2010-2019
Parmeshwar ki Ek Gawahi
October 2016


15:42

Parmeshwar ki Ek Gawahi

Main sujhaao deta hoon ki tumne jo kiya hai aur jo kar saktey the susamachaar ko baatne mein par sharminda hona chod do. Bade mein, prarthna karo, “Parmeshwar ke [ek gawah] ke rup mein khade rahane ke liye.” Yah kasoor se ziyada shaktishaaly prerna hai.

Parmeshwar ke sab zaroori kaarye duniya ke kai log nahi dekh patey hain. Maseeh se che sadi pahale achche iszzatdaar log aye jaese China mein Confucias aur Purabi India mein Buddha, parantu Parmeshwar ke purohiti ki shakti Daniel par tha, bhavishyevakta Baylonian ka raja Nebuchadnezzar jo us samay jhel mein tha.

Raat ke ek swapan se paresaan, raja Nebuchadnezzar ne apne jotishon aur taantrikon se dono anpe dekhe hue spwapan aur swapan ke bare mein pucha. Sahi mein, weh raja ko batla na sakey ki usne kya dekha tha, aur unhone shikayat kiya. “Yaha dharti par koi mahushye nahi hai jo [yah kar sakta hai, nato koi raja jo puche] ayese cheez .”1 Raja Nebuchadnezzar badhak gaya ki weh usko uski swapan waapis yaad nahi dila saktey the aur gusse mein kaha ki uske saare salahaakaaron ko maar dalo.

Daniel, Raja ka ek budhimaan aadmi, ne prarthna kiya ki “dayawaanon ke …Parmeshwar… is raaz ko lekar.”2

Ek achamba hua. Raja ne jo swapan dekha tha ka raaz Daniel ko pata chala.

Daniel ko raja ke saamne laya gaya. “Kya tum mujhe dekhe gaye sawapan ko batla saktey ho, aur uska matlab bhi?”

Daniel ne jawaab diya:

“Wah na pandith na taantri, na jotishi [tumhe bata sakta hai jo tumne dekha] . …

“Parantu bhedon ka pragat karta Parmeshwar swarg mein hai jo [in cheezon ko batla sakta hai, aur Wah] raja Nebuchadnezzar… ko pata tha jo antim-din mein hota. …

“Swarg ka Parmeshwar,” Daniel ne kaha, “ek ayesa raajye udaye [karega], [ek pattar kisi ke haat ke bina khode, jo ek mahaan pahaad ban jayega aur puri dharti bhar jayega,] kabhi [bhi] nasht nahi hoga …[parantu] humesha rahega.

“… Swapan,” Daniel ne kaha, “na swapan aur na fal mein …sandeh hai. ”3

Uske swapan ko samjhaya gaya aur uska matlab pata chala, raja ne kaha, “Tum logon ka Parmeshwar, sab Ishwaron ka Ishwar, aur Raajaoun ka raja hai.”4

Parmeshwar se aschariye astashep mein Daniel ko Ishu Maseeh ka susamachaar ko dharti par anewaale jiwan mein punaharsthaapit hone ki bhavishyevaani hui, ek raajye jo puri dharti par cha jayega, kabhi [bhi] nasht nahi hoga … ]parantu] humesha rahega.”

Antim dinon mein Girjaghar ke sadesyon ke nambarein kam hongi, jaesa Nephi ne bhavishyevaani kiya tha, parantu weh puri dharti par fael jayege, aur purohiti ke shakti aur siddhaantein sabhi ke liye hoga jo unhein chaheinge, Daniel ke batlaye hue ki tarah puri dharti par faele hue. .5

1831 mein Bhavishyevakta Joseph Smith ko pratikaran prapt hua: “Parmeshwar ke raajye ki chaaabiyon [aur dharti ke chaaron bhaagon se vishwaasi ikattda honge] dharti par sachche logon mein se, aur phir waha se puri dharti par susamachaar fael jayega, ussi tarah jaese pahaad se bina haaton ke pattar kat kar alag hota hai, jabtak ki puri dharti par fael na jaye.”6

Ek Zimmedari Hum Batlaty hain

Vishwaasion ka ikatta hona ek achariye hai. Yah ek mahaan uljhan ki tarah hai jiske tukde Dusre kaming ke mahaan kaaryon se pahale sahi sthaan par milenge. Ussi tarah se, hum bhi uljhabon mein bade nambaron se aschariye ho saktey hain, haal ke Santon ne duniya bhar mein susamachaar ko punaharsthaapit karne ki zimmedaari ko zaroor nibhaya tha lagbhag ek asambho kaarye. Parantu jab wah shuru hua, ek veykti, ek samay ek uljhan ke, sidhe kone ko dhoondhte, is diviye kaarye ko sahi tarah se karne mein. Thoda thoda, bina haaton ke kate hue pattar aage badhane lage; saon se hazaaron tak, das hazaaron tak, aur ab sabhi deshon bhar se milinion vaade kiye Antim-din Santon is mahaan kaarye aur ek aschariye ke uljhan ke bhaagon mein judh rahe hai.

Ek mahaan uljhan

Hum sab uljhan ke ek bhaag hai, aur hum mein se har ek dusre zaroori bhaagon ko saath jodhnemein madad karten hain. Is mahaan kaarye mein tumhari zaroorat hai. Ab humare aage ka raasta saaf hai. Hum yah dekh saktey hai achambe ho rahe hai aur Prabhu ka prabhaao hume maarg de raha hai jabki hum bache hue khaali sthaanon ko bhar rahe hai. Phir, “Mahaan Parmeshwar kahega ki kaarye pura ho gaya hai,”7 aur Wah vishaal aur mahima mein laut jayega.

 Hum sab uljhan ke ek bhaag hai

Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Ab samay hai sadesyon aur parchaarakhon ko saath milkar, saath kaarye karne koUske paas Aatmaoun ko laane ke liye. … Wah humare kaamon mein madad karega agar hum Uske kaarye ko vishwaas se pura karenge.”8

Diviyeta se niyukt hui zimmedaari hai jo ek baar pure-samay ke parchaarkon ko prapt hua tha ab hum sab par laago hai. Hum sabhi punaharsthaapit susamachaar ko baatna chahatein hain, aur main abhaari hoon ki har safta hazaaron baptisma letein hain. Parantu is aschariye ashirwaad ke saath bhi, humare chinta aur humare bhaiyon aur bahanon ke liye aur humare ikcha Parmeshwar ko khush karne ki baatne ke liye prabhaaoshaaly chunaao deta hai aur duniyabhr mein Parmeshwar ke raajye ko mazboot karta hai.

Kasoor ke Anth

Susamachaar ko baatne ki bhi bahot ikcha rakhtey hoge, tum apne pichale safalta ke kaaryon se kam khush hoge. Tum ek dost ki tarah mahesoos karoge jisne kaha, “ Maine apne parivaaron aur doston se Girjaghar ke bare mein batlaya, parantu kuch ne dilchaspi dikhlaya, aur har ek inkaar ke saath, main aur bhi sandeh mein hua. Mujhe pata hai ki mujhe aur ziyada karna chahiye, parantu main rukh gaya hoon, aur main bahot hi kasoor mehsoos karta hoon.

Mujhe dekhne do kya main madad kar sakta hoon.

Kasoor ka ek zaroori kaarye hai kyuki wah hume humare zaroori zaroorat mein badlaao ko laane ke liye batlata hai, parantu yaha par kasoor hume kitna madad karega ke liye kinara hai.

Kasoor ek gess-se chalne waali kaar ki batary ki tarah hai. Yah kaar ko roshini desakta hai, engen ko shuru kar sakta, aur hadliet ko shakti desakta, parantu wah aage ke lambe safar ke liye bangin nahi pradaan kar sakta hai. Batery, khudh hi, kaafi nahi hai. Aur kasoor bhi nahi.

Main sujhaao deta hoon ki tumne jo kiya hai aur jo kar saktey the susamachaar ko baatne mein par sharminda hona chod do. Bade mein, prarthna karo, Alma ke sikhyae hue ki tarah, aosaron ke liye, “abhi maokon par aur sabh baaton mein, aur sabhi sthaanon mein Parmeshwar ke [ek gawah] ke rup mein khade …taaki [dusre] Parmeshwar dwara mukhti pa sake, aur tumhari ginti pratham punrutthaan paane waalon mein ho, [aur] taaki anant jiwan prapt ho sake.”9 Yah kasoor se ziyada shaktishaaly prerna hai.

Parmeshwar ke gawahi ki tarah sabhi samyon aur sabhi sthaanon par dikhlta hai dono hum kis tarh jeetein aur hum kis tarah baatein kartein hain.

Apne Maseeh mein vishwaas ko achche taur se baato. Jab yah karne ki ek aosar prapt hota hai, Uske jiwan, Uske shikshanon, aur Uske anmol uphar sabhi manushyon ke liye ke bare mein batlaao. Mormon ki Pustak ke Uske shaktishaaly sachchaaion ko baato. Usne hume yah vaada kiya hai: “Jo koi … manuhyon ke saamne, use main bhi … swargy Pita ke saamne… maan lunga.”10 Main tumse vaada karta hoon ki jab tum un aosaron ke liye humesha aur sachcha prarthna karoge “Parmeshwar ke ek gawahi ki tarah khade rah kar,” weh aosaarein prapt hoga, aur jise ziyada roshni aur gyaan ko dhoondhana hai tumse pahale karenge. Jab tum dhaarmik prernaon ja jawaab doge, Pavitra Aatma dusre ke hriday tak tumhare shabdon ko pahunchayega, aur ek din Uddhaarkarta Apne Pita ke saamne tumhe batlayega.

Ek Sangaton ki Shakti

Kisi ki madad karne ka dhaarmuik kaarye Parmeshwar ke raajye se ek dal ke shakti se ata hai. Pracharakon madad karo jab bhi ho sake, aur swargy madad ke liye prarthna karo. Parantu yaad rakho, ki dusre ke badlaao ka samay puri tarah se tum par nahi hai.11

Kamla Persand Mauritius Duwip se thi, France, Bordeaux mein medikil skool ja rahi thi, jab hum use 1991 February mein bhent kiye the. Humne privaar ki tarah prarthna kiya tha kisi ke saath susamachaar ko baatne ke liye jo sachchaaai dhoodh raha ho, aur humne use uske ghar mein sikhlaya. Main uske batisma ko karne ke liye abhari tha, parantu hum Kamla ko Girjaghar mein shaamil karne mein bahot prabhawit nahi kar sakey. Doston, parchaarakhon aur parivaar ke sadesye bhi “Parmeshwar ke gawahi” the uske ghar lu desh mein, aur ek din France mein, jab Kamla ke liye sahi samay tha, usne baptism ke liyefaesla liya. Ab, 25 saalon baad, us faesle ki ashirwaad uske ird-gird hai, aur uska putra Madagascar mein ek parchaarak hai.

Kamla Persand aur parivaar

Kripa apne koshish Uddhaarkarta ke prem ko dusre se baatne mein sirf safal/nasafal ki tarah mat dekho jismein tumhe napa jaye ki tumhare doston ne kis tarah se tumhare ahesaason ya parachaarakon se milne ke nimantran ka jawab diya hai.12 Humare maranshil ankhon se, hum apne shakti ko nayaye nahi kar saktein hai, nato hum wah samay ko bana saktey hai. Jab tum dusre se Uddhaarkarta keprem ko baatein hain, hum humesha safal hotein hain.

Kuch sarkaar ne Prachaarakon ke kaarye ko bandh kar diya hai, humare mahaan sadesyon ko “Parmeshwar ke gawahion mein sabhi samay aur sabhi … sthaanon” par aage ziyada himmat dikhlane ke liye.

Moscow ki Nadezhda humesha dusron ko ek Mormon ki Pustak ko ek uphaar ke bakse mein uske ird-gird der sare mitaaion se bandh karke deti hai. “Main unhein batlungi,” usne kaha, “ki yah sabe achcha uphaar hai jo main unhein de sakti hoon.”

Ukraine mein kuch hi samay baptisma lene ke baad, Svetlana ko bas mein humeshsa miltey hue ek aadmi se susamachaar baatne ka ahesaas hua. Jab wah aadmi uske saath utrah, usne pucha, “Kya tum Parmeshwar ke bare mein aur ziyada jaanna chahatey ho?” Aadmi ne jawaab diya, “Ha.” Prachaarakon ne Viktor ko sikhlaya, aur usne baptisma liya. Wah aur Svetlana baad mein Freiberg Germany Mandir mein saath bandhe.

Saaodhaan raho; tumhe ashirwaad kai anjaan tarkon se prapt ho saktein hain.

Saat saal pahale, Kathy aur maine Diego Gomez aur uske sundar parivaar ko Salt Lake Shahar mein mile the. Weh humare saath mandir ke upghaatan mein shaamil hue the parantu Girjaghar ke bare mein aur zyada sikhne ke humare amantran ko dayaluta ke saat inkaar kar diya tha. Is pichale May mein, maine Diego se aschariye talifone kol prapt kiya tha. Uske jiwan ke stithion ne use ghutne par prarthna karaya. Usne apne khudh ke dam par prachaarakhon se mila tha, waartalaabh kiye the, aur baptisma ke liye taeyaar tha. Is pichale 11 June ko, main apne dost aur chele Diego Gormez ke saat baptisma ke paani mein gaya. Uska badlaao uske kudh ke samay mein hua tha aur kai ki madad aur sahare ke saat hua jo us tak “Parmeshwar ki gawahion” ki tarah paunche.

Diego Gomez dal ke sang

Yuva ke liye Ek Nimantran

Duniyabhar ke humare aschariye yuva aur jawaan buzurgon ke liye, main tumhe ek khaas nimantran aur chunaoti deta hoon “Parmeshwar ke gawahion” ki tarah banne ke liye. Jo tumhare ird-gird khade hue hain dhaarmik jaanch ke liye taeyaar hain. Paheli ko yaad karo? Tum is kaarye ko bina koi saadhan ke shuru nahi kar saktey ho parantu tumhare istamaal ke liye tecnolygy aur sthaaniye maadhyam upyabadh hai. Hume tumhari zaroorat hai; Prabhu ko tumhe uske mahaan kaarye mein aur bhi ziyada shaamil hone ke liye zaroorat hai.

Mobal fone par u;jhan

Uddhaarkarta ne kaha, “Isliye tum jakar sab jaatiyon ke logon ko chela bannao aur unhe Pita aur Putra aur Pavitra Aatma ke naam se baptisma do.”13

Yah sirf aosar nahi hai ki tum Africa,;Asia; Europe; Uttar, Kendra, ya Dakhshin America; Pacific; ya Parmeshwar ke duniya ke kisi sthaan par ho,kyuki susamachaar zaroor “har ek raastra, jaati, bhaasha, aur logon mein ki jayegi.”14

“Swarg ka Parmeshwar ek ayesa raajye udaye karega [ek pattar kisi ke haat ke bina khode pahaadh mein se ukhada aur pure dharti mein fael gaya,] anth na hoga … [parantu] sada stir rahega.

“… Na swapan mein aur na fal mein … sandeh hai.”15

Main Doctrine aur Covenants ke shabdon se khatam karta hoon: “Prabhu ko pukaro, ki Uska raajye dharti par humesha rahe, ki sabhi log use prapt kare, aur anr waale dinon ke liye taeyaar rahe, jismein swarg [se] Insaan ka Putra niche aaye, uske roshini ke mahima ke kapdon mein, Parmeshwar ke raajye mein shaamil hone ke liye … is dharti par.”16 Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Daniel 2:10.

  2. Daniel 2:18.

  3. Daniel 2:26–28, 44–45; verses 34–35bhi dekhiye.

  4. Daniel 2:47.

  5. Dekhiye 1 Nephi 14:12–14.

  6. Doctrine and Covenants 65:2; Doctrine and Covenants 110:11bhi dekhiye.

  7. Teachings of Presidents of the Church: Joseph Smith (2007), 444; see also Boyd K. Packer, “The Standard of Truth Has Been Erected,” Liahona, Nov. 2003, 27.

  8. Thomas S. Monson, “Welcome to Conference, Liahona, Nov. 2013, 4.

  9. Mosiah 18:9.

  10. Matthew 10:32.

  11. Ek mahina pahale main Brazil, Santa Maria mein tha. Bhaai João Grahl ne mujhe batlaya ki, jab wah ek jawaan ladka tha, wah do saalon tak girjaghar gaya, baptisma lene ke liye, parantu uske pita ne aagya nahi diya. Ek din usne apne bahanon ko batlaya, jinke paas bhi wahi ikcha thi, ki unhein apne khutnon par kokar prarthna kar ki zaroorat hai taaki Parmeshwar unke pita ke hriday ko komal kar de. Weh prarthna ke liye khutne par chuke aur baat mein skool gaye.

    Jab us din weh waapis ghar aye, aschariye hua, ek kaka, unke pita ka bhaai, ek dur shaar se aye the. Wah unke ghar mein unke pita se baatein kar raha tha. Apne dada ke saamne kamre mein, bachchon ne dobara apne pita se kya weh baptisma le saktein hai ko pucha. Unke dada aage aye aur apne chote bhaai ke khandhon par haat rakha aur bola, “Reinaldo, yah sach hai. Unko baptisma lene do.” Unmein se koi nahi jaanta tha ki, kuch hi mahine pahale dada baptisma le chuke the.

    Dada ko apne bhaai ke ghar jane ke liye prern prapt hua tha, aur kyuki wah us din “Parmeshwar ke gawahi ki tarah khada hua tha,” uske bhatija aur bhatiji ko baptisma lene ki aagya mili. Kuch hi haftey baad, Reinaldo aur uski patni ne baptisma liya. Parmeshwar ne un bachchon ki prarthna ka jawaab ek aschariye tarike se diya us ek ke dwara jo “Parmeshwar ki ek gawahi” ban chuka tha se.

  12. “You succeed when you invite, regardless of how it turns out” (Clayton M. Christensen, The Power of Everyday Missionaries [2012], 23; everydaymissionaries.org) bhi dekhiye.

  13. Matthew 28:19.

  14. Mosiah 15:28.

  15. Daniel 2:44- 45; verses 34–35bhi dekhiye.

  16. Doctrine and Covenants 65:5.