Ishu ke Rakam: Shaanti ka Rakhwaala Banna
Shaanti ke rakhwaale nishkriy nahin hain; weh Rakshak ki tarah prerna se bhare hai.
Mere pyaare bhaiyo aur bahano, jab ham uthal-puthal, takraar ke gambheer dinon ka anubhav karte hain, aur, kai logon ke liye, gahari peeda, hamare Rakshak aur Ishu Masih ke punaahsthaapit susamachaar ki anant ashirvaadon ke liye hamare hrday atyadhik aabhaar se bhar jaate hain. Ham Unse pyaar karte aur Unpe bharosa rakhte hai, aur ham praathna karte hai ki hamesha Uske rakam bane.
Chunaoti Bhara Social Media
Internet ka shaktishaali prabhaav ek ashirwaad aur chunauti hai, jo hamare samay ke liye vichitr hai.
Social media ke duniya mein aur suchna ke superhighways ke saath, ek vyakti ka aavaaj ko tejee se guna(multiply) kiya ja sakta hai. Woh awaaj, chaahe sachchi ho ya joothee, chahe nishpakch ho ya purvaagrahi, chahe dayalu ho ya khathor, duniya bhar mein turant chal deti hai.
Chintasheelta aur achchaai ke social media posts aksar chupchaap radar ke niche hote hain, jabki apmaan(contempt) aur krodh ke shabd aksar hamare kaano mein garajte(thundering) rehte hain, chaahe rajneetik gyaan vidhya, samachaar mein log, ya mahaamaari par raae ko liya jaae. Na koi insaan ya na koi cheez, Rakshak aur Uske punahsthaapit susamachaar sahit, vipreet awaazon ki is samaajik ghatna se bhacha nahi hai.
Ek Shaanti ka Rakhwaala Banna
Sermon on the Mount sabhi ke liye ek sandesh hai lekin vishesh roop se Rakshak ke shishyon ko diya gaya tha, jinhone Unki tarah banna chahate the.
Prabhu ne sikhaaya ki kaise ek apmaan suchak duniya mein, tabh aur abhi, jeena hai. “Dhanye hain shaanti ke rakhwaale,” Unhonne ghoshna ki, “kyunki weh Parmeshwar ke bachche kehlaenge.”1
Ishu Masih mein hamare vishwaas ki dhaal(shield) ke dwara, ham shaanti ka rakhwaala bann jaate hain, shaman karte hain—jiska arth hai shaant karna, thanda karna, ya bujhaana—virodhi ke sabhi krodhit teeron ko.2
Jab ham apna kartaavye karte hain, to Uski pratigya yah hai ki ham “Parmeshwar ki bachche” kehlaenge. Dharti par har ek insaan Parmeshwar ki “bachche”3 hai, parantu “Parmeshwar ki bachche” kehlaane ka matlab isse bahut, bahut zyaada hai. Jab ham Ishu Masih ke paas aate hain aur Uske saath vachanein banate hai, ham “uske beej” aur “raajye ke vaaris” ban jaate hai4 “Masih ke bachche, uske bete, aur uski betiyaan ban jaate hain.”5
Ek shaanti ka rakhwaala krodhit teeron ko kaise shaant aur thanda karta hai? Un logon ke saamne sikudane(shrinking) se harkis nahin jo hamein nichaa dikhaate hai. Balki, hamein apne vishwaas par pura bharosa kar ke, purn vishwaas ke saath apne vishwaas ko baatte hai lekin hamesha krodh ya dwesh se rahit hote hai.6
Haal hi mein, Girjaghar ki aalochna karne vaale ek zordaar baatcheet ko dekhne ke baad, Reverend Amos C. Brown, jo ek raashtriye naagrik adhikaar neta aur San Francisco ke Third Baptist Girjaghar ke paadri the, ne jawaab diya:
“Mai us vyakti ke anubhav aur nazariye ka sammaan karta hoon jisne woh shabd likha tha. Anumati di jaae, mai wah nahin dekhta jo woh dekhta hai.”
Mai [Girjaghar ke] in netaon ko jaanna, apne jiwan ki sabse badi khushi mein se ek maanta hoon, jisme President Russell M. Nelson bhi shaamil hai. Woh, mere vichaar mein, hamare desh ka sabse achcha neta log ke abhivyakti(embodiment) hain.”
Unhonne aage kaha: “Jis tarah se cheezen thee uske baare mein ham shikayat kar sakte hain. Ham abhi chal rahi sabhi achchi baaton ko swikaar karne se inkaar kar sakte hain. … Lekin ye tarike hamare raashtriye algaao ko theek nahin karenge. … Jaisa ki Ishu ne sikhaya, ham burai ko aur adhik burai se nahin mitaate. Ham khule dil se pyaar karte hain aur daya se jeete hain, yaha tak ki unke prati bhi jinhein ham apna dushman samajhte hain.”7
Reverend Brown shanti ka rakhwaala hain. Unhonne shaanti se aur sammaan se krodhit teeron ko thanda kiya. Shaanti ke rakhwaale nishkriy nahin hain; weh Rakshak ki tarah prerna se bhare hai.8
Ham jin sachchaiyon se pyaar karte hain, unki or aane waali krodhit teeron ko thanda karne, shaant karne aur bujhaane ke liye hamen kya aantarik shakti deti hai? Shakti Ishu Masih mein hamare vishwaas aur Uske vachanon mein hamare vishwaas se aati hai.
