liahona, Dec. 2002, 42.

  7. Romans 8:16.

  8. Dekhiye “I Am a Child of God,” Hymns, no. 301.

  9. Dieter F. Uchtdorf, “Living the Gospel Joyful,” Ensign ya Liahona, Nov. 2014, 121.

  10. Jeffrey R. Holland, “An High Priest of Good Things to Come,” Ensign, Nov. 1999, 38; Liahona, Jan. 2000, 45.

  11. Dekhiye Glenn L. Pace, “Infinite Needs and Finite Resources,” Ensign, June 1993, 52; Tambuli, Mar. 1995, 18--19.

  12. 2 Nephi 9:26.