Maha Sammelan
Ishu Masih ko Humare Zindagi mein Adhik Dekhna
October 2022 maha sammelan


10:16

Ishu Masih ko Humare Zindagi mein Adhik Dekhna

Rakshak hamein aamantrit karta hai ki ham apne jiwan ko Uske maadhyam se dekhe, hamare jiwan mein Use aur adhik dekhne ke liye.

Bhaaiyon aur bahanon, main abhari hu ki aaj subhah main aapke samne khadi hua hu. Main apne dil ko tumhare dil se jodthi hu abhaar se ekkatha hone ke liye, duniya bhar mein aap jaha bhi ho, profats, devdut, sant, revelators, aur leadaro ka sandesh sunne ke liye Parmeshwar ke rajye mein. Hum baamuhaavra(figuratively) se Raaja Benjamin ke logo ki tarah ban jaate hai, tamboo ka vayvasta karna aur apne darvaazoh ko khula rakhna aur prithvi par Parmeshwar ke profats ki or chalna,1 President Russell M. Nelson.

Jabse yaad hai tabse meri nazar kamzor hai aur mujhe hamesha se prescription lense ki zaroorat hoti hai apne nazar ko theek karne ke liye. Roz subhah jab mein apne aankh kholti hu, aisa lagta hai ki duniya dhundhli ho gayi. Sabhi cheez dhyaan se baahar, daanedar aur vikrt hai. Yaha tak ki mere pyaare pati bhi abstract portrait ki yaad dilate hai phir woh achchi tarah se pehchaane jaaneaur sukoon dene wala aakaar me vaastav ke rup me dikhta hai! Mera reflexive zaroorat, kuch bhi karne se pahale din ke shuruaat ke, main apne chashme ke or badthi hu taaki main apne aas paas ki cheezoh ko samajh sakoo aur zyaada anand ke saath din bhar ko uske madat ke dwara anubhav kar sakoo.

Pichle kuch varshoh mein, mujhe pataa chala hai ki va vyavaar doh cheezoh par meri roz ki nirbhata(dependence) ko darshaata hai: pahala, ek tool jo mujhe apne aaspaas ki duniya ko spasht karne, dhyaan kendrit karne aur dharti par utharne mein madat kartha hai; aur doosra, mujhe hamesha sahi disha mein point karne ke liye thos margdarshan ki avashyakta deti hai. Yah saral sa, routine practice mere liye hamaare Rakshak, Ishu Masih ke saath hamaare sambhando ke baare mein ek mahatvapoorn cheez darshaata hai.

Hamari zindagi joh zyadatar sawaalo, chintao, dabao, aur aosaro se bhari hoti hai, vah hamaareh Uddharkarta ka pyar hamaare liye vyaktigat roop se aur unke vachanbadh bachcho ki tarah hai, saath mein unke shikshao aur kanoono ke saath uplabdh hai jaise ki “roshni ki chamak, … kuch aur [hamre] ankhe ko roshan karo[aur] [hamare] samajh ko tez karna.2 Jaise hum Aatma ki aashirvaad apne zindagi mein chahate hai, hum vah paa sakenge, jaise Jacob ne sikhaya ki, “cheezoh ko vaisa hi dekhna jaisa ki vaastav mein hai, aur … jaisa veh vaastav mein honge,”3

Parmeshwar ke vachanbadh bachcho ke roop mein, hamme vishisht roop se ashirvaad diya gaya hai joh divye roop se niyukt upkaran ke dwara aatmik drishti sudhaarta hai. Ishu Masih ke shabd aur shikshao jo shaastro aur sandesho mein hai Unke chune gaye profat ke dwara hai, aur Uski Aatma roz ke prarthna ke dwara praapt hui, niyamit mandir upasthithi, aur sapthah ke ek dharamvidhi jo prabhubhoj hai jo hame madat karta hai shanti vaapas lane ke liye aur samajh ka aavashyak uphaar pradaan karne ke liye aur jo Masih ke prakaash aur Uski samajh ko hamaare jeevan ke kone-kone mein aur ek aisi duniya mein jo dhundli ho sakti hai. Rakshak humare disha soochak yantr(compass) aur hamare pilot ke roop mein hamein jiwan ke shaant aur ashaant jal dono se gujarte hain. Vachan ka maarg hi ekmaatr maarg hai jo utkarsh aur anant jiwan ki or le jaata hai. Toh, Woh hamen kya dikhaega, aur Woh hamen kahaan le jaega?

