Bhudimaani se Chunniye
“Bure ko tyaago, aur bhale ko grahan karo” (Isaiah 7:15).
Mere pyaare bhaaiyon, aaj shaam meri ichcha hai ki main faeslon aur chunnao par kuch salahaa doon.
Jab main San Francisco Bay Area mein ek jawaan wakeel tha, humare kampani ne Charlie Brown holiday TV specials banane waale kampani mein niyam ki kuch sarkaari kaam kiya tha.1 Main Charles Schulz aur uske banane waale ka dost ban gaya-Peanuts, Charlie Brown, Lucy, Snoopy, aur dusre aschariye kalakaaron ke saath.
Mere ek pasandita comic mein Lucy bhi thi. Jab main yaad karta hoon, Charlie Brown ki basebol ko khelne waale ek zaroori khel rahe the- Lucy daeye feild mein khel rahi thi, aur uske oar ek uchi bol maari gayi. Virothi khilaadi apni sthaan par the, aur yah khel ka aakhri daur tha. Agar Lucy bol ko pakad leti hai, to weh khel jeet jaatey. Agar Lucy bol ko pakad nahi paati, to dusre khilaadi jeet jaatey.
Ek kaarye jo sirf comik mein hi ho sakta hai, pure khilaadiyon ne Lucy ko gher liya tha jab bol niche ah raha tha. Lucy soch rahi thi ki, “Agar maine bol ko pakad liya, mera naam hoga, agar nahi, to badnaami.”
Bol niche aaya, aur jabki uske saathi aschariye se dekh rahe the, Lucy ne bol gira diya. Charlie Brown ne apne glove ko dharti par dhul par beeg diya. Lucy ne phir apne saathiyon ki oar dekha, apne haathon ko apne kamar par rakha, aur kaha, “Kis tarah tum aasha kartey ho ki main bol ko padak lunga jabki main dusre deshon ke saath apne desh ke anokhe niyam par chintith hoon?”
Yah un kai bol mein se ek tha jo Lucy ne saalon bhar mein nahi pakda tha, aur uske paas har samay ek bahaana tha.2 Bhale hi humesha mazaakiya, Lucy ke paas bahaane hotey batlaane ke liye; weh uske bol na pakadne ke jhootey bahaane hotey.
Pradhaan Thomas S.Monson ke dekh rekh ke dauraan, usne humesha sikhlaya hai ki faeslon par anewaali jiwan nirbhar hota hai.3 Ussi mul ke adhaar aaj raat mera salaaha hai ki bahaane banane chod do jo hume sache faeslon ko banane se rokhtey hain, khaaskar Ishu Maseeh ki sewa karne ki izzat ke saath. Isaiah mein hume sikhlaya gaya hai, hume “bure ko tayaagna, aur bhale ko grahan karo.”4
Main vishwaas karta hoon ki humare dinon ke liye khaas maaine rakhta hai, jab Shaitaan ka prabhaao insaan ke hriday mein kai naye aur chaturaai ke tarikon se bhar rahi hai, ki humare chunaao aur faeslein saodhaani se karne chahiye, humesha faeslon aur cheezon ko lekar jis ke dwara hum jeetein hain. Hum aagyaoun ko puri tarah se maanna chahiye aur pavitra vaadon ko nibhaana chahiye. Jab hum bahaane ko bana kar mandir ke endowments nahi pratigya karte, mission par laayak nahi rahatey, aur mandir mein shaadi nahi kartey, weh haanikaarak hain. Yah bahut dukh detein hain jab in faeslon mein vishwaas kartein hain, aur us tarike se nahi rahatey jo zaroori hai in faeslon ko karne ke liye.5
Kuch jawaan log kahatein hain ki unki faesla hai ki weh mandir mein shaadi karein parantu mandir ke laayak logon ke saath gatividhiyon mein nahi shaamil hotey. Sahi mein, kuch log gativdhiyon mein nahi jaatey! Tum avivaahit purush, jitna der mein tum vivah karoge sahi umar aur bade hone ke baad, tum utna hi avivaahit khush rahoge. Parantu tum aur zyaada peede ko mehsoos karoge! Kripa dhaarmik aur sammilit gatividhiyon mein “zaroor shaamil ho”6 apne mandir mein shaadi ke faesle ke saath.
Kuch shaadi nahi kartey jabtak ki weh apne padhaai pura nahi kar letey aur naukri nahi mil jata. Bhale hi yah karna duniya mein swikaara jaata hai, yah faesle mein vishwaas nahi dikhta hai, naye bhavishyevaktaoun ke salaaha ke saath nahi hota, aur yah siddhaanton ke saath laayak nahi hai.
