2010-2019
Sammelan mein Swaagat
October 2014


4:53

Sammelan mein Swaagat

Jab hum sunege, hamare hridayon ko chuh lein aur hamara vishwaas badhe.

Mere bhaaiyon aur bahanon, mai bahut prasann hoon aapko is mahaan sammelan mein swaagat karne ke liye. Hum duniya bhar mein kayi sthaanon mein ikattha hue hai un bhaaiyon aur bahanon ko sunne aur unse seekhne ke liye jinhe humne Maha Adhyakshtaaon aur Girjaghar ke maha afsaron ki tarah swikaar kiya hai. Unhonne swarg se sahayta li hai apne sandeshon ko pesh karein, aur unhonne prerna mehsoos ki hai ki unhein kya kehna hai.

Yeh sammelan 90-saalon ka varsh ghaat hai jab hum maha sammelan ko redio dwara prastut kiye the. 1924 ke October sammelan ke daoraan, sabhaaen pehli baar redio dwar prastut hui thi Girjaghar ke apne KSL naamak station dwara. Yeh sammelan tv prasaaranon ka bhi 65-saalon ka varsh ghaat manata hai. 1949 October mein hue maha sammelan par, sabhaaen pehli baar pure Salt Lake chetra mein KSL television dwara prasaarit hua tha.

Hum aadhunik midia ke ashirvaadon se prasann hai jo laakho Girjaghar ke sadasyon ko maoka dete hai maha sammelan ko dekhne ya sunne ke liye. Is saptaah ant ke sabhaae tv, redio, cable, setlait prasaaran, aur Internet, tattha mobile saadhaanon ke dwara prastut honge.

Jabse hum pichle che mahino pehle the, ek naya mandir ka samarpan hua hai aur ek ka dobara-samarpan hua hai. May mein Pradhaan Dieter  Uchtdorf ne Fort Lauderdale Florida Mandir ka samarpan kiya. Ek badhiya yuvaaon ka sanskritik samaroh pesh kiya gya samarpan se ek din pehle. Agle din mein, Raviwaar, May 4, ko mandir ko teen sabhaaon mein samarpan kiya gaya.

Sirf do saptaah pehle mera saobhaagye tha Ogden Utah Mandir ko dobara samarpan karne ka, jo pehli baar 1972 mein Pradhaan Joseph Fielding Smith dwara samarpan kiya gaya tha. Ek vishaal sanskritik samaroh hua tha dobara samarpan se ek din pehle, itne saare yuva us mein bhaag le rahe the ki do alag alag pradarshan hue the, jiske kalakaar bilkul alag the. Sab milakar, 16,000 yuvaon ne bhaag liya tha. Dobara samarpan ke samaroh agle din sampann hue the, jismein kayi Bhaaiyon ne saath diya, jismein saath the adhyakshta ke netaaen aur mandir pradhaan, unke salaahkaarein, aur unke patniyaan.

Hum ab bhi mandirein banana jaari rakhe hai. Agle mahine naya Phoenix Arizone Mandir ka samarpan hai, aur agle saal, 2015 mein, hum aasha karte hai paanch anye mandiron ka samarpan ya dobara samarpan hoga, anye mandirein bhi mumkin hai, agar samay par samaapt ho jaaye.

Jaisa mainne April mein kaha tha, jab pehle ke tay kiye gaye mandiron ka nirmaan aur samarpan samaapt ho jaaega, hamare paas duniya bhar mein 170 chaalu mandirein hongi.Kyunki hum apne koshishein pehle goshna kiye mandiron ka nirmaan samaapt karne mein lagae hai, hum is samay koi bhi naye mandir ka ghoshna nahin karenge. Haalaanki, bhavishye mein, jab zaroorat dikhega aur hum sthaanein niyukt kar denge, tab anye mandiron ke ghoshna hum karenge.

Girjaghar ki badhti jaa rahi hai. Abhi hum 15 laakh se zyaada sadasye hai aur sankhya badhti jaa rahi hai. Hamare prachaarak koshishein aage badh rahi bina koi rukawat ke. Hamare paas 88,000 prachaarakein hai jo sewa kar rahe hai, duniya bhar mein susamachaar ke sandesh ko le jaa rahe hai. Hum yeh dobara pushti karte hai ki prachaar kaarye ek purohiti zimmedaari hai, hum sabhi yogye aur nipunn jawaan purshon ko sewa karne ke liye protsaahit karte hai. Hum abhaari hai un jawaan mahilaaon ke liye jo sewa kar rahi hai. Woh bhi bada yogdaan deti hai, bhale hi unhe koi avashyakta nahin hai sewa karne ki jaise jawaan purshon ke liye yeh aagya hai.

Ab mai aap ko amantrit karta hoon ki apna dhyaan un bhaaiyon aur bahanon par dein jo aaj aur kal ke hamare sammelan sabhaaon mein bhaag lenge. Jo sabhi logon ko bhaashan dene ke liye kaha gaya hai ise ek mahaan zimmedaari samajhte hai. Jab hum sunenge, hamare hridayon ko chuh lein aur hamara vishwaas badhe, mai vinamrata se prarthna karta hoon Ishu Maseeh ke naam se, amen.