Uski Oar Mudo aur Jawaab Milega
Laayak raho, us samay ko tum yaad karo jab tumne Aatma ko pahale mehsoos kiya tha, aur vishwaas se pucho. Tumhe jawaab milega.
Jab main ek jawaan ladka tha, mere mata-pita ne Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim- dinon Santon mein jodh rahe the. Hum jaante the ki prachaarakein unhein sikhla rahe the, parantu mere mata-pita ne prachaar shikshanon ko akele liya tha.
Is aschariye ghoshna ke baad, mere bhaaiyon aur maine bhi prachaarakoun ko sunne ki shuruwaat kiya, aur unhone Punahsthaapna ke sandesh ko khushi ke saath prapt kiya. Bhale hi main utsuk tha, mere hriday mere jiwan ke badlaao ko swikaar nahi kar raha tha. Maine kiya, phirbhi, prarthna karne ke chunaoti ki swikaar kiya ki Mormon ki Dharamshaastra Parmeshwar ki vaani hai, parantu maine koi jawaab nahi prapt kiya tha.
Tum shaayad puchoge ki Swarg ke Pita ne prarthna ka jawaab ko nahi diya tha; main humesha aschariye mein raha. Maine sikha hai ki Moroni ka diya hua vaada sachcha tha. Parmeshwar susamachaar ki sachchaai ke bare mein humare prarthna ka jwaab deta hai, parantu Wah jawaab deta hai jab humne “ek sachche hriday”, aur “sahi lakshye ke saath.”1 Wah sirf hume jawaab dene ke liye nahi karye ko karta hai.
Shaayad yaha tumhare jiwan mein kuch hai jis par tumhare paas swaal hai. Shaayad yaha par ek pareshaani hai jise tumhe pata nahi hai ki kis tarah se jawaab diya jaye. Aaj main kuch soch ko batlana chahata hoon jo tumhari madad karenge jawaab ko paane mein ya tumhari madad karenge dhoondhane mein. Kaarye ka shuruwaat Ishu Maseeh ke susamachaar mein badlaao lene se hota hai.
Pratikaran ko prapt karna Humare Hridayon ke Tarike aur Lakshye par Nirbhar rahata hai
Maine dharamshaasta mein kai vyaktikon ke lekh par gaor kiya hain. Sochiye, uddhaaran mein, Laman aur Lemuel ko. Nephi ki tarah, weh “achche mata-pita se payeda hue the” aur sikhlaya “[uske] pita ke sabhi shikshanon ko.”2 Phirbhi weh shikayat kare kyunki unke pita ek bhavishyevakta aadmi the. Unke nazarye se, uske fasle mein kaaran dikhta tha, weh Parmeshwar ke cheezon ko nahi jaante the aur, isliye, weh vishwaas nahi karte the.3
Yah jaan kar khushi hota hai ki unke chunaao ne unko vishwaas-badhaane ke anubhao ki oar badhaya tha. Unhone apne ghar aur apne dolaat ko chodh diya. Unhone dukhi se apni safar jangal mein jhela tha. Ant mein unhone naao banane mein madad kiya, aur unhone ek anjaan dharti par jaane ko swikaar kiya.
Nephi bhi inhi anubhaoun se guzara tha. Parantu kya unke kaarye ne vishwaas ko badhaya tha? Nephi ki vishwaas mazboot hua tha, parantu Laman aur Lemuel zyaada avishwaasi aur gusse mein hue. In bhaaiyon ne devdut ko dekha aur sunna tha, parantu, udaasi, mein weh sandeh karte rahe.4
Maranshil jiwan hum mein se kisi ke liye asaan nahi tha. Hum dharti par kosish karne aur pariksha dene ke liye aaye hain. Humare jawaab jiwan ke anubhaoon par humare gawahion mein humesha prabhawit karenge. Laman aur Lamuel ke kuch kaaryon ko socho: Unhone shikaayat kiya jab unke pita ne unko katin kaarye ko karne ko kaha.5 Weh pital ke palet ko haaasil karne ki koshish karte rahe, parantu jab safal nahi hue, weh haar maan gaye. Unka saubhaao tha “Humne koshish kiya tha, aur bhi kya kar sakte the?”6
Yaha par ek samay tha jab weh galat karne par pasta rahe the aur chama maanga tha.7 Unhone prarthna kiya aur chamma mila. Parantu dharamshaastra mein likha hai ki baad mein weh shikaayat kare aur unhone prarthna karne ko inkaar kar diya tha. Weh Nephi ke paas aye aur unhone batalaya ki “[apne] pita ke batlaye [hue] shabdon ko weh samjh nahi paaye the.”8 Nephi ne unse pucha ki kya unhone “Prabhu se pucha hai.”9 Unke jawaab ko dekdo: “kyunki Prabhu aysi baaton ki jaankaari hume nahi deta.”10
Humesha Aagyakaari Rehne se Hume Jawaab Prapt ho Sakta Hai
Nephi ka jawaab uske bhaaiyon ko humare liye ek chaabie ki tarah hai humesha prarthna ka jawaab ko prapt karne ke liye:
“Ayesa kio hai ki tum Prabhu ki agyaoun ka paalan nahi karte ho?Ayesa kio hain ki tum apne hridayon ki kathorta ke karan nasht ho jaaoge?
