2010-2019
Punahsthaapit Susamachaar ka Prachaar
October 2016


16:1

Punahsthaapit Susamachaar ka Prachaar

Jise hum “sadasye prachaarak kaarye” kehte hai koi kaarikarm nahin par ek rawaiya hai prem karne aur aas paas ke logon tak pahunchne ka.

I.

Hamare Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ne Apne dharti par prachaar ke ant ke samay Apne chelon ko kaha: “Isliye tum jaakar, aur sab jaatiyo ke logon ko sikhlaao” (Matthew 28:19) aur “Tum sansaar mein jaakar, aur saare shrishti ke logon ko susamachaar prachaar karo” (Mark 16:15). Sabhi Isaai logon ko is aagya ka paalan karna hai sab logon ke saath. Kayi log ise “Woh Mahaan Aagyapatra” kehte hai.

Uddhaarkarta hamein prem karna sikhata hai

Jaise Elder Neil L. Andersen ne aaj subha ke sabha mein batlaya, Antim-din Sant sabse zyaada wafadaar mein se hai is zimmedaari ki or. Hamein bhi rehna hai kyunki hum jaante hai Parmeshwar Apne sabhi bachchon se prem karta hai aur in aakhri dino mein Usne zaroori gyaan aur shakti punahsthaapit ki hai un sab ko ashish dene ke liye. Uddhaarkarta ne hamein sikhlaya ki hamein sab se prem karna hai apne bhaaiyon aur bahanon ki tarah, aur hum us shikshan ka sammaan karte hai apni gawahi aur punahsthaapit susamachaar ka sandesh “sabhi deshon, sambandhiyon, bhaashaaon, aur logon” mein baato (D&C 112:1). Yeh ek avashyak bhaag hai ek Antim-din Sant hone ka. Hum ise ek khushi ka saobhaagye maante hai. Parmeshwar ke bachchon mein anantta ke sachchaai ko baatne se zyaada khushi aur kaise mil sakti hai?

Aaj hamare paas kayi utpaadan hai susamachaar baantne ke liye jo ki pehle ke peedhiyon ko na uplabdh the. Haamre paas TV, internet, aur social media ke channel hai. Hamare paas kayi laabhdaayak sandesh hai punahsthaapit susamachaar ko sikhane ka. Hamara Girjaghar prasidh hai kayi deshon mein. Hamare paas kayi guna zyaada prachaarakein hai. Magar kya hum in sab saadhanon ko puri tarah istemaal kar raahe hai? Mai sochta hoon kayi log nahin kahenge. Hamari ichcha hai ki hum pure duniya mein punahsthaapit susamachaar prachaar karne ka apna divye rup se di gayi zimmedaari ko aur achchi tarah se nibhaaenge.

Susamachaar prachaar karne ke liye kayi achche sujhaao hai hamare stakes ya deshon ke liye. Haalaanki, kyunki hamara Girjaghar puri duniya mein hai, mai woh sujhaao batlaaunga jo sabhi jagah ke liye theek rahenge, sabse naye unit se leke sabse aayojit tak, un sanskriti se jo Ishu Maseeh ke susamachaar ko abhi swikaar karte hai se un deshon tak jo dharam ko aswikaarte hai. Mai un sujhaao ko bataana chahata hoon jo aap unse baant sakte ho jo Ishu Maseeh ke sachche chelein hai tatha unke saath jinhonne Unka naam kabhi nahin suna hoga, unke saath jo apne abhi ke jiwan se santusht hai tatha unke saath jo khud ko sudhaarne ki koshish kar rahe hai.

Mai kya kahun jo susamachaar prachaar karne mein tumhe madad kare, chaahe tumhara paristhiti jo bhi ho? Hamein har ek sadasye ke madad ki zaroorat hai, aur har sadasye madad kar sakta hai, kyunki kayi kaarye karne padte hai punahsthaapit susamachaar ko har desh, sambandhi, bhaashaaon, aur logon tak pahunchaane ke liye.