Hamaare pyaare profat ne sikhaya hai ki “hamaara dhyaan Rakshak aur Uske susamaachaar par kendrit hona chahiye” aur yah ki hamen “har ek vichaar mein uski koshish karna chahiye.”4 President Nelson ne bhi vaada kiya hai ki “Ishu Masih par apna dhyaan kendrit karne ke alaava kuchh bhi Aatma ko aamantrit nahin karta hai. … Yadi aap apne jeevan mein uske liye samay nikaalenge to vah aapke vyaktigat jeevan mein aapka netrtv(lead) aur maargadarshan karega—har din.”5 Doston, Ishu Masih hamaare dhyaan ka uddeshy aur hamaari manzil ki chahat donon hain. Hamen sthir rahane aur sabhi disha mein aage badhne mein madat karne ke liye, Rakshak hamein aamantrit karta hai ki ham apne jeevan ko Uske maadhyam se dekhehamaare jeevan mein Use aur adhikdekhne ke liye. Maine Puraana Niyam ko padne se is khaas amantran ke baare mein jaana hai.

Law of Moses Israelites ko praarambhik(preparatory) susamaachaar ke roop mein dee gai thi, logon ko Ishu Masih ke maadhyam se Parmeshwar ke saath ek uchaa vachan ke sambandh ke liye taiyaar kiya gaya hai.6 Niyam, vishvaasiyon ki or ishara karte hue symbolism se bhara “aane ke liye taeyaar rahe” aur Ishu Masih ka Praeshchit,7Israel ke logo ko madat karne ke liye vah Uddharkarta par apna vishwaas banae rakhe, Unke balidaan aur Unke, jeevan mein kaanoon aur aagyaen8unhe apne Muktidaata ki adhik samajh mein laane ka iraada rakhte hain.

Jaise ki aaj hum hai, Parmeshwar ke pracheen logo ko amantrit kiya gaya tha ki vah apne jeevan koUske maadhyam se dekhe apne jeevan mein Use aur adhik dekhne ke liye. Uddharkarta ke ministry ke samay, Israelites Masih ko nahi dekh paa rahe the, Use bagal chodkar aur kaanoonmein anadhikrt prathaen daali jinme koi shikshaaprad symbolism saty ki or ishaara nahin karta aur wahi sirf unke uddhar aur mukti ka srot tha—Ishu Masih.9

Isrealies ke roz ke duniya vichalit aur aspasht ban gayi thi. Israel ke bachche, is roop mein, maante the ki kaanoon ke abhyaas aur anushthaan vyaktigat moksh ka maarg hai aur kuch hadh tak Moses ke kaanoon ko naagrik jeevan par shaasan karne ke liye prashaasit protokol ke ek set mein ghata diya gaya.10 Yah Rakshak ko Apne susamaachaar par dhyaan aur spashtta waapas karne ki aavashyakta thi.

Aakhir mein Isrealites ne Unke sandesh ka ek bade bhaag thukra diya, yahaan tak ki Uddhaarkarta par dosh lagaane laga—Woh jisne kanoon diya hai aur Usne ghoshit kiya tha “kanoon, aur ujaala” wahi tha11—thodne kaa. Phir bhi Ishu apne Sermon on the Mount me, Moses ka kaanoon par baat karte hue, ghoshit karta hai, “yah na samjho ki main kaanoon, ya propheton ko naash karne aaya hoon: main naash karne nahin, balki poora karne aaya hoon.”12 Phir Rakshak ne, Uske anant Praeshchit ke dwara, us samay Israel ke logon dwaara manai gai codes, viniyamon, aur aupchaarik prathaon ko samaapt kar diya. Unke antim balidaan ne sacrificial jala ke daan se hamaare “ek toote hue dil aur ek pashchataapi aatma ke pratipaadan mein badlaav ka netrtv kiya,”13 balidaan ke dharamvidhi se prabhubhoj ke dharamvidhi mein.

President M. Russell Ballard, ne is vishay par padhate hue, kaha, “Ek tarah se, uske balidaan badal gaya dene waalo se tyaagne waala.”14 Jab hum apne chadawe ko Uddharkarta ke paas laate hai, hamen apne jeevan mein Ishu Masih ko aur adhik dekhne ke liye aamantrit kiya jaata hai, jaisa ki ham vinamrataapoorvak Pita ki ichchha ke prati Uski poorn adheenta ki pahachaan aur samajh mein apni ichchha ko Uske prati samarpit karte hain. Jab hum apne dhyaan ko Ishu Masih pe kendrit karte hai, ham pahachaante hain aur ham samajhte hain ki vah ek maatr jad hai aur chama aur chhutkaare ko praapt karne ka tareeka hai, yahaan tak ki anant jeevan aur utkarsh tak bhi.

