Maha Sammelan
Rakshak ke aur Kareeb Rehna
October 2022 maha sammelan


15:4

Rakshak ke aur Kareeb Rehna

Rakshak ko janne aur pyaar karne ke liye apne pure dil se khoj karte huwe, hum Parmeshwar ke saath anubhandho ke maadhyam se khud ko duniya se alag, asaamaanye, aur vishesh hone ke naate, jab hum Uska aur Uski shikshaaon ka sammaan karte hai khud ko alag karte vishwaas karne waale anye logon se alag kiye bina.

Mere pyaare bhaaiyo aur bahano, aaj sanjha ke hum Ishu Masih ke vinamr aur wafadaar chelon se baat karta hai. Jab hum aap log ke zindagiyon ke achchaai aur hamare Rakshak me aapke vishwaas ko dekhta hoon, yahan is desh me aur duniya bhar ke deshon me, mujhe aapse aur pyaar hota hai.

Uski prachaar ke anth me, Ishu ke chelon ne Usse kaha ki Woh unhe “[Uske Dusre] aagman ka, aur duniya ke anth ka chinh batae.”1

Ishu ne unhe un sharto ke baare me bataya jo Uski waapasi se pehle hongi aur yeh ghoshna karte huwe samaapt hui, “Jab tum in sab baaton ko dekhoge, [tum] jaanoge ke [samay] nazdeek hai.”2

Pichle maha sammelan me, maine President Henry B. Eyring ke shabdon ko dhyaan se suna: “Hum me se har ek,” unhonne kaha, “hum jahan bhi hai, jaante hai ki hum bahut hi khatarnaak samay me rehte hai. … Jis kisi ke paas samay ke chinh dekhne aur prophets ke vachan sunne ke liye kaan ho, woh jaanta hai ki yah sach hai.”3

Rakshak ne Apne shurveer chelon ki badhaai ki: “Dhanye hai teri aankhein, kyunki weh dekhte hai, aur tere kaan, kyunki weh sunte hai.”4 Yeh ashirwaad hamara ho kyunki hum is sammelan me Uske prophets ke maadhyam se Prabhu ke vachano ko dhyaan se sunte hai.

Gehoon aur Taare(Tares)

Prabhu ne samjhaya ki is antim samay me Unki waapasi se pehle “gehoon,” jise Woh “raajye ke bachchon”5 ke rup me kehta hai, “jangalo” ke saath kandhe se kandha milaa kar badhega, ya jo Parmeshwar se pyaar nahi karte hai aur Uski aagyaaon ka paalan naa karein. Weh “dono saath-sath badhte”6 agal bagal.

Yeh hamara duniya rahega jab tak ki Rakshak nahi laotta, jisme bahut kuch achcha hai aur bahut kuch jo har taraf se.7

Ho sakta hai ki aap kabhi-kabhi gehun ke ek mazboot, paripakk katra ki tarah mehsoos naa karein. Apne aap mein dhaiye rakhen! Prabhu ne kaha tha ki gehun me komal dhaariyaan shaamil hai jo upar ki or uthti hai.8 Hum sab Uske Antim-din Sant hai, aur bhale abhi woh sab nahi jo hum banna chahate hai, hum Uske sachche shishye banne ki apni ichcha me gambheer.

Ishu Masih mein hamaara vishvaas mazboot karen

Hum mehsoos karte hai ki jaise-jaise duniya me buraai badhti hai, hamara dhaarmik bachaao, aur jinhe hum pyaar karte hai ka dhaarmik bachaao, ke liye avashyak hogi ki hum Ishu Masih me apne vishwaas ki jadon ko puri tarah se poshit, tagda, aur mazboot karein. Devdut Paul ne hamein salaah di ki Rakshak9 ke prati apan pyaar aur Uske raah pe chale ke iraada ke jadh ke hilan nahi dein,10 aasha nahi chodhein aur bane rahe. Aaj aur aane waale dino me vichlan aur laaparwaahi se bachne ke liye zyaada kendrit prayaas aur zordaar koshish zaroori hai.11