“Kya tumhe weh baatein yaad hai jo Prabhu ne kahi hai?-Yadi tum apne hridayon ko kathor nahi karo, aur mujhse vishwaas mein pucho, is asha ke saath tumhe uttar milega, lagan ke saath meri aagyon ka paalan karo, nishchayerup se tumhe in baaton [ki] jaankari di jayegi.”11
Main kuch waapis aye prachaarakoun ko jaanta hoon jinhone nirviwaad dhaarmik anubhaoun ko kiya hai, parantu kuch dhaarmik chaalchalan ki kami ne unhein yah bhula diya hai jab Parmeshwar ne unse baatein kiya tha. Un waapis aye prachaarakoun se aur hum sabse, agar tumne “sachche prem ke geet ko gaane ko mehsoos kiya tha, main chahunga, kya tum abhi mehsoos kar saktey ho?”12 Agar tum abhi nahi mehsoos kartey ho, tum dobara mehsoos kar saktey ho, parantu Nephi ki salaaha par gaor karo. Laayak raho, yaad karo us samay ko jab tumne pahali baar Aatma ko mehsoos kiya tha, aur vishwaas se pucha tha. Tumhe jawaab milega, aur tum prem ko mehsoos karoge aur Uddhaarkarta ke shaanti ko. Yah turant hi nahi milega ya jis tarah se tum chahatey ho, parantu jawab milega. Haar mat mano! Kabhi bhi nahi!
Laman aur Lamuel ko Mosiah ke putron ke saath tulna karo. Dono aadmi ke sagaton sachche parivaaron poshan ko paye the, phirbhi dono dur rahe. Dono ek devdut dwara chama ke liye niyukt baye the, parantu Mosiah ke putron ke anubhao mein kya alag tha?
Mushkilein Humare Vishwaas ko Badhayenge
Unke prachaar safalta bhulne waali nahi hai. Hazaaron ne Prabhu kre raaste par badlaao liya tha. Phirbhi, hum humesha bhool jaatein hain ki jab weh apne missions ki shuruwaat kartein hain, unke “hriday dukhi the, aur [weh] laghbhag waapis jaane waale the, [parantu] Prabhu ne [unpar] daya kiya.” Unko Prabhu se salaha prapt hua tha “[apne] kashton ko sahanshilta ke saath jhelo.”13
Dharamshaastra ki Shikshan Hume Parmeshwar ki Aagya ko Batlata hai
Kyo Mosiah ke putron ke musibaton ne unke vishwaas ko mazboot aur vaada kiya tha aur naaki unhone shikaayat kiya ya sandeh? Jawaab hai ki “weh sachchaai ke gyaan mein mazboot huye the; kyuki weh bahot samajhdaar the aur unhone nishpurwak dharamshaastron mein khoj ki thi, taaki weh Parmeshwar ke vachan ko jaan sakey.”14 Hum sabhi musibaten ko jhelenge aur swaal karenge, parantu yaad rakho ki hume humesha “lohe ki chad ko vishwaas ke saath pakde raho.”15 “Maseeh ke shabd [hume] sabhi kuch batlaaenge jo [hume] karna hai.”16 Hume dharansshtra ki shikshan ko humesha humare jiwan ka bhaag banana chahiye, jabki yeh pratikaran ke darwaaze ko kholenge.
