Maha Sammelan
Video: “Aap Wohi Mahilaaen hai jise Usne Pehle se Dekha”
April 2022 General Conference


3:15

Video: “Aap Wohi Mahilaaen hai jise Usne Pehle se Dekha”

1979 mein President Spencer W. Kimball aspataal mein the aur unhonne apni patni Camilla, ko ek saamaany mahilaa baithak mein unke bhaashan ko padhne ke liye kaha.

Bahan Camilla Kimball: “Antim dino me Girjaghar me jo badhanti aawe waala hai, u aai duniya me jitna achcha mahila long ke kaaran (jinme aksar dhaarmikta ka aisa aantarik bhaavna hota hai) Girjaghar ke taraf bhaari sankhya me log akarshit hoi. I utna had tak howe sake jitna Girjaghar ke mahila long sake imaandaari aur saaf rup se bitawe apan jiwan me aur jitna tak Girjaghar ke mahila long ke vichitra aur alag rakam se dekha jaai—khushaal tarika se—duniya ke aurat long me se.”1

President Russell M. Nelson: “Meri pyaari bahanon, aap wohhai jo is samaapan drshye ke dauraan hamare mahatvapurn sehyogi hain, woh din jo President Kimball ne pehle se dekha aaj hai. Aap wohi mahilaaen hai jise usne pehle se dekha! Aapka gun, prakaash, prem, gyaan, saahas, charitr, vishwaas aur dharmi jiwan duniya ki achchi mahilaaon ko, unke parivaaron ke saath, pehle se bemisaal sankhya mein Girjaghar ki or aakarshit karega!

“Hume … aapke shakti zaroori hai, aapke samarpan, aapke dosh maanna, aapke aguwaai kare ke hunar, aapke gyaan, aur aapke aawaaz zaroori hai. Parmeshwar ke raajye pura nahi rahi agar usme pavitra vachan rakhe la mahilaaen, aur shakti aur Parmeshwar ke adhikaar se baat kare la mahilaa long nahi rahi! …

“… Jo bhi aapke calling hai, aapki paristhitiyaan, hamen aapke prabhaao chaahiye, aapki antardrshti aur aapki prerna ki aavashyakta hai. Humen zaroorat hai ki aap ward aur stake councils me baat karein. Hamen pratyek vivaahit bahan ki aavashyakta hai ki weh ‘ek yogdaan dene vaali aur purn bhaagidaar’ rup me bolein jaisa ki aap apne parivaar ko sanchaalit karne me apne pati ke saath ekjut karti hai. Vivaahit ya avivaahit, tum bahano ke anokhe kaabliyat aur khaas antar gyaan hai jo tumne Parmeshwar se uphaar me paaya hai. Hum bhaai log aapke anokhe prabhaao ki jagah nahin le sakte.

“Ham jaante hain ki saari srishti ka charam kaarye mahilaaon ki rachna thee! Hume aapki taakat chaahiye! …

“… Main aapko dhanyevaad deta hoon, meri pyaari bahano, aur is pavitra kaarye mein haath mein haath daale chalte hue, apni rachna ke maap ko pura karne ke liye, aapko apne purn kad tak badhne ka aashirvaad deta hoon. Saathe ham duniya ko taeyaar karne mein madad karenge Prabhu ke Dusre Aagman mein.”2

Notes

  1. Teachings of Presidents of the Church: Spencer W. Kimball (2006), 222–23.

  2. Russell M. Nelson, “A Plea to My Sisters,” Ensign or Liahona, Nov. 2015, 96, 97.