Parmeshwar Apne Girjaghar ki Maarg Dikhlaega
Aagyaoun aur vaadon Puraane Jahaaz Zion mein paye hue anmol sachchaai aur siddhaantein hain, jaha Parmeshwar apne girjaghar ko maarg kar raha hai.
Pichale October ke maha sammelan mein, maine sunnewaalon ko Brigham Young ke puraane jahaaz Zion par rahane ki salaaha par chalne ko amantirith kiya tha, jo Ishu Maseeh ka Girjaghar Aatim-din Santon ka hai, aur dono haathon se pakde raho.1 Us samay se, main khush hoon yah jaan kar ki mere kuch parivaar aur dusre sunn rahe the aur mujhse,yah swaal pucha hai ki, “Puraane Jahaaz Zion mein kya hai jis par hum nirbhar ho saktein hain?” Maine unhein wah yaad dilaya jo Pradhaan Brigham Young ne kaha tha: “Hum puraane jahaaz Zion mein hain. … [ Parmeshwar] apne girjaghar ko aguvaai kar raha hai aur wahi rahenge … Wah batlata, maarg dikhlaata aur sidha karta hai. Agar logon ke paas apne Parmeshwar mein pura vishwaas hoga, kabhi apne vaadon ko nahi bhoolenge naato apne Parmeshwar ko, Wah hume sachcha maarg dikhlayega.”2
Saaf taur se, humare Swargy Pita aur Prabhu Ishu Maseeh ne Puraane Jahaaz Zion ko taeyaar kiya hai saaf aur sadhaaran anant sachchaaiyon ke saath jo humari madad karega maranshil jiwan ke musibaton mein aage badhane mein. Yaha par kuch hain.
Ishu Maseeh ka Girjaghar ko humesha jiwit bhavishyevaktaaoun aur devduton ke dwara sanchaalan kiya jata hai. Bhale hi weh maranshil aur insaan ke jaese hain, Prabhu ke chelon ko prerna prapt hota hai musibaton mein humari madad karne ke liye jismein dhaarmik taur se jiwan ke liye khatra hai aur hume madad karega surakchit dhang se maranshilta se antim, sarwashyest, swargy kaarye tak pahuchne mein.
40 saalon se Maha Adhikaariyon ke saath kaam kartey hue, main ek vyaktigat gawahi hoon jo dono shaanti ka prerna aur ghor pratikaran ke kuch kaarye hue hain bhavishyevaktaaoun aur devduton, dusre Maha Adhikaariyon, aur parishad ke netaaoun ke dwara hua hai ka. Bhale hi sahi naaki galatiyon ko kar saktein hain, yeh sachche aadmi aur mahilaaoun ne Prabhu ke kaarye ko aage badhaane mein sahi smarpan kiya hai jaesa Usne maarg dikhla tha.
Aur tum si sachchaai ko puri tarah se jaantey hoge: Prabhu Apne Girjaghar ko jiwit bhavishyevaktaaoun aur devduton ke dwara maarg deta hai. Yah hi wah tarika hai jiske dwara Wah humesha Apne kaarye ko karta hai. Sahi mein, Uddhaarkarta ne sikhlaya hai, “Main tumse sach, sach kahata hoon, ki jo mere bheje hue ko grahan karta hai, wah mujhe grahan karta hai.”3 Hum Maseeh ko Uske chelon se alag nahi kar saktein hain. Uske pratham Devduton ke bina, humare paas Uske kai shikshanon, Uske dekhrekh, Uske Gethsemane ke Khet mein jhele hue, aur Uske krus par maut ki kaarye ko ankhoun se dekhi hui gawahiyon nahi hoti. Unke gawaahiyon ke bina, humare paas devduton ke gawahi khaaali guffe aur Punaharsthapna ka nahi hote.
Usne un pratham Devduton ko aagaya diya:
“Isliye tum jaakar sab jaatiyon ke logon ko chela banaao aur unhein Pita, aur Putra, aur Pavitra Aatma ke naam se baptisma do.