Susamachaar shuruaat ke vishwaasi hone ke naate, Girjaghar mein shaamil hone ke baad maine kai logon ka saamna kiya jinhone mere vyavahaar, prathaon aur vikalpon mein badlaao ko dekha aur mahasoos kiya. Weh chintit the “kyon” ke baare mein joh woh dekh rahe the— kyon maine baptize hone ko chunna aur vishvaasiyon ke issabha mein shaamil hua, yaha tak ki Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka, kyon main Sabath ke din kuchh abhyaason se door rahata hoon, kyon mein wafaadar hu Word of Wisdon ko nibhaane ke liye, kyon main Mormon Dharamshaastr padhta hu, main aadhunik samay ke prophets aur apostles ki shikshaon ko apne jeevan mein kyon maanta aur shaamil karta hu, kyon main har hafte Girjaghar meetings mein shaamil hota hu, kyon mein doosro ko amantrit karta hu ki “aao aur dekho, aao aur madat karo, aao aur raho,”15 aur “aao aur sambandhit ho.”16

Us samay, aisa lagta tha ki veh sawal bahut bhaari aur, nishkapat, kabhi-kabhi aarop lagaane vaala the. Lekin jab maine logon ki jaanch-padtaal ki, to mujhe pata chala ki unki jaanch, vaastav mein, mera pahala nimantran tha, jo spasht karne, dhyaan kendrit karne aur thos banaane ke liye dhaarmik lense ki ek jodi ko lene aur lagaane ka tha, jisne mujhe susamaachaar prathaon ke paalan ke liye prerit kiya. Mere gawahi ke kya srot tha? Kya main sirf Parmeshwar ke niyamon se judi un prathaon ko “Masih mein [mere] vishwaas ko majboot karne” ki anumati diye bina keval “baahari pradarshan” kar rahe the,”17yah samajh pradarshit karen ki mere hisaab se Ishu Masih hi shakti ka ekamaatr srot hai?

Mere har vichaar aur kaarmo mein Ishu Masih ko dekhne se aur liyekathor prayaas ke dwaara, mere aankho ko Prakash mili, aur meri samajh tezi se pahchaanne lagi ki Ishu Masih mujhe “Uske paas aao” keh raha hai.18 Meri shuruati yuva shishyata ke daur se, mai missionaries dvaara unke saath shaamil hone ke liye diye gae ek nimantran ko yaad karti hu ki unhone meri umra ke yuva ladkiyon ke ek samooh ko susamaachaar padhaaya tha. Ek shaam, us jawaan mahilaaon ke khaandaani ghar par hum baithe, unke komal sawal “main kyon vishwaas karti hoon” mere dil ko chub gaya, aur mujhe apne shishyata ki aadhyaatmik prernao ke baare mein Prabhu ke darshan ki gahari samajh ke saath saath unhe gawahi dene ki anumati di, aur meri gawahi ko aage badhaya.

Maine tab sikha, jaise mein abhi janta hu, ki hamare Rakshak, Ishu Masih, har saptaah hamaare charnon ko meetinghouses mein Unke prabhubhoj mein bhaag lene ke liye nirdeshit karta hai, Prabhu ke ghar par uske vaachaae ke saath bandhane ke liye, Unke vachanon ko sikhne ke liye, dharamshaastra aur profat ki shikshaon ko paane ke liye. Vah hamaare mukh ko Uski gawahi dene ke liye nirdeshit karta hai, hamaare haatho ko uthao aur seva karo jaise Woh utatha tha aur seva karta tha, hamaari aankhen duniya ko dekhne ke liye aur ek doosre ko waisa hi dekhne ke liye jaisa vah dekhtha hai—“jaise weh hai, aur … jaise weh rahenge.”19 Aur jab ham Use sabhi cheezon mein nirdeshit karne ki anumati dete hain, to ham is baat ki gawahi praapt karte hain ki “sab cheezen darshaati hain ki ek Parmeshwar hai,”20 kyonki jahaan ham Use dhoondhte hain, vahaan ham Use paenge21——har ek din. Iska mai Ishu Masih ke pawitr naam se gawahi deta hoon, amen.