Hamare chaaro or badhte saasaarik prabhaawon ke saath bhi, hamein darne ki zaroorat nahi hai. Prabhu Apni vachanbadh logon ko kabhi nahi chodega. Dharmiyon ke liye dhaarmik uphaar aur divye nirdeshan pratipurak shakti hai.12 Haalaanki, dhaarmik shakti ka yeh atirikt ashirwaad hum par sirf isliye nahi tikta kyunki hum is peedhi ka hissa hain. Yeh tab aata hai jab hum Prabhu Ishu Masih me apne vishwaas ko mazboot karte hai aur Uski aagyaaon ka paalan karte hai, jab hum Use jaante hai aur Usse pyaar karte hai. “Anant jiwan yeh hai,” Ishu ne praathna ki, “taaki weh tujhe ekmaatr sachche Parmeshwar aur Ishu Masih ko jaane, jise tu ne bheja hai.”13

Jaisa ki hum achchi tarah jaante hai, Ishu Masih me vishwaas karna aur Uska ek sahchca chela banna ek-pal kare la nirnay se adhik hai—ek-pal ke ghatna se adhik hai. Yeh ek pawitr, jaari rehne waali prakriya hai jo badhta aur faelta hai hamare zindagi bhar ke maosamo me, barkaraar rehta hai jab tak hum Unke charno pe ghutne na tek de.

Gehu sansar ke jangal ke beech ugta hai, aane waale dino me hum Rakshak ke prati apna lagan ko kaise gehra aur mazboot karenge?

Yahan hai teen vichaar:

Ishu ke jeevan mein khud ko visarjit karen

Pehla, hum apne aap ko purn rup se Ishu ke jiwan, Unke shikshaaon, Unke vishaalta, Unke shakti, aur Unke praeshchit ke balidaan me leen kar lein. Rakshak ne kaha, “Hamaar uppar dhyaan apan sab khayaal me.”14 Devdut John hamein yaad dilaata hai, “Hum isliye prem kartein hain, ki usne hum se prem kiya.”15 Jaise jaise, hum Uske pyaar ka behtar anubhao karte hai, hum Usse aur bhi adhik pyaar karte hai aur, bahut swabhaawik rup se, Uske uddhaaran ka behtar dhang se anusaran karte hai, jo hamare aas-paas hai se pyaar aur unki dekhbhaal karte hai. Uski or jaane ke har dhaarmik kriya ke saath, hum Use aur adhik spasht rup se dekhte hai.16 Hum Uski pooja karte hai aur Uske jaisa banne ke liye apne chote-chote tarikon se koshish karte hai.17

Prabhu ke saath covenants banao

Iske baad, jaisa ki hum Rakshak ko behtar jaante hai aur Usse pyaar karte hai, hum Usse aur adhik apni nishtha aur vishwaas ki ichcha rakhte hai. Hum Uske saath vachano ko banate hai. Hum baptisme ke apne vaadon ke saath shuru karte hain, aur hum in vaadon aur anye ki pushti karte hai jab hum pashchataap har din karte hai, chama maangte hai, aur utsukta se har ek hafta prabhubhoj lene ki aasha karte hai. Hum “hamesha Use yaad rakhne aur Uski aagyaaon ko maanne” ka pratigya karte hai.18

Jab hum taeyaar hote hai, toh hum mandir ke niyamo aur anubandho ko apnaate hai. Prabhu ke ghar me hamare pawitr, shaant palo me anant kaal ke prabhaao ko mehsoos karte huwe, hum khushi-khushi Parmeshwar ke saath vachan karte hai aur paalan karne ke apne sankalp ko mazboot karte hai.

Vachano ko bana aur nibhaana Rakshak ke pyaar ko hamare dil me aur adhik gehraai tak dubne deta hai. Is mahine ke Liahoname, President Russell M. Nelson ne kaha: “[Hamare] vachan[ein] hamein Uske kareeb aur kareeb le jaaengi. … Parmeshwar uh long ke saathe apan rishta ke nahi chodhi jon Uske saathe aisan bandhan banaais hai.”19 Aur jaise President Nelson etna sudarta se vaada karis aaj sabere, “Har ek naye mandir ke samarpan se, duniya me atirikt ishwariye shakti aati hai hamein mazboot karne ke liye aur virodhi ke badhte huwe koshisho ko kamzor karti hai.”20

Kya hum dekhe sakta hai ki Prabhu Apan profat ke boli pawitr mandiron ke hum log ke kareeb laawe ke aur hamein Unke ghar me adhik baar rehne ki anumati dene ke liye kyun nirdeshit karega?