Pradhaan Monson sadasyon aur prachaarakon ko protsaahit karta hai saath milkar kaam karne ke liye

Hum sab jaante hai ki sadasye ka maojood hona prachaar kaarye mein kitna zaroori hai samarpan aur sangathit rakhne mein. Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Ab samay hai sadasyon aur prachaarakon ko saath milne ka … [aur] Prabhu ke bagiche mein kaam karke Unke paas aatmaaon ko laaye. Usne hamare liye kayi tarike tayyaar kiye hai susamachaar prachaar karne ke, aur Woh hamare har koshish mein madad karega agar hum vishwaas ke saath Unke kaarye pura karenge.”1

Prachaar kaarye sirf ek key nahin hai

Susamachaar prachaar karna jiwan bhar ka ek Isaai kartavye aur saobhaagye hai. Elder Quentin L. Cook hamein yaad dilata hai: “Prachaarak kaarye piano ke 88 keys ki tarah nahin hai jo hum sirf kabhi kabhi bajate hai; woh ek; yeh ek mukhye swar hai ek madhur sangeet ka jise hamare jiwan bhar mein bajega agar hum Isaai Dharam aur Ishu Maseeh ke susamachaar ke prati taal mel milakar rehna chahate hai.”2

II.

Wahan teen cheezein hai jo sabhi sadasye kar sakte hai susamachaar baatne ke liye, bhale hi kisi paristhiti mein rehte aur kaam karte ho. Hum sab ko yeh sab cheezein karni chahiye.

Pehla, hum sab prarthna kar sakte hai uddhaar ke kaarye ke avashyak bhaag mein madad karne ki ichcha ke liye. Sabhi koshishein desire se shuru hoti hai.

Dusra, hum khud aagyaaon ka paalan kar sakte hai. Vishwaasi, aagyakari sadasye punahsthaapit susamachaar ke sachchaai aur mol ke sabse fuslaane waale gawaah hai. Isse bhi zaroori, vishwaasi sadasyon ke saath hamesha Uddhaarkarta ki Aatma hogi unhe maarg dikhane ke liye jab woh Ishu Maseeh ke punahsthaapit susamachaar baatne ke mahaan kaarye mein bhaag lenge.

Teesra, hum prerna ke liye prarthna kar sakte hai ki hum apne hi paristhiti mein kya kar sakte hai auron ko susamachaar batlane ke liye. Yeh alag baat hai prachaarakonke liye prarthna karne se ya anye logkya kar sakte hai ke liye prarthna karne se. Khud humkya kar sakte hai ke liye prarthna karna chahiye. Jab hum prarthna karein, hamein yaad rakhna chahiye ki is tarah ke prerna ke liye prarthnaaon ke jawaab milenge jab ek pratigya ke saath ho—jise dharamshaastra kehta hai “sachchi chaah” ya “pure dil se.” Ek pratigya ke saath prarthna karo ki tum haasil ki gayi prerna par amal karoge, Prabhu se vaada karke ki agar Woh tumhe kisi se susamachaar ke baare mein bolne ke liye prerit karega, tum wohi karoge.

Hamein Prabhu ke maargdarshan ki zaroorat hai kyunki kisi na kisi samay par kuch log tayyaar hote hai—aur kuch nahin hote hai—punahsthaapit susamachaar ki sachchaaiyon ke liye. Hamein kabhi khud se nyaye nahin kar lena hai ki kaun tayyaar hai aur kaun nahin. Prabhu Apne sabhi bachchon ke hridayon ko jaanta hai, aur agar hum prerna ke liye prarthna karenge, Woh hamein madad karega un logon ko dhoondhne ke liye jise Woh jaanta hai “tayyaari kar rahe hai vachan ko sunne ke liye” (Alma 32:6).

Prabhu ke ek Devdut ke rup mein, mai Girjaghar ke har ek sadasye aur parivaar se niwedan karta hoon ki weh Prabhu se prarthna karein unhe un logon ko paane ke liye jo Ishu Maseeh ke punahsthaapit susamachaar praapt karne ke liye tayyaar hai. Elder M. Russell Ballard ne yeh zaroori salaah di hai, jisse mai sehmat hoon: “Prabhu par bharosa karo. Woh Achcha Charwaaha hai. Woh Apne bhed ko jaanta hai. … Agar hum ismein vyast na huwe, kayi log jinhe sandesh sunna hai ko mauka nahin milega. … Iske siddhaant bahut saadharan hai—prachaarak mauko ke liye, khud aur paarivaar ke saath prarthna karo.”3 Jab hum apna vishwaas aazmaaenge, yeh mauke milengebina koi “kartavvye ke ehsaas ke ya … pehle se aayojit yojna ke zariye. Yeh hamare bhaaiyon aur bahano se prem ka prakritik parinaam ke jaisa milega.”4

Mai jaanta hoon yeh sach hai. Mai apna gawahi iske saath milata hoon ki Prabhu ke madad mein vishwaas se, hamein maargdarshan, prerna, aur mahaan anand milega prem ki us anant rup se avashyak kaarye mein. Hum yeh samajh paaenge ki susamchaar prachaar karne ki safalta ka matlab hai logon ko prem aur asli chaah se amantrit karna unki madad karne ke liye, chaahe jo bhi unka rawaiya ho.

