2010-2019
Pustak Me Taqat Hai
October 2016


12:10

Pustak me Taqat Hai

Mormon ki Pustak ka sabse mahaan taqat hai uska asar hume Ishu Maseeh ke kareeb le jaane ki.

June  14, 1989 me Girha ke bare me kuch galath khabar ke kara, Ghana ke sarkaar ne Ishu Maseeh Ka Girja Antim Dono ke Santo Ka ke sabhi karikaram us African desh me rok diya tha. Sarkaar ne Girja ke saare sampatioyon ko zapt kar liya tha, aur sabhi pracharak karye ruk gayi thi. Girje ke sadasye, jo is samay ko “the freeze”kahate hain ne susmachaar ko jine ki puri koshis ki bina saakha sabha aur prachaarakon ke sahaytha ke. Kai prerna bhari kahaniyaan hai ki kaise in sadasyon ne susmachaar ke raushni ko chamkaya apne gharon me araadhna kar ke aur ek dusre ki dekhbaal ki gharelu aur daura karne waale sikshak ke rup me.

Akhir me galathfahmi sulajh gayi, aur November 30, 1990 me freeze ko khatam kiya gaya aur Girja ke karye aam taur par shuru ho gayi.1 Tab se, Girja aur Ghana ke sarkaar ke beech ek accha sambandh raha hai.

Girja ke sadasye jo freeze ke dawraan the, us anokhe samay se jo ashis mila use jald se pahechaan lete hain. Kai logon ki vishwaas us mazboot hui un kattin halathon ka samna karne se. Par freeze ka ek ashis bahut hi anokhi tarah ayi.

Nicholas Ofosu-Hene ek jawaan police ofsar tha jise freeze ke samay LDS girjaghar ko paheredaari ke liye niyukt kiya gaya tha. Unki zimedaari raath ko imaarath ke dekhbaal ki thi. Jab Nicholas pahali baar girja pahuncha, usne dekha ki samaan bikhri hui thi, kaagaz, kitaabe, aur furnichar ulat palat thi. Is hulchal ke beech use Mormon ki Pustak dikhi. Wah us putsak ko nazarandaaz karna chahatha tha kyonki use batlaya gaya tha ki wah burai hai. Par ajeeb tarah sa wah uski or khicha chala gaya. Anth me, Nicholas us pustak ko nazar andaaz nahi kar saka. Usne use uthaaya. Wah use padhne ke liye uthejith hua. Wah raath bar padtha raha, padhne par uske gaaalo tale aansoo bah rahe the.

Pahali baar jab usne use uthaaya, unhone pure 1 Nephiko padh daala. Dusri baar, usne pure 2 Nephiko padh daala. Jab wah 2 Nephi chapter 25pahucha, unhone ye bol padhe: “Hum Maseeh ki charcha karte hain, hum Maseeh me anandith hote hain, hum logon ko Maseeh ke vishay me updesh dete hain, hum Maseeh ke vishay me bhavishvaani karte hain, aur hum apni bhavishvaani ke anusaar likthe hain ki humari santaan yah jaan sake ki veh apne paapo ki chama ke liye kaha dekhe.” 2

Us pal mein, Nicholas ne aathma ka prabhaav ithni shakti se mehsoos kiya ke wah rone laga. Usne ahesaas kiya padthe samay use kayi aathmik prerna payi ke yeh pustak dharamshastra hai, sabse sahi jo usne ab tak padha tha. Usne ahesaas kiya ki Antim-dino ke Sant, jo usne suna uske prathikool, shakti se Ishu Maseeh par vishwaas karte the. Freeze khatam hone par prachaarak Ghana laute, Nicholas, unki patni, aur unke bacche Girja me shamil hue. Jab maine unhe pichle varsh dekha, tab wah police commander ke padh par tha Girja ke Tamale Ghana Jile ke pradhaan ke haysiyath se sewa kar raha tha. Wah kahate hain: “Girja ne mere jeewan ko puri tarah se badal diya hai. ... mai Sarvshaktimaan Parmeshwar ko dhanya deta hoon mujhe susmachaar tak margdarshan dene ke liye.” 3

