2010-2019
Humare Aasha ki Vaja
October 2014


12:49

Humare Aasha ki Vaja

Bachaane waali aasha ki gawahi hai jo kahi napa ya sanchit nahi ja sakta hai. Ishu Maseeh us aasha ka neev hai.

Kai saal pehle, Bahan Packer aur main Oxford University gaye the. Hum apne saathwe par-aaja ke suchi ko dhoondh rahe the. Oxford ke Christ ke Kolej ka neta, Dr. Poppelwell, ne dayaluta dikhlaya kolej ke archivist ko suchi lane diya. Waha saal 1853 mein humne apne purwajon ke naam, John Packer ko paya.

Uske baad ke saal hum waapis Oxford ko gaye sundar se pure dharamshaastra ko Christ ke Kolej ke kitaabghar ko diya. Yah Dr. Poppelwell ko taaklifdeh laga. Shayad usne socha ki hum Isaai nahi the. To usne kolej ke Paadri ko kitaab lene ke liye bulaya.

Paadri ko dharamshaastra ko dene se pehle, maine Topical Guide ko khola aur use ek paat dikhlaya: 18 panon ka, bahut hi chote se likha hua, single-spaced, “Ishu Maseeh” oar likha gaya.”Yah Uddhaarkarta par pure dharmshaastra ko saath mein ikatha kiya gaya hua suchi hai jo duniya ke itihaas mein likha gaya hai-Purane aur Naye Niyam, Mormon ki Dharamshaastra, Doctrine aur Covenants, aur the Pearl of Great Price ki gawahi hai.

“Kisibhi tarah se is suchi par chalo,” maine use batlaya, “bagal-bagal mein, upar aur niche, kitaab se kitaab, mahatav ke baad mahatav-tum jaanoge ki wah humesha hai, Prabhu Ishu Maseeh ke kaarye mein diviye sundar gawahi ke saath- Uska paydaish, Uska jiwan, Uska shikshan, Uska Suli par chadhna, Uska Pumaharjiwit hona, aur Uska Preashchit karna.”

Paadri ke saath Uddhaarkarta ke kuch shikshan baatne ke baad, vaatawaran badal gaya, aur usne hume imaarat ko saer karaya, jiske saath Romans ke zamaane ko batlaane waali cheezein.

Topical Guide mein likhe hue in sambhandhon mein yah Mormon ki Dharamshaastra mein se hai: Ishu Maseeh ka Dusra Gawahi: “Hum Maseeh ki charcha kartein hain, hum Maseeh mein anandith hotein hain, hum logon ko Maseeh ke vishye mein updesh detein hain, hum Maseeh ke vishye mein bhavishyevaani kartein hain aur hum apni bhavishyevaani ke anusaar likhtein hain ki humari santaan yah jaan sakey ki weh apne paapion ki chama ke liye kaha dekhein” (2 Nephi 25:26).

Uske khudh ke shabdon mein, Uddhaarkarta ne batlaya, “Maarg aur sathye, aur jiwan main hi hoon; bina mere dwara koi Pita ke paas nahi pahunch sakta” (John 14:6).

Aur Mormon ki Dharamshaastra mein, Usne batlaya hai: “Sunno, main wahi hoon, jo ki apne logon ko mukt karne ke liye shirishti ki neev ke samay se karne ko taeyaar tha. Sunno, main Ishu Maseeh hoon . … Mujhi se sara mahushye samaajh jo mere naam par vishwaas karenge, weh anant ke liye prakaash paayenge; aur weh mere putra aur putriyon ban jaenge” (Ether 3:14).

Yah par kai sthir ko kaarye hai jismein se kai cheezein hain jo Ishu Maseeh ke diviye kaarye ko Muktidata ki tarah batlati hai unko jo pehle the ya aage payeda hone maranshil jiwan mein.

Ishu Maseeh ke Praeshchit ke dwara hum sab Aadmi ka patan hone se hum sabhi ko mukti prapt hua hai, jo Adam aur Eve ko Eden ka Bagiche mein mana kiya hua fal khaane ke baad hua tha, jaese 1 Corinthians mein batlaya gaya hai: “Aur jaese Adam mein sab martein hain, waise hi Maseeh mein sab jilaaye jayenge(1 Corinthians 15:22).

