Sachchaai ka Ghoshna Karne ka Himmat
Ek baar jab hum sach ko seekh lete hai, toh Prabhu hamein woh karne ka aosar dete hain jo Weh aaj yahan hote toh kya karte.
1982 me, mai ek technical skool me topography me apna associate degree(diploma) pura karta raha.
Saal ke anth me, ek saath padhne waale ne mujhe baatcheet karne ke liye amantrit kiya. Mujhe yaad hai ki hum class me anye sadasyon ko chodkar ek khel(sports) court ke bagal me ek jagah gaye the. Jab hum wahan pahunche, toh unhonne mujhse apne dhaarmik vishwaaso ke baare me baatcheet ki, aur unhonne na sirf mujhe ek kitaab dikhaai, balki unhonne mujhe kitaab di. Imaandaari se, mujhe unhe kahe gaye sabhi shabd yaad nahi hai, lekin mujhe woh pal bahut achchi tarah se yaad hai aur jis tarah se mainne mehsoos kiya tha jab unhonne kaha tha, “Mai apni gawahi dena chahata hoon ki yeh pustak sachcha hai aur Ishu Masih ka susamachaar hai.”
Hamari baatcheet ke baad, mai ghar gaya, kitaab ke kuch panne palte aur use ek shelf par rakh diya. Kyunki hamara saal khatm hone waala tha aur topography degree ka aakhri saal tha, maine vaastao me na toh pustak par aur na hi apne saath padhne waale par adhik dhyaan diya, jisne ise mere saath sheyar kiya tha. Kitaab ka naam jiska aap pehle se andaaza laga sakte hai. Haan, yeh Mormon Dharamshaastr tha.
Paanch mahine baad, mishanari mere ghar aaye; weh nikal hi rahe the jab mai kaam se ghar aa raha tha. Maine unhe waapas andar bulaaya. Hum mere ghar ke saamne chote se patio me baeth gaye, aur unhonne mujhe padhaaya.
Sachchaai ki meri khoj me, maine unse pucha ki kaun si girjaghar sachcha hai aur mai ise kaise khoj sakta hoon. Mishanariyon ne mujhe sikhaaya ki mai apne liye woh jawaab haasil kar sakta hoon. Badi ummeed aur ichcha ke saath, maine Mormon Dharamshaastr ke kayi adhyaayon ko padhne ki unki chunaoti ko swikaar kiya. Maine sachche dil se aur sachche iraade se praathna ki (dekhiye Moroni 10:4–5). Mere sawaal ka jawaab spasht tha, aur kayi dino baad—ekdam May 1, 1983 ko—maine baptisma liya aur Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka sadasye ban ke pushti(confirm) hua.
Aaj, jab mai un ghatnaaon ke baare me sochta hoon, toh mai spasht rup se dekhta hoon ki mere saath padhne waale ka himmat kitna mahatwapurn tha jab unhonne punahsthaapit satya ke baare me apni gawahi di aur mujhe Ishu Masih ke susamachaar ki Punahsthaapna ka ek thos saboot prastut kiya, yahan tak ki Mormon Dharamshaastr bhi. Jab mai unse mila toh us saadhaaran kaarye ne, lekin mere liye bahut mahatwapurn, mere aur mishanariyon ke beech ek sambandh banaya.
Mujhe sachchaai batlaai gayi, aur mere baptisma ke baad, mai Ishu Masih ka ek chela bana. Uske baad ke saalon ke daoraan, aur kuch bahut khaas logon ke madad se jaise leaders, sikhshak, dost, aur apne niji stady se, maine seekha ki jab maine Ishu Masih ka chela banne ka faesla kiya, toh maine na sirf sachchaai ki raksha karne balki uski ghoshna karne ka bhi kaarye swikaar kar liya tha.