Abhi jald hi maine ek jawaan yuva ke aadmi ko mila. Uska faesla tha ki wah mission par jaaye, padhaai kare, mandir mein shaadi kare, aur ek vishwaasi khushi se bhara parivaar ho. Main uske faesle se bahut khush tha. Parantu aage vaartalaabh mein, pata chala ki uske faeslon ke anusaar uska sanchaalan aur wah banaaye hue chunaao humesha sahi nahi the. Maine mehsoos kiya ki wah mission par zaroor jana chahata tha aur gambheer bahakaawe se bach raha tha jo mission ki sewa par jaane se rokh sakta hai, parantu uske har din ke kaarye uski madad nahi kar rahe the use use jheltey hue shaaririk, ahessas, janta, dimaagi, aur dhaarmik chunaotiyon mein.7 Usne kaarye ko achchie tarah karna nahi sikha tha. Wah skool ya seminary ke padhaai ko lekar gambheer nahi tha. Wah girjaghar jaata, parantu usne Mormon ki Dharamshaastra nahi padha tha. Wah apna zyaada samay video ke khel mein aur janta ke media ke istamaal mein lagata. Wah sochta tha ki mission par jaana kaafi tha. Jawaan purush, kripa karke humare Prabhu aur Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ke laayak sanchaalan karta aur ghambheerta se taeyaar hokar pratinidhitav karein.
Mera chinta sirf un gambheer faeslon par nahi parantu kam zaroori cheezon par bhi hai-duniya ke sabhidinon aur kam zaroori faeslon mein jaha hum apna zyaada samay bitatey. In sthaanon par, hume zaroori hai ki badlaao, baraabri, aur khaas gyaan par zor dein. Yah zaroori hai ki bahaane banana bandh karein aur sahi chunaao ko karein.
Ek ashchariye zaroori uddhaaran aatam-nirbharta, baraabri, aur gyaan ka hai Internet ke istamaal ka. Is ke istamaal se prachaar kaarye ho sakta hai, purohiti ke zimmedaariyon mein madad mil sakta hai, mahaan purwajon ko pavitra mandir ke dharam vidhi ke liye dhoondhna, aur bhi zyaada. Achchaai ki chamta mahaan hai. Hum yah bhi jaantein hai ki wah buraai ko faela skati hai, jismein ashlilchitra, electronic vaartalaabh,8 aur chupaap barbarana shaamil hai. Yah paagalpan ke sujhaao aur tarikon mein bhi fasa sakti hai. Jaesa Bhaai Randall L. Ridd ne pichle maha sammelan mein shaktishaali se sikhlaya tha, Internet par baatein kartey hue, “ Tum bekaar ke cheezon mein fas saktey ho jo tumhare samay ko barbaad karega aur tumhare achche karne ki chamta ko kam karega.”9
Sachchaai ke liye rukaawatein aur virodhi sirf Internet par nahi hai; weh sabhi sthaan par hai. Weh sirf yuva ko nahi balki hum par bhi prabhaao daaltein hai. Hum us duniya mein rahatein hain jaha humesha hangaama hota hai.10 Humare ird-gird mein askat chitrkalaa kabhi na khatam hone waale tarike dikhlaatein hai jise “majaak gatividthiyon” kaha jata hai aur annaetik aur bina maarg ke jiwan. Yeh kai madhyam mein humesha ka gatividhi ki tarah prasaaran hota hai.
Elder David A. Bednar ne abhi haal hi sadasyon ko samuhik madhyam ko sachcha istamaal ke liye kaha hai.11 Ek jaana maana insaan jo apne ichchaaon aur sujhaao ko batlata hai, Arthur C. Brooks, ne is sthar par zor diya hai. Usne samuhik madhayam ke istamaal par tippani diya hai, hum apne jiwan ke khushi ke pal ko prasaarith kartein hain parantu skool ya kaam ke mushkil samay ka nahi. Hum aadhe jiwan ko dikhlaatein hain- kabhi kabhi jhuti aur jo hum nahi hai. Hum is jiwan ko dikhlaatein hai, aur phir “[humare] samuhik madhyam ke ‘doston ke jhute jiwan ko… puri tarah se” apnaatein hain. Brook batlaata hai, “Zaroor wah tumhe bura mehsoos karega apne samay ke kuch bhaag ko khushi mein mehsoos karne ki jaesa nahi hai, aur tumhare samay ke kuch bhaag yah dikhlaatey hue ki dusre tum se zyaada khush hai?”12
Kabhi kabhi aysa lagta hi ki hum bekaar ke paagalpan, anchaahi musibatein, aur humesha ke jhadon mein fas chuke hain. Jab hum paagalpan se bahar nikaltey aur saaodhaani se apne ird-gird ke sachchaai ko dekhtein hain, yaha bahut kuch nahi hota hai jo hume humare anant tak ke sachche neev ki oar madad kare. Main janta hoon ek pita ko jo unke kai musibaton ke bawajood bhi apne bachchon ke farmaish ko pura karta hai.Wah unse saralta se puchta hai, “Kya yah tumhe aur bhi achcha insaan banayega?”