Dhanye hai tum log, jab admi log hamaar khaatir tumme sataai, … aur tumhaar waaste jhuut aur kharab baat boli, kaahe ke tum hamaar khaatir kaam karta hai.
“… Tumhe swarg mein bara fal mili: bahut roz pahile prophet log ke admi log yahi rakam se sataais raha.”9
Chunne ki Shakti(agency) ka Mahatwa
Do mahatvpurn siddhaant shaanti ka rakhwaala banne ki hamari ichcha ka maargdarshan karte hain.
Sabse pahale, hamare Swarg Pita ne pratyek vyakti ko apna maarg chunne ki chamta ke saath apni naetik chunne ki shakti di hai.10 Yah chunne ki shakti Parmeshwar ke sabse mahan uphaaron mein se ek hai.
Dusra, is chunne ki shakti ke saath, hamare Swarg Pita ne “sab baaton mein virodh” ki anumati dee.11 Ham “kadva swaad lete hain, ki [ham] achche ko puruskarit karna jaan sakte hain.”12 Virodh ko hamen achaanak achambhit nahin karna chahiye. Ham achchai ko burai se alag karna sikhte hain.
Ham chunne ki shakti ke aashirvaad mein aanandit hote hain, yah samajhte hue ki bahut se aise log honge jo us par vishwaas nahin karte hain jo ham maante hain. Vaastav mein, antim dino mein kuch hee log Ishu Masih mein apne vishwaas ko un sabhi ke kendr mein rakhna pasand karenge jo weh sochte aur karte hain.13
Social media platform ke kaaran, avishwaas ki ek aawaaj kai nakaaraatmak aawaajon ki tarah lag sakti hai,14 lekin bhale hee yah aawaajon ki bheed ho, ham shaanti ka rakhwaalon ka raasta chunte hain.
Prabhu ke Netaaen
Kuch log First Presidency aur Barah Logon ke Quorum ko saansaarik uddeshyon ko rakhne waale ke roop me dekhte hai, jaise raajneetik, vayvasaayik aur saanskritik netaon.
Halaanki, hamari zimmedaariyaan bahut alag tarike se milti hain. Ham kisi arzi(application) se nahi chune ya bine jaate hain. Kisi bhi khaas peshewar taeyaari ke bina, hamen apni antim saas tak duniya bhar mein Ishu Masih ke naam ki gawahi dene ke liye bulaaya(call) aur ordain kiya jaata hai. Ham beemaar, akeli, niraash, aur gareeb ko aashirvaad dene aur Parmeshwar ke raajye ko mazboot karne ki kkoshish karte hain. Ham Prabhu ki ichcha ko jaanna chahate hain aur uski ghoshna karna chahate hain, khaaskar unke liye jo anant jiwan chahate hain.15
Halaanki hamari vinamr ichcha yah hai ki Rakshak ki shikshaon ka sabhi ke dwara sammaan kiya jaae, Uske prophets ke maadhyam se Prabhu ke vachan aksar duniya ki soch aur bahaao ke vipreet hote hain. Hamesha se aisa hee raha hai.16
Rakshak ne Apne Devdut se kaha:
“Agar duniya tum se [jaran] kare hai, to yaad rakho woh tumse pahile ham se jaran karis. …
“… Yeh sab kaam weh karenge … kyunki woh use nahi jaante jisne mujhe bheja”17
Sab ki Parvaah Karna
Ham vaastav mein apne sabhi padosiyon se pyaar karte hai aur unki parvaah karate hai, chaahe weh hamari tarah vishwaas karein ya na karein. Ishu ne hamen Good Samaritan ke kahani mein sikhaya ki alag-alag dharmon ke logon ko imaandaari se kisi ki zaroorat mein madad karne ke liye aage badhana chahiye, shaanti ka rakhwaala hone ke naate, achche aur nek kaamon ka picha karna chahiye.
