Tum Kaam mein Akele Nahi ho
Jab tum ek purohiti sewa se duri ki or badhatey ho, tum dekhoge ki Prabhu tumhare saath kaarye mein shaamil hai.
Mere pyare bhaaiyon, hum abhari hain ki Prabhu ne Elder Ronald A. Rasband, Elder Gary E. Stevenson, aur Elder Dale G. Renlund ko Prabhu Ishu Maseeh ke Devduton ke rup mein niyukti kiya hai. Hamara hriday, hamare prarthnaaen, aur hamara vishwaas unhe banaye rakhega.
Hum unke mahaan chamtaaoun ko jaantey hain. Phirbhi hum sab ki tarah, unhein ashwaasan ki zaroorat hai unke niyukti mein, ki Prabhu unke saath hai Uske kaam mein. Sabse naya deacon ko us atma-nirbharta ki zaroorat hai, waysa hi bahot anubhawi high priest ko bhi jise naya niyukti prapt hua hai.
Wah atma-nirbharta badhati hai jab tum yah dekhtey ho ki Wah tumhe Apne chelon ke dwara niyukt karta hai. Mera protsaahan hai ki main tumhare madad karun yah jaanne mein ki jab tum apne bhaag ko kartey ho, Prabhu Apni shakti ko tumhare kaamon mein lagata hai.
Koi bhi niyukti hum Prabhu ke raajye mein paatey hain humare insaani nyaye aur humare vyaktigat shaktiyon se ziyada ki zaroorat hoti hai. Un niyuktion mein Prabhu ki madad ki zaroorat hoti hai, jo milega. Naya deacon bhi sikhega ki wah sach hai, aur wah saalon tak sikhta rahega.
Aaj raat mera ek naati yahan apne pehle purohiti sabha mein hai. Use deacon ki niyukti che din pehle mila tha. Wah sochta hoga ki uska purohiti kaarye ka pratham kaarye hoga prabhubhoj ko agale saftah baatna. Mera prarthna hai ki wah us samay ko sahi maaine main dekhega.
Wah sochega ki uska kaarye Prabhu ke liye hai ki prabhubhoj ke thaali ko prabhubhoj sabha mein baethe hue logon tak pahuchaye. Parantu Prabhu ka kaarye sirf yah nahi hai ki log roti aur paani ko lein. Yah hai ki weh vaadon ko nibhaae jo unhein anant jiwan ki maarg par le jayega. Aur yah hone ke liye, Prabhu ek dhaarmik anubhao us insaan ko zaroor dega jinhein deacon thaali de raha hai.
Maine yah ek baar dekhbhaal kendra mein dekha hai jab ek deacon ne ek safed-baalon waali mahila ke aage thaali jhukkar diya. Usne roti ki or ayese dekha ki bahot hi anmol tha. Main kabhi uske muskuraahat ko bhool nahi paya jab usne use liya aur phir aage badhi deacon ke sir par haat taptapane ke liye, zor se kahatey hue, “Oh, dhanyewaad!”
Deacon sirf apna purohiti kaarye ko kar raha tha. Phirbhi Prabhu ne deacon ki kaarye ko dugna kar diya. Yah spasht tha ki bahan Uddhaarkarta ko jaanti thi jab usne deacon ki sewa par sachcha abhaar dikhlaya tha. Wah santusht ho gayi thi jab usne mahila ko prabhubhoj ko diya tha ki uske paas Aatma rahega. Wah us din dekhbhaal kendra mein akeli nahi thi. Naaki deacon apne sachche sewa mein akela tha.
Aaronic Purohiti ka ek jawaan shikshak shayad jaan nahi paaye, jab wah ek parivaar ko shiklata hai, ki wah Prabhu ke saathi hai Uske kaarye mein. Mujhe yaad hai ek jawaan gharelu shikshan saathi ki saral gawahi ka jo humare ghar par aya tha. Aatma ne uske shabdon ko mere liye aur mere parivaar ke liye pura kiya tha. Wah us din ko shayad bhool gaya ho, parantu mujhe yaad hai.