Jab hum apne galat chunnao ke bahaane banatein hain, bade ya chote, jo punaharsthapit susamachaar ke saath nahi chalta, hum zaroori ashirwaadon aur surakhchaoun ko gawa detein hain aur humesha paap ya apne maargdarshan ko kho detein hain.
Main khaas taur se paagalpan par chintith hoon13 aur “sabhi naye cheezon” ke sang dhun mein hoon. Girjaghar mein hum sabhi insaan ke sachchaai aur gyaan ko badhaatein aur gungaan kartein hai. Parantu jab parampara, gyaan, aur samuhik tarikein Parmeshwar ke khushiyon ke yogna se aur Ishu Maseeh ke khaas kaarye se alag ho jaatein hain, yaha par sangaton mein humesha viyojan ho jata hai.14 Humare dinon mein, kai sthaanon par anmol badhanti ke bawajood, khaaskar vigyan aur vaartalaabh mein, kai khaas mul kamzor pad gaye hain aur khushyaali aur sukh kam ho gaya hai.
Jab Devdut Paul ko Athens mein Mars Pahaad par bhaashan dene ko nimantrith kiya gaya tha, usne kuch dimaagi chal aur aaj ke sachche gyaan ki kami ko dekha.15 Acts mein hum padhtey hain: “Sabhi Athenians aur musaafiron ke liye jo waha the apne samay ko kisi aur cheez mein nahi lagaye, parantu chahe batlaye, ya kuch naye cheez sunne.”16 Paul ka zor tha Ishu Maseeh ke Punaharjiwan par. Jab bheed ne jaati ke is poshan ke uske sadesh ko jana, kuch ne use mara; dusron ne use andekha kiya, kahatey hue, “Hum is Swami ke vishye mein baad mein sunnege.”17 Paul ne Athens kobina koi safalta ke chod diya. Dean Frederic Farrar ne uske bhent par likha: “Usne Athens mein girjaghar nahi banaya, aur Athnes ke bagal se guzarne ke baad bhi, wah waha kabhi nahi gaya.”18
Main Elder Dallin H. Oaks ke prerna bhare sandesh “achcha, behatar, sab se achcha ke matlab se chunaao aur zimmedaariyon ke tarikon ko dekhta hoon. .19 Kai chunaao bure nahi hai, parantu agar weh humara pure samay lele aur sahi chunaao nahi karne de, phir weh khatarnaak ho jaatein hain.
Achche gatividhiyon aur parinaam ko bhi andaaz lagana chahiye yah dekhne ke liye ki kya weh achche parinaam se alag to nahi hai. Maine apne pita ke saath ek yaadgaar waartalaabh kiya jab main jawaan tha. Wah vishwaas nahi karta tha ki jawaan log lambe samay ke liye zaroori parinaam ko taeyaar kar liya tha ya taeyaari kar rahe the-jaese kaam aur parivaaron ke liye pradaan karna.
Matlab bhare shikshan aur kaarye anubhao ki taeyaari mere pita ki sifaarish mein humesha sab se ucha tha. Usne wah skool se bahar ke gatividhyion ko swikaar kiya tha jaese bahas aur shikshon ke sarkaar ke paas uske zaroori parinaam ke saath bhi kuch sidha sambhandh hoga. Wah mere footbol, basketbol, basebol, aur daudne waale khel mein bhaag lene ke samay ko lekar na khush tha. Wah un khilaadiyon ko jaanta tha jo shakti, ant tak khel, aur dal ko badhaatey the parantu batlaya ki ek khel par shaayad kuch hi samay tak dhyaan dena achcha hai. Uske nazariye mein khel- kud achcha tha parantu mere liye achcha nahi tha. Uske anusaar kuch khel mein sirf deshi log ya naamchin lambe-samay ke zyaada zaroori kharche ko kartey the.