III.

Yeh kuch aur bhi cheezein hai jo hum achchi tarah se susamachaar baatne ke liye kar sakte hai:

Sadasye mel-jol karte huwe
Sadasye bhent karte huwe
Brazil Olympics mein Taxi chalane waala
  1. Hamein yaad rakhna hai “ki insaan tab seekhte hai jab woh tayyaar hote hai, na ki jab hum tayyaar hote hai unhe padhaane ke liye.”5 Kya hai hamari dilchaspi, jaise ki punahsthaapit Girjaghar ke siddhaant sambandhi avashyak shikshan, hi zyaadatar vajah nahin hoti auron ki dilchaspi ki. Anye log khaas kar siddhaant ke parinaamonko dekhte hai, siddhaant ko nahin. Jab woh hamare jiwan mein Ishu Maseeh ke susamachaar ke prabhaao ko dekhenge ya anubhav karenge, weh Aatma ko mehsoos karenge aur siddhaant mein unhe dilchaspi ho jaaegi. Woh shaayad aur dilchaspi dikhaae jab woh zyaada khushi, Parmeshwar se nazdeek rehna, ya jiwan ke lakshye ki samajh dhoondh rahe ho.6 Isiliye, hamein dhyaan se aur prarthnashilta se yeh jaan lena hai ki kaise auron ke aur seekhne ke dilchaspi ke baare mein puche. Yeh kayi baaton par nirbhar hota hai, jaise ek insaan ke vartamaan ke haalaath aur unke saath hamara sambandh. Is vishay ki charcha vichaar-sabhaaon, parishadon, aur Sahayak Sansthaaon ke liye theek rahegi.

  2. Jab hum dusron se baate karein, hamein yeh yaad rakhna hai ki Ishu Maseeh aur Unke susamachaar ko seekhne ka nimantran zyaada pasand hota hai Girjagharko seekhne ki nimantran se.7 Hamein manushye ko susamachaar ki or samarpit karwana hai. Yeh hai Mormon Dharamshaastra ka mahaan bhumika. Hamare Girjaghar ke prati ehsaas Ishu Maseeh mein samarpit hone se aate hai; usse pehle nahin. Kayi log jo girjaaon ke prati shakki hote hai ko Uddhaarkarta se prem hota hai. Pehle baat ko pehle hi kiya karo.

  3. Jab hum logon ko punahsthaapit susamachaar se parichit karna chahate hai, hamein aysa unke liye badhiya aur sachcha prem se karna hai. Aysa hota hai jab hum auron ki madad karne ki koshish karte unke mushkil ko hal karne mein ya jab unke saath kaam kar rahe hai samaaj sewa kaaryon mein, jaise kasht dur karna, gareeb aur zarooratmand ki sahayta, ya kisi ke jiwan ka star sudhaarna.

  4. Hamari koshishein susamachaar baantne ki irf hamare doston aur jaan pehchaan ke logon tak hi nahin rehna chahiye. Olympics ke daoraan humne Rio de Janeiro ke ek LDS taxi chalane waala ke baare mein jaana jo saat alag bhaashaaon ki Mormon Dharamshaastra apne sang rakhta tha aur jo koi chaahe use ek deta tha. Usne khud ko “taxi chalane waala prachaarak” naam diya tha. Usne kaha, “Rio de Janeiro ke raaste … hi [mera] prachaar ka maedaan hai.”8

    Clayton M. Christensen, jiske paas ek sadasye prachaarak hone ka bahut achcha anubhav hai, kehta hai ki “pichle bees saalon mein, humne koi mel nahin dekha ek rishta ke gehraai aur woh is sambhaaona mein ki log susamachaar ko seekhne mein dilchaspi dikhaenge mein.”9

  5. Ward ke bishopric ek khaas prabhubhoj ki sabha ka aayojan kar sakte hai jahan sadasyon ko dilchaspi dikhane waale logon ko laane ka nimantran diya jaaega. Ward ke sadasye mein kam hichkichaahat hogi apne jaan pehchaan ke logon ko ayse sabha mein laane mein kyunki woh zyaada ashwaasan paaenge ki sabha ka uddeshye achchi tarah se socha gaya hoga dilchaspi jagane aur Girjaghar ka prtinidhitwa karne ke liye.