Prabhu ek jawaan ladke ki kaarye ko dobara badha sakta hai jab use priest ki nyukti milta hai. Pratham baptisma usne kiya, uddharan mein, shaayad ek jawaan insaan jise wah nahi jaanta tha ka. Wah chintith hoga ki sahi shabdon ko bol payega ya nahi aur siddhaant ko sahi tarah se karega.
Parantu Prabhu, jiska sewak woh hai, uske niykti ko bada karega. Uske dwara baptisma hue insaan anant jiwan ke maarg par chalne ko chunta hai. Prabhu Apne mahaan kaarye ko karega. Usne ek baar mere liye kiya tha jab woh ladka jise maine baptisma diya tha, ke chahare par se aansoo bah rahe the, ne mere kaan mein kaha, “Main saaf hoon. Main saaf hoon.”
Jab tum ek purohiti sewa se dusri ki or badhatey ho, tum dekhoge ki Prabhu tumhare saath kaam mein shaamil hai. Maine yah ek elders parishad ke pradhaan se saalon pahale ek stake sammelan ki sabha mein sikha tha. Sammelan mein 40 se ziyada aadmiyon ke naam ko pesh kiya gaya tha jinhein Melchizedek Purohiti prapt karna tha.
Stake pradhaan meri or jhuka aur fusfusaya, “Weh aadmi kam-sakriye elders the.” Ashchariye mein, maine pradhaan se pucha ki uska kaarye kya tha in aadmiyon ko bachane ke liye.
Usne chapal ke piche ek jawaan aadmi ki or ishara kiya. Usne kaha, “Woh wahan hai. In mein se kai waapis aye hai us elder parishad pradhaan ke kaaran.” Wah antim seet par baetha hua tha, saral kapde pahane, Woh apne paer lamba kiye puraane jute pehne baetha hua tha.
Maine stake pradhaan ko mujhe sabha ke baad usko milane ke liye kaha. Jab main mila, maine jawaan ladke se kaha ki main ashchariye mein tha uske kiye par aur usse pucha ki usne kaese yah kiya. Usne apne kandhon ko hilaya. Wah sochta tha ki usne kuch bhaari kaam nahin kiya tha.
Phir usne dhire se kaha, “Main is shahar mein jo sabhi sakriye nahi hain ko janta hoon. Laghbhag sabhi ke paas lori hai. Mere paas bhi lori hai. Main apne lori ko waha dhulaata hoon jaha weh apne loriyon ko. Kuch samay mein, weh mere dost ban jaate.
“Phir main intazar kart ahu ki unke jiwan mein kuch gadbad ho. Yah humesha hota hai. Weh mujhe uske baare mein batlatein hain. Main sunnta hoon aur galti nahi pata. Phir, jab weh kahaten hain, ‘Yaha mere jiwan mein kuch galat hai. Yah kuch is se bhi achcha hona chahiye,’ main unhein batlata hoon ki kya kami hai aur kahan weh haasil kar saktein hain. Kabhikabhi weh mera vishwaas kar letein hain, aur jab weh kartein hain, main unhein apne saath le jaata hoon.”
Tum dekh saktey ho ki wah kyun mamuli tha. Kyunki wah jaanta tha ki usne apne chote se kaarye ko kiya hai aur baaki Prabhu kar raha tha. Wah Prabhu tha jisne un aadmiyon ke hridayon ko unke musibaton mein chu liya tha. Wah Prabhu tha jisne unhein ehsaas karaya tha ki waha unke liye kuch usse bhi achcha tha aur ek asha ki weh pa sakety.
Jawaan ladka, jo—tumhari tarah—tha Prabhu ka ek sewak tha, sirf vishwaas kiya ki agar wah apne chote se bhaag ko pura karega, Prabhu un aadmiyon ko ghar jaane mein madad karega aur wah khushiyaan jo Wah sirf unhe de sakta hai. Yah aadmi bhi jaanta tha Prabhu ne use elders parishad pradhaan ki niyukti diya tha kyunki wah apna bhaag pura kar sakta tha.