Prarthna, Upwaas ke Saath, Pratikaran ko Amantirith karta hai
Mosiah ke putron ke liye, “yahi sab kuch nahi tha; unhone bahut prarthna, aur upwaas kiya tha; isliye unke paas bhavishyevaani ki aatma, aur prakatikaran ki aatma thi.”17 Prarthna aur upwaas hume dhaarmik prerna ko deta rahega. Swarg ke Pita ke saath vwaartalaabh, mein bhojan aur paani ko tayagne se, hume “andhere sahane waalon ka juwa todkar [aur]unko chuda lena.”18 Prarthna, upwaas ke saath, dega taaki jab hum “pukaarenge, …Prabhu jawaab dega; …[aur jab hum] royenge, …wah kahega, Main yaha hoon.”19
Uski Oar Mudo
Yeh vyaktigat dhaarmik kaarye-laayak, dharanshaastra shikshan, prarthna, aur upwaas-ne Mosiah ke putron ko mazboot kiya tha. Yahi veyaktgat dhaarmik kaarye ki kami ek mukhye kaaran tha Laman aur Lamuel ko bahakawe mein kamzor padkar shikaayat aur sandeh karne mein.
Agar tumhe shikaayat karne ko bahakaya gaya ho, agar tumhare paas sandeh ho jo vishwaas ki oar nahi lejata, agar musibatein saamna karne se bahot zyaada lage, Uske oar mudo. Agar tum wah ho jo mud chuke ho, achche chaalchalan, ya tumne sandeh kar liya hai, Uski oar mudo. Kya tum yaad kar sakte ho jab Usne “tumhare mann mein shaanti… ? Parmeshwar se mahaan gawahi kaun de sakta hai?”20 Apneaap se pucho, “Kya main ab pahale se zyaada Maseeh ki tarah hoon ?” Kripa Uski oar mudo.
Main apne vyaktigat kahani ko batlata hoon. Ant mein, maine sachche ikcha ko kiya. Mujhe yaad hai jab ki prachaarakein jo mujhe sikla rahe the ne mujhse pucha tha ki kya main taeyaar tha baptisma ko lene ke liye. Maine jawaab diya ki mere paas kuch sawaal hain. Yah bhudimaan prachaaraon ne mujhe batlaya tha ki wah mere swaal ka jawaab de saktey the parantu mujhe uske swaal ka jawaab pahale dena padega. Usne pucha ki kya Mormon ki Dharamshaastra sachchie thi aur agar Joseph Smith bhavishyevakta the. Maine unhein batlaya ki mujhe pata nahi tha, parantu main jaanna chahata tha.
Mera sawaal vishwaasi bhadhanti par gayi. Mere liye, jawaab aaya ek kaarye ki tarah nahi parantu ek tarike ke jaesa. Maine dekha ki jaesa maine kiya “[un]shabdon par pariksha” aur shuruwat kiya “vishwaas karne ko,” Mormon ki Dharamshastra “mujhe achcha laga” aur usne “mera samjha badha diya” aur sahi mein “mere aatma ko bahaya.” Ant mein mujhe anubhao hua ki dharamshaatra batlata hai ki “andar dhaarmik gyaan badhata hai.”21 Is samay par maine baptisma lene ki ikacha kiya aur apne jiwan Ishu Maseeh ko saupne ka.
Main puri sachchaai ke saath jaanta hoon ki Mormon ki Dharamshaastra Parmeshwar ki vaani hai. Main jaanta hoon ki Joseph Smith ek bhavishyevakta the. Are, mere paas abhi bhi cheezein hain main nahi jaanta, parantu mera sachchaai ki gawahi mujhe Uddhaaarkarta ki oar le jata hai aur mere vishwaas ko badhata hai.
Bhaaiyon aur bahanon, Nephi aur Mosiah ke putron ko yaad karo, jinhone dhaarmik anubhao ko jhela tha aur phir vishwaas mein kaarye ko kiya tha taaki jawaab mile aur unke vishwaas badhe. Laman aur Lamuel ke saath tulna karo, jinhone sandeh kiya aur shikaayat kiya tha. Bhale hi kabhi kabhi unhone laayak tariyon ko kiya tha, kaarye bina vishwaas ke mare hue ke smaan hai. Hume kaarye ke saath vishwaas karna chahiye jawaab ko prapt karne ke liye.
Main aasha karta hoon ki jab ki tumne is subeh ko sunna hai ki Aatma ne tumhare mann aur hridayon par asar dala hai tum kuch ayesa karoge ki tumhare swaal ke jawaab mile ya tumhare jhelte hue musibaton par prerna dhoondhane ke liye. Main gambheerata se hawahi deta hoon ki Ishu Maseeh hai. Uski oar mudo. Wah tumhare prarthnaoun ke jawaab dega. Ishu Maseeh ke naam se, amen.