Jaise hi hum mandir me prawesh karte hai, hum kuch samay ke liye hamare khilaaf bheed ke saansaarik prabhawon se mukt ho jaate hai jaisa ki hum jiwan me apne uddeshye aur hamare Rakshak, Ishu Masih ke maadhyam se hamein diye gaye anant uphaaron ke baare me seekhte hai.

Hume Pavitra Aatma ke uphaar ki zaroorat hai.

Anth me, mera teesra soch: is pawitr khoj me, Pawitr Aatma ke uphaar ko sanjote hai, uski raksha karte hai, use bachaate hai, aur surakshit rakhte hai. Dono President M. Russell Ballard aur Elder Kevin W. Pearson ne kuchh hee kshan pahale President Nelson kee bhavishyavaanee kee chetaavanee ke baare mein baat kee thee ki main phir se doharaoonga “Aane waale dinon me, mumkin nahi rahi aatmik rup se sambhal paana bina Pavitra Aatma ke maargdarshan, aguwaai, sahanubhuti, aur lagataar prabhaao ke.”21 Is uphaar ka koi daam nahi hai. Hum apne daenik anubhavon ki raksha karne ka bharsak koshish karte hai isliye Pawitr Aatma ka prabhaao hamare upar bana rehta hai. Hum duniya ke liye ek prakaash hai, aur jab avashyak ho, hum apne ichcha se dusron se alag hona chunte hai. President Dallin H. Oaks ne haal hi me jawaanbaaligon(YSA) se pucha: “Kya aap alag banne ki himmat karte hai?’ … [Vishesh rup se] mahatwapurn … weh chunaawein hai jo aap apne niji jiwan me bana rahe hai. … Kya aap duniya ke virodh ke khilaaf aage badh rahe hai?”22

Duniya se alag hona chunen

Haal hi me ek soshal midia post me, maine saathi chelon se un vikalpon ko sheya karne ke liye kaha jinhe unhonne duniya se alag hone ke liye avashyak banaya tha. Mujhe saekdo jawaabein mili.23 Yaha par sirf kuch hain:

Amanda: Mai sthaaniye jel me kaam karne waali nurse hoon. Mai kaediyon ki dekhbhaal Masih ki tarah karne ki koshish karti hoon.

Rachel: Mai ek opera gaayak hoon, aur aksar yeh maan liya jaata hai ki mujhe jo bhi poshaak di jaaegi, mai use pehnungi, bina modesty(kaeda) ki parwaah kiye. [Kyunki mai endowed hoon,] maine [nirmaata] se laha ki poshaak [kaaede waali] honi chaahiye. Weh naakhush the … lekin na chaahate huwe bhi badlaao kiye. Mai us shaanti ka vyapaas nahi karungi jo har samay Masih ke saakshi ke rup me khade hone se aati hai.

Chriss: Mai ek (sudharta hua) sharaabi hoon, Girjaghar ka mandir-yogye sadasye. Mai lato ke apne anubhavon aur [Ishu Masih ki] Praeshchit ki gawahi haasil karne ke me shaant nahi hoon.

Lauren: Mai high skool me apne kaksha-saathiyon ke saath ek skit likh rahi thi. Weh chaahate the ki mere shaant, chup rehne waale charitr me ek achaanak gaaliyon ka visfot ho. Weh mujh par dabao daalte rahe, lekin maine mana kar diya aur apna baat nahi badla.

Adam: Bahut se log mujh par vishwaas nahi karte hai jab mai kehta hoon ki mai shudhta ke niyam ka paalan karta hoon aur ashleel saahitya(pornography) se door rehna chunta hoon. Weh mujhe milne waale anand aur mann ki shaanti ke laabh ko nahi samajhte hai.

Ella: Mere pita LGBTQ samaaj ke sadasye hai. Mai hamesha Maih ke saakshi ke rup me khade hone aur jo mai vishwaas karti hoon uske prati sachche hone ke daoraan anye logon ki bhaaonaaon ko dhyaan me rakhne ki koshish karti hoon.

Andrade: Maine girjaghar jaana jaari rakhne ka faesla kiya jab mere parivaar ne ab aur nahi jaane ka faesla kiya.