Jab hum sachch me vishwaas karne, uska paalan karne ke liye sehmat hote hai, aur jab hum Ishu Masih ke sachche chelein banne ki koshish karte hain, toh hamein is guarantee ke sath pramaan patr praapt nahi hlota hai ki hum galti nahi karenge, ki hamari aalochna nahi ki jaaegi, ki hum sach se door jaane ki pariksha me na pade, ya yahan tak ki hum musibaton ka anubhao na karein. Lekin sachchaai ka gyaan hamein sikhaata hai ki jab hum seedhe aur sakre raaste me prawesh karte hai jo hamein Swarg ke Pita ki upasthiti me waapas le jaaega, toh in samasyaaon se bachne ka hamesha ek raasta hoga (dekhiye 1 Corinthians 10:13hamare vishwaas par sandeh karne se pehle hamesha hamare sandehon par sandeh karne ki sambhaaona hogi (dekhiye Dieter F. Uchtdorf, “Come, Join with UsLiahonaNov. 2013, 21); aur anth me, hamare paas ek guarantee hai ki jab hum musibaton se guzarte hai toh hum kabhi akele nahi honge, kyunki Parmeshwar apne logon se unke kashton ke beech me bhent karta hai (dekhiye Mosiah 24:14.
Ek baar jab hum sach ko seekh lete hai, toh Prabhu hamein woh karne ka aosar dete hain jo Weh aaj yahan hote toh kya karte. Sachmuch, Usne hamein Apni shikshaaon ke dwara dikhaaya ki hamein kya karna chahiye: “Aur tum mere Aatma ki shakti se mere naam se do-do karke mere susamachaar ka prachaar karte huwe nikloge, aur turhi(trump) ki aawaaz uthaaoge.” (Doctrine and Covenants 42:6). Hamare yuwaaon me mishanary sewa ka aosar anutha(unique) hai!
Kripya, jawaan purshon, mishanari ke rup me Prabhu ki sewa karne ke liye apni taeyaari ki sthagit naa karein. Jab aap aysi paristhitiyon ka saamna karte hain jo kisi mishan ko pura karne ka nirnay kathin bana sakti hai—jaise ki aapki padhaai me kuch samay ke liye baadha daalna, apni premika ko bina kisi guarantee ke alvida kehna ki aap use fir kabhi date karenge, ya yahan tak ki ek behtareen naokri se door chale jaana—Rakshak ka uddhaaran yaad rakkhe. Apni ministry ke daoraan, Unhonne aalochna, utpeedan, aur anth me Unke Praeshchit ke balidaan ke kadwe pyaale sahit kathinaao ka saamna kiya. Phir bhi sabhi paristhitiyon mein usne apne Pita ki ichchha poori karne aur uski mahima karne ka prayaas kiya. (Dekhiye John 5:30; 6:38–39; 3 Nephi 11:11; Doctrine and Covenants 19:18–19.)
Jawaan mahilaaon, Prabhu ki vineyard me kaam karne ke liye aapka bahut swaagat hai, aur pure-samay ke mishanaries ke rup me, aap usi tarah ke chunaotiyon se mukt nahi honge.
Un sabhi ke liye jo Uski sewa karne ka nirnay lete hai, mai aapko vaada karta hoon ki mishan chetr me 24 ya 18 mahine ki sewa usi tarah beet jaaegi jaise woh aapke ghar me rehne par beet jaaenge, lekin woh aosar jo is Girjaghar ke yogye jawaan purshon aur jawaan mahilaaon ki prateeksha kar rahe hai mishan chetr me unique hai. Rakshak Ishu Masih aur Unke Girjaghar ko represent karne ke saobhaagye ko nazarandaaz nahi kiya jaa sakta hai. Anginit praathnaaon me bhaag lena, din me kayi baar apni gawahi badhana aur bayaan karna, kayi ghante shaastron ka adhyan karna, ayse logon se milna jinse aap kabhi nahi milenge yadi aap ghar par rahe hote, toh yeh avarnaniye anubhao hai. Usi starr ka anubhao un yuvaaon ke liye reserve kiya gaya hai jinhe Prabhi sewa mishan me sewa karne ke liye bulaate hai. Aapka bahut swaagat hai aur aap zaroori hai. Kripya sewa mishan ke mahatwa ko kam naa karein, kyunki sewa mishan bhi avarnaniye anubhao pradaan karte hai. “Eeshvar ki drshti mein aatmaon ka mooly mahaan hai” (Doctrine and Covenants 18:10), apani aatma ke mooly sahit.
