Maha Sammelan
Pyaar ka Anant Siddhaant
October 2022 maha sammelan


9:51

Pyaar ka Anant Siddhaant

Hamare Swargiye Pita ka pyaar Apne har ek bachche ke liye vaastavik hai. Woh har ek ke liye maojood hai.

Pyaar ka anant siddhaant do mahaan aagyaon ko jeene se prakat hota hai: Apan Parmeshwar se apan pura dil, aatma, dimaag aur taakat se pyaar karo aur apan padosi se bhi apan samaan pyaar karo.1

Mujhe yaad hai jab mai sardi ke dino me Utah me tha—barf sabhi jagha tha. Sonoran Desert se aa kar, pahele kuch din mazza aaya, lekin kuch din baad mujhe ahesaas hua ki mujhe jaldi jaagna hai driveway se barf hataane ke liye.

Ek subah, ek barfili toophaan ke beech mein, barf khodte huwe mujhe paseena aa raha tha, raaste ke us paar maine dekha ki mere padosi apna garaaj khol raha tha. Woh mujhse bada hai, toh maine socha ki apna kaam khatm karne ke baad, uski madat karu. Zor se bolte hue maine usse kaha,“Bhai, kya aapko madat chahiye?”

Usne muskuraate hue kaha, “Dhanyevaad, Elder Montoya.” Tab usne ek snowblower nikaala apne garaaj me se, engine shuru kiya, aur kuch minato me unke ghar ke aage ka sab barf chala gaya. Uske baad woh raasta cross karke apne machine ko lekar aaya aur mujh se pucha, “Elder, kya aapko madad chahiye?”

Ek muskurahat ke saath maine kaha, “Ji, dhanyevaad.”

Hum ek doosre ko madat karna chahate hai kyonki hum ek doosre se pyaar karte hai, aur mere bhai ke zaroorate meri ban jaati hai, aur meri zaroorate uski. Koi fark nahi padhta ki mera bhaai kis bhaasha me bolta hai ya woh kis desh ka hai, hum ek dusre se pyaar karte hai kyunki hum bhaai hain, ek hi Pita ke bachche hain.

Jab dekhrekh(ministering) ki ghoshna ki gayi, toh President Russell M. Nelson bolis, “Hum dusron ki dekhbhaal karne aur unki dekhrekh karne ke liye ek naya, pawitr tarika laagu karenge.”2 Mere liye, pawitr ka matlab zyaada niji, gehra, zyaada Rakshak ke tarike ki tarah hai: “Ek dusre se pyaar karo,”3 ek ek karke.

Dusron ke liye thokar banne se bachna hi kaafi nahin hai; sadak pe zarooratmando ko notice karna paryaapt nahin hai. Aaiye hum apne padosi ko madad karne ke liye har maoka ka faeda uthaaen, bhale hi is jiwan me hum uski ya usko pehli aur ek hi baar milein.

Parmeshwar ke liye pyaar pehli mahaan aagya kyun hai?

Hamme lage hai ki yeh is vajah se hai ki Woh hamare liye kya maaene rakhta hai. Hum Uske bachche hain, woh hamare kalyaan ki dekhrekh karta hai, hum Us par nirbhar hain, aur Uska pyaar hamari raksha karta hai. Unki yojna me agency shaamil hai; isliye, hum shaayad kuch galtiyaan karenge.

Woh hamein parakhne aur pariksha lene ki bhi anumati deta hai. Lekin chaahe hum kuch galtiyaan kar rahe ho ya behkaawe me padh rahe ho, yojna ek Rakshak pradaan karti hai taaki hum mukti paa sakein aur Parmeshwar ki upasthiti me laot sakein.

Hamare jiwan me durbhaagye humse kiye gaye vaadon ki purti ke baare me sandeh paeda kar sakti hain. Kripya hamare Pita par bharosa rakhein. Woh hamesha Apne waadon ko pura karta hai, aur hum woh seekh sakte hain jo Woh hamein sikhaana chahata hai.

Sahi kaam kare pe bhi hamare jiwan me paristhitiyaan achche se bure, sukh se dukh me badal sakti hain. Parmeshwar Apni aseem daya aur pyaar aur Apne samay me hamari praathnaaon ka jawaab detein hai.

  • Jis naale me Elijah ne paani piya woh sookh gaya.4

  • Nephi ka badhiya steel ka dhanush toot gaya tha.5

  • Ek yuwa ladke ke saath bhedbhao kiya gaya aur use skool se nikaal diya gaya.

  • Lambe-samay se intazaar kiye bachche ki janm ke kuch dino ke bheetar hi maut ho gayi.

Paristhitiyaan badalti hai.

Jab paristhitiyaan achche aur positiv se bure aur negativ me badal jaate hain, tab bhi hum khush reh sakte hain kyunki khushi parishthitiyon par nahi balki paristhitiyon ke prati hamare rawaiye par nirbhar rehti hai. President Nelson bolis, “Woh khushi jon hum long mehsoos karta bahut kam hum long ke jiwan ke paristithi seh taallukh rakkhe hai aur hum log ke jiwan ke focas ke saathe sab taallukh rakhe hai.”6

Hum kuch kare bina baeth sakte hai aur paristhitiyon ke apne aap badalne ka intazaar kar sakte hai, ya hum nayi paristhitiyon ki talaash kar sakte hai aur laa sakte hai.

  • Elijah Zarephath ko chala, jahan ek vidhwa ne use khaane peene ko diya.7

  • Nephi ne lakdi ka dhanush banaya aur khaane ke liye jaanwaro ka shikaar kiya.8

  • Chota ladka khidki ke paas baethkar notes leta raha, aur aaj woh primary skool ka shikshak hai.

