Maha Sammelan
Sach Kya Hai?
October 2022 maha sammelan


5:59

Sach Kya Hai?

Parmeshwar hi sab khushi ka srot hai. Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka sabhi sach ko gale lagaate hai jo Parmeshwar apne bachcho ko bataate hai.

Mere pyaare bhaaiyo aur bahano, is prerna bhare sabha ke liye aap sak ka shukriya! Hamare pichle April ke sammelan se, hum ne kayi ghatnaaen dekhi hai duniya me, dil todne waali se le ke prabhaaoshaali.

Hum duniya bhar me yuwa sammelano ke aayojit hone ke reports se anandit hai.1 In sammelano me, hamare gauravpurn yuwa seekh rahe hai ki chaahe jo bhi ho unke jiwano me, unka sabse badha taaqat Prabhu se aata hai.2

Hamein badhi khushi hoti hai ki duniya me zyaada mandirein ban rahi hai. Har ek naye mandir ke samarpan se, duniya me atirikt ishwariye shakti aati hai hamein mazboot karne ke liye aur virodhi ke badhte huwe koshisho ko kamzor karti hai.

Durvyavahaar virodhi ke prabhaao ka chinh hai. Yeh ek kashtdaayak paap hai.3 Girjaghar ke President ke rup me, mai is mudde par Prabhu Ishu Masih ke shikshaaon ko sach maanta hoon. Mao ekdam saaf rup se kahunga: koi bhi rakam ke durvyavahaar mahilaaon, bachcho, ya kisi pe Prabhu ke nazar me grihnit hai. Woh shokh karta hai aur jab bhi kisi ko nuksaan hota hai toh mai shok karta hoon. Woh shokh karta hai, aur hum sabhi shokh karte haihar ek vyakti ke liye jo kisi bhi tarah ke durvyavahaar ka shikaar huwa hai. Jo log in ghinaone krityon ko anjaam dete hai, weh na sirf manushye ke niyamo ke prati jawaabdeh hote hai, balki unhe Swarshaktiman Parmeshwar ke krosh ka bhi saamna karna padhta hai.

Kayi saalon se, Girjaghar ne vishesh rup se bachcho ko durvyavahaar se bachaane ke liye vyaapak upaae kiye hai. Girjaghar websaait par kayi sahaytaaen hai. Mai aapko unka adhyan karne ke liye amantrit karta hoon.4 Yeh dishanirdesh nirdoshon ko suraksha ke liye hai. Mai hum me se har ek se aagrah karta hoon ki kisi aese vyakti ke prati satark rahein, jise durvyavahaar ka khatra ho sakta hai aur unki raksha ke liye turant kaarye karna chahiye. Rakshak durvyavahaar ko bardaash nahi karega, aur Uske chelon ke rup me, na hi hum kar sakte hai.

Virodhi ke paas anye pareshaan karne waali tarkeebe hai. Un me se jo sach hai aur jo sach nahi hai, ke beech ki rekha ko dhundhla karne ke unki koshish hai. Taana yeh hai ki hamari ungliyon par uplabdh suchnaaon ki baadh, yeh nirdhaarit karna kathin bana deti hai ki kya sach hai.

Yeh chunaoti mujhe ek anubhao ki yaad dilaati hai jab Bahan Nelson aur maine us desh me ek uchadhikaari se mulaakaat ki thi jahan apekshakrit kam logo ne Ishu Masih ke baare me suna hai. Yeh priye vridh mitr haal hi me kaafi beemaar tha. Usne hamein bataya ki bistar par apne kayi dino ke daoraan, woh aksar chat ki or dekhta tha aur puchta tha, “Sach kya hai?”

Aaj dharti par anek log “sach se sirf isliye door hai kyunki weh nahi jaante ki wah kaha milega.”5 Kuch logo ka manna hoga ki sach saapeksh(relative) hai—ki har ek vyakti ko khud nirdhaarit karna chahiye ki sach kya hai. Aysa vishwaas un logon ke liye ichchadhaari soch hai jo galti se sochte hai ki weh bhi Parmeshwar ke prati jawaabdeh nahi honge.

Priye bhaaiyo aur bahano, Parmeshwar sabhi sach ka srot hai. Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka sabhi sach ko gale lagaate hai jo Parmeshwar apne bachcho ko bataate hai, chaahe woh vaygyaanik laboratory me seekha ho ya unse seedhe revelaishan dwara praapt kiya gaya ho.

Is mansh se aaj aur kal tum sach sunte rahoge. Kripya un vichaaro ko not karein jo aapka dhyaan aakarshit karte hai aur jo aapko dimaag me aate hai aur aapke dil me rehte hai. Praathnapurwak Prabhu se yeh pushti karne ke liye kahein ki aapne jo suna hai woh sach hai.

Main tumse pyaar karta hoon, mere pyaare bhaaiyo aur bahano. Main praathana karta hoon ki yah sammelan vah aadhyaatmik daavat pradaan karega jiski aap talaash kar rahe hain. Ishu Masih ke pawitr naam se, amen.