Aapki sewa se laotne par, shaayad aapki premika ya premi ab aapka intazaar nahi kar raha hai, lekin aap ne bahut achchi tarah se seekha hoga ki praabhwi sampark kaise banaya jaata hai. Naokri ke jagah ke liye zyaada paryaapt rup se taeyaari karne ke baare me aapke paas jo jhalkiyaan hai, unke saath aap ke padhaai adhik samajh me aaenge, aur anth me, aap ko shaanti ke susamachaar ko saahaspurwak ghoshit karne, punahsthaapit kiye gaye sachchaai ke baare me gawahi dene ka pura yakeen hai.
Aap me se jo aviwaahit hai aur jiwan ke vibhinn pehluwon me hai, unke liye aap Prabhu ke kaam me bahut avashyak hai. Apne aap ko taeyaar karo. Swasth jiwan jiyein, sansaarik aur dhaarmik aatma-nirbharta ki talaash karein, kyunki Prabhu apne bachcho ke liye jo karenge woh karne ke aosar ek umra ke dal tak limited nahi hai. Meri patni aur maine haal ke saalon me sabse sukhad anubhao vishesh dampitiyon ke saath, vishesh sthaano me, aur bahut vishesh logon ki sewa karte huwe bitaae hai.
Apni togopgraphy ke degree ke anth me mere anubhao ne mujhe sikhaaya ki jab hum iski ghoshna karte hai toh hum hamesha sachchaai ki raksha karte hai aur sachchaai ki raksha karna ek proactive baat hai. Sachchaai ki raksha kabhi bhi bachaao ke tarike se nahi ki jaani chahiye, balki un logon ko pyaar karne, sheyar karne aur amantrit karne ke liye vaastavik ruchi ke saath, jinhe hum sachchai ke baare me gwahi de rahe hai, sirf ek pyar karnewaale Swarg ke Pita ke bachche ke sansaarik aur dhaarmik kalyaan ke baare me sochte hai (dekhiye Mosiah 2:41
October 2021 ke maha sammelan me, hamare priye prophet, President Russell M. Nelson, ne sikhaaya ki kuch log jo sochte hai, uske vipreet, jise hum sahi aur galat kehte hai, vaastao me hota hai. Waastao me param sachchaai—anant sachchaai hai. (Dekhiye “Pure Truth, Pure Doctrine, and Pure Revelation,” Liahona, Nov. 2021, 6.)
Pawitr shaastr hamein sikhaate hai ki “sachchaai hai sab cheez ke gyaan jaise u hai, aur jaise u raha, aur jaise aage chal ke hoi” (Doctrine and Covenants 93:24).
Sachchaai ka gyaan hamein anye logon se behtar nahi banata hai, lekin yeh hamein sikhaata hai ki hamein Parmeshwar ki upasthiti me laotne ke liye kya karna chahiye.
Jaise jaise aap Masih me thos rup se aage badhte hai aur himmat ke saath na sirf sachchaai ki ghoshna karte hai balki sachchaai ko jeene ke liye, aapko aur ashaanti ke daoraan aaraam aur shaanti milegi jiska aap in dino saamna karenge.
Jiwan ki chunaotiyaan hamein niche gira sakte hai, lekin hum Ishu Masih me vishwaas karte hai, toh anantta ke vishaal daaere me, “[hamare] mushkilein ek chote se pal honge” (dekhiye Doctrine and Covenants 121:7. Kripya, apni kathinaaiyon aur chunaotiyon ke anth ke liye samay seema naa banae. Kyunki agar hum haar maan lete hai, toh hum kabhi nahi jaan paaenge ki Parmeshwar ke raajye me hamare safar ka anth kaisa hoga.
Sachchaai ke sroton se seekhte huwe sachchaai ko pakde raho.
-
Dharamshaastr (dekhiye 2 Nephi 32:3).
-
Prophets ke shabd (dekhiye Amos 3:7).
-
Pawitr Aatma (dekhiye John 16:13).
Mai Ishu Masih ki gawahi deta hoon aur ki yeh Unka Girjaghar hai. Hamare paas ek jiwit prophet hai, aur hum hamesha azaad mehsoos karenge jab hum sachchaai ka ghoshna himmat se karenge. Ishu Masih ke naam se, amen.