Tumhari sewa mein kuch samay hoga jab tum us jawaan elders parishad ke tarah badhiya aur dikhaai dene waale safalta ko nahin paaoge. Yah woh samay hai jab tumhe saahas rakhna hai ki Prabhu, jo jaanta hai ki tum apne bhaag ka kaam karoge, ne tumhe Apne nchune huwe chelon ke dwara niyukti di hai. Mere par-aaja Henry Eyring ke prachaar sewa mein Prabhu ke sewakon ke di niyukti par vishwaas rakhna zaroori tha.
Usne March 11, 1855, St. Louis, Missouri mein, baptisma liya tha. Erastus Snow ne use kuch hi samay baad priest ke daftar mein niyukt kiya tha. St Louis Stake ka pradhaan, John H. Hart, ne use Cherokee Desh mein October 6 ko mission ki ek sewa mein niyukti diya tha.1 Wah October 11 ko ek elder niyukt hua tha. Wah ghode par sawaar hoke October 24 ko Cherokee Mission gaya tha. Wah 20 saalon ka tha aur sirf saath mahine huwe the pariwartan huwe.
Agar kisi bhi purohiti ke rakhne waalon ko koi bhi nalayak ya na taeyaar laga, wah Henry Eyring tha. Ek hi kaaran tha jo use jaane mein himmat de sakta tha ki use hriday mein pata tha ki Parmeshwar ne use Apne adhikaariyon ke sewakon se niyukt kiya tha. Wah uske himmat ka zariya tha. Wah humare humesha himmat rakhne ka zariya zaroor hona chahiye, chahe kuch bhi humare purohiti mein niyukti ho.
Elder Eyring ke teen mushkil varshon ke sewa ke baad aur mission pradhaan ke dehant ke baad, Henry ko niyukt kiya gaya aur mission pradhaan banaya gaya October 6, 1858 ke ek sabha mein. Wah ashchariye mein hua aur utna hi ashchariye mein jitna ek naya deacon hota hai. Usne likha, “Maine socha nahi tha ki mujhe us zimmedaar daftar ki niyukti praapt hoga parantu yah mere bhaaiyon ka faesla tha maine khushi se swikaar kiya, usi samay apne mahaan kamzoriyon aur anubhao ki kami ko ahesaas kiya.” .2
Abhi ka Pradhaan Eyring Cherokee, Creek, aur Choctaw Deshon ko 1859 mein gaya. Uske kaarye se, Prabhu ne “aage kaha,” jab Henry likh raha tha, “girjaghar ke liye ek aur sadasye.” Usne do shaakhaon ko sangatith kiya parantu likha ki “bahot hi kam zinda hai is kaarye ko karne waale.”3
Ek saal baad, Hendry ne kathin sachchaai ko jhela ki jin logon ke beech wah sewa pradaan kar raha tha ke raajnitik netaaon ne Antim-din Santon parchaarakon ko unke kaarye karne se rok diya tha. Jab usne socha ki wah kya kare, usne apne pahale ke mission pradhaan ke niyamon ko yaad kiya ki usko apna mission kaarye ko 1859 tak aage badha dena chahiye.4
Us saal October mein, Henry ne Pradhan Brigham Young ko maargdarshan ke liye likha, parantu usko uske sawaal ka jawaab nahi aaya. Henry ne likha, “Girjaghar ke Adhyakshtaon se kuch bhi nahi jawaab milne par, mainne Prabhu se prarthna mein pukaara, ki mujhe apne jawaab ko de aur mujhe aur ziyada sewa karna hai ya Zion tak jaana hai.”
Wah aage badha: “Yah sapna mujhe aaya tha mere prarthna ke jawaab mein. Maine sapna dekha ki main [Salt Lake] Shahar mein tha aur turant hi [Pradhan Brigham] Young ke daftar gaya, jaha maine use paaya. Maine usse kaha: ‘[Pradhaan] Young maine apne mission ko chod diya hai, apne khudh ki marzi se, parantu agar is mein kuch galat hai, main waapis ja kar apne mission ko pura karne ke liye taeyaar hoon.’ [Sapne mein bhavisyevakta ne] jawaab diya: ‘Tumne lambe samay tak kiya hai, yah theek hai.’”