“Aur tumhe sab baatein jo main ne tumhe aagya di hai, maanna sikhaao.”4
Humare khudh ke din mein uske cheelon ko naye dhang se kaarye prapt hua tha jabki Prabhu ne Joseph Smith ko Girjaghar ko dobara punaharsthaapna ke liye mihukt kiya hai, unke niyukt hue Devduton se ek antim baar dobara Usko aane se pahale Uske susamachaar ko batlaya jaaye.
Yah duniya ke liye humesha ek chunaoti tha jiwit bhavishyevaktaaoun aur devduton ko swikaar karne ka, parantu yah bahot zaroori hai karna Ishu Maseeh ke Praeschit aur shikshan ko puri tarah se samjhne ke liye aur purohiti ke pure ashirwaad ko prapt karne ke liye jo unke upar chaltein hain jinhe Usne niyukt kiya tha.
Kai log samajhte hain ki Girjaghar netaaoun aur sadasyon ko bilkul sahi yah sahi hona chahiye. Weh bhool jaatein hain ki Prabhu ki mahima kaafi hai Apne kaarye ko maranshil jiwan ke dwara pura karne mein. Humare netaaoun sabse achche kaarye kartein hain, parantu kabhi kabhi hum galti kartein hain. Yah Girjaghar ke netadari ke liye achcha nahi hai, jab wahi humare netadaarion mein doston, padosiyon, aur kaam karne waale saathiyon aur paati-patiniyon aur parivaaron ke beech bhi hota hai.
Dusron mein insaani kamzoriyon ko dhoondhna bahot hi asaan hai. Phirbhi, hum bahot ghambheer galti kartein hain ek dusre ke galtiyon ko insaani jiwan ki tarah dekh kar aur wah dekh nahi paatey hain ki Parmeshwar ke haaton ke dwara Uske niyukt hue kaarye ko kartein hain.
Dekhtey hue ki Prabhu kis tarah se Apne chunne hue netaaoun ko prerit karta hai aur Wah kis tarah Santon ko anmol aur anokhe kaarye ko karne mein prerit karta hai unke insaani jiwan ke alawa yaha ek tarika hai Ishu Maseeh ke susamachaar mein rahane ka aur Puraane Jahaaz Zion par surakhchit dhang se safar karne ka.
Dusra sachchaai mukhti ki yona ka siddhaant hai. Bhavishyevakta Joseph Smith ke dwara, Parmeshwar ne Mormon ki Dharamshaatra, Doctrine aur Covenants, aur kai Girjaghar ke shikshanon ko diya tha. Is mein mukht ki yojna ka gyaan shaamil hai, yah wah lekh hai jo batlata hai ki hum kaha se aaye hain, humare yaha dharti ke mahatov ko, aur kaha hum ja rahein hain jab hum marenge. Yojna hume ek anmol, anant ahessas deta hai ki hum Parmeshwar ke aatma ke bachchein hain. Samjhtey hue ki kuon humare Swargy Pita hain aur humare Uske saath netadaari aur Uske Pyare Putra, Ishu Maseeh ko, hum Unke aagyaaoun ko swikaar kareinge aur Unke saath vaadon ko banayege ki jo hume Unke paas anant jiwan mei waapis lejayega.
Sabhi samay main ek naye payeda hue shishu ko leti hoon, main apne aap ko aschariye mein paati hoon: “Tum kaun ho, chote bachche? Tum Maseeh ke Praeschit ke dwara kiya banoge?”
Hum ussi tarah ke swaal ko puchtey hain jab koi jise hum prem kartey hai mar jata hai: “Weh kaha chale gaye? Weh kya dekh rahe aur anubhao kar rahein hain? Kya jiwan aage badhata hai? Mare hue aatmaoun ke mahaan duniya ke humare sabse achche netadaariyon mein kis tarah ka jiwan hoga?”