  6. Yahan kayi aur mauke hai susamachaar baatne ke. Uddharan ke taur par, isi chutti ke mausam mein mujhe ek khushaal patra mila ek naye sadasye se jisne punahsthaapit susamachaar ke baare mein ek puraane kaksha saathi se jaana jisne use phone se sampark kiya tha uske beemaari ka pata lagane ke liye. Usne likha: “Mujhe achcha laga kis tarah se usne apne aap mujhse prastut kiya. Prachaarakon se seekhne ke kuch [hi] mahine baad, maine baptisma liya. Mera jiwan tab se sudhar gaya hai.” 10 Hum sab kayi logon ko jaante hai jinke jiwan sudhar sakte hai punahsthaapit susamachaar se. Kya hum un tak pahunch rahe hai?

  7. Hamare jawaan sadasyon ka akarshan aur nipunnta social media ko lekar unhe niraale mauke deta hai susamachaar ki or dusron ko laane mein. Nephitiyon ke paas Uddhaarkarta ka dikhna ko lekar Mormon ne likha, “Usne bachcho ko sikhlaya aur unki dekhrekh ki … , aur unke mukh ko khol diya … ki weh ashcharyejanak baate kiye” (3 Nephi 26:14). Aaj hum shaayad kahenge “unke [anguthe] khule ki woh batla sake.” Chal pado, yuva!

Text karne ke dwara susamchaar prachaar karna

Susamachaar ko baantna ek bojh nahin par ek anand hai. Jise hum “sadasye prachaarak kaarye” kehte hai koi kaarikarm nahin par ek rawaiya hai prem karne aur aas paas ke logon tak pahunchne ka. Yeh ek mauka hai dekhne ka ki hum kaisa mehsoos karte hai hamare Uddhaarkarta ke punahsthaapit susamachaar ke baare mein. Jaise Elder Ballard ne sikhlaya hai, “Hamare samarpan ka sabse badiya saboot aur hum apne jiwan mein susamachaar ke prati kaisa mehsoos karte hai hamara utsukta hai use auron se baantne ka.” 11

Mai Ishu Maseeh ki gawahi deta hoon, jo is Duniya ka Raushni aur Jiwan hai (dekhiye3 Nephi 11:11). Unka punahsthaapit susamachaar maransheelta mein hamara maarg ujwal karta hai. Unka Praeshchit hamein jiwan ka ashuwaasan deta mrityu ke baad aur amaransheelta ki or badhne ki shakti deta hai. Aur Unka Praeshchit hamein mauka deta hai hamare paapon se chama paane ka aur, Parmeshwar ke vishaal uddhaar ki yojna anusaar, anant jiwan paane ka, “Parmeshwar ke sabhi uphaaron mein sabse mahaan” (D&C 14:7). Ishu Maseeh ke naam se, amen.

Vivran

  1. Thomas S. Monson, “Sammelan mein Swaagat,” Liahona, Nov. 2013, 4.

  2. Quentin L. Cook, “How to Be a Member Missionary,” New Era, Feb. 2015, 48.

  3. M. Russell Ballard, “Prabhu Mein Apna Bharosa Rakho,” Liahona, Nov. 2013, 44.

  4. M. Russell Ballard, “Prabhu Mein Apna Bharosa Rakho,” 44.

  5. Clayton M. Christensen, The Power of Everyday Missionaries (2013), 30.

  6. Dekhiye Christensen, Power of Everyday Missionaries, 26–27.

  7. Dekhiye Gary C. Lawrence, How Americans View Mormonism: Seven Steps to Improve Our Image (2008), 34–35.

  8. Dekhiye Ashley Kewish, “Cab Driver Hands Out Copies of Book of Mormon to Rio Visitors,” Aug. 8, 2016, ksl.com.

  9. Christensen, Power of Everyday Missionaries, 21.

  10. Personal letter, Aug. 21, 2016.

  11. M. Russell Ballard, “Ab Samay Hai,” Liahona, Jan. 2001, 89.