Aur anth me Sherry: Hum governor ke haweli me ek kaaryekram me bhaag le rahe the. Unhonne ek “toast” ke liye shampaain dena shuru kiya. Maine kaha mai sirf paani chahati hoon, bhale karamchaariyon ne kaha ki yeh galat hoga. Hum ne governor ko toast kiya, aur mai ne apna paani ka glass uncha rakkha! Governor naaraaz nahi the.

President Nelson bolis, “Haan, aap ih duniya me rehta hai, lekin aapke standards duniya se bahut alag hai taaki aap duniya ke daag se bach sako.”24

Ukraine me ek jawaan maa, Anastasia, se ek vichaarsheel tippani, jo pichle February me Kyiv me bomb vispot shuru hone ke baad aspataal me thi, jisne abhi-abhi ek bachche ko janm diya tha. Ek nurse ne aspataal ke kamre ka darwaaza khola aur tatkaal aawaaz me kaha, “Apne bachche ko le lo, use ek kambal me lapeto, aur hall me jaao—abhi!”

Baad me, Anastasia ne tippani ki:

“Maine kabhi nahi socha tha ki mere maa banne ke pehle din itne kathin honge, … lekin … mai un ashirwaadon aur chamatkaaro par dhyaan kendrit kar rahi hoon … jo maine dekhe hai. …

“Is samay, … un logon ko kabhi maaf karna asambhao lagta hoga jinhonne itna vinaash aur nuksaan kiya hai … , lekin Masih ke shishye ke rup me, mujhe vishwaas hai ki mai [chama] kar sakungi. …

“Mai nahi jaanta ki bhavishe me kya hoga … lekin mujhe pata hai ki hamari vachano ko rakhne se Aatma lagataar hamare saath rahegi, … hamein mushkil samay me bhi … khushi aur aasha mehsoos karne ki anumati degi.”25

Anant jeevan aur divy mahima ka vaada

Mere bhaiyon aur bahanon, mujhe hamaare priy Uddhaarkarta, Ishu Masihka prem bahutaayat se praapt karne ka aasheervaad mila hai. Main jaanta hoon ki Wah jiwit hai aur Wah humare Muktidaata hai. Mere paas uske liye apane pyaar ka ijahaar karne ke liye pooree tarah se shabd nahin hain.

Mere bhaaiyon aur bahano, jab apne Prabhu aur Rakshak ki mahimamay waapsi ki prateeksha kar rahe hai, toh hum “vachan me bandhe bachche” hai, jo har mahaduip par raashtro aur sanskritiyon me faele huwe hai, jinki sankhya laakho me hai. Apne aas-paas ke logon ke liye prakaash ke rup me chamakte huwe, hum sachet rup se apni ichchaaon, vichaaron, chunaowon, aur kaarye ko aakaar dete hai. Rakshak ko janne aur pyaar karne ke liye apne pure dil se khoj karte huwe, hum Parmeshwar ke saath anubhandho ke maadhyam se khud ko duniya se alag, asaamaanye, aur vishesh hone ke naate, jab hum Uska aur Uski shikshaaon ka sammaan karte hai khud ko alag karte vishwaas karne waale anye logon se alag kiye bina.

Yeh kabhi kabhi dil ke dard se bhara hota hai lekin hamare vishwaas ke paripakk aur ashwast hone se hamesha shaant hota hai, yeh ek chamatkaarik yaatra hai. Jab aap Rakshak ke liye apne pyaar aur aapke liye Uske pyaar ko apne dil me gehraai tak dubne dete hai, toh mai vaada karta hoon ki aap ne apne jiwan ki chunaotiyon ka saamna karne me atma-vishwaas, shaanti aur anand joda hai. Aur Rakshak ne vaada kiya: “Mai [ichcha] gehu aur jangal ke nitikatha ke anusaar apne logon ko ikattha karunga, ki gehi ko anant jiwan ke liye surakshit kiya jaa sakta hai, aur divye mahima ka tej pehnaaya jaa sakta hai.”26 Ishu Masih ke naam se, amen.