Mormon ki Dharamshaastra sikhlata hai ki, “Praeshchit karna hi chahiye  …, nahi to maanao samaajh ko nasht hone se bachaya hi nahi ja sakta hai, ha, sabhi katohar hai, sabhi ptith aur bhatke hue hain aur nasht honge; kewal praeshchit jo ki hitkaari hai …usi ke dwara bach sakenge” (Alma 34:9–10).

Hum sahi tarah se ashaayad jiwan ko nahi bita rahein ho, aur humare galtiyon ke liye yahakaarye hai karne ko, parantu hume dharti par aane se pehle, humne Uske niyam ka paalan karne ko kaha tha aur uske niyam ko todhne se saza ko pura karne ko swikaar kiya tha.

“Isliye ki sab ne paap kiya hai, aur Parmeshwar ki mahima se rahit hain;

“Parantu uski anugharah se us chutkaare ke dwara jo Ishu Maseeh mein hai, senth-menth dharmi taharaaye jaatein hain” (Romans 3:23–24).

Uddhaarkarta ne Praehchit ko kiya, jis tarike se hum saaf ho sakey. Ishu Maseeh punaharjiwit Maseeh hai. Hum Uska bhakti kartein aur Uske jaantein hain wah peeda jo usne hum sab ke liye aur wah peeda jo Usne hum mein se har ek ke liye jhela tha ko, dono Gethsemane ke Bagiche aur kruss par chadhane ke samay ko. Usne yah mahaan vinamrata ke saath kiya tha aur Uske diviye anant samjh ke rishtey aur kaarye mein.

Jo paschaataap karenge aur paap ko chodh denge weh Uske daya ke haath ko apne sir par mehsoos karenge. Jo Uske vaani aur Uske chune hue sewakon ke vaani ko sunenge shaanti aur samjh ko mahaan dukh aur musibaton ke chan mein bhi prapt karenge. Uske balidaan ka parinaam hai ki hume paap se bachaaye, taaki sabhi ko pastawa se mukti mile aur asha ko mehsoos karein.

Agar Usne Praeshchit ko pura nahi kiya hota, yaha koi mukti nahi hoti. Yah jeene ke liye mushkil se bhare duniya hota agar hume apni galtiyon ke liye chama nahi mila hota, agar hum apne aap ko kabi saaf nahi kare hotey aur aage badhe hotey.

Ishu Maseeh ka daya aur sundarta sirf unke liye nahi hai jo bure kaarye karne se hota hai ya jo achcha nahi kar paatein hai se, parantu weh anant tak ki shasanti ka vaada un sabhi ke liye hai jo Use swikaar karenge aur piche chalenge aur Uske shikshanon ko maanege. Uska daya se mahaan dukh bharta hai, dusron ke paap ko jhelne waala bhi.

Abhi haal hi mujhe ek mahila ka patra mila jisne apne jiwan mein mahaan dukhon ko jhela tha. Bahut hi galat, jo wah nahi jaanti thi parantu batlaya gaya, ki uske khilaaf hua tha. Usne batlaya ki usne mahaan kadwaahat ko jhela tha. Apne gusse mein, wah dimaagi taur se rone lagi, “Kisi ko is mahaan galti ke liye bharna padega.” Is khaas dukh aur swaalon ke samay par, usne likha ki uske hriday mein turant hi jawaab aaya: “Kisi ne ise pehle hi bhar diya hai.”

Agar hum hum yah nahi jaantey ki Uddhaarkarta ka blidaan humare liye kya kar sakta hai, hum jiwan bhar pastaawa mein rah saktein hain ki humne kuch galta kiya hai ya kisi ke saath bura kiya hai. Wah galti jo galti se hui ho ko saaf kiya ja skta hai. Agar hum Uske Praeshchit ko samjhenge, hum Prabhu Ishu Maseeh se mahaan shaanti kop rapt karenge, Uske dharti par dekh rekh ke samay, aur Uske diviye mission humare Uddhaarkarta ki tarah.

Ishu Maseeh ka Girjaghar Antim-din Santon ka duniya bhar mein faela tha jiwan ke gyaan aur Uddhaarkarta ke shikshanon ko punaharsthapit karne ke liye. Yah mahaan sammelan 94 bhaashaon mein satellite se 102 deshon mein dikhlaya jar aha hai parantu yah sabhi desh mein Internet par bhi hai jaha Girjaghar hai. Humare paas 3,000 se zyaada stakes hai. Humare paas 80,000 pure-samay ke prachaarakhein sewa mein hai, aur Girjaghar mein 15 milion se zyaada sadesye hai, Yeh nambar yah dikhlarein hai ki “jo pattar pahaad se bina haathon se kata gaya ho” aage badhata rehta hai aura nth mein “pure duniya mein fael jayega” (D&C 65:2).