Alibert Davies, ek aur Ghana ka nivaasi, apne dost ke saath humare ek sabha ghar gaya jaha uske dost ki ek adhyakstha sabha thi. Apne dost ka intazaar karte samay, Alibert ne ek pustak padhi jo usne paas me paya. Sabha khatam hone par Alibert pustak ghar le jaana chahata tha. Use pustak le jaane ki anumati hi nahi mili par Mormon ki Pustak ki ek kopy bhi le jaane ko mili. Jab wah ghar pahuncha, usne Mormon ki Pustak ko padhna shuru kiya. Wah use niche nahi rakh paya. Usne mombathi istemaal karte hue subha theen baje tak padha. Unhone aisa kai raathon ko kiya, jo unhone padha aur mehsoos kiya usse adiyaatik bhari ho kar. Alibert ab girja ka sadasye hai.

Angelo Scarpulla ne apni dhaarmik padhai apne paydaishi Italy me ki jab wah 10 saal ka tha. Wah akhir me ek paadri ban gaya aur apne girja me jee jaan se sewa ki. Ek mod par unka vishwaas dagmagane laga, aur usne age padhne ka mauka dhoonda aur wah use mila. Usne jitni zyada padhai ki, wah uthni hi chintith hua. Jo usna padha aur mehsoos kiya usse unhe yakeen hua ki pramukh swadharam tyaak Ishu aur unke Devduton ke sacche siddhant se hua tha. Angelo ne kai vishwaason me Parmeshwar ke sahi dharam ko dhoonda par kai saalo tak asanthust tha.

Ek din uski mulakaat Girja ke do sadasyon se hui prachaarak ko aur logon ko padhane ke liye dhoondne me madad kar rahe the. Wah unki or khich gaya aur khusi se unke sandesh ko suna. Angelo ne khusi se Mormon ki Pustak ko swikaar kiya.

Us shaam ko wah pustak padhne laga. Wah khusi se bhar utha. Aathma ke dwara, Parmeshwar ne Angelo ko bhitari ashwaasan di ki Mormon ki Pustak me use wah sacch milega jo wah kai varsho se dhoond raha hai. Unpar meethe ahesaas ki baarish hui. Prachaarakon se jo usne seekha tha aur jo usne padha, usse uski pramukh swadharam tyaag ka nirnay sthaapith ho gaya, par unhone yeh bhi seekha ki Parmeshwar ke sacche Girja ka is dharti par puahsthaapna ho chuka tha. Thode samay baad, Angelo ne Girja me baptisma liya. 4Jab mai unse pahali baar mila, wah Girja ke Rimini Shakha ka pradhaan tha jo Italy mein hai.

Jo Nicholas, Alibert, aur Angelo ne anubhav kiya Mormon ki Pustak se Parley  P. Pratt ke anubhav ke sammanya hai:

“Maine [pustak] ko uthsuktha se khola. ... mai pure din padha; khana ek bhoj tha, mujhe khaane ki iccha nahi thi; raath aane par neend … ek bhoj thi, mujhe sone se zyada padhna pasand tha.

“Jaise maine padha, Prabhu ki aathma mere upar thi, aur mai jaan aur samajh gaya ki wah pustak sahi tha, uthni hi saaf tarah se jithni aadmi jaantha hai ki wah zinda hai. Aisa laga ki, meri khusi ab puri ho chuki thi, aur apne jeewan ke dukh, takleef aur balidaan se zyada mujhe khusi mili.”5

Mormon ki Pustak pahali baar kholne se kayi log shaktishaali anubhav paate hain, par auro ke liye uske sacchai ki gawahi dhire dhire padhne aur prathna karne se aathi hai. Aisa mere saath hua tha. Maine pahali baar Mormon ki Pustak ko yuva seminary vidhyaarti ke rup me padha tha. Yeh us Mormon ki Pustak ki Kopy hai jo maine padhi thi. Mai aap ko sahi jagah aur waqt nahi bata sakta jahaan yeh hua tha, par us padhai ke samay mujhe kuch mehsoos hone laga. Har baar pustak kholne par aathma aur garami mehsoos hoti thi. Padhne par yeh ahesaas badtha gaya. Yeh ahesaas aaj bhi hai, Jab kabhi mai Mormon ki Pustak ko kholtha hoon, yeh ek switch jaalane ki tarah hai—aathma mere ruh aur dil ko chu leti hai.