Us duniya mein, humare parivaar mein do naation hai, Sara aur Emily, aur ek naati, Nathan. Har ek naaton ko mar jaane ke baad, hum parivaar ki tarah susamachaar ke sachchaai par hi rahe. Humare swaalon ka jawaab daya aur aaswaan ke saath mila Uddhaarkarta ke Praeschit ke dwara. Bhale hi hum apne naatiyon ki kami mahesoos kartei hain, hum jaantein hain ki weh jiwit hai, aur hum jaatein hain ki hum unhein dobara dekhenge. Hum kitne abhari hain is dhaarmik samajhdaari ke liye humare veyaktigat aur parivaaron ke jiwan ke liye.
Girjaghar ka dusra zaroori sachchaai hai ki Swargy Pita ne Adam aur Eve ko ek diviye kaarye ke liye banaya tha. Yah unke zimmedari tha-aur, phir, unke vansajah ke kaarye- Parmeshwar ke bachchon ke maramshil sharir ko banane ke liye taaki weh maranshilta ko anubhao kare. Is kaarye se, Swargy Pita Apne aatma bachchon ko dharti par apne khudh ke dharti par jiwan ke anubhaoun ko sikhne aur karne ke liye bhaja hai. Kyuki Wah Apne bachchon se prem karta hai, Parmeshwar swargy cheelon aur Devduton ko bhejta hai Ishu Maseeh ke mukhye kaarye ko sikhlaane ke liye humare Uddhaarkarta ki tarah.
Peediyon se, bhavishyevaktaaoun ne apne karye ko pura kiya hai jab unhone logon ko unke ird-gird ke khatron se saaodhaan kiya tha. Prabhu ke Devduton ka kaarye hai ki dekhein, saaodhaan karen aur unko dhoondhne jo jiwan ke swaalon ke jawaab dhoondh rahein hain.
Bees saal pahale, Pratham Adhyakshtaoun aur Barah Devduton ke Parishad ne banaya tha “Parivaar: Duniya mein Susamachaar ki Aupchaarik Goshna.” Us prerit lekh se, humne ant mein yah kaha: “Hum un vyaktiyon ko chetaaoni dete hain jo naytik shuddhtta ke vaadon ko bhang karte hain, jo apne saathiyon aur bachchon par atyachaar karte hain, ya jo parivaar ki zarooraton ki purti karne mein asafal ho jaate hain ek din Ishwar ke samaksh utardaayi rahenge. Aur, chetaaoni di jaati hay ki jo vyakti, samaaj, ya desh parivaar ko todenge unpar bahut musibatein ayengi jo prachin aur aaj ke bhavishyevaktaaon dwara batae gaye hain. .”5
Devduton ki tarah, hum bhi aaj is ghambheer chetaauoni ko yaad kartein hain. Kripa usko yaad karo aagyaaoun aur vaadein anmol sachchaaiyon aur siddhaaton ko Puraane Jahaaz Zion mein paatein hain, jaha Parmeshwar apne girjaghar ki chakki chala raha hai.
Dosra zaroori siddhaant hai ki Sabbath din ko humesha rakhna chahiye. Yah madad karta hai duniya ke buraai se, hume sharirik araam deta thai, aur hum sab ko dhaarmik chain deta hai sabhi Raviwaar ko Pita aur Putra ki bhakti mein.6 Jab hum Sabbath din mein khushi manatein hain, yah humara prem ka chinn hai Uske liye.7
Humare shakti ke istamaal se Sabbath ko khushaal banane ke liye, humne sthaaniye netaaoun aur Girjaghar sadesyon ko yad dilaya hai ki prabhubhoj sabha Prabhu ka hai aur pure dil se karna chahiye aur Uske shikshanon aur Praeschit ko sikhna chahiye. Prabhubhoj ke siddhaant hoti hai jab hum apne vaadon ko doharatey aur Uddhaarkarta ko humare prem dobara yaad dilatein hain aur Uske balidaan ko yaad kartey aur Uske Praeschit ko.
Yahi aatma ka bhakti humare mahine ke upwaas aur gawahi sabhaaoun mein bhara hua hona chahiye. Yah prabhubhoj ki sabha sadesyon ke liye hai abhaar, prem, aur humare Swargy Pita, Ishu Maseeh, aur punaharshaapit susamachaar aur in cheezon ke liye veyaktigat gawahi ke liye dhanyewaad prakat karna chahiye. Upwaas aur gawahi sabha ka samay hai prerna bhare soch ko baatne ka aur sachche gawahi ko dene ka. Yah samay nahi hai bhaashan dene ka.