Henry ne apne jernal mein likha, “Kyunki maine pehle sapne dekhe the jo pure huwe mujhmein yakeen tha, ki yeh bhi sach hoga aur usi tarah uske shuruaat ki tayaari karne laga.”
August 29, 1860 ko, wah Salt Lake Shahar mein aaya, ziyadatar chaltey hue. Dusre din baad, wah Pradhaan Brigham Young ke daftar mein gaya.5
Henry ne in shabdon mein anubhao ko bayaan kiya: “[Maine] [Pradhaan Young ko bulaya, jisne [mera]bahot hi achche se swaagat kiya. Maine usse kaha, ‘[Pradhaan] Young main yaha bina bheje aaya hoon, agar maine galat kiya hai, main waapis jaakar apne sewa ko khatam karunga.’ [Brigham Young] ne jawaab diya: ‘Yah sahi hai, hum tumhe dhoondh rahe the.’”
Henry ne apne khushi ko zaahir kiya, kahatey hue, “Is tarah mera sapna sach hua.”6
Uska anand ek prerna se aaya ki Prabhu uske saath kaarye kar raha tha aur use dekh raha tha. Usne sikha ki hum sab ke liye yah sahi tha—ki Prabhu ke chelon ko Prabhu ki aagya ka prerna milta hai. Aur Henry Eyring ne parinaam mein mujhe wah batlaya jo main achche se jaanta tha: ki bhavishyevakta, purohiti ka pradhaan, Parmeshwar se prerna prapt karta hai Prabhu ke chelon ki dekhbhaal karne mein aur unko bulaane ke liye
Purohiti mein kuch bhi tumhare niyukti ho, tumne kabhikabhi Swargye Pita ko mahesoos kiya hoga ki wah tumhe jaanta hai. Tum Uski aagya ko jaanne ke liye prarthna karo, aur sachche ichcha ke saath wah karo jo kuch Usne tumhe karne ko kaha hai, tum jawaab praapt karoge.
Swargye Pita tumhe yah mahesoos karaenge ki Wah tumhe jaanta hai, ki Wah tumhare sewa se khush hai, aur tum laayak ban rahe ho Prabhu se milne ke liye jise tum itna sunna chahatey ho: “Bahot achcha, sachche aur vishwaasi chela; tum kuch cheezon mein vishwaasi ho, main kai cheezon mein tumhe neta banaunga: apne prabhu ke saath khushi manaao. .”7
Yah mera prarthna hai ki sabhi purohiti rakhne waala apne vishwaas se sabhi aatma ko bachayega jinke wah zimmedaar hai. Parmeshwar Apni shakti ko Apne chelon ke shakti ke saath jodega. Logon ke hridayon ko waha chunaao karne ke liye chuyega jo unhein susamachaar ke maarg par khushiyon ki or le jaega aur dhukh se dur.
Yah mera prarthna hai ki sabhi purohiti rakhne waale bhi Swargye Pita, Uddhaarkarta ke, aur Parmeshwar ke bhavishyevakta ke prem aur dekhbhaal ko mahesoos karenge unke purohiti ke niyukti mein.
Main apne khaas gawah ko tumse bayaan karta hoon ki hum punaharjiwit Prabhu Ishu Maseeh ki sewa mein hain. Main gawaahi deta hoon ki Usne mujhe aur tumhe Apne sewa mein niyukt kiya hai humare chamtaaoun ko jaantey hue aur jo madad hume zaroori hoga ko. Wah hume humare sochne se bhi zyada ka ashirwaad hume dega jab hum Uski sewa ko puri tarah se karenge. Main gawahi deta hoon ki Parmeshwar ke bhavishyevakta, jo dharti par sabhi purohiti ka pradhaan hai, Parmeshwar se prerna prapt karta hai.
Main sabhi sthaan par vishwaasi purohiti ke rakhne waalon ke uddhaaranon ke liye abhaari hoon. Swargye Pita aur Uddhaarkarta abhari hain ki tum apne kaarye ko pura kartey ho. Weh tumhe jaantey hai, Weh tumhara dekhbhaal kartein hain, aur Weh tumhe aur prem kartein hain. Ishu Maseeh ke naam se, amen.