  • Ek dampati ne Rakshak Ishu Masih me ek mahaan vishwaas aur uddhaar ki yojna me bharosa utpann kiya. Woh log jo bachche ke liye lambe-samay se intazaar kar rahe the jo achaanak mar gaya ke liye unka pyaar unke dukh se bhi bada hai.

Jab mai yeh sawaal sunta hoon “Swargiye Pita, kya aap vaastao me yahan hain? Aur kya aap [hae ek] bachche ka praathna sunte aur jawaab dete hai?,”9 Mai jawaab dena chahata hoon, “Woh karta aa raha hai, Woh karta hai, aur Woh hamesha aapke aur hamare liye maojood rahega. Mai Uska putr hoon, Woh mera Pita hai, aur mai ek achcha pita banna seekh raha hoon, jaise Woh hai.”

Mai aur meri patni hamesha apne bachchon ke liye kisi bhi samay, kisi bhi paristhiti me aur kisi bhi tarah se maojood rehne ki koshish karte hai. Prati ek bachcha alag hai; Parmeshwar ke liye unka mol mahaan hai, aur isse koi fark nahi padhta ki unke paas kitni bhi chunaotiyaan, paap, aur kamzoriyaan hai, Parmeshwar unse pyaar karta hai, aur hum bhi aesa hi karte hain.

Jab hum ek Jenrall Authority ke rup me yeh calling mila, toh Salt Lake ki yaatra se pehle aakhri din, mere sabhi bachche aur unke parivaar ek paarivaarik gharelu shaam sabha ke liye hamare ghar pe the, jahan hum ne apna pyaar aur aabhaar vyakt kiya. Lesson ke baad, maine apne har ek bachche ko paorohitya(priesthood) ashirwaad diya. Har koi aansoo bahaa raha tha. Ashirwaadon ke baad, mere sabse bade bete ne sabhi ki or se us mahaan pyaar ke liye abhaar vyakt kiya, jo hum ne unhe unke janam se lekar tab tak diya tha.

Apne bachchon ko ashirwaad dein, chaahe woh 5 ya 50 ke umra ke ho. Unke saath raho; unke liye raho. Bhale hi pradaan karna divye dizaain dwara sthaapit ek zimmedaari hai, hamein apne bachcho ke saath anandmay samay sheyar karna nahi bhoolna chahiye.

Hamare Swargiye Pita ka pyaar Apne har ek bachche ke liye vaastavik hai. Woh har ek ke liye maojood hai. Mai nahi jaanta ki Woh yeh kaise karta hai, lekin Woh karta hai. Woh aur Uska Pehlautha, Pita ke kaarye aur mahima ko karne me ek hai “manushye ki amarta aur anant jiwan ko mumkin karne ke liye.”10 Unhonne hamein Pawitr Aatma bheja hai hamein maargdarshaane, hamein chetaoni dene, aur yadi avashyak ho to hamein aaraam dene ke liye.

Usne Apne Priye Putr ko is sundar dharti ko rachne ko kaha. Usne Adam aur Eve ko nirdesh diya aur unhe unki agency di. Woh kayi saalon se dut bhej raha hai taaki hum Uske Pyaar aur Uski aagyaaon ko praapt kar sakein.

Woh Sacred Grove(Pawitr Bagicha) me tha jab yuwak Joseph ke imaandaar sawaal ka jawaab de raha tha aur use uske naam se pukaar raha tha. Usne bola: “Ye Mera Pyaara Beta Hai. Unhe Suno!”11

Mera maanna hai ki hamare liye Parmeshwar ke pyaar ka sabse achcha pradarshan Gethsemane me hua, jahan jiwit Parmeshwar ke Putr ne praathna ki, “He mere Pita, agar ho sake toh yeh katora mere paas se nikal jaae: fir bhi jaisa mai chahata hoon waisa nahin, balki jaisa aap chaahe.”12

Maine dekha hai ki Ishu Masih ke Praeshchit ke baare me jo chota saa hissa mai samajh sakta hoon, woh Pita aur Uske Putr ke liye mere pyaar ko badhaata hai, paap karne aur aagyaakaari na hone ki meri ichcha ko kam karta hai, aur behtar banne aur behtar karne ki meri ichcha ko badhaata hai.

Ishu bina kisi dar ke aur bina kisi sandeh ke Gethsemane ke paas chala, apne pita par bharosa karte huwe, yeh jaante huwe ki Use akele hi sharaab ke kunwe par chalna hoga. Unhonne sabhi dard aur sabhi apmaan sahe. Us par aarop lagaya gaya, nyaye kiya gaya, aur krus par chadhaya gaya. Krus par apni peeda aur peeda ke daoraan, Ishu ne Apni maa aur Apne pyaare chele ki zarooraton par dhyaan diya. Unhonne Apna jiwan tyaag me diya.

Teesre din Woh jee uthe. Kabr khaali hai; Woh Apne Pita ke daahine haath par khada hai. Woeh aasha karte hai ki hum apni vachano ko manne aur Unki upasthiti me laotne ka chunaao karenge. Yeh dusra maoka hamari antim stithi nahi hai; hum is saansaarik ghar se sambandhit nahi hai, balki hum asthaayi anubhao jeene waale shaaswat praani hai.

Ishu hi Masih hai, jiwit Parmeshwar ka Putra. Woh jiwit hai, aur kyunki Woh jiwit hai, Parmeshwar ke sabhi bachche hamesha jiwit rahenge. Unke praeshchit balidaan ke liye dhanyavaad, ham sab Unke saath ek saath rah sakte hain. Ishu Masih ke naam se, amen.