Jawaan bhachchon ko apne gawahiyon ko Praathmik mein hi baatne ki shuruwaat karna chahiye aur apne maata-pitaaoun ke saath gharele shaam sabha mein jabtak ki weh gawahi ki zaroori matlab ko nahi samjh letey.
Abhi haal mein Sabbath ko ek khushaal banana Prabhu se prerna ka ek sidha parinaam hai Girjaghar ke netaaoun ke dwara. Ward salaaha sadasyon ko bishopric ki kai hafton pahale se hi madad karna chahiye sangeet aur shirshakon ko yaad karne mein jo har prabhubhoj sabha ke liye sifaarish kiya gaya ho ko.
Hum sabhi ko ashirwaad prapt hota hai jab Sabbath mein prem bhara hota hai Prabhu ke liye ghar aur girjaghar mein. Jab humare bachche Prabhu ke tarikon se sikhtein hain, weh Uske Aatma ko mahesoos karna aur jawaab dena sikhtey hain. Hum sab har Raviwaar ko jaanna chahenge prabhubhoj ko lene ke liye jab hum Prabhu ki Aatma ko mahesoos karenge. Aur sabhi, jawaan aur buzurg, jo bade musibaton ko jhel rahein hain weh dhaarmik shakti aur daya ko mahesoos karenge jo Sabbath din mein humare Swargy Pita aur Prabhu Ishu Maseeh ki bhakti ko sikhne se milta hai.
Dhanyewaad hai ki, Maseeh humesha humare saath hai, intazaar kartey hue aur humari madad ke liye jab hum paschaataap karna chahate hain aur Uske paas jana.
Ab, jab hum in kuch sachchaaiyon ko sochtey hain jo Puraane Jhaaz Zion mein hai, hume usi jahaaz par rahana chahiye aur usko yaad karna, matlab se, ek jahaaz ek gaadi hai, aur gaadi ka kaam hai ki hume ek parinaam tak pahuchaaye.
Humare jahaaz ka parinaam hai susamachaar ka pura ashirwaad, swarg ka raajye, celestial mahima, aur Parmeshwar ki upastithi!
Parmeshwar ka yojna bana hua hai. Wah anpi chakki chala raha hai, aur Uska mahaan aur shaktishaaly jahaaz mukhti aur anant jiwan ki oar badh raha hai. Yaad rakho ki hum wah jahaaz se bahar koodh kar nahi pahuch saktey hai aur khudh ki bal par waha tak paodh kar.
Ant jiwan is maranshil safar ka parinaam hai, aur waha tak koi bhi bina Ishu Maseeh ki susamachaar ke pahuch nahi sakta hai- Uske Praeschit, siddhaanton, aur Girjaghar mein paaye hue siddhaanton ke maargdarshan se.
Girjaghar mein jaha hum Parmeshwar ke kaarye ko sikhtein hain aur Prabhu Ishu Maseeh ki mahima ko swikaar kartein hain jo hume bachata hai. Yah Girjaghar mein hai jisse hum anant parivaaron ke aagyaoun aur vaadon ko banatein hain jo humare anant jiwan ka paaspot hai. Yah wah Girjaghar hai jo purohiti ke dwara hume chalata hai maranshilta ke musibaton mein bachahta hai.
Hume humare sundar Puraane Jahaaz Zion ke liye abhaari hona chahiye, uske bina hum aage badh nahi saktein hain, akele aur shaktiheen, duniya ke bahakawe mein baha saktey hain, virodhiyon ke mazboot hawa aur lahar mein fas kar.
Mazbooti se pakdo, bhaaiyon aur bahnon, aur mahaan jahaaz par safar karo, Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka, aur hum apne anant parinaam tak pahuch saktein hain. Yah hum sab ke liye mere gawahi aur prarthna hai Uske liye jiske naam se Puraane Jahaaz Zion hai, humare Prabhu aur Uddhaarkarta, Ishu Maseeh bhi, amen.