Parantu Girjaghar ka sangaton kitna bhi badh jayega ya kitne million humare saath shaamil ho jaye, chahe kitne bhi bhaagon aur deshon mein humare prachaarakhon pahunch jaye yab chahe hum kitne bhi bhaashoun mein baatein karein, Ishu Maseeh ke susamachaar ki sachchie safalta veyaktigat sadasyon ke dhaarmik shakti dwara hi napa ja sakta hai. Hume vishwaas ki shakti chahiye jo Maseeh ke sabhi vishwaasi chelon ke hriday mein paya jata hai.

Bachaane waali asha ki gawahi hai jo kahi napa ya tola nahi ja sakta hai. Ishu Maseeh us aasha ka neev hai.

Hum jawaan aur buzurg, shaadi shuda aur avivahit ke gawahiyon ko mazboot karne ko dhoondhtein hain. Hume Ishu Maseeh ke susamachaar ko aadmi, mahila, aur bachchon, sabhi jaatiyon aur deshon, dhani aur gareeb ko sikhlans zaroori hai. Hume abhi jald parwartith aur jo humaare beech mein kai girjaghar ko shuruwaat karne waalon ke bachchein ho. Hume unko dhoondhna hai jo kho gaye hai aur unhein madad se waapis yaha lana hai. Hum sabhi ke gyaan aur drishye aur dhaarmik shakti ki zaroorat hai. Is Girjaghar ka har ek sadasye vyaktigat taur se Girjaghar ka ek mahaan bhaag hai.

“Kyunki jis prakaar deh to ek hai aur uske angh bahut se hai, aur us ek deh ke sab ang bahut hone par bhi sab milkar ek hi dehhain: ussi prakaar Maseeh bhi hai.

“Ek hi Aatma ke dwara ek deh hone ke liye baptisma liya. …

“Isliye ki deh mein ek hu ang nahi parantu bahut se hai” (1 Corinthians 12:12–14).

Har sadasye jiwan ki gawahi ki sewa karta hai aur Ishu Maseeh ki shikshan ka. Hum virodhi ke saath ladaai mein shaamil hain, aur hume har ek ki zaroorat hai agar hum Uddhaarkarta ke diye hue kaarye mein safal hona chahatein hain.

Tum shaayad socho ki, “Main kya kar sakta hoon? Main akela hoon.”

Sahi mein Joseph Smith ne kai baar akelapan mehsoos kiya tha. Wah mahaan bana, parantu14-saal- ke umar ka ladka hone se hi usne shuruwaat kiya tha is sawaal se: “Sabhi Girjaghar mein se mujhe kis mein shaamil hona hai?” (dekhiye Joseph Smith–History 1:10). Joseph ki Uddhaarkarta mein vishwaas aur gawahi badhati rahi jayesa humara hona chahiye, “Aagya par aagya, thoda yaha, thoda waha dunga” ((2 Nephi 28:30; D&C 128:21bhi dekhiye). Joseph prarthna karne kiye ghutne par hua, aur kitna mahaan kaarye hua prarthna aur Pehle Pratikaran ke uske parinaam mein.

Barah Devduton mein se ek hone se, main Prabhu Ishu Maseeh ki gawahi ko bayaan karta hoon. Wah jiwit hai. Wah humare Muktidata aur Uddhaarkarta hai. “Maseeh ke Praeshchit ke karan, sare manushye bach sakte hain” (Articles of Faith 1:3). Wah is Girjaghar ka sanchaalan karta hai. Wah Apne sewakoun ke liye ajnabi nahi hai. Jabki hum anewaale jiwan ki oar atama vishwaas ke saath badh rahe hai, Uska Aatma humare saath hoga. Yaha Uske shakti ka koi anth nahi hai unke jiwan mein ashirwaad aur maarg dene ke liye jo sahi aur sachchaai ko dhoondh rahein hain. Main Uski gawahi Ishu Maseeh ke naam se deta hoon, amen.