Is anubhao mein, main ek cheez Lucy ke basebol ke khel mein pasand karta hoon ki, mere pita chahtey the ki, main videshi nitti ko sikhun aur chinta nahi tha ki wah bol pakdun ya nahi. Main yah batlaata hoon ki meri maa ko khel-kud pasand tha. Wah sirf us samay mere khel ko nahi aati agar wah aspataal mein hoti.
Maine apne pita ke sujhaao ko maane ko faesla kiya aur jab main shikshak tha college mein khel-khud mein bhaag nahi liya. Phir mere high skool ke koach ne mujhe batlaya ki Stanford University ke footbol dal ke koach Merlin Olsen aur mere saath barah baje ka bhojan karna chahtey the. Tum mein se jo jawaan hai woh Merlin ko nahi jaantey honge. Wah Logan High School footbol dal ka ek sabse achcha America ki khilaadi tha jaha main quarterback aur bachaanewaale ki tarah khelta tha aur kai baar bol lekar goal ki oar dauda. Jab Merlin high skool mein tha wah desh bhar ka sab se achcha khilaadi tha. Jab wah college mein tha usne sab se achche andar ke lineman ka Outland Trophy jeeta tha. Merlin wah teesra khilaadi tha jise National Footbaal League ke liye chunna gaya tha aur ek barabar 14 Pro Bowls khel ko saalon tak aschariye taur se khela. Wah 1982 mein Pro Footbal Hall of Fame ka sadasye ban gaya tha.20
Barah baje ka bhojan Stanford coach ke saath Utah, Logan Bluebird resturant mein tha. Haath milaane ke baad, usne dobara mujhe se ankh nahi milaya. Usne sidhe Merlin se baatein kiya aur mujhe andekha kar diya. Bhojan ke baad, pehli baar, mere oar muda, parantu wah mera naam bhool gaya tha. Usne phir Merlin ko batlaya, “Agar tum Stanford skool ko chuntey ho aur apne mitra ko apne saath lana chahtey ho, uska mark achcha tha aur wah ho sakta hai.” Yah anubhao mere liye pakka ho chuka tha ki main apne pita ke achche salaaha par chalun.
Mera maksad nahi hai ki main khel-khud mein bhaag lene waalon ka himmat tod doon ya Internet istamal karne waalon ka ya anye achche jawaan logon ke khushi ke gatividhiyon ko. Waha ayse gatividhiyon hai jo saiyam, barabri, aur gyaan zaroori hai. Jab achchie tarah se istamaal kiya jata hai, weh humare jiwan ko sudhaar deta hai.
Phirbhi, main sabhi ko lakhsh aur himmat deta hoon, jawaan aur buzurg, lakhsh aur uddesh aur zyaada achche sudhaar ko nirakhshan karne ke liye.Humare roz ka sanchaalan aur chunnao humare lakhsh ke saath samaan rahana chahiye. Hume zaroori hai ki kamiyon aur manbahalaao se bahar nikalein. Yah zaroori hai ki humesha chunnao ko humare vaadon ke saath sachchaai se Ishu Maseeh ki sewa karein.21 Hume us lakhsh se kisi bhi tarah se bahekna nahi chahiye.
Yah jiwan Parmeshwar ko milne ki taeyaari karne ka samay hai.22 Hum khush, hasmukh log hain. Hum achche mijaaz ke indriyon ke abhaari hain aur doston aur parivaar ke saath bina samay ke mulye ke liye. Parantu hume yahan vichaar par ghambheerta zaroor dena hai jo humare jiwan ko jeene ka neev ho aur humare sabhi chunnao ke. Manbahalaao aur kamiyon jo bahant ko rokhtein hain khatarnaak hotein hain, parantu jab Ishu Maseeh aur Uske Girjaghar ke vishwaas ko kam kartein hain, wah khatarnaak hai.
Meri prarthna hai ki ek purohiti ke rakhne waale hai, hum wah kaam ko karenge jo Swami ke sewa karne waalon ke mahaan kaarye mein zaroori hai. Sabhi cheezon mein hume yaad rakhna hai ki “Ishu ke gawahi mein himmat rakhne se” logon ko celestial aur terrestrial raagye ke mul parinaam mein se alag kiya ja sakta hai.23 Hum chahatein hain ki hum celestial ki oar alag paaye jaaen. Uske ek Devdut ki tarah, Praeshchit aur Ishu Maseeh, humare Uddhaarkarta ke pavitrata ki sachchaai ki zaroor gawahi deta hoon. Ishu Maseeh ke naam se, amen.