Notes

  1. Matthew 24:3.

  2. Matthew 24:33.

  3. Henry B. Eyring, “Toofaan me Sthir Rehna,” Liahona, May 2022, 27.

  4. Matthew 13:16; par zor diya gaya.

  5. Matthew 13:38.

  6. Matthew 13:30.

  7. Elder Neal A. Maxwell ne kaha: “Girjaghar ke sadasye Mileniyam tak is gehoon-aur-jangal ke sthiti mein rahenge. Kuch asli jangal bhi gehoon ki tarah dikhte hai” (“Becometh as a Child,” Ensign, May 1996, 68).

  8. Dekhiye Doctrine and Covenants 86:4, 6.

  9. Dekhiye Colossians 2:7.

  10. Dekhiye Colossians 1:23; Ephesians 3:17; Neal A. Maxwell, “Grounded, Rooted, Established, and Settled” (Brigham Young University devotional, Sept. 15, 1981), speeches.byu.edu bhi dekhiye.

  11. Matthew 13:22 me, Ishu ne apne chelon ko aagaah kiya duniya ke kaam aur dhan ke chakachaon ko “shabd ko ghutne” na dena aur unke dhaarmik pragati me rukawat lana. Mujhe vaakyaansh baandhna pasand hai “choke the word” first chapter of John, jahaan John is shabd ko Ishu ghoshit karta hai: “Shuruaat mein shabd tha, aur shabd Prabhu ke saath tha. … “Usi ke sahare duniya me sab kuch bana; aur uske bina ek bhi cheez nahi bana.” (John 1:1, 3). Ishu Masih me hum log ke vishwaas, Uske raah pe chale ke hum long ke iraada, Rakshak ke liye hum log ke pyaar sake ghut jaae, ya badhe se ruke jab uh dhaarmik raushni aur poshan se mila ho (dekhiye Alma 32:37–41).

  12. Dekhiye Neil L. Andersen, “A Compensatory Spiritual Power for the Righteous” (Brigham Young University devotional, Aug. 18, 2015), speeches.byu.edu.

  13. John 17:3.

  14. Doctrine and Covenants 6:36.

  15. 1 John 4:19.

  16. Elder David B. Haight ne kaha:

    “Yeh sach hai ki kuch logon ne vaastao me Rakshak ko dekha hai, lekin jab koi shabdkosh ko dekhta hai, toh woh seekhta hai ki shabd dekhne ke aur bhi kayi arth hai, jaise ki Use janna, Use samajhna, aur pehchaanna Use, aur Uska kaarye, Uske mahatwa ko samajhte huwe, ya Use samajhne ke liye aana.

    Is tarah ke swargiye gyaan aur ashirwaad hum me se har ek ke liye uplabdh hai” (“Temples and Work Therein,” Ensign, Nov. 1990, 61).

  17. Dekhiye Mosiah 5:13.

  18. Doctrine and Covenants 20:77.

  19. Russell M. Nelson, “Woh Anant Vachan,” Liahona, Oct. 2022, 5.

  20. Russell M. Nelson, “What Is True?,” Liahona, Nov. 2022, 29.

  21. Russell M. Nelson, “Revelation for the Church, Revelation for Our Lives,” Liahona, May 2018, 96.

  22. Dallin H. Oaks, “Going Forward in the Second Century” (Brigham Young University devotional, Sept. 13, 2022), speeches.byu.edu. President Oaks ih baat “dare to be different” ke ek haal ke article se milaan karis Deseret Magazine me Elder Clark G. Gilbert ke, the Church Educational System’s Commissioner, on preserving religious identity in higher education (dekhiye “Dare to Be Different,” Deseret MagazineSept. 2022, deseret.com).

  23. Agar aap dusron se seekhna chahate hai jinhonne tippani kee ki we duniya se kaise alag hai, toh aap Facebook par unki tippaniyaan padh sakte hai (dekhiye Neil L. Andersen, Facebook, Aug. 18, 2022, facebook.com/neill.andersen) or Instagram (see Neil L. Andersen, Instagram, Aug. 18, 2022, instagram.com/neillandersen).

  24. Russell M. Nelson, “Hope of Israel” (worldwide youth devotional, June 3, 2018), HopeofIsrael.ChurchofJesusChrist.org.

  25. Anastasia Kocheva, “Facing the Conflict in Ukraine, Healing the Conflict in My Heart,” YA Weekly, May 2022.

  26. Doctrine and Covenants 101:65.