February mein, Arizona Republic mein ek headline mein kaha gaya tha, “Antim-dino ke Santo dwara samarthan diya Bipartisan bill samalaingik(gay) aur traansjendar Arizonans kee raksha karega.”18
Ham, Antim-dino ke Santo ke roop mein, “dharm, vyaapaar, LGBTQ logon aur samudaay ke netaon ke gathbandhan ka hissa bankar prasann hai, jinhonne vishwaas aur aapasi sammaan ki bhaavna se ek saath kaam kiya hai.”19
President Russell M. Nelson ne ek baar vichaarpurvaak se pucha tha, “Kya seema rekhaen yuddh rekha bane bina maujood nahin ho sakti?”20
Ham “Masih ke shaanti ka rakhwaala ki tarah” banne ka koshish karte hain.21
Jis Samay Kuch Nahi Karna Hai
Rakshak par kuch hamle itne dusht(malicious) the ki Usne kuch nahin kaha. “Aur mukhye priests aur shaastree … us par ghor aarop lagaae … aur uska upahaas kiya,” parantu Ishu ne “[unhein] kuch bhi uttar nahin diya.”22 Kai baar shaanti ka rakhwaala hone ka matlab hai ki ham jawaab me kuch karne se rukein aur iske bajaaye izzat ke saath chup rahate hain.23
Yah ham sabhi ke liye afsos ki baat hai jab Rakshak, Uske chelon, aur Uske Girjaghar ke baare mein kathor ya khaarij karne waale shabd un logon dwara bole ya prakaashit kiye jaate hain jo ek baar hamare saath khade the, hamare saath prabhubhoj liye the, aur hamare saath Ishu Masih ke divye mishan ki gawahi diye the.24
Yah Rakshak ki sewa(ministry) ke dauraan bhi hua.
Ishu ke kuch chela jo Uske sabse shaandaar chamatkaaron ke dauraan Uske saath the, “uske saath nahin [chalne]” ka nirnay kiye the.25 Dukh ki baat hai, sabhi Rakshak ke liye apne prem mein sthir nahin rahenge aur Uski aagyaaon nahi maannege.26
Ishu ne hamien gussa aur takraar ke ghere se hatna sikhaya. Ek udhaaran mein, jab Pharisees ne Ishu ka saamna kiya aur salaah lee ki weh Use kaise nasht kar sakte hain, dharamshaastra mein batlata hai ki Ishu ne Khud ko unse alag kar liya,27 aur chamatkaar hue jaise ki “badee bheed Uske piche ho lee, aur usne un sabhi ko changa kiya.”28
Dusro ke Jiwan Me Ashish Laana
Ham bhi takraar se dur jaa sakte hain aur dusron ke jiwan ko aashirvaad de sakte hain29 apne aap ko apne hee kone mein akela na karte hue.
Democratic Republic of Congo ke, Mbuji- Mayi mein, shuru mein kuch Girjaghar ke aalochak the, hamare dharm ko nahin samajhate the ya hamare sadasyon ko nahin jaante the.
Kuch samay pahale, Kathy aur Mai Mbuji-Mayi mein ek bahut hee vishesh Girjaghar sewa mein shaamil hue the. Bachchon ko chamakdaar aankhon aur badee muskaan(ummeed aur anand) ke saath, bedaag kapde pahanae gae the. Mainne unse unki padaai-likhaai ke baare mein baat karne ki aasha ki thee, lekin pata chala ki bahut se bachche school nahin ja rahe the. Hamare netaon ne, bahut hee maamooli humantarian funds ke saath, madad karne ka ek tarika khoja.30 Ab, 400 se adhik students—ladkiyaan aur ladke, sadasyon aur woh jo hamare vishwaas ke nahin—16 shikshakon dwara swaagat kiya aur padhaaya jaata hai jo Ishu Masih ke Girjaghar ke sadasye hain.
Chaudah-varsh(14) Kalanga Muya ne kaha, “[Kam paisa ke kaaran,] mainne chaar saal bina skool gae bitaaya. … Girjaghar ne jo kiya hai uske liye mai bahut abhaari hoon. … Ab mai French padh, likh aur bol sakti hoon.”31 Is pahal ke baare mein bolte hue, Mbuji-Mayi ke mayor ne kaha, “Mai Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka se prerit hoon jabki [anye] girjagharon ko unke kone mein vibhaajit kiya ja raha hai … [aap kaam kar rahe hain] [dusron] ke saathzarooratamand samudaay ki madad karne ke liye.”32
Ek Dusre se Prem Karo
Har baar jab main John adhyaay 13, padhta hoon, to mujhe Rakshak ka ek shaanti ka rakhwaala ke roop mein aadarsh udaaharan yaad aata hai. Ishu ne pyaar se Apostals ke paer dhoe. Phir ham padhte hain “woh aatma mein pareshaan tha”33 jaisa ki Usne ek ke baare mein socha tha jise Woh Use dhokha dene ki taeyaari karna pasand karta tha. Mainne Judas ke chale jaane par Rakshak ke vichaaron aur bhaavanaon ki kalpana karne ki koshish ki hai. Dilchasp baat hai, us pal me, Ishu ne Apni “pareshaan karne waali” bhaavnaon ya vishwaasaghaat ke baare mein aur adhik baat nahin ki. Iske bajaay, Unhonne Apane Devdut ko prem ke baare me baat ki, Unke shabd sadiyon se chale aa hai:
“Mai tumhe ek nayi aagya deta hoon, Ki ek dusre se prem rakkho; jaise maine tumse prem rakkha hai. …
“Yadi aapas mein prem rakhoge to isi se sab jaanenge, ki tum mere chele ho.”34
Ham Usse prem karein aur ek dusre se prem karein. Hum shaanti ke rakhwaale bane, ki hamein “Parmeshwar ke bachche” kaha jaae, mai praathna karta hoon Ishu Masih ke naam se, amen.