Aur kai ke liye, Mormon ki Pustak ki gawahi dheeme se, kathin padhai aur prathna ke baad ati hai. Mere paas ek mitra hai jisne Mormon ki Pustak ko padha yah janne ke liye ki wah saccha hai. Usne Moroni ke nimanthran ka upyog kiya sacche hirday se aur acchi abhilasha se , janne ke liye ki kya Mormon ki Pustak sacchi hai. 6But use vyada kiya gaya jawaab turant nahi mila. Balki, ek din, jab wah gahari soch me tha, gaadi chalate waqat, Aathma ne nko Mormon ki Pustak ke saccchai ki gawahi di. Wah ithna khus aur uthejith tha ki use gaadi ki khidki niche kar ke zoro se chilaya, kise ek ke sunne ke liye nahi par saari duniya ke liye, “Yah sacch hai!”

Chahe humari Mormon ki Pustak ki gawahi use pahale baar kholne se milti hai yah thode samay ke baad, wah hume har din prabhaavith karegi agar hum use har din padhenge aur uske siddhanto ka upyog karenge. Pradhaan Ezra Taft Benson ne sikhlaya: “Is kitaak me ek taqat hai jo tumhare jeewan me ayega agar tum iski padhai puri gambheertha se karoge. Tumhe pralobhan se ladne ki shakti milegi. Tumhe jhoot se door rahane ki taqat milegi. Tumhe Tumhe sidhe aur pathle raaste par rajane ki taqat milegi.” 7

Jis kisi ko bhi yeh sandesh mil raha hai mai use purothsahith karunga, jisme Aaronic Purohiti adhikaari shaamil hai aaj shaam ki sabha me, ki weh Mormon ki Pustak ke taqat ko samjhe. Jaise Pradhaan Thomas S. Monson ne purothsahith kiya: “Mormon ki Pustak ko padho. Uske sikshan par gaur karo. Pith Parmeshwar se pucho ki wah sahi hai yah nahi.” 8 Is dauraan tumhare jeewan me Parmeshwar ki aathma ka ahesaas hoga. Yeh aathma tumhare gawahi ka ek bhaag hoga ki Mormon ki Pustak sacchi hai, ki Joseph Smith Parmeshwar ke bhavishvakta hain, aur Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim Dino ke Santo ka is dharti par saccha hai. Yeh gawahi tumhe pralobhan se ladne me madad karegi. 9 Yeh tumhe tayaar karegi “mahaan pukaar  … Prabhu ke baag me kaam karne ke liye.” 10 Wah tumhare liye langad ki tarah rahega jab koi tum par arop lagayega yah kalankith shabd kahega tumhare vishwaas ko dagmagane ke liye, aur woh tumhare liye patthar ki tarah mazboot buniyaad hogi jab tumse sawaal pucha jayega jiska tumhare paas turant jawaab nahi hoga. Tum sacch aur jhoot ka tulna kar sakoge, aur tumhe Pavitra Aatma ka ashwaaasan milega tumhari gawahi pramaanith karega jab tum Mormon ki Pustak ko apne jeewan bhar padhoge.

Mai sabhi mata pitah ko purothsahith karna chahata hoon jo is sandesh ko pad yah sun rahe hain ki weh Mormon ki Pustak ko apne ghar ka ek mahatvapurn bhaag banaye. Jab hamare bacche bade ho rahe the, hum naashta ke samay Mormon ki Pustak ko padthe the. Yeh bookmark hai jo hum istemaal karte the. Uske aage me Pradhaan Benson ka vyada chapa tha ki Parmeshwar hume ashis denge jab hum Mormon ki Pustak ko padhenge. 11 Us bookmark ke peeche Pradhaan Marion G. Romney ka vyada chapa tha. Jo pahale Pratham Adhyakshta me salhakaar the: “Mujhe yakeen hai ki agar, apne gharon me, maata pitah Mormon ki Pustak ko humesha prathnapurvak padhenge, ek dusre ke sang aur apne baccho ke sang, us mahaan pustak ki aathma humare gharon aur unme jo koi bhi hai unko chuegi. ... Jhagde ki aathma chali jayegi. Mata pitah apne baccho ko pyaar aur budhimaani se salah denge. Bacche apne mata pitah ki salah ki or uttardayi aur agyakaari honge. Nek badhegi. Vishwaas, asha aur dayaluta—Maseeh ka shud pyaar—humare jeewan aur gharo me rahega, apne saath shaanti, anand aur khusyaalo layega.” 12

Ab, humare baccho ko ghar hue kai saalo baad jab weh apne khud ke parivaar ko paal rahe hain, hum saaf tarah se Pradhaan Romney ke vyade ko dekh sakte hain. Humara parivaar parishudi se bahut dur hai, ar hum gawahi de sakte hain Mormon ki Pustak ke taqat aur ashis ka jo use padhne se humare jeewan aur parivaar ke jeewan me aya.

Mormon ki Pustak ka sabse mahaan taaqat hai uska asar hume Ishu Maseeh ke kareeb le jaane ki. Yeh Unki aur Unke muktidaari ke mission ki taqawar gawahi hai. 13 Uske dwara hum Unki Paschyatap ke gaurav aur taqat ko samajh sakte hain. 14 Yeh Unke siddhant ko saaf tarah se sikhlati hai. 15Aur uske alishaan adhyay jo jeewit Maseeh ke Nephite daore ke vishay me batlathi hai, hum Unke pyaar, ashirvaad aur siddhant ko dekh aur mehsoos kar sakte hain jo unhone un logo ko diya aur samajh sakte hain ki weh humare liye bhi aysa hi karenge jab hum Unke susmachaar ko jiyenge. 16

Bhaaiyon, mai Mormon ki Pustak ki gawahi deta hoon. Chahe use Angrezi, Italian yah French me padhe, chape yah electronic prayog me, maine uske adhyay se wahi shaandaar aathma mere jeewan me aathe hue mehsoos kiya hai. Mai uske hamein Maseeh ke kareeb laane ki kabiliyat ki gawahi deta hoon. Mai prathna karta hoon ki is dharamshastra pustak me jo taqat hai hum uska pura fayeda uthayenge. Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Dekhiye“‘You Can’t Close My Heart’: Ghanaian Saints and the Freeze,” Jan. 6, 2016, history.lds.org.

  2. 2 Nephi 25:26.

  3. Email from Nicholas Ofosu-Hene, Oct. 27, 2015.

  4. Dekhiye Angelo Scarpulla, “My Search for the Restoration,” Tambuli, June 1993, 16–20; email from Ezio Caramia, Sept. 16, 2016.

  5. Autobiography of Parley P. Pratt, ed. Parley P. Pratt  Jr. (1938), 37.

  6. Dekhiye Moroni 10:4–5.

  7. Teachings of Presidents of the Church: Ezra Taft Benson (2014), 141.

  8. Thomas S. Monson, “Dare to Stand Alone,” Liahona, Nov. 2011,62; also Thomas S. Monson, bhi dekhiye“Priesthood Power,” Liahona, May 2011, 66;A Prophet’s Voice: Messages from Thomas S.Monson(2012), 490–94.

  9. Pradhaan Thomas S. Monson ne sikhlaya: “Sabhi purohiti adhikaari ko dharamshastra ki padhai me bhaag lena chahiye. ... Mai vyada karta hoon, chahe tum Aaronic yah Melchizedek Purohiti adhikaari ho, agar tum dil se dharamshastra padhoge, tumhari pralobhan se bachne ki taqat aur Pavitra Aathma se margdarshan paane ki taqat bad jayegi” (“ Khud Bahetareen Raho,” Liahona, May 2009, 68).

  10. Alma 28:14.

  11. “Mai tumse vyada karta hoon ki is samay se aage, agar hum [Mormon ki Pustak] ke panno ko padhenge aur uski siddhant ka palan karnge, Parmeshwar Zion ke har bacche aur Girja par ashis denge jo anjaani hai” (Teachings: Ezra Taft Benson, 127).

  12. Marion G. Romney, “The Book of Mormon,” Ensign, May 1980, 67.

  13. Namune ke taur par, dekhiye, Mormon ki Pustak ka mukhaprasht; 1 Nephi 11; 2 Nephi 25; Mosiah 16; 18; Alma 5; 12; Helaman 5; 3 Nephi 9; Mormon 7.

  14. Dekhiye, namune ke taur par, 2 Nephi 2; 9; Mosiah 3; Alma 7; 34.

  15. Dekhiye, namune ke taur par, 2 Nephi 31; 3 Nephi 11; 27.

  16. Dekhiye